Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 186 187 188 189 [190] 191 192 193 194 ... 273
Print
Author  (Read 131541 times)
angel4u
Guest
«Reply #2835 on: October 16, 2008, 02:27:39 AM »
angel ji ek se badh kar ek ash'ar hein, zabardast.
bemisal shairi he ye bohot kamaal ka zakhira jama kiya he aap ne.... isi tarah likhte rahiye, or 21000 ka shandaar or pahadi jumla choone par hamari janib se bhi mubarakbaad qubool kijiye.



Bahut shukriya Sayyid sahab pasand karne ke liye. Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2836 on: October 16, 2008, 02:29:26 AM »


Zindagi Kya Koi Nisaar Kare,
Kisse Duniya Mein Koi Pyaar Kare,
Apna Saaya Bhi To Apna Dushman Hai,
Kaun Ab Kiska Aitbaar Kare,

Dilke Zakhm Zubaan Par Laya Nahi Karte,
Hum Apni Aankhon Se Aansu Bahaya Nahi Karte,
Zakhm Dilke Kitne Hi Gehre Kyon Na Ho,
Hum Apne Honthon Se Muskurahat Hataya Nahi Karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2837 on: October 16, 2008, 02:29:43 AM »



Hamein Koi Gam Nahi Tha Gam-E-Aashiqui Se Pehle,
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle,

Hai Ye Meri Badnaseebi Tera Kya Kasoor Hai,
Tere Gam Ne Maar Dala Mujhe Zindagi Se Pehle,

Mera Pyaar Jal Raha Hai, Arey, Chaand Aaj Chhup Jaa,
Kabhi Pyaar Tha Hamein Bhi Teri Chandni Se Pehle,

Main Kabhi Na Muskurata Jo Mujhe Yeh Ilm Hota,
Ke Hazaron Gam Milenge Mujhe Ek Khushi Se Pehle,

Ye Ajeeb Imtehaan Hai Ke Tumhi Ko Bolna Hai,
Mile Kab The Is Tarah Hum Tumhe Be-Dili Se Pehle,

Hamein Koi Gam Nahi Tha Gam-E-Aashiqui Se Pehle,
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2838 on: October 16, 2008, 02:32:10 AM »


Ab Kar Tum Khwabon Ko Meri Jagah Na Do,
Tadapte Dilke Dard Ki Yun Dawa Na Do,

Duniya Ke Gam Saunp Kar Mujhe,
Ab Khush Rehne Ki Dua Na Do,

Dikhla Kar Maikhane Ka Rasta Phir,
Aab-E-Zam Zam Ki Sada Na Do,

Kaante Bhar Kar Mere Daaman Mein,
Mujhe Phoolon Ki Si Ada Na Do,

Mila Kar Zeher Mere Jaam Mein,
Mujhe Bewajah Maut Ki Wajah Na Do,

Gunaah Jo Sarzad Hua Hai Mujhse,
Pal Pal Begunahi Ki Saza Na Do,

Badnaam Kar Ke Uski Galiyon Mein Ab,
Uske Aashiyaane Ka Tumhi Pata Na Do,

Mohabbat Karte Hai, Dikhana Nahi Jaante,
Ilzaam Magroori Ka De Kar Ye Sila Na Do,

Jala Rakha Hai Ummidion Ka Diya Sadiyon Se,
Pal Bhar Ki Khalish Se Ise Bujha Na Do,

Main Ek Na-Chiz Sahi Kisike Dilka Hissa Hoon,
Mujhe Yun Safah-E-Hasti Se Mita Na Do,

Zaib Nahi Deta Mujhe Mohabbat Ka Husool,
Nafrat Hi Sahi, Tarq-E-Talluq Ki Magar Hawa Na Do,

Chheen Kar Mujhse Zindagi Meri,
Mujhe Aur Jeene Ki Baddua Na Do...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2839 on: October 16, 2008, 02:33:38 AM »



Badla Na Apne Aapko Jo The Wahi Rahe,
Milte Rahe Sabhi Se Magar Ajnabi Rahe,

Duniya Na Jeet Pao To Haaro Na Khudko Tum,
Thodi Bahtu To Zehen Mein Narazgi Rahe,

Apni Tarah Sabhi Ko Kisiki Talash Thi,
Hum Jiske Bhi Qareen Rahe Door Hi Rahe,

Guzro Jo Baag Se To Dua Mangte Chalo,
Jis Mein Khile Hai Phool Wo Daali Hari Rahe...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2840 on: October 16, 2008, 02:33:58 AM »


Uske Haathon Pe Heena Paanv Mein Payal Hogi,
Ek Deewar Magar Beech Mein Hayail Hogi,

Uske Jalwon Ke Bahtu Paas Main Hounga Lekin,
Wo Kisi Aur Ki Taqdeer Ka Haasil Hogi,

Surkh Kapdon Pe Saje Taar Na Honge Mere,
Uski Aankhon Mein Mere Pyaar Ki Jhilmil Hogi,

Jaate Jaate Wo Mujhe Pyaar Se Dekhegi Jab,
Rote Rote Wo Meri Rooh Mein Shaamil Hogi,

Mujhse Wo Door Bahut Door Chali Jayegi,
Ye Kahani Bhi Sar-E-Bazm Mukammal Hogi...
Logged
amarhellboy
Guest
«Reply #2841 on: October 17, 2008, 08:59:33 AM »
thanks, actually dard kabhi kabhi jaana pehchana sa hi lagta hai
THIK HI KANHA AAPNE AB DEKHIYE NA JINDAGI MAI HER KISI KO KOI NA KOI GAM JARUR MILTA HAI MAGAR JINHE ISHQ MAI GAM MILA WO TO YAHI DUA KARTE HAI KI JINDAGI MAI KABHI BHI KISI KO AISA GUM NA DE JO GAM HUME MILA HAI KABHI KOI KISI KO ISS GAM KA RASTA BATAYE PYAR KARNE WAALO KO KABHI BHI BEWAFAI NA MILLE HUM JAANTE HAI BEWAFAA KO TO KOI FARAK TO NHI PADTA LEKIN JIS KE SATH BEWAFAI HUE HAI WO TO JITE JI MAR JAATA HAI JEETE HUA BHI EK JINDA LAASH KI TARAH HO JAATA HAI JAMAANE KO DIKHANE KE LIYE HOUNTO PAR MUSKAAN RAKHANI PADTI HAI MAGAR MERA MAANA HAI KI AISI KANDISION MAI MUSKURAANE MAI BHI HOUNT JAALTE HAI. ISSI PER EK SHAYARI HAI GOUR FARMAIYEGA DEAR...............................

  AGR KHUSH HAI WO DEKHAKAR ASHK HUMARI AANKHO MAI
    KHUDA KASAM HUM MUSKURANA CHOUD DAINGE
  TADAFATE RAHENGE UNKO DEKHANE KE LIYE MAGAR
    UNKI TARAF NAJARE UTHANA CHOUD DENGE
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2842 on: October 17, 2008, 02:00:51 PM »
THIK HI KANHA AAPNE AB DEKHIYE NA JINDAGI MAI HER KISI KO KOI NA KOI GAM JARUR MILTA HAI MAGAR JINHE ISHQ MAI GAM MILA WO TO YAHI DUA KARTE HAI KI JINDAGI MAI KABHI BHI KISI KO AISA GUM NA DE JO GAM HUME MILA HAI KABHI KOI KISI KO ISS GAM KA RASTA BATAYE PYAR KARNE WAALO KO KABHI BHI BEWAFAI NA MILLE HUM JAANTE HAI BEWAFAA KO TO KOI FARAK TO NHI PADTA LEKIN JIS KE SATH BEWAFAI HUE HAI WO TO JITE JI MAR JAATA HAI JEETE HUA BHI EK JINDA LAASH KI TARAH HO JAATA HAI JAMAANE KO DIKHANE KE LIYE HOUNTO PAR MUSKAAN RAKHANI PADTI HAI MAGAR MERA MAANA HAI KI AISI KANDISION MAI MUSKURAANE MAI BHI HOUNT JAALTE HAI. ISSI PER EK SHAYARI HAI GOUR FARMAIYEGA DEAR...............................

  AGR KHUSH HAI WO DEKHAKAR ASHK HUMARI AANKHO MAI
    KHUDA KASAM HUM MUSKURANA CHOUD DAINGE
  TADAFATE RAHENGE UNKO DEKHANE KE LIYE MAGAR
    UNKI TARAF NAJARE UTHANA CHOUD DENGE

bahut khoob kalaam hai amar ji...

sahi kaha aapne, hamesha hamare mann mein bhi yehi khayal rehta hai ke kisiko aisa gam na mile jisse hum guzre hia. par sach kahun to jahan pyaar hota hai wahan gam hota hi hia, agar kisiki bewafayi se dard hota hai uska matlab usse beintehaan pyaar hai. warna kyon dard hoga hia na? bas yehi soch lete hai ke shayad lakeeron ki raah hi kuch aur hia aur jisse pyaar karte hia wo kisi aur ke saath khush hai isliye usne hamare saath bewafayi ki. uski khushi shayad hamare gam se zyada maayne rakhti hai right? yehi soch lein to zindagi jeena thoda aasan ho jaye.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2843 on: October 17, 2008, 02:03:21 PM »



Abhi Wo Dard Baaqi Hai,
Agarche Waqt Marham Hai,
Magar Kuch Waqt Lagta Hai,
Kisiko Bhool Jaane Mein,
Dubara Dil Basane Mein,
Abhi Kuch Waqt Lagna Hai,
Abhi Wo Dard Baaqi Hai,
Main Kaise Nayi Ulfat Mein,
Apni Zaat Ko Gum Kar Dun,
Ke Mere Jism-O-Wajdaan Mein,
Abhi Wo Fard Baaqi Hai,
Abhi Us Shakhs Ki Mujh Par,
Nigaah-E-Sard Baaqi Hai,
Abhi To Ishq Ke Raston Ki,
Mujh Par Gard Baaqi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2844 on: October 17, 2008, 02:03:37 PM »


Koi Apna Nahi Banta,
Labon Pe Naam Rakhne Se,
Dilon Mein Yaad Rakhne Se,
Har Ek Dhadkan, Har Ek Tadpan,
Kisike Naam Karne Se,
Koi Apna Nahi Banta,
Tamaam Umar Ki Khushiyan,
Mohabbat Ki Sabhi Ghadiyan,
Kisiko Daan Karne Se,
Ke Uspe Maan Karne Se,
Koi Apna Nahi Banta,
Wo Pehle Pyaar Ki Baatein,
Rafaqat Ki Sabhi Raatein,
Wo Chahat Ki Sabhi Rasmein,
Mohabbat Ki Sabhi Kasmein,
Hamesha Yaad Rakhne Se,
Koi Apna Nahi Banta,
Kisi Tanha Akeli Rehguzar Par,
Purane Se Kisi Budhe Shajar Par,
Paththar Se Koi Dil Banane Se,
Aur
Us Mein Apna Aur Kisi Ka Naam Sajane Se,
Koi Apna Nahi Banta,
Ke Jab.........Aankhein Hi Mar Jayein,
To Phir Sapna Nahi Banta,
Ye Jeewan Daan Kar Jayein,
To Bhi Apna Nahi Banta,
Koi Apna Nahi Banta,
Koi Apna Nahi Banta...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2845 on: October 17, 2008, 02:03:54 PM »


Na Jaane Kyon Dil Laga Lete Hai Log,
Khud Ko Yun Hi Saza Dete Hai Log,

Jab Kio Paas Ho To Qadar Nahi Karte,
Door Koi Chala Jaaey To Sada Dete Hai Log,

Jab Mil Jaye Safar Mein Naya Humsafar Koi,
Phir Kyon Purani Rafaqat Ko Bhula Dete Hai Log,

Gam Bhi Dete Hai Aur Kehte Hai Bhool Jao,
Hamari Chahat Ka Ye Sila Dete Hai Log...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2846 on: October 17, 2008, 02:07:27 PM »



Yeh To Aaj Tumhri Bewafayi Ne
Tumhare Be-Atnayi Ne,
Mujhe Tanha Kar Diya,
Kirchi Kirchi Kar Diya,
Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun,
Aaj Ki Raat Kategi Kaise,
Kal Ka Din Katega Kaise,
Zindagi Meri Kategi Kaise,
Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun,
Wo Jo Tumhari Baatein,
Wo Jo Tumhare Irade,
Kahan Gaye Wo Waade,
Jo Tum Sab Bhool Chuke Ho,
Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2847 on: October 17, 2008, 02:19:28 PM »
Tu Har Ek Baat Mein Has Deta Hai,
Aur Main Is Soch Mein Pad Jati Hoon,
Ye Teri Sada-O-Masoom Hansi,
Aankh Ki Bhool, Samaat Ka Fasoon,
Teri Aadat, Tera Andaaz Na Ho,
Tere Besakhta Hansne Ki Ada,
Teri Tanhayi Ki Awaz Na Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2848 on: October 18, 2008, 01:30:01 PM »


Lagta Nahi Ab Dil Mera Is Zindagi Se,
Kaash Zindagi Se Chale Jao Ek Pal Ki Tarah,

Wo Yaad Aate Hai Jo Chale Gaye Yahan Se,
Mere Jaane Ke Baad Hamein Bhi Koi Yaad Kare,

Utha Lo Fayda Zindagi Se Phir Haath Nahi Aayegi,
Ye Ek Phool Hai Jo Na Jaane Kab Murjha Jaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2849 on: October 18, 2008, 01:30:12 PM »



Meri Har Ek Ada Mein Chhupi Thi Teri Mohabbat,
Tune Mehsoos Na Ki Ye Aur Baat Hai,

Maine Har Dam Tere Hi Khwab Dekhe,
Mujhe Tabeer Na Mili Ye Aur Baat Hai,

Maine Jab Bhi Tujhse Baat Karna Chahi,
Mujhe Alfaz Na Mile Ye Aur Baat Hai,

Main Teri Mohabbat Ke Samundar Mein Door Tak Nikli,
Mujhe Saahil Na Mila Ye Aur Baat Hai,

Qudrat Ne Likha Tha Tujhko Meri Taqdeer Mein,
Teri Qismat Mein Main Na Thi Ye Aur Baat Hai...
Logged
Pages: 1 ... 186 187 188 189 [190] 191 192 193 194 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 09:33:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.208 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer