Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 190 191 192 193 [194] 195 196 197 198 ... 273
Print
Author  (Read 133041 times)
angel4u
Guest
«Reply #2895 on: November 08, 2008, 02:10:06 PM »
Hyre...aisi kismat kahaan Meri ki Tere Narm Narm Hath Mere Galo ko chhooe !!!

waise ye valantine day tereko abhi se khyuN yaad aaya??
tell tell

huh
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2896 on: November 08, 2008, 02:10:53 PM »
Badhiya sharing Huzee.
Kuch Naya Hi andaaz...andaaz e bayaa e Gam..

aur

Yaar abhi November chal raha hai,,december To aan'e de
Miluga Unse To Jaroor Ye Kahunga



advance mein keh dena Laughing hard
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2897 on: November 08, 2008, 02:11:10 PM »

Kya Ye Bhi Zindagi Hai Ke Raahat Kabhi Na Ho,
Aisi Bhi To Kisise Mohabbat Kabhi Na Ho,

Waada Zaroor Karte Hai Aate Nahi Kabhi,
Phir Ye Bhi Chahte Hai Shikayat Kabhi Na Ho,

ShaaM-E-Visaal Bhi Ye Tagaaful Ye Berukhi,
Teri Raza Hai Mujhko Masarrat Kabhi Na Ho,

Ahabaab Ne Diye Hai Mujhe Kis Tarah Fareb,
Mujhsa Bhi Koi Sada Tabiyat Kabhi Na Ho,

Lab To Ye Keh Rahe Hai Ke Uth, Badh Ke ChuM Le,
Aankhon Ka Ye Ishara Ke Jurrat Kabhi Na Ho,

Dil Chahta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din,
Mujhko To Tere Khayal Se Fursat Kabhi Na Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2898 on: November 08, 2008, 02:11:29 PM »



Aankhein, Qisse, Main Aur TuM,
Baatein, Taane, Main Aur TuM,

Yaadein Teri Pyaari Yaadein,
Rahein Manzil Main Aur TuM,

Saari Mehfil Ek Taraf,
Apni Aankhein Main Aur TuM,

Tere Hathon Par Mehandi Se,
Kaise Likha Tha Main Aur TuM,

TuMne Bhi To Socha Hoga,
Achhe Bachhe Main Aur TuM,

Achha! TuM Bhi Bhul Gayi Ho,
Yaad Dilaun? Main Aur TuM?

Apna Bachpan Kaise Bhoolun,
Tooti Gudiya Main Aur TuM,

Chandni Raat Ke Hote Main,
Kaise Sote Main Aur TuM,

Pehli Baarish Yaad Hai TuMko,
Mitti, Paani, Main Aur TuM,

Khelte Rehna Kudte Rehna,
Tanha Tanha Main Aur TuM...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2899 on: November 08, 2008, 02:11:46 PM »
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi,
Naye Afkar Mehkenge,
Kahin Halchal Nai Hogi,
Safar Ki Dastano Mein,
Tafaqur Ke ZaMano Mein,
Yehi Dilko GuMan Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi,

Had-E-IMkaan Se Aage,
Bahut Se Raaste Honge,
Bade Dilkash Jazeeron Se,
Nazar Ke Faasle Hoge,
Uffaq Ke Paar Jana Ho,
Dhanak Ka Raaz Pana Ho,
To Phir Jazba Jawan Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi,

Kabhi Taseer Jab Hogi,
Kisi Mokhlis Ki Baaton Mein,
Wafa Ki Dastan Lab Par,
Sunehri Chand Raton Mein,
Ghata Ghanghor Chayegi,
Fiza NagMe Lutayegi,
Teeqan Ka SaMan Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Fareb Zindagi Se HuM
Abhi To Bahel Jayenge,
Nazar Mein Aarzu Ke,
Haseen Sapne Sajayenge,
Pahuch Kar Manzilon Par Jab,
Nayi Manzil Pukaregi,
To Phir Khud Par Ayyan Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Wafa Ke Raazdano Ko
Yunhi Din Raat Chalna Hai,
Jahan Ki Thokar Main Bhi,
HaMein Girkar SaMbhalna Hai,
Mukaddar Phir Sawarengi
Kathin Raahein Pukarengi
Sankhor Karwan Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Magar Safaq LaMhon Mein,
Agar Ek Saans Ruk Jaye,
Dil Betaab Chupke Se
Nazar Ke Sath Jhuk Jaye,
Fiza Bhi Ruth Jaye To,
Ye DaMan Chhoot Jaye To,
Koi Noha Kana Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2900 on: November 08, 2008, 02:12:02 PM »


Uski Mohabbat Ne,
Mujhe Yun MukaMMal Kar Diya Hai,
Ke Jaise Chaudhween Ki Raat Mein,
Chandni Ke Sath Se,
Adhoore Chand Ko Mil Jata Hai,
MukaMMal Chehra,
Husn Poora!!!

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2901 on: November 08, 2008, 02:12:29 PM »


Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jane Mere
Tu Kahan Hai Magar Aye Dost Purane Mere

Tu Bhi Khushboo Hai Magar Mera Tujusus Bekar
Burg-E-Awara Ki Maninth Dikhane Mere

ShaMa Ki Lau Thi Ke Wo Tu Tha Magar Hijr Ki Raat
Der Tak Rota Raha Koi Sirhane Mere

Khalq Ki Bekhabari Hai Ke Meri Ruswayi
Looq Mujhko Hi Sunate Hain Fasane Mere

Lut Ke Bhi Khush Hoon Keh Ashkon Se Bhara Hai DaaMan
Dekh Gharat Gare Dil Yeh Bhi Khazane Mere

Aaj Ik Aur Baras Beeth Gaya Us Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote The ZaMane Mere,

Kaash Tu Bhi Meri Aawaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sada Ne Mere

Kaash Tu Bhi Kabhi Aajaye Masiha'ee Ko
Log Aate Hain Bahut Dil Ko Dukhane Mere

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri, Aaj Khuda Ne Mere

Tu Hai Kis Haal Mein Aye Zood-FaraMosh Mere
Mujh Ko Tu Cheen Liya Aihed-E Wafa Ne Mere

Chara-Gar Yoon Tu Bohut Hain Magr Aye Jaan-E-Faraz
Juz Tere Aur Koi ZakhaM Na Jane Mere
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2902 on: November 08, 2008, 02:14:18 PM »
NazM Uljhi Hui Hai Seene Mein,
Misare Atke Hue Hai Hothon Par,
Udte Phirte Hai Titliyon Ki Tarah,
Lafz Kagaz Pe Baithte Hi Nahi,
Kabse Baitha Hoon Main JaanaM,
Saade Kagaz Pe Likhke NaaM Tera,

Bas Tera NaaM Hi MukaMMal Hai,
Isse Behtar Bhi NazaM Kya Hogi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2903 on: November 08, 2008, 02:14:54 PM »

Ye Waada Hai Mera TuMse,
Kabhi Wapas Na Aunga,
Magar TuM Dehan Rakhna,
Jab Kabhi TuM Khwab Mein Dekho,
Koi Tooti Hui Kashti,
Ke Ujda Hua Aangan,
Diya Koi Bujha Dekho,
Ya Dekho Maut Ka MataM,
To Mujhko Yaad Kar Lena...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2904 on: November 08, 2008, 02:15:12 PM »


Itne Dino Ke Baad To Aya Hai Aaj,
Sochta Hoon Kis Tarah Tujhse Milun,

Mere Andar Jaag Uthi Ek Chandni,
Main ZaMeen Se AasMan Tak Ek Ang Hoon,

Aur Ujla Ho Gaya Qurbat Ka Chand,
Aur Gehra Ho Gaya Tere Fusun,

Aye Saraapa Rang-O-Nikahat Tu Bata,
Kis Dhanak Se Tera Pairaahan Bunoon,

Saare Gul-Buute Tar-O-Taaza Hue,
Dur Tak Pahuchi Hai Meri Mauj-E-Khun,

Kar Rahe Hai LaMhe LaMhe Ka Hisab,
Milke Phir Baithe Hai Yaaran-E-Junoon,

Dasht-E-GaM Ki Dhoop Mein Mujhpar Khula,
Main Khud Apna Saya-E-Diwaar Hoon,

Naaz Kar Khud Par Ke Tu Hai BeshuMaar,
Qadar Kar Meri Ke Main Bas Ek Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2905 on: November 08, 2008, 02:15:29 PM »

Siyaahiyon Ke Bane Harf Harf Dhote Hai,
Ye Log Raat Mein Kaagaz Kahan Bhigote Hai,

Kisiki Shah Mein Dehliz Par Diya Na Rakho,
Kivaar Sukhi Hui Lakdiyon Ke Hote Hai,

Charaag Paani Mein Maujon Se Puchhte Honge,
Wo Kaun Log Hai Jo Kashtiyan Dubote Hai,

QadeeM Qasbon Mein Kya Sukun Hota Hai,
Thake Thakaye HaMare Buzurg Sote Hai,

ChaMakti Hai Kahin Sadiyon Mein Aansuon Ki ZaMeen,
Gazal Ke Sher Kahan Roz Roz Hote Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2906 on: November 08, 2008, 02:15:49 PM »



Phir Khafa Ho Gaye Hai Zindagi HuMse,
Kab Haath Tera Chhoota Mere DaaMan Se,
Ab Nahi Kuch Bhi Haasil Na Hi Koi Manzil,
HuM Ko Tanhayi Mili Hai Is Mohabbat Se,

Ab Bhi Yaad Aate Hai HaMe Guzre Wo LaMhe,
Ashq Rukte Nahi Hai Meri Aankhon Se,
Dhadkane ThaM Jati Hai Rukti Hai Saansein,
Yaad Jaati Nahi Kyon Teri Is Dil Se,

Socha Tha HuMne Kya Aur HuMko Mila Kya,
Gila KisMat Se Hai HuMko TuMse Gila Kya,
Ab To Tanha Guzar Rahe Hai HuM Is Dagar Se,
Phir Khafa Ho Gaye Hai Zindagi HuMse...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2907 on: November 08, 2008, 02:16:33 PM »


Charaag Apne Tahkan Ki Koi Safayi Na De,
Wo Teeragi Hai Ke Ab Khwab Tak Dikhayi Na De,

Bahut Satate Hai Rishte Jo Toot Jaate Hai,
Khuda Kisiko Bhi Taufiq-E-Aashnayi Na De,

Main Saari UMr Andheron Mein Kaat Sakta Hoon,
Mere Diyo Ko Magar Roshni Parayi Na De,

Agar Yehi Teri Duniya Ka Haal Hai Maalik,
To Meri Qaid Bhali Hai Mujhe Rihayi Na De,

Dua Ye Mangi Hai SehMe Hue Mu'arrik Ne,
Ke Ab QalaM Ho Khuda Surkh Roshni Na De...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2908 on: November 08, 2008, 02:16:48 PM »



Dard Kya Hota Hai Batayenge Kisi Roz,
KaMal Ki Gazal TuMko Sunayenge Kisi Roz,

Thi Unki Zid Ke Main Jaun Unko Manane,
Mujhko Ye VaheM Tha Wo Bolenge Kisi Roz,

Allah KasaM Maine To Socha Bhi Nahi Tha,
Wo Itna Mere Dilko Dukhayenge Kisi Roz,

Har Roz Aaine Se Yehi Puchhta Hoon Main,
Kya Rukh Pe TabassuM Bhi Sajenge Kisi Roz,

Udne To In Paridon Ko Aazad Fiza Mein,
TuMhare Honge Agar Laut Hi Ayenge Kisi Roz,

Apne SitaM Ka Dekh Lena Khud Hi Asar TuM,
ZakhM-E-Jigar TaMaaM Dikhayenge Kisi Roz,

Jo Peete Rahe Yun Hi Doston,
HuM Keh Rahe Hai Jaan Gawayenge Kisi Roz...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2909 on: November 08, 2008, 02:17:37 PM »



Mehakti Hui Sard Raaton Ke Saye Mein,
KaaMpte Patton Ke Halke Halke Sarsarahaton Mein,

Mujhe Apna Wajood Bhi Aaadha Sa Laga,
Tere Bagair Is LaMhe Maine Jana Ke,
Meri Sari Khushiyan Bhi Adhuri Hai,
Tere Bagair...

Logged
Pages: 1 ... 190 191 192 193 [194] 195 196 197 198 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 03:25:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.197 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer