Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 188 189 190 191 [192] 193 194 195 196 ... 273
Print
Author  (Read 131537 times)
angel4u
Guest
«Reply #2865 on: October 24, 2008, 03:27:28 PM »



Khwabonse Banjar Benoor Aankhein,
Har Shaam Naye Manzar Chhayein,
Bechain Badan, Pyaasi Raahein,
Har Aan Naye Paikkar Chahein

Tadapta Hai Lahoo
Andekhe Sapno Ki Khatir
Jane Anjane Raaston Par
Kuch Naqsh Banana Chahta Hai,
Banjar Paamaal Zamino Mein,
Kuch Phool Khilana Chahta Hai,

Yun Naksh Kahan Ban Paate Hai,
Yun Phool Kahan Khilne Wale Hai,
Yun Zakhmon Se Chhalni Roohon Ke
Yun Chaak Kahan Silne Wale...

Tadapte Lahoo Ko Behne Ke Adab Sikhane Padte Hai
Tab Mitti Mauj Me Aati Hai,
Tab Khwab Ke Mayne Bante Hai
Tab Khushbu Rang Dikhati Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2866 on: October 24, 2008, 03:28:47 PM »



Bahut Dino Ki Baat Hai...

Bahut Dino Ki Baat Hai,
Faza Ko Yaad Bhi Nahi
Ye Baat Aaj Ki Nahi
Bahut Dino Ki Baat Hai

Shabab Par Bahar The
Faza Be Khushgawar The,
Na Jane Kyon Machal Pada
Main Apen Ghar Se Chal Pada,

Kisine Mujhko Rok Kar
Bade Ada Se Tok Kar
Kaha Tha Laut Aayi
Meri Kasam Na Jaiye

Par Mujhe Khabar Na Thi
Mohalle Par Nazar Na Thi
Shaher Se Phir Ke Agaya,
Khayal Tha Ke Wo Gaya
Wo Jo Mujhse Dur The
Par Mere Zaroor The,

Gale Ka Rang Dekh Kar
Nayi Tarang Dekh Kar
Mujhe Badi Khushi Hui
Main Kuch Apni Khushi Me Tha..

Kisine Jhaank Kar Kaha,
Paraye Ghar Se Jaiye
Meri Kasam Na Aaiye

Wohi Surmayi Shaam Hai
Bahaar Jiska Naam Hai
Na Jane Jaoge Kidhar
Koi Nahi Jo Rok Kar,
Koi Nahi Jo Tok Kar,
Kahe Ke Laut Aaye,
Meri Kasam Na Jaiye...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2867 on: October 24, 2008, 03:29:11 PM »


Jab Yunhi Kabhi Baithe Baithe Kuch Yaad Achanak Aa Jaye,
Har Baat Se Dil Bezaar Sa Ho, Har Chiz Se Dil Ghabra Jaye,
Karna Bhi Mujhe Kuch Aur Hi Ho, Kuch Aur Hi Mujhse Ho Jaye,
Kuch Aur Hi Sochun Main Dil Mein, Kuch Aur Hi Honthon Par Aa Jaye,
Aise Hi Kisi Ek Lamhe Mein, Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Chanak Khil Jayein, Kuch Beete Lamhein Yaad Aayein,
Tab Yaad Tumhari Aati Hai.....

Jab Chandni Dilke Aangan Mein, Kuch Kehne Mujhse Aa Jaye,
Ek Khwabeeda Se Chote Koi, Ehsaas Pe Mere Chha Jaye,
Jab Zulf Pareshaan Chehre Par Kuch Aur Pareshan Ho Jaye,
Kuch Dard Bhi Dil Mein Hone Laga, Aur Saans Bhi Bojhal Ho Jaye,
Aise Hi Kisi Ek Lamhe Mein, Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete Lamhein Yaad Aayein
Tab Yaad Tumhari Aati Hai.....

Jab Shaam Dhale Chalte Chalte, Manzil Ka Na Koi Naam Mile,
Ek Hansta Hua Aagaz Mile, Ek Rota Hua Anjaam Mile,
Palkon Ke Larazte Ashkon Se, Is Dilko Koi Paigaam Mile,
Aur Saari Wafaon Ke Badle, Mujhko Hi Koi Ilzaam Mile,
Aise Hi Kisi Ek Lamhe Mein, Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete Lamhein Yaad Aayein,
Tab Yaad Tumhari Aati Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2868 on: October 24, 2008, 03:29:57 PM »


Yakeen Ki Aakhri Had Tak, Yakeen Hai Aur Daawa Bhi,
Ke Rukhsat Kar Ke Bhi Aksar
Nazar Ki Aakhri Had Tak Mujhe To Dekhta Hoga,
Magar Itne Yakeen Ke Baad Bhi Maine
Kabhi Mud Kar Nahi Dekha,
Bas Ek Gehra Sa Dar Hai
Kahin Aisa Na Ho Jaye
Palat Kar Main Use Dekhun
To Wapis Ja Chuka Ho Wo...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2869 on: October 24, 2008, 03:30:35 PM »


Wo Mujhe Bhool Jana Chahta Hai,
Wo Mujhse Door Bahut Door Jana Chahta Hai...

Bas Kuch Rasmein Hai,
Jo Wo Nibha Kar Jana Chahta Hai,
Bas Kuch Wade Hai
Jo Wo Tod Kar Jaana Chahta Hai

Mere Dil Me Kuch Mithi Yaadein Hai
Kuch Gaye Wakton Ki Baatein Hai
Wo In Sab Baaton Ko In Yaadon Ko
Mere Zehen Se Mita Kar Jaana Chahta Hai,

Wo Jo Usne Ek Ek Eint Jod Kar
Pyar Bhara Ghar Banaya Tha Mera
Wo Use Mujhse Cheen Kar
Kisi Aur Ke Hawale Kar Ke Jaana Chahta Hai,

Wo Jo Chahta Tha Wo Rahe Sirf Mera Bankar,
Wohi Mera Deewana Mujhe Chhod Kar Jana Chahta Hai,

Wo Mujhse Door Bahut Door Jaana Chahta Hai
Wo Mujhe Bilkul Bhool Jana Chahta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2870 on: October 24, 2008, 03:30:57 PM »



Jab Raat Ki Naagin Dasti Hai,
Nas Nas Mein Zeher Utarta Hai,
Jab Chaand Ki Kirne Tezi Se
Is Dilko Cheer Ke Aati Hai,
Jab Aankh Ke Andar Hi Aansu
Zanjeeron Me Bandh Jaate Hai
Sab Jazbo Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Jab Dard Ki Jhanjhar Bajti Hai,
Jab Raqs Gamonka Hota Hai
Khwabin Ki Taal Pe Saare Dukh
Wehshat Ke Saaz Bajate Hai
Gaate Hai Khwahish Ki Lay Mein,
Masti Me Jhumte Jaate Hai,
Sab Jazbon Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2871 on: October 24, 2008, 03:31:29 PM »



Ye Aur Baat Hai Ke Unhe Fursat Hi Nahi
Aye Mere Dil Yun Na Toot Jaya Kar

Kyon Taraste Ho Unke Liye
Unki Nazron Me Teri Koi Aukaat Hi Nahi,

Anjaane Me Labon Pe Aa Gayi Ye Baat
Warna To Hamein Shikwon Ki Aadat Hi Nahi

Umr Guzar Di Teri Chahat Me Is Tarah,
Jaise Badh Ke Tujhse Koi Ibaadat Hi Nahi,

Ab Ban Ke Nadaan Baithe Hai Wo Yun,
Dil Tod Dena Jaise Kio Baat Hi Nahi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2872 on: October 27, 2008, 02:46:35 AM »

Tere Hothon Ke Phoolon Ki Chahat Mein HuM,
Daar Ki Khushk Tehni Pe Vaare Gaye,
Tere Haathon Ki ShaMMon Ki Hasrat Mein HuM,
NeeM Tarik Raahon Mein Maare Gaye,

Suliyon Par HaMare Labonse Pare,
Tere Honthon Ki Laali Lapakti Rahe,
Teri Zulfon Ki Masti Barasti Rahi,
Tere Haathon Ki Chand Si DaMakti Rahi,

Jab Khuli Teri Raahon Mein ShaaM-E-SitaM,
HuM Chale Aaye, Laaye Jahan Tak QadaM,
Lab Pe Harf-E-Gazal, Dil Mein Qandil-E-GaM,
Apna GaM Tha Gawahi Tere Husn Ki,
Dekh QaayaM Rahe Us Gawahi Par HuM,
HuM Jo Taarik Raahon Mein Maare Gaye,

Na Rasaa'ii Agar Apni Takdeer Thi,
Teri Ulfat To Apni Hi Tadbeer Thi,
Kisko Shikwa Hai Gar Shauq Ke Silsile,
Hijr Ki Qatl-Gaahon Se Sab Jaa Mile,

Qatl-Gaahon Se Chun Kar HaMare IlM,
Aur Niklenge Ushshaaq Ke Qaafile,

Jinki Raah-E-Talab Se HaMare QataM,
Mukhtasar Kar Chale Dard Ke Faasile,
Kar Chale Jin Ki Khatir Jahangir HuM,
Jaan Ganwa Kar Teri Dilbari Ka BharaM,
HuM Jo Taarik Raahon Mein Maare Gaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2873 on: October 27, 2008, 02:46:52 AM »



Aisi Hi Sard ShaaM Thi Wo Bhi,
Jab Wo Mehendi Rachaye Haathon Mein,
Apni Aahat Ke Khauf Se Larazaan,
Surkh Aanchal Mein Muh Chhipaye Hue,
Apne Khat Mujhse Lene Aayi Thi,
Uski SehMi Hui Nigahon Mein,
Kitni KhaMosh Iltijayein Thi,
Uske Chehre Ki Zard Rangat Mein,
Kitni Majburiyonke Saye The,
Mere Hathonse Khat Pakadate Hi,
Jane Kay Soch Kar Achanak Wo,
Mera Shaana Pakad Kar Royi Thi,
Uske Yaaquut Rang Honthon Ke,
Kapkapaate Hue Kinaro Par,
Sekdon Ankahe Fasane The,
Sard ShaaMon Mein Der Tak Aksar,
Jab Ye Manzar Dikhayi Deta Hai,
Ek LaMha Heenayi Haathon Se,
Mujhko Apni Taraf Bulata Hai,
HuMnashin Ruth Kar Na Ja Mujhse,
Aisi Hi Sard ShaaM Thi Wo Bhi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2874 on: October 27, 2008, 02:48:27 AM »



Kya Kahoon Ab Koi Bhi Achha Nahi Lagta Mujhe,
Tu Bhi Pehle Ki Tarah Apna Nahi Lagta Mujhe,

Ab Teri Baatein Mere Dil Mein Utarti Hi Nahi,
Tu Wo Hi Hai Par Tera Lehja Nahi Lagta Mujhe,

Tu To Ab Aadhe Badanse Sath Chalta Hai Mere,
Tere Shaano Par Tera Chehra Nai Lagta Mujhe,

Tu Kabhi TaqseeM Karta Tha Hawayein Chaar Soo,
Ab Tere Bhi Paas Ek Jhonka Nahi Lagta Mujhe,

Ab Lifafe Se Teri Khushbu Nahi Aati Mujhe,
Khat Bhi Tere Hath Ka Likha Nahi Lagta Mujhe...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2875 on: October 31, 2008, 02:52:45 AM »



Sawan Bhadon Ke Saath (60)Hi Din Hai, Phir Wo Rut Ki Baat Kahan,
Apne Ashq Musalsal Barse Apni Si Barsaat Kahan,

Chandne Kya Kya Manzil Kar Li, Nikla, ChaMka, Doob Gaya,
HuM Jo Aankh Jhapak Le So Le, Aye Dil HuMko Raat Kahan,

Peet Ka Karobaar Bahut Hai, Ab Tu Aur Bhi Phail Chala,
Aur Jo KaaM Jahan Ke Dekhein, Fursat Dein Halaat Kahan,

Qais Ka NaaM Suna Hi Hoga, HuMse Bhi Mulakat Karo,
Ishq-E-Junoonki Manzil Mushkil, Sabki Aukaat Kahan...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2876 on: October 31, 2008, 02:53:04 AM »



AMar Kar Lo Wo Sab LaMhe,
Jo Hune Yun Guzare Hai,
Saher Kar Lo Wo Sab Raatein,
Jahan Apni Hi Duniya Thi,
Jahan Saansein Bhi Apni Thi,
Jahan Sapne Bhi Apne The,
Safar Kar Lo Wo Sab Raste,
Jahan Kuch Bhi Wafayein Hai,
Jahan Khushbu Hai Pyaron Ki,
Jahan Yaadein Hai Yaaron Ki,
Fikr Kar Lo Zara Ek Pal
Ke TuMne Kisko Khoya Hai,
Use TuM TuM Dhund Paoge
Kabhi Phir Dekh Paoge
Thaher Jao Jahan Ho TuM,
Ke Us Din TuM Adhure Ho,
Kabhi Phir Mil Na Paoge,
Use Dhundoge Yaadon Mein,
Use Is Pal Bula Lo TuM,
Ke Ye LaMhe TuMhare Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2877 on: October 31, 2008, 02:53:34 AM »



Itne Gehre The Meri Jaan Rawabit TuM Se
Todne Chahe Jo HuMne To BaMushkil Toote
Jo ZaMane Ki Nigahon Se Chhupa Rakhe The
Waqt-E-Aakhir Woh Taa'luq Sar-E-Mehfil Toote

Sar Kiye Maa'rka-E-Zeest Badi HiMMat Se
Daagh DaaMan Pe Kisi Baat Pe Aane Na Diya
Tujh Se Izhaar-E-Mohabbat Bhi Magar Kar Na Sake
Hosle Mere Faqat Tere Muqaabil Toote

Husn Phoolon Ka Hi Banta He Tabaahi Ka Sabab Dosto
Khaar-E-Mugheelaan Nahi Nouche Jate
Aap Tareekh-E-Gulistaan Utha Kar Dekhein
Is Mein Bus Shaakh Se Gul Deed Ke Qabil Toote

Mere Paikar Mein Nazakat Hai Gulonki Aur
Main Qaid Hoon Aahani Zanjeer Mein Ek Muddat Se
AzM-E-Parwaaz Mein Phir Bhi Hai Hararat Itni
Arsh Chhoo Loonga Agar Band-E- Salasil Toote

Koh-E-GhuM Teri Mohabbat Ka Gira Hai Mujh Par
Sangraizon Men Badal Jana Mera Wajib Hai
Mit Gaye Hote Jo Yaklakht To Achha Hota
Yeh QayaMat Hay Ke HuM Toote Pa Til Til Toote

Dast Basta Ya Husaini Ki Duaa Hai Ya Rab
UMr Bhar Ashk Bahane Ko Na Zindaa Rakhna
Bhej Dena Tu Mere NaaM Pay PaighaaM-E-Ajal
Isse Pehle Ke Mohabbat Mein Mera Dil Toote

Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #2878 on: October 31, 2008, 03:22:13 AM »
Angel ji,

Aapki colection zabardast hein.kaash samay thoda dayaalu ho jaaye to ek baar 193 paane shuru se padhna chahunga-gungunaate huey....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2879 on: October 31, 2008, 03:53:18 AM »
Nice collection Angel
Logged
Pages: 1 ... 188 189 190 191 [192] 193 194 195 196 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 08:23:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.21 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer