Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 273
Print
Author  (Read 132815 times)
angel4u
Guest
«Reply #285 on: February 06, 2007, 08:43:30 PM »

MAIN TUMHARE BINA
Jaise Ye Aasman Chaand Sitaron Ke Bina,
Aur Ye Banjar Zameen Baarishon Ke Bina,
Ye Phool Paudhe Mitti Ke Bina,
Aur Ye Insaan Hawa Paani Ke Bina,
Aisi Hi Hoon Main Tumhare Bina,
Haan Aisi Hi Hoon Main Tumhare Bina,
* * * * *
Logged
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #286 on: February 08, 2007, 02:16:14 PM »
Great collection dear....!!!!!!!!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #287 on: February 08, 2007, 06:31:34 PM »
Thanks Badnaam_shayarrr


Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra
Jale Chirag To Bujhne Laga, Mera Chehra

Woh Tere Hijar Ke Din Woh Safeer Sadiyon Ke
Tu Un Dinoon Mein Kabhi Dekhta Mera Chehra

Judaiyon Ke Safar Mein Rahe Hain Saath Sada
Teri Talash, Zamane, Hawa, Mera Chehra

Mere Siwa Koi Itna Udaas Bhi To Na Tha
Khizaan Ke Chand Ko Achaa Laga Mera Chehra

Kitaab Khol Raha Tha Woh Apne Maazi Ke
WarQ WarQ Pe Bikharta Gaya Mera Chehra

Sehar Ke Noor Se Dhulti Hui Teri Aankhein
Safar Ke Gard Mein Lipta Hua Mera Chehra

Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi?
Badan Ke Shaakh Se Phir Gir Pada Mera Chehra

Jise Bujha Ke Hawa Sogwar Phirti Hai
Woh Shama-E-Shaam-E-Safar Thi Ke Mera Chehra

Yeh Log Kyon Mujhe Pehchante Nahi Mohsin
Main Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera Chehra...
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #288 on: February 08, 2007, 07:11:10 PM »
excellent  work  Angel.........  :lol:   nice post........
Logged
angel4u
Guest
«Reply #289 on: February 10, 2007, 07:57:09 PM »
Thanks re sandh....
tongue3




Khushbu Ki Poshak Pahen Kar
Kaun Gali Mein Aya Hai,
Kaisa Ye Paigam Rasaan Hai,
Kya Kya Khabrein Laya Hai,
Khidki Khulke Bahar Dekho,
Mausammere Dil Ki Baatein
Tumse Kehne Aya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #290 on: February 10, 2007, 07:58:22 PM »

Abhi To Rutt Badalni Thi, Abhi To Phool Khilne The,
Abhi To Raat Dhalni Thi, Abhi To Zakhm Silne The,

Abhi To Sar Zameen-E-Jaan Pe Ek Badal Ko Girna Tha,
Abhi To Wasl Ki Baarish Mein Nange Paanv Phirna Tha,

Abhi To Kisht-E-Gam Mein Ek Khushi Ka Khwab Bona Tha,
Abhi To Senkdon Sochi Hui Baaton Ko Hona Tha,

Abhi To Saahilon Pe Ek Hawa-E-Shad Chalni Thi,
Abhi Jo Chal Rahi Hai Ye To Kuch Din Baad Chalni Thi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #291 on: February 10, 2007, 08:05:14 PM »

Jab Usne Wapisi Ke Raaste Rakhe Hue Hai,
Nazar Mein Humne Bhi Kuch Zawiye Rakhe Hue Hai,

Juda Hone Nahi Dete Hamein Ek Dusre Se,
Hamare Darmiyan Kuch Waaste Rakhe Hue Hai,

Guzar Jab Bhi Tumhara Ho Yahan Se Le Ke Jana,
Tumhare Waste Shikwe Gile Rakhe Hue Hai,

Maza Ab Zindagi Ka Humko Bhi Aane Laga Hai,
Ke Humne Bhi Dostonse Faasle Rakhe Hue Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #292 on: February 10, 2007, 08:10:17 PM »

Kabhi Main Aalam-E-Imkaan Se Guzar Jata Hoon,
Aur Kabhi Jism Ki Daldal Mein Utar Jata Hoon,

Ye Bhara Shaher Kabhi Mujh Mein Simat Ata Hai,
Kabhi Main Sheher Mein Har Gaam Bikhar Jata Hoon,

Sheher Se Rehti Hai Ek Jang Musalsil Din Bhar,
Sheher Jab Haanpne Lagta Hai To Ghar Jaata Hoon,

Is Kashaakash Mein Hi Milta Hai Nishaan Hone Ka,
Jab Bhi Takmeel Ka Ehsaas Ho, Mar Jata Hoon,

Le Udi Roshni Hi Jurrat-E-Beenaayi Meri,
Ab To Main Dinke Ujale Se Bhi Dar Jaata Hoon,

Apne Zarre Se Hi Nazar Ate Hai Tahad-E-Nazar
Ek Zara Sar To Jhukaun To Bikhar Jata Hoon,

Ek Hi Aankh Mein Apni Hi Kahani Dekhun,
Apna Chehra Nazar Ata Hai Jidhar Jata Hoon,

Sheher Sajate Hai Guzrgahein Chamak Utthti Hai,
Apne Hi Khoon Mein Doobun To Sanwar Jata Hoon,

Khulta Hi Nahi Maut Ka Hangaam Hai Kya,
WaQt Ruk Jata Hai Ya Main Hi Theher Jata Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #293 on: February 10, 2007, 08:13:27 PM »

Kisi Bhi Lamhe Koi Dhyan Mein Aa Sakta Hai,
Kisi Ki Baatein Kisika Chehra
Kisika Dheema Dheema Lehja
Koi Bhi Apna Ya Begaana,
Soche Bina, Bas Bedhyani Mein,
Na Danasta
Idhar Udhar Ki Baatein Karte,
Ekdam Dilko Behla Sakta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #294 on: February 10, 2007, 08:15:39 PM »

Mausam Yun Badal Jaate Hai,
Jaise Is Sheher Mein IkhlaaQ Badal Jaate Hai,

Doobte Doobte Ek Roz Doob Jayegi,
Zindagi Shaam Ka Suraj Hai Laut Jayegi,

Sochte Sochte Har Sham Guzar Jati Hai,
Badle Rukhse Hawa Ke Zulf Bikhar Jati Hai,

Kehte Kehte Zaban Pe Baat Theher Jaati Hai,
Shaam Ke Baad Charagon Mein Nazar Aati Hai,

Sehte Sehte Har Ek Zakham Laga Apna Apna,
Umar Bhar Isko Hai Seene Se Lagaye Rakhna,

Dhudnte Dhundte Humko Jo Nazar Ati Hai,
Kabhi Veerano Ke Pehloo Mein Kho Bhi Jaati Hai,

Hote Hote Deewane Pyar Mein Hojaate Hai,
Jahan Ko Bhool Kar Dildaar Mein Kho Jaate Hai,

Jaate Jaate Jahan Deewarein Gira Jaate Hai,
Wahan Wo Pyar Ke Chand Beej Laga Jate Hai,

Bharte Bharte Purane Zakham Bhi Bhar Jaate Hai,
Dekhte Dekhte Khizaan Se Shajer Bhi PoshaQ Badal Jaate

Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #295 on: February 10, 2007, 08:23:24 PM »

Hum Jise Dukh Kehte Hai,
Wo Ek Kaifiyat Hai,
Bhare Majme Mein,
Tanha Reh Kar,
Khud Mein Doob Jane Ki,
Lamhe Ka Waar
Gar Jism Par Ho,
To Fana Hai,
Aur Rooh Mein Utar Jaye
To
Amar Hai!!!

* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #296 on: February 10, 2007, 08:33:05 PM »

Mere Dil Mere Musafir
Hua Phir Se Hukum Saadir
Ke Watan Badar Hoon Hum Tum
Dein Gali Gali Sadayein
Karein Rukh Nagar Nagar Ka
Ke Suraag Koi Paayein
Kisi Yaar-E-Naamaa Ber Ka
Har Ek Ajanabi Se Puchhein,
Jo Pata Tha Apne Ghar Ka

Sar-E-Koy-E-Naashanaayan
Hamein Din Se Raat Karna
Kabhi Is Se Baat Karna
Kabhi Us Se Baat Karna
Tumhein Kya Kahun Ke Kya Hai
Shab-E-Ghum Buri Bala Hai
Hamein Ya Bhi Tha Ghanimat
Jo Koi Shumaar Hota
Hamein Kya Bura Tha Marna
Agar Ek Baar Hota

* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #297 on: February 10, 2007, 08:39:20 PM »

Sunana Chahti Hoon Ek Kahani Apni Aankhon Ki,
Ke Teri Yaad Mein Kaise Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Tumhari Yaad Aankho Mein Liye Jab Bhigti Hoon Main,
Badan To Khushk Rehta Hai Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Ye Do Aankhein Jo Hai Ek Mein Hasi Ek Mein Aansu,
Magar Tanhayi Mein Dono Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Jise Rota Hua Dekha Nahi Karti Thi Ye Aankhein,
Wo Aankhein To Bahut Hai Khush Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,



Ye Meri Aankh Hai Ke Jheel Ka Behta Koi Paani
Khushi Ki Baat Bhi Sun Lu Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Chhupa Rakhi Hai Ek Tasveer Teri Kabse Is Dilne,
Ye Jab Bhi Yaad Karta Hai Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,



Tumhare Naam Ka Kaajal Lagaya Jabse In Aankhone,
Tumhara Naam Bhi Sunkar Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Guzaare The Kabhi Ek Sath Jo Khushiyon Ke Pal Humne,
Wo Lamha Yaad Aata Hai Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Bade Aasan Lafzon Se Khuda Hafiz Kaha Tumne,
Tumhe Malum Bhi To Tha Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Jo Sunta Hai Meri Ye Daastan Wo Mujhse Kehta Hai,
Aye Patthar Teri Kahani Sunke Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,


* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #298 on: February 10, 2007, 08:40:30 PM »

Jo Dil Ne Kahi Lab Pe Kahan Aayi Hai Dekho,
Ab Mehfil-E-Yaaraan Me Bhi Tanhai Hai Dekho,

Phoolonse Hawa Bhi Kabhi Ghabrayi Hai Dekho,
Gunchonse Bhi Shabnam Kabhi Katrayi Hai Dekho,

Ab ZauQ-E-Talab Vajah-E-Junun Thaher Gaya Hai,
Aur Arz-E-Wafa Baa'is-E-Ruswayi Hai Dekho,

Gam Apne Hi Ashkon Ka Kharidaar Hua Hai,
Dil Apni Hi Haalaat Ka Tamashayi Hai Dekho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #299 on: February 10, 2007, 08:44:30 PM »

Dilke Faisle Par Ikraar Hai,
Kisi Ajnabi Se Mujhe Bahut Pyaar Hai,

Aaj Mast Hoon Uske Nash Mein Main,
Roke Koi Hazaar Bekaar Hai,

Khushbu Si Aane Lagi Hai Chaman Se,
Phoolonse Lipta Hua Jo Dildaar Hai,

Har Roz Teri Hi Yaad Ka Sahara Hai,
Har Shaam Tera Hi Intezaar Hai,

Zakham Dil Par Laga Hai Kuch Aisa,
Shafa Kuch Nahi Magar Tera Deedar Hai,

Kisi Kone Se Awaz Do Mujhe Tum,
Ye Majnu Jaan Lutane Ko Taiyar Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 02:37:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer