Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 191 192 193 194 [195] 196 197 198 199 ... 273
Print
Author  (Read 131532 times)
angel4u
Guest
«Reply #2910 on: November 08, 2008, 02:17:51 PM »


ShaaM Ke Ujalon Par,
Apne NarM Haathon Se,
Koi Baat Achhi Si,
Koi Khwab Sacha Sa,
Koi Bolti Khushbu,
Jab Bhi Likhna Chahunga,
Sochke Darichon Se,
Yaad Ke Hawalon Se,
Mera NaaM Chup Chup Kar,
TuMko Yaad Aayega,
Hath KaaMp Jayenge,
ShaM Thaher Jayegi,
Mera NaaM Chup Chup Kar,
TuMko Yaad Aayega
ShaM Thehar Jayegi,
ShaM Theher Jayegi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2911 on: November 08, 2008, 02:18:16 PM »
Main Use Dekhke Hairan Hua Phirta Hoon,
Wohi Gatee Hui Aankhein Wohi Andaaz-E-KalaaM,
Wohi Gulnaar TabassuM Se Muskurata Chehra
Wohi Khush Rang KharaaM,
NarM Lehje Mein TarannuM Ki Wohi Gulkaaree,
Jaise Wo Kal Ki Gayi Aaj Chali Ayi Ho,
Jaise Jag Ke Kaati Hui Kaali Raatein,
Sard KaMre Mein Thithartee Hui Sochein, Yaadein,
Raat Bhar Royi Hui Aankh Se Bhige Takiye,
Aur Taaloo Se ChiMte Hue Kadwe LaMhe,
Maine Socha Tha Guzre Hue Kadwe LaMhe,
Uske Taaloo Se Bhi ChMite Honge,
Uske Takiyon Pe Bhi Meri Yaadein,
Ashq Banke Tapakti Hongi,
Sard Raaton Mein RasM-E-Tanhayi,
Uski Neendon Ko Bhi Khaata Hoga,
Uski Aankhon Mein Magar Dard Ka Saya Bhi Na Tha,
Jaise Usne Mujhe Chaha Bhi Na Tha,
Mujhko Yun SaaMne Paa Akr Wo Harasaan Na Hui,
Mere Be-Rabt Sawalon Se Pareshan Na Hui,
Apne Maanoos TabassuM Mein TarannuM Bhar Kar,
Aujh Se Chalte Hue Boli,
Shair-E-Waqt Kaho, Kaise Ho,
Main Use Dkehke Hairan Hua Phirta Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2912 on: November 08, 2008, 02:18:29 PM »



Wo Barkha Rut Ki Boondon Mein,
Kisi Chhoti Si Waadi Mein,
Guzre Jo TuMhare Sath, Un AnMol LaMhon Par,
Bahut Maasoon Jazbon Par,
TuMhare Shokh Aankhon Par,
Laraztee Apni Palkon Par,
Chalo Ek NazM Kehte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2913 on: November 08, 2008, 02:18:59 PM »

Bahut Hi Muddat Ke Baad Kal Jab,
Kitaab Maazi Ko Maine Khola,
Bahut Se Chehre Nazar Mein Utre,
Bahut Se NaaMon Pe Dil Paseeja,
Ek Aisa Safha Bhi Us Mein Aaya,
Likha Hua Tha Jo Aansuon Se,
Ke Jiska Onwan HuMsafar Tha,
Jo Safha Sabse Mo'atbar Tha,
Kuch Aur Aansu Phir Us Par Tapke,
Phir Usse Aage Main Padh Na Paya,
Kitab Maazi Ko Band Karke,
TuMhari Yaadon Mein Kho Gaya Main,
Agar Tu Milta To Kaisa Hota,
Inhi Khayalon Mein So Gaya Main...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2914 on: November 08, 2008, 02:20:09 PM »


Chale Jaana
Magar Thehro Zara,
Is Pair Ki Sargoshiyan Sun Lo
Ye Kehtaa Hai,
Ke Aage Dhoop Hai,
TuM Meri Chhanv Saath Le Jao,
Hare MausaM Jab Aayenge,
Main TuMko Khushbuyein Bhejunga,
Meri Shaakh Aankhein Barg Aansu Royenge,
Main Janta Hoon,
Jab Hawa Hi Par Bane To Phir Parinde Rokne Se Ruk Nahi Paate,

Chale Jaana,
Magar Thehre Zara,
Ye Lawn TuMko Yaad Karta Hai,
Yahan ShaaM Ka Suraj Aur HaMare Geet Ki Lai Aaj Tanhayi Hai,
TuMhare Qahqahon Ke Phool Suthi Tehniyon Pe Jhulte Hai,
Titliyan Basi Dhuno Par Raqs Karti Hai,
Sadaayein Bujh Gayi Hai,
Door Tak Ye Dhoop Hi Dast-E-Dua Hai,
Aur Hawayein NarM Lafzon Ki Tarah Koi Duaa Tashkeel Deti Hai,

Chale Jaana,
Magar Thehro Zara,
Ye Dar Ye Deewar Judayi Ki Lughat Hai,
In Pe Likhe Lafz Ko Padh Lo,
Ke In Boseedah Deewaron Ki Aankhon Mein TuMhare Aks Roshan Hai,
Inhe Achhi Tarah Dekho,
Ke In Din TuM Inhi Akson Ki Jaanib Lautna Chahoge,
Lekin Waapsi Ke Saare Raaste Band Paoge,

Chale Jana,
Magar Thehro Zara,
Par Kya?Huh???
Thik Hai Chale Jaiye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2915 on: November 08, 2008, 02:20:44 PM »

Dilke Aaino Par TuM Aitbar Kar Lete,
MausaMon Ke Khulne Ka Intezaar Kar Lete,

Sheher Chhod Jane Ki Thi TuMhe Bahut Jaldi,
Ye Na Kar Sake Mera Dukh ShuMaar Kar Lete,

TuM To Har Taaluq Hi Sath Le Gaye Apne,
Kash Ye Bichhad Jana TuM Udhaar Kar Lete,

Ek TuMhare Milne Ki Aas To Bandhi Rehti,
Raasta Koi Aisa Ikhteyaar Kar Lete,

Ishq Mein Bhi TuM Ne Fayde Hi Soche The,
Kash TuM Koi Behtar Karobaar Kar Lete...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2916 on: November 08, 2008, 02:21:56 PM »


Dilpe Roshan Ek Dareecha Kiya Hua,
Band HuM Par Gharka Darwaza Hua,

Is Tarah Dekha Tujhe Kal Khwaab Mein,
Khwab Par Taabeer Ka Dhoka Hua,

Tak Raha Hai AasMan Ko AasMan,
Jheel Ki Aagosh Mein SiMta Hua,

Raaste Lagte Hai Kyon Chalte Hue,
Kaarwan Kyon Lagta Hai Thehra Hua,

Aye Hawa-E-Gulistan Khush AaMdeed,
Yaad To Aaya Koi Bhoola Hua,

Jis Taraf Jaata Hai Dilka Raasta,
Us Taraf Bhi Kya Kabhi Jana Hua,

Wo Hawa-Ekoi Janan Kya Hui,
Wo Gubaar-E-Rahe PeMa Kya Hua,

Zindagi Kitni Sabak Raftaar Hai,
Khudse Milke Aaj Andaza Hua,

Dekhiye Kya Waqt Ki Parchhaiya,
Jodiye Kya Aaina Tuta Hua,

Jaane Wale Dilse Jab Jaate Nahi,
Phir Yahan Aakhonse Ojhal Kya Hua,

Hai ZaMeen Odhe Hue Girdogubaar,
AasMan Pe Chand Hai Nikla Hua,

Is Tarah Basti Hai Koi Bastiyan,
Raasta Sunsaan, Dil Ujda Hua,

Bun Raha Hoon Jane Kis LaMhon Ke Khwab,
Waqt Ki Dehleez Pe Baitha Hua,

Ek Taraf Hai NaaM-O-Nasab,
Ek Taraf Taqdeer Ka Likha Hua,

Aane Wale Waqt Ki Aawaz Hoon,
Main Nahi LaMha Koi Guzra Hua,

Ye Bhi MuMkin Hai Udhar Koi Na Ho,
Aur Ho Bas Aaina Rakha Hua...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2917 on: November 08, 2008, 02:22:19 PM »


Main Aur
Meri Tanhaai
Shab Bhar Baatein Karte Hain
Chaand, Sitaare, Raat Ho
Sab Meri Baatein Sunte Hain
Rote Hain, Hanstey Hain
Door Ufaq Par
Subah Ka Taara Jaise Hi ChaMakta Hai
Aankh Mein Thehra Aakhri Aansoo
Chupke Se Beh Jaata Hai....!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2918 on: November 08, 2008, 02:22:47 PM »



Zyada Se Zyada Ye Hoga,
Dilki Dhadkan ThaM Jayegi,
Log Hasenge Aur Kahenge,
HuM To Pehle Hi Kehte The,
Baraf Pighal Sakti Hai Lekin,
Bhadak Uthe Ye NaMuMkin Hai,
Chhodo Jo Bhi Kehte Haikehne Do Unko,
Aao JaanaM,
Aaj Wafa Ka Aakhri Naata Tod Ke Dekhein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2919 on: November 08, 2008, 02:23:08 PM »



Hawa Jab Tez Chalti Hai,
TuMhari Yaad Aati Hai,
Jab Patte Sarsaraate Hai,
TuMhara Zikr Hota Hai,

Kabhi Haule Se Shab Ko,
Mere Dil Mein Aakar Ke Dekho,
Hai Ke Mehfil Saji Hoti,
TuMhara Zikr Hota Hai,

TuMhein Kaise Bataun Kitni Chahat
Maine Ki TuMse,
Ke Jab Aansu Chhalakte Hai,
TuMhara Zikr Hota Hai,

Kabhi Chanda Ko Main Dekhoon,
Kabhi Taare Main Ginti Hoon,
Jab Chandni Muskurati Hai,
TuMhara Zikr Hota Hai,

ZaMana Hai Bahut ZaaliM
Kahin Ye Chhin Na Le TuMko,
Main Bas KhaMosh Hoti Hoon
Aur
TuMhara Zikr Hota Hai


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2920 on: November 08, 2008, 02:23:26 PM »


Juda Hona Hi Thehra To,
Gila Kaisa Shikayat Kya,
Juda Ho Jayein Chupke Se,
Na TuM Bolo Na Main Bolun,
HaMare Bol Padne Se Judayi Pehel Sakti Hai,

Hawaon Mein Fizaon Mein,
Judayi Zaat Mein Bhar Lein,
Chalo HuM Is Tarah Kar Le
Kisi Sunsaan Raaste Ke Kisi Bhi Mod Par Dono,
Juda Ho Jayein Chupkese,
Na TuM Bolo Na Main Bolun,
HaMare Bol Padne Se Judayi Pehel Sakti Hai...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2921 on: November 08, 2008, 02:23:44 PM »


Mohabbat Mein Koi Gehrayi Ab Bilkul Nahi Baaki,
Ab Atwaar Mohabbat Bhi,
Is Manind Badle,
Milo To Khush, Na Milne Par Koi Shikayat Bhi Nahi Hoti,
Kabhi Ek Hijr Hota Tha Jise Ab Gap Kehte Hai,
Maheeno Bhi Agar Mehboob Mil Nahi Paate
To Milne Par Masroofiyat Ka Uzr Chal To Jata Hai,
Isi Tarah BahaM Rabton Ka Toot Jana Ek Haqeeqat Hai,
Yehi Kuch Wo AwaMil Hai Jinhe HuM "Gap" Kehte Hai,
Ke Ab To Wasl-O-Hijr Mein Milne Na Milne Ka Faraq Mitta Ja Raha Hai,
Ke Do Dil Waqt Milne Par Hi Milte Hai,
Taqazon Par Nahi Milte,
Na Is Mein Khwahish ShaMil, Na Koi Aarzu-O-ArMaan,
Ke Phonic Rabte Bhi Ho Nahi Paate,
Ke Phonic Rabton Par Saal Kat Jaate Hai,
Lekin Mil Nahi Paate,
Mohabbat Mein Wo Pehle Ki Tarah Jazbaat Ki Tehreek Bhi Paayi Nahi Jaati,
Ke Nafsanafsee Ke Is Daur Mein Itna Bhi Kafi Hai,
HaMein Koi Chahta To Hai,
Kahin Par Door Reh Kar Bhi Kisika Koi Saari UMr Rehta Hai,
Koi Pehlu Mein Rehte Hue Bhi Anjan Rehta Hai,
Mujhe Hairat Hai,
Is Taluq Ko Mohabbat Ka NaaM Deneki Bhi Aakhir Kya Zaroorat Hai,
Magar Shayad Zaroorat Hai,
Ke Bas Ab To Mohabbat Sirf Apne NaaM Par Zinda Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2922 on: November 08, 2008, 02:23:57 PM »



Roshni Ka Ek Nuqta
Kartab Shab Taab Ki Manind
ChaMka, Bujh Gaya,
Phir Roshni, Phir Teergi,
Aur Phir Roshni Aur Phir
Teergi Baahon Mein Baahein Daal Kar Raqsan Hui,
Ek Dayra Sa Ban Gaya...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2923 on: November 08, 2008, 02:24:24 PM »



Alwida Keh Diya Dil Ne
Aur Yeh QadaM

Uth Rahe The Kisi Aur Janib Magar
Phir Bhi Ek Aas Thi
Ke Sada Dogi TuM
Aur Palat Jaoonga Main TuMhare Liye

Par Yeh Ho Na Saka

Jhankta Tha TuMhare Khayaloon Mein Jab
To PasheeMan Sa Paa Raha Tha TuMhe
TuM Bhi Yeh Chah Rahi Thi,
Ke Mein Loot Kar
Dil Se TuM Ko Laga Loon, Mana Loon TuMhein

Yeh Bhi Ho Na Saka
Yeh Bhi Ho Na Saka Aur Jane Wafa
Donon Apni Anaa Ki Fasiloon Tal'e
Dab Gaye...... Mar Gaye ....... Bewafa Ho Gaye


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2924 on: November 08, 2008, 02:24:40 PM »


Yeh Haseen ShaaM Apni,
Abhi JisMe Ghul Rahi Hai,
Tere Parahan Ke Khushbu
Abhi JisMe Khil Arhe Hai,
Mere Khwab Ke Shagoofey,
Zara Der Ka Hai Manzar

Zara Der Me Ufaq Par
Khilega Koi Sitara,
Teri SiMt Dekh Kar Wo
Karega Koi Ishara
Tere Dilko Aayega Phir
Kisi Yaad Ka Bulawa,
Koi Qissa-E-Judayi, Koi Kaar-E-NaaMukaMMal,
Koi Khwaab-E-Naashagufta, Koi Baat Kehne Wali,

HaMein Chahiye Tha Milna
Kisi Ahd-E-Meherbaan Mein,
Kisi Khwab Ke Yakeen Mein,
Kisi Aur AasMan Par
Kisi Aur SarzaMeen Mein,
HaMein Chahiye Tha Milna...


Logged
Pages: 1 ... 191 192 193 194 [195] 196 197 198 199 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 07:03:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.22 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer