Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 192 193 194 195 [196] 197 198 199 200 ... 273
Print
Author  (Read 131530 times)
angel4u
Guest
«Reply #2925 on: November 08, 2008, 02:25:16 PM »

Tarq-E-Talukkat Pe Roya Na Tu Na Main,
Lekin Ye Kya Ke Chain Se Soya Na Tu Na Main,

Halaat Ke Tel'esiM Ne Pathara Diya Magar,
Beeti ShaMonki Yaad Mein Khoya Na Tu Na Main,

Har Chand Ikhtelaf Ke Pehloo Hazaar The,
Wa'ker Saa Magar Lab Goya Na Tu Na Main,

Nauh-E-Fasil-E-Zabt Se Unche Na Ho Sake,
Khol Kar Dayar-E-Sang Mein Roya Na Tu Na Main,

Jab Bhi Nazar Uthi To Falak Ki Taraf Uthi,
Bergashta AasMan Se Goya Na Tu Na Main...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2926 on: November 08, 2008, 02:25:45 PM »

Kisi Ki Yaad Mein Palkein Zara Bhigo Lete Hain
Udaas Raat Ki Tanhai Mein Ro Lete Hain

Dukhon Ka Bojh Akele Nahi SaMbhalta
Kahin Wo Milte To Usse Lipat Kar Ro Lete

Agar Safar Me HaMara Bhi HuMsafar Hota
Badi Khushi Se Inhi Patharo Par So Lete

Yeh Kya Ke Roz Wohi Chandni Ka Bistar Ho
Kabhi Dhoop Ki Chadar Bacha Kar So Lete

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2927 on: November 08, 2008, 02:26:04 PM »



Mujhe Yaad Mat Kiya Karo,
Mujhe Dilke Aangan Mein Kahin Dafan Kar Do,
Us Pe Charagh-E-TaManna Bujha Dalo,
Sar-E-Shab Teeragi Mein Guzre Din,
Yun Talash Mat Kiya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Chandni Se Na Kuch Kaho,
Na Yun Hanso Na Baatein Karo,
Sar-E-Raah Apna BharaM Yun Tabah Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Gulistan Mein Koi Gul Khile,
Aur Koi Rahroo Use Tod Le,
To Hasrat Se Na Toka Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

SaMandar Ke Paas Jao Kabhi
To Lehron Mein Paanv Dale Hue,
Aati Jaati Maujon Se Yun
KalaM Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Sar-E-ShaaM Shafaq Ko Dekh Kar,
Yun Na Nazron Mein Bhar Liya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Kabhi Kholo Purani Dairy,
To TaMaM Sefhey Padha Karo,
Mera NaaM Dekh Kar
Safha Palat Mat Diya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Barasti Barish Mein Tehla Karo
Khoob Hanso Khoob Baatein Karo
Yun Katra Katra ThaaM Kar,
Mera NaaM Mat Liya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Shab Ko Yun Guzaro Ke,
Tanhayi Na Paas TuMhare Aaye,
Na Dareechon Se Jhank Jhank Kar,
TuMhe Chandni Sataye
To TuM Der Talak Chand Se
Yun Baatein Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Suno
Ye Jo Chand Hai Mujhe Dekh Kar
Muh Pher Leta Hai Ab
Kabhi Baagh Jaun To To Phool Bhi Shikwa Kuna
Mujhse Baat Nahi Karta Hai Ab
SaMundar Ki Taraf Niklun Kabhi
To Lehre Chhod Deti Hai Paanv Mere,
Barish Mein TaMaM Katre DaMan Bachate Hai,
Mujh Par Baraste Hi Nahi,
Shafaq Bhi Mujhe Dekh Kar,
Chhupa Leti Hai Khudko Badal Mein,
To Dekho Yun Mujhe,
Na Door Karo TaMaM AlaM Se,
Meri Zeesat Ko Aye Nishat-E-Mun
Yun Azab Mat Kiya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2928 on: November 08, 2008, 02:26:37 PM »


Andheri Raaton Ki,
Tareekon Mein,
Ubharti Hui Siskiyon Ko
TuM Bhool Jao To
Achha Hai,
Un Anjaan Raaston Mein
JisMe TuMhare
Aur Uske
QadaM Mile The,
Un Raaston Par
Palat Ke Na Jao
To Achha Hai,
Unn Zard Patton Ko
Jin Mein TaMaM
Zard Yaadein Ghul Ke
Sukh Chuki Thi,
Apne KadMon Se
TuM Rond Jao
To Achha Hai...
Kya Hua Gar
Baalon Mein Safed Chandni Utar Chuki Hai,
Gulaab Saare Murjha Gaye Hai,
Aankh Se Aansu,
Tapak Rahe Hai,
Dil Jo TuMhara
Tadap Raha Hai
TuM Ab Is Par ItMinaan Ka Hath Rakho,
Kuch Isko Bhi TuM
Qarar De Do,
Jo Chale Gaye Hai,
Nahi Wo Phir Aane Wale
Bas HaMare Paas Hai Faqat
Yaadein Chhod Jaate
Un Yaadon Ke Jugnuon Ko
Kahin Door Waadi Mein,
Daba Do To Achha Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2929 on: November 08, 2008, 02:26:49 PM »



HangaMa-E-GaM Se Tang Aakar Izhaar-E-Musarrat Kar Baithe
Mashhur Thi Apni Zindadili Daanistaa Shararat Kar Baithe

Koshish To Bahot Ki HaMne Magar Paya Na GaM-E-Hasti Ka Mafar
Virani-E-Dil Jab Had Se Badhi Ghabara Ke Mohabbat Kar Baithe

Nazronse Na Karte Pursish-E-GaM KhaMosh Hi Rehna Behtar Tha
Deewanoko TuMne Chhed Diya Wallaah QayaaMat Kar Baithe

Har Chiz Nahi Ek Markaz Par Ek Roz Idhar Ek Roz Udhar
Nafratse Na Dekho DushManko Shayad Ye Mohabbat Kar Baithe


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2930 on: November 08, 2008, 02:27:08 PM »


Bahut Dino Ke Baad Use
Ek Mehfil Mein Dekha Tha
Ek LaMhe Ko Hijr-O-Wisal Ke Saare MausaM
Aankhon Mein Lehra Se Gaye,
Dil Mein Chirag Se Jal Uthe,
Usse Gale Milne Ke Tasavvur Se Hi
Jaise Sara Wajood
Phool Ki Soorat Khil Utha,
Un Hathon Se LiMs Ka Soch Ke
Saara JisM Sulag Utha,
Un Honthon Ke GarM Gulabi Nari Ka Khush Rang Khayal
Hothon Pe Muska Utha
Halq-E-Yaara'n Se Aakhir
Pal Bhar Ki Fursat Paakar
Meri Taraf Wo Aya Bhi,
Meri Jaanib Dekha Bhi,
Par Jo Kaha To Itna Kaha,
Aap Se Mil Kar Khushi Hui,
Mere Sehan-E-Dil Mein Achanak Hone Wali,
Patjhad Se Yaksaa'n La ElM...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2931 on: November 08, 2008, 02:27:25 PM »



HuMse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi

Tanha Baitha Baatein Karta Hoon,
Tanha Hoon Magar Saath Hai Tanhayi,

Betha Rehta Hoon Sath Uske Baatein Karte,
Ke Kabhi Apni Si Lagti Hai Tanhayi,

HuMse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi

Waqt Guzarte MaluM Nahi Hota,
Baatein Karte Karte Sula Deti Hai Tanhayi,

Hansta Rehta Hoon Sath Uske,
Ke Hansti Hai Tanha Dekhkar Meri Tanhayi,

Kuch Kehti Nahi Mere Baare Mein,
Bina Kahe Kuch Keh Jaati Hai Meri Tanhayi,

Tanha Bethe Baatein Karta Hoon
Tanha Hoon Magar Saath Hai Tanhayi,

HuMse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2932 on: November 08, 2008, 02:27:43 PM »

Doli Uthi Teri To Janaza Mera Bhi Uthega,
Saanjh Teri Bhi Saj Rahi Hogi,
Saanjh Meri Bhi Saj Rahi Hogi,
Rone Wale Tere Bhi Honge,
Rone Wale Mere Bhi Honge,
Phool Tujhpe Bhi Honge,
Phool Mujhpe Bhi Honge,
Tu Kisika Ghar Aabaad Karne Ja Rahi Hogi,
Aur Main Teri Duniya Ko Khair Baad Kar Raha Hounga...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2933 on: November 08, 2008, 02:27:59 PM »


Sakoon Pal Ka Nahi Bekali Jahan Ki Hai,
Mujhe Diya Jo Kahani Ye AasMan Ki Hai,

Na Puchho Mujhse Ke Kya Khaak Mein Tatolta Hoon,
Ye Raakh Bikhri ZaMeen Par Mere Makaan Ki Hai,

Mere Ye Ghar Ke Andhere Mere Wajood Se Hai,
Ke Badnaseebi Meri Khud Mere Hi Nishaan Ki Hai,

Faqar Karun Bhi To Kis Par Ke Kuch Nahi Baaki,
Har Ek Jali Si Kali Mere Gulistaan Ki Hai,

Bharosa Kiska Kadrurat Hai Dil Mein Apno Ke,
Jo Teer Dil Mein Hai Paiwast Meherbaan Ki Hai,

Chuna Hai Khaar Ke Phoolon Se ZakhaM Paye Hai,
Gulon Se Bair Nahi Baat Meri Aan Ki Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2934 on: November 08, 2008, 02:28:15 PM »

TuMne To Keh Diya Ke Mohabbat Nahi Mili,
Mujhko To Ye Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili,

Neendon Ke Des Jaate Koi Khwab Dekhte,
Lekin Diya Jalane Se Fursat Nahi Mili,

Tujhko To Khair Shehar Ke Logonka Khauf Tha,
Aur Mujhko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili,

Phir Ikhtilaaf-E-Rai Ki Soorat Nikal Padi,
Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili,

Bezar Yun Hue Ke Tere Ehad Mein HaMein,
Sab Kuch Mila Sakoon Ki Daulat Nahi Mili...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2935 on: November 08, 2008, 02:28:33 PM »

Zindagi Ke Mele Mein,
Khwahishon Ke Rele Mein,
TuMse Kya Kahein Jaana,
Is Kadar JhaMele Mein,
Waqt Ki Rawani Hai,
Bakht Ke Girane Hai,
Sahkat Be-ZaMeeni Hai,
Sakhat Be-Zubani Hai,
Hijr Ke SaMundar Ke
Ek Hi Kehne Hai,
TuMko Jo Sunane Hai,
Baat Go Zara Se Hai,
Baat UMar Bhar Ki Hai,
UMr Bhar Ke Baaton Kab Do Ghadi Mein Hote Hai,
Hijr Ke SaMudnar Mein Anginat Jazeere Hai,
BeshuMar Mitti Hai,
Waqt Ke Fasile Par,
TuMne Jo Sajaya Tha,
Baat Us Diye Ki Hai,
Baat Us Gali Ki Hai,
Jo Lahu Ke Khawat Mein Chor Banke Aata Hai,
Waqt Ke Fasilu Par Toot Toot Jata Hai,
Zindagi Se LaMbi Hai Baat Raat Jage Ki Hai,
Raaste Mein Kisi Ho Baat Takhliye Ki Hai
Takhliye Ki Baaton Mein Guftagu Aizafi Hai,
Pyar Karne Walo Ko Ek Nigah Kafi Hai,
Ho Sake To Sun Jao TuM Kabhi Akele Mein,
TuMse Kya Kahein Jana Is Kadar JhaMele Mein...

Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2936 on: November 10, 2008, 04:15:58 AM »
tum thodi si sharam kar lo Laughing hard
haan wo to hai jisko aana ho aaye na aana ho na aaye. sab ki apni apni marzi hia apni apni soch hai jaise maine kaha tha pehle hi... so leave it, zyada sochne ka nahi you se... samjhe DEAR... Laughing hard

Samjha Darling...

Aur
Sharam mujhe be-sharamo se aati hai !!!
Tere se Nahi,,

Tu To sharmilee....He re.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2937 on: November 10, 2008, 12:49:01 PM »
Horrible you are...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2938 on: November 11, 2008, 05:08:33 AM »


Aankhein, Qisse, Main Aur TuM,
Baatein, Taane, Main Aur TuM,

Yaadein Teri Pyaari Yaadein,
Rahein Manzil Main Aur TuM,

Saari Mehfil Ek Taraf,
Apni Aankhein Main Aur TuM,

       Tere Hathon Par Mehandi Se,
       Kaise Likha Tha Main Aur TuM,

TuMne Bhi To Socha Hoga,
Achhe Bachhe Main Aur TuM,

       Achha! TuM Bhi Bhul Gayi Ho,
       Yaad Dilaun? Main Aur TuM?

Apna Bachpan Kaise Bhoolun,
Tooti Gudiya Main Aur TuM,

Chandni Raat Ke Hote Main,
Kaise Sote Main Aur TuM,

Pehli Baarish Yaad Hai TuMko,
Mitti, Paani, Main Aur TuM,

Khelte Rehna Kudte Rehna,
Tanha Tanha Main Aur TuM...


Huzee...waah waah..bahot bahot bahot hi achhi lagi ye Nazm !!!
saari puraani dosti thi...sabhi Yaadein Taza ho gayi,,,yaar.
kum se kum alfaaz aur badhiya sa andaaz !!!

La-jawaab Taraana
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2939 on: November 11, 2008, 05:21:57 AM »
Thanks stupid... Laughing hard
Logged
Pages: 1 ... 192 193 194 195 [196] 197 198 199 200 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 06:46:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.202 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer