Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 187 188 189 190 [191] 192 193 194 195 ... 273
Print
Author  (Read 133049 times)
angel4u
Guest
«Reply #2850 on: October 18, 2008, 01:30:30 PM »



Main Tujhse Kuch Nahi Mangti, Bas.....
Kabhi Zindagi Ki Bheed Se Alag Hokar,
Kabhi Apne Kamre Mein Tanha Ro Ke,
Kabhi Baaton Hi Baaton Mein,
Kabhi Bedhyaani Mein,
Kabhi Ek Bekarari Se,
Kabhi Kisi Dilnasheen Lehje Ke Seher Mein,
Kabhi Kisi Sooraj Ko Dubte Dekh Kar,
Kabhi Akele Fursat Mein,
Kabhi Beinteha Masroofiyat Mein,
Kabhi Kisi Khat Ko Padh Kar,
Kabhi Aayine Mein Sanwar Kar,
Kabhi Chaandni Raaton Mein,
Kabhi Bhigti Hui Barsaton Mein,
Kabhi Doston Se Milte Hue,
Kabhi Sahil Pe Chalte Hue,
Kya Tumne Ye Socha,
Ke Kyon Tujhse Wabasta Har Yaad Ko Main Aise Sambhalti Hoon,
Jaise Apni Koi Sab Se Qeemti Chiz Ko Zamane Se Chhupa Kar Rakhe,
Taake Dilko Kabhi Un Yaadonse Gaafil Na Hone Dein,
Kabhi Kabhi Tum Sochte Honge,
Ke Kitni Pagal Ladki Hai,
Jo Mere Likhe Har Khat Ko Raaton Ko Uth Uth Kar Padhti Hai,
Jo Mujhse Suni Har Baat Ek Muqaddas Nishani Ki Tarah Mehfooz Rakhti Hai,
Jo Har Us Din Ka Hisab Rakhti Hai Jab Wo Meri Awaz Sunti Hai,
Jo Har Us Lamhe Ko Zindagi Maanti Hai Jab Main Uske Paas Hota Hoon,
Jiske Saare Raste Meri Hi Manzil Ki Taraf Khatam Hote Hai,
Jiske Liye Zindagi Mere Hi Naam Mein Pewast Hokar Reh Gayi Hai,
Jo Meri Pasand Ko Aise Apnaati Hai Jaise Usne Hamesha Se Woh Chiz Chahi Ho,
Jiska Wajood Har Lamha Dua Karta Hai Meri Khushi Ke Liye,
Lekin In Sab Baaton Ke Bawajood
Main Tujhse Kuch Nahi Maangti,
Na Meri Wafaon Ka Sila
Na Mere Likhi Kisi Bhi Khat Ka Jawab,
Na Meri Mohabbat Pe Yaqeen,
Na Mere Kisi Bhi Pal Ka Hisaab,
Bas Chaho To Itna Karna,
Meri Tarah Bahtu Hi Bekarar Hoke,
Mujhe Apne Dil Ke Wo Saare Ehsaasaat Likh Dena,
Jo Tum Mere Liye Mehsoos Karte Ho,
Jo Sirf Mere Liye Hai,
Sirf Mere Liye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2851 on: October 18, 2008, 01:30:47 PM »



Woh Ek Samundar Komal Ladki,
Mujhko Bahtu Chahti Hai,
Pyaar Ki Meehte Meethe Nagme,
Mujhko Roz Sunati Thi,
Likh Kar Kaagaz Par Naam Mera,
Wo Seene Se Lagati Thi,
Wo Ek Samundar Komal Ladki,
Mujhko Bahut Chahti Thi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2852 on: October 18, 2008, 01:31:01 PM »


Zindagi Mein Meri Ye Ajab Mod Hai Aaya,
Wo Shakhs Bhi Kho Gaya Jise Tha Muddaton Mein Paaya,

Uska Masoom Sa Chehra Meri Nigahon Ko Bhaya,
Is Pasandgi Ne To Ishq Ka Hai Rog Lagwaya,

Kabhi Jo Hasne Hasane Ki Baat Karta Tha Mujhse,
Aaj Uski Naarazgi Ne Mujhe Betahasha Rulaya,

Wo Na Maana To Pal Mein Bikhar Jaungi Main,
Dil Hota Hai Wo Ghar Jo Ujda To Kisine Na Basaya,

Uski Udaasi Par Dilko Na Kyon Udaas Karun,
Jee Ne Mere Bhi To Hai Use Shiddat Se Chaha,

Is Qadar Aadat Ho Gayi Hai Mujhe Uski,
Kaano Mein Aahat Aati Hai, Nazar Aata Hai Deewar Par Saaya,

Khayalon Mein Tazaad Baato Mein Kafgi Agayi Hai,
Dar Lagta Hai Mann Ko Kahin Wo Ho Na Jaye Paraya,

Saamne Lab Uske Khamosh Ho Jate Hai Mere,
Warna Tasavvur Mein Tha Maine Use Khoob Manaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2853 on: October 18, 2008, 01:31:21 PM »



Ye Raat Khushnaseeb Hai,
Jo Tere Aane Ki Tarah Hai,
Apna Tujhe Banane Ki
Kuch Aisi Hi Ummid Hai,

Tujhe Kuch Batane Ki Ek Tadap Hai,
Ke Idhar Khushiyon Ki Baarat Hai,

Ye Raat Khushnaseeb Hai,
Ke Mere Yaar Ki Amad Hai,
Ye Kaisa Alam Hai,
Ke Uske Aane Se Pehle,
Uske Kadmon Ki Aahat Hai,

Ye Raat Khushnaseeb Hai,
Bas Yehi Labon Pe Geet Hai,
Ke Ye Raat Khushnaseeb Hai,

Jo Hue Darwaze Pe Dastak,
To Hone Lagi Tez Dilki Dhak Dhak,
Dil Ki Hui Ajab Halat,
Bekarari Ye Ajeeb Hai,

Jo Ghataye Humne Ye Fasle,
To Ladkhadaye Ye Kadam,
Ye Halat Kuch Ajeeb Hai,
Ye Raat Khushnaseeb Hai,

Jo Khola Yun Darwaza,
To Mila Ye Begham,
Ye Raat Badnaseeb Hai,
Ye Raat Badnaseeb Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2854 on: October 18, 2008, 01:31:36 PM »

Dekhiye Dilke Mazafaat Mein Rakhiye Humko,
Gahe Gahe To Mulakat Mein Rakhiye Humko,

Raas Aati Hai Yehi Suratein Haal Hamein,
Bas Isi Suratein Haal Mein Rakhiye Humko,

Hum Faqeeron Se Munasib Nahi Ye Khuwe Garaiz,
Kaam Aayenge Kabhi!Haath Mein Rakhiye Humko...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2855 on: October 18, 2008, 01:32:07 PM »


Chalo Hum Maan Lete Hai Ke Waqt-E-Judayi Hai,
Magar Ye Bhi To Mumkin Hai Ke Ye Waqtii Judai Ho,
Ta'aluq Tark Kar Dena Tumhe Aasan Lagta Hai,
Magar Mumkin Hai Yun Na Ho,
Nahi Manzilki Jaanib Ye Safar Aasan Sahi Lekin,
Jise Ab Chahte Ho Wo Kareeb-E-Jaan Sahi Lekin,
Bhula Sakte Ho Wo Lamhe Jinhe Tum Zeest Ka Haasil Samajhte The?
Ke Mere Lums Ko Wajah-E-Sukoon E-Dil Samajhte The,
Meri Tasveer Ko Locket Me Rakh Kar Dilki Har Dhadkan Sunate The,
Mere Khat Chhup Ke Padhte Aur Padh Kar Muskurate The,
Kya Wo Sab Jhuth Tha?
Hargiz Nahi. Dilko Ab Bhi Yakin Hai Ke
Tum Laut Aaoge...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2856 on: October 18, 2008, 01:33:32 PM »



Aaj Ki Shab To Kisi Tarah Guzar Jayegi,
Raat Gehri Hai Magar Chand Chamakta Hai Abhi,
Mere Maathe Par Tera Pyar Damakta Hai Abhi,
Meri Saanso Me Teri Khushbu Mehakti Hai Abhi,
Mere Seene Me Tera Naam Dhadakta Hai Abhi
Haasil Karne Ko Mere Paas Bahut Kuch Hai Abhi...

Teri Awaz Ka Jaadu Hai Abhi Mere Liye,
Tere Hothonki Khushbu Hai Abhi Mere Liye,
Teri Baahein Tera Pehloo Hai Abhi Mere Liye,
Sab Se Badh Kar Meri Jaan Tu Hai Abhi Mere Liye,
Haasil Karne Ko Mere Paas Bahut Kuch Hai Abhi...

Aaj Ki Shab To Kisi Tarah Guzar Jayegi
Aaj Ke Baad Magar Rang-E-Wafa Kya Hoga,
Ishq Hairan Hai Ke Sar Saher Saba Kya Hoga,
Mere Qaatil Tera Andaz-E-Jafa Kya Hoga...

Dekhna Ye Hai Ke Kal Tujhse Mulakat Ke Baad
Rang-E-Ummid Khilega Ke Bikhar Jayega,
Waqt Parwaz Karega Ke Thaher Jayega,
Jeet Ho Jayegi Ya Khel Bigad Jayega,
Khwaab Ka Shaher Rahega Ke Ujad Jayega...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2857 on: October 18, 2008, 01:46:54 PM »


Suno Aisa Nahi Karte
Safar Tanha Nahi Karte
Jinhe Shafaf Rakhna Ho,
Unhe Mila Nahi Karte,
Safar Jinka Mukarrar Ho,
Unhe Roka Nahi Karte,
Bahut Ujdi Hui Gher Mein,
Bahut Roya Nahi Karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2858 on: October 18, 2008, 01:55:04 PM »



Kuchh Zyada Nahi Maanga Tha Maine Zindagi Se Lekin,
Zindagi Hamesha Mujhse Zyada Hi Maangti Rahi...

Taseer Hi Ulti Hai Ikhlaas Ki Umrat Ki,
Hum Jisko Pilate Hai Wo Zeher Ugalta Hai...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #2859 on: October 18, 2008, 09:28:22 PM »
Bohot khoob angel ji zabardast!

sabhi ash'ar behad umda hein, beshqimti zakhira he, YO ke liye tohfa he.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2860 on: October 19, 2008, 05:35:59 AM »
Bahut shukriya Sayyid ji. aap hamare ashaar itne regularly padhte ho yehi bahut hai hamare liye...
Logged
amarhellboy
Guest
«Reply #2861 on: October 20, 2008, 07:57:10 AM »
bahut khoob kalaam hai amar ji...

sahi kaha aapne, hamesha hamare mann mein bhi yehi khayal rehta hai ke kisiko aisa gam na mile jisse hum guzre hia. par sach kahun to jahan pyaar hota hai wahan gam hota hi hia, agar kisiki bewafayi se dard hota hai uska matlab usse beintehaan pyaar hai. warna kyon dard hoga hia na? bas yehi soch lete hai ke shayad lakeeron ki raah hi kuch aur hia aur jisse pyaar karte hia wo kisi aur ke saath khush hai isliye usne hamare saath bewafayi ki. uski khushi shayad hamare gam se zyada maayne rakhti hai right? yehi soch lein to zindagi jeena thoda aasan ho jaye.
apne kha to thik hai magar janha pyar hota hai wanha dard to hoga hi or bina dard ke pyar ka maza bhi kanha milta hai apna dard apni mohabbat batata hai ki hum usse kitana pyar karte hai magar mai puchana chahunga ki usse iss dard ka pata nhi chalata. kya usse mera dil toute time bewafai karte time jara bhi mera ya mujhe jo dard ho raha hai usska jaraa sa bhi khayaal nhi aaya houga. mere armaano ko jab usne kuchalla to use dard nhi hua houga ek baar bhi meri wafaa ka khayal nhi aaya hoga. wo jaanti thi ki uske aisa karne per mai tutt k bikhar jaaunga. fir bhi use dar nhi laga. usse is baat ka khayal bhi nhi aaya ki kissi ka dil dukhane ka huk to khuda ko bhi nhi hota. or dil dukhane se bada jurm koi nhi hota. jab dil toudna hi tha to lagaya kyu tha,jab mujhe barbaad karne hi tha to apna banaya hi kyu tha. mai use pyar karne k liye majbur to nhi kiya tha na. sorry yaar mai thouda jada boul gaya. per kya karu yaar raha nhi jaata ab ye baat kisiko bata bhi to nhi sakte. mai ye baat pehli baar kisi se keh raha hu. kisi or se karunga to wo yehi kahega ki usee bhul ja usse pyar karna choud de. magar mai jaanana chahata hu ki maine usse koi shart to nhi rakhi thi na ki mai jitna pyer usse karta hu utna hi wo mujh se kare. bewafaai to ussne ki hai na mai to pyar kiya tha na magar mai souch bhi nhi sakta ths ki koi mere sath aisa karega. maine to aaj tak kisi ka dil nhi dukhaya to fir mere sath aisa kyu hua khuda se bas issi baat ki shikayat hai kher koi baat nhi mai sirf in jaise logo se bas yehi kehna chahunga ki//////////////////////////////////
  Bina dard ke "Aansu" bhaye nhi jaate
   Bina pyar ke "Riste" nibhaye nhi jaate
    Zindagi me ek baat "Yaad" rakhana
     Kisi ko "Rulla" ke apne "Sapane" Sajaye nhi jaate.

bataiyega aapko ye kaisa laga.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2862 on: October 21, 2008, 02:20:59 AM »
Hmmm bahut khoob lines likhi hia aapne.

haan shayad use dard nahi hoga, par jaise aapne kaha pyaar mein shart nahi hoti, to ye bhi shart nahi hoti ke jitna hamein dard ho utna use bhi ho, usko itna dard hota to aapki taklif aur badhti hi, haan chaliye maan liya ke use ye sochna chaiye tha, par socha hota to bewafa hota hi nahi. right? aur life aisi hi hia, jise chaho wo door hi hota hia hamesha. aur isi se chahat shayad zyada badhti jaati hia.
Logged
amarhellboy
Guest
«Reply #2863 on: October 23, 2008, 10:35:38 AM »
Hmmm bahut khoob lines likhi hia aapne.

haan shayad use dard nahi hoga, par jaise aapne kaha pyaar mein shart nahi hoti, to ye bhi shart nahi hoti ke jitna hamein dard ho utna use bhi ho, usko itna dard hota to aapki taklif aur badhti hi, haan chaliye maan liya ke use ye sochna chaiye tha, par socha hota to bewafa hota hi nahi. right? aur life aisi hi hia, jise chaho wo door hi hota hia hamesha. aur isi se chahat shayad zyada badhti jaati hia.
AAPNE KHA TO THIK HAI KI ISSE CHAHAT OR BAD JAATI MAGAR YAAR CHAHAT SE TO JAYADA TAKLIF HOUTI HAI AISA LAGATA HAI KI AB DUNIYA MAI APNA KOI NHI EASI JINDAGI JINE KA KYA MATLAB PAR JINA TO PADEGA HI KYUNKI HUM MARGAYE TO HUMARI MOHABBAT BHI MAR JAAYEGI. YEH SOUCH KAR JINDA HAI WARNA KAB KA DUNIYA CHOUD CHUKE HOTE. MUJASE TO BEWAFAI KA GAM SAHAN NHI HOTA HAR PAL HAR GHADI USSKA HI KHAYAL DIL O DIMAAG PAR REHTA HAI.KYA KARU MAI BHUL HI NHI PAA RAHAHU DIL KA DARD DIL SE HOUKAR AANKHO TAK AA GAYA HAI AGAR AAPKE PAAS KOI SUJHAW HO TO MUJHE BATANA PLZ
   MAYUSH HOKAR BAITHE HAI AAJ
    JAHAR BEWAFAI KA PIYA JAATA NHI
   WAFAA KYU NA MILLI HUME
    KHUDA BHI HUME KUCH BATATA NHI.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2864 on: October 24, 2008, 03:26:41 PM »
hmmmm..
dilka dard bhul pana waise to mushkil hota hia, par wahin dekhna padta hia ke uski khushi hamare liye zyada maayne rakhti hai ya hamara gam. choice is ours entirely. bewafa karke bhi wo khush rehta hai to uske liye phir bhi dilse dua nikalti hai. be positive in life always...
Logged
Pages: 1 ... 187 188 189 190 [191] 192 193 194 195 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 06:59:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer