Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 193 194 195 196 [197] 198 199 200 201 ... 273
Print
Author  (Read 131531 times)
Muhammed
Guest
«Reply #2940 on: November 11, 2008, 05:39:03 AM »
Horrible you are...
Thanks stupid... Laughing hard

Horrible..stupid..bewakuf....Itne pyar se To aaj tak kisi ne bulaya hi nahi mujhe...Tu kitni achhi hai,,paglii,jalkookdi,waghran..gujju di
Thanks as same.
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2941 on: November 11, 2008, 06:01:53 AM »
nice collection angel ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2942 on: November 12, 2008, 06:46:54 AM »
Horrible..stupid..bewakuf....Itne pyar se To aaj tak kisi ne bulaya hi nahi mujhe...Tu kitni achhi hai,,paglii,jalkookdi,waghran..gujju di
Thanks as same.

shut up
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2943 on: November 12, 2008, 06:47:11 AM »
Thanks Bhawna..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2944 on: November 12, 2008, 06:47:23 AM »

Aankho Mein Ruka Hua Koyi Katra-E-Aab Hoon
Main Aur Kuch Nahi Teri Wafa Ka Hisaab Hoon

Tere Ishq Ke Labon Par Muddaton Ek Sawal Thaa
Aa Mujhe Tu Jaan Le Har Sawal Ka Jawab Hoon

Haath Mein Haath Aaye Jab, Hosh Mein Aaye Hain Tab
Tu Koyi Sharaab Hai Na Mein Koi Sharaab Hoon

Tere Ujaalon Ke Saye Mein Meri Roshni Hai Chipee
Too Afatab Hai Koyi Main Bhi Mehtaab Hoon

Tune Zulf Mein Saja Liya Mera Roop Sanwar Gaya
Main Jo Bas Khar Tha Koyi, Aaj Ek Gulab Hoon...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2945 on: November 12, 2008, 06:47:41 AM »
ShabnaM Ke Aansu Phool Par Ye To Wahi Kissa Hua,
Aankhein Meri Bhigi Hui Chehra Tera Utra Hua,

Ab In Dino Meri Gazal Khushbu Ki Ek Tasveer Hai,
Har Lafz Gunche Ki Tarah Khil Kar Tera Chehra Hua,

Mandir Gaye Masjid Gaye Peero Fakeeron Se Mile,
Ek Usko Pane Ke Liye Kya Kya Kiya Kya Kya Hua,

Shayad Ise Bhi Le Gaya Achhe Dino Ke Kaafile,
Is Baag Mein Ek Phool Tha Teri Tarah Hansta Hua,

AnMol Moti Pyar Ke, Duniya Chura Ke Le Gayi,
Dilki Haweli Ka Koi Darwaza Tha Toota Hua...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2946 on: November 12, 2008, 06:48:01 AM »

Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar
Aankhon Mein Mere Aansuon Ne Kar Liya Basera
Jati Rahi Jaan Tadapta Raha Jigar
Main Usse Bichad Ke Ro Na Saka
Main Kitna Bewafa Hoon
Main Sochne Laga Ke Jab Bhi Woh Mujh Se Milti
Jate Hue HaMesha Woh Roti Aur Tadapti
Ro Ro Ke Aansuon Ke Dariya Baha Deti
Main Palko Ko Apni Bhigo Na Saka
Main Kitna Bewafa Hoon
Uska Dil Abhi Bhi Mujhse Pyar Kar Raha Hai
Uske Dil Mein Mera Pyar Aur Badh Raha Hai
Mohabbat Ka Ek Shajar Lagataar Chadh Raha Hai
Main Mohabbat Ka Ek Beej Bhi Bo Na Saka
Main Kitna Bewafa Hoon...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2947 on: November 12, 2008, 06:48:25 AM »


Jab Zubaan Par Chuppi Ke Taale Lag Jayein,
To Dil Mein Uthne Wale Toofan,

Andar Hi Andar Tod Fod Karte Rehte Hai,
Zahen Mein Uthnewali Sochein,
Wajood Ko Hila Kar Rakh Deti Hai,

Aankhon Mein Banane Wale Aks Dhundle Ho Kar,
Palkon Ke Paar Kain GuM Ho Jaate Hai,

To Phir

Alfaaz Yunhi Kaagaz Par Utarne Lagte Hai,
Jisko TuM Sher Kehte Ho,
Use HuM Azab-E-Shahor Kehte Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2948 on: November 12, 2008, 06:48:44 AM »

Neeyat-E-Shauq Bhar Na Jayein Kahin,
Tu Bhi Dilse Utar Na Jaye Kahin,

Aaj Dekha Hai Tujhe Der Ke Baad,
Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin,

Na Mila Kar Udaas Logonse,
Husn Tera Bikhar Na Jaye Kahin,

Aarzu Hai Ke Tu Yahan Aaye,
Aur Phir UMar Bhar Na Jaye Kahin,

Jee Jalata Hoon Aur Ye Sochta Hoon,
Raayegaan Ye Hunar Na Jaye Kahin,

Aao Kuch Der Ro Hi Lein 'Nasir'
Phir Ye Dariya Utar Na Jayein Kahin...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2949 on: November 12, 2008, 06:51:39 AM »

Mujhko Ruswa Sar-E-Mehfil To Na Karwaya Kare,
Kash Aansu Meri Aankhon Mein Hi Reh Jaya Kare,

Aye Hawa! Maine To Bas Unka Pata Puchha Tha,
Ab Kahani To Har Baat Ki Na Ban Jaya Kare,

Bas Bahut Dekh Liye Khwab Suhane Din Ke,
Ab Wo Baaton Ki Rifaqat Se Na Behlaya Kare,

Ek Musibat To Nahi Tooti So Ab Is Dilse,
Jis KayaMat Ne Guzarna Ho Guzar Jaya Kare,

Jiske Khwabon Ko Main Aankhon Mein Saja Kar Rakhun,
Iski Khushbu Kabhi Mujhko Bhi To Mehkaya Kare...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2950 on: November 12, 2008, 06:51:52 AM »

Gar Us Mein Tha Bhi Koi Nuks Achha Lagta Tha,
Kuch Is Tarah Mujhe Wo Shakhs Achha Lagta Tha,

Bas Ek Din Mujhe Dekha Tha Aankh Bhar Usne,
Phir Aaine Ko Mera Aks Achha Lagta Tha,

Wo Aankhon Aankhon Mein Is Pyar Se Phirati Thi,
Kitab-E-GaM Ka Har Ek Dars Achha Lagta Tha,

KalaM-E-Yaar Ki Talkhee Se Sochte Hi Na The,
KharaM-E-Yaar Ka Wo Raakhs Achha Lagta Tha,

Chura Gaya Hai Gaya Waqt Zaiqe Warna,
Hawaon Ka Bhi LiMs Achha Lagta Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2951 on: November 12, 2008, 06:52:10 AM »

Kal Shab To AsMaan Pe Nazara Ajeeb Tha
Taare To Bahut The Per Ek Tara Ajeeb Tha
Aao Sunaun Uski TuMhe Daastan-E-Ishq
Kuch Iska Tha Qasoor Ya Sara Naseeb Tha
Taare To Bahut The Per Ek Tara Ajeeb Tha
Sab Chaand The Door Ke HuM Paas Na Jayein
Agar Paas Chale Jayein To MadhaM Na Par Jayein
Ye Soch Kar Sab Chaand Ke Jate Nahi The Paas
Un Sab Se Be-Nyaz Wo Tara Ajeeb Tha
Taare To Bahut The Par Ek Tara Ajeeb Tha
AnjaaM-E-Mohabbat Wo Apni Jaanta To Tha
Chanda Ka Ishq Chandni Se Maanta To Tha
Par Ishq Mein Wo Dil Ka Aisa Hua GhulaM
Khud Apne Hi Haathon Se Bigada Naseeb
Taare To Bahut The Par Ek Taara Ajeeb Tha
LaMha LaMha Chaand Ke Nazdeek Wo Gaya
Khud Apna Husn Apni Jawani Dubo Gaya
Aisi Kadi Mohabbat Ke Mit Gaya Wajood
Kyon Sab Se Munfarid Wo Bechara Gareeb Tha
Taare To Bahut The Par Ek Tara Ajeeb Tha !!!

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2952 on: November 12, 2008, 06:52:29 AM »



Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki KashMakash,
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki KashMakash,

Har AnjuMan Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai,
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki KashMakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye,
Yehi Hai Sisakte Sunkate Marghaton Ki KashMakash,

Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi,
Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki KashMakash,

Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par,
Janta Hai Koi Kya, JaM Ghaton Ki KashMakash...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2953 on: November 12, 2008, 06:52:54 AM »

Ghutno Pe Sar Jhukaye, HuM Roye Saari Raat,
Yaadon Ka GaM Uthaye, HuM Roye Saari Raat,

HiMMat Hi Nahi Chhodi Tanhayin Mein Jee Lein,
Waade Na Raas Aaye, HuM Roye Saari Raat,

Bhigi Hui Palkein Aur Raat Ja Chuki Hai,
Taare Na Dekh Paye, HuM Roye Saari Raat,

Kis Aur Se Hai Nikla Ye Chand Bekhudi Ka,
Jugnoo Bata Na Paye, HuM Roye Saari Raat,

Ek Baar Bhi Na Socha Ke Kya Hai Dil Lagi SanaM,
Gairon Se Dil Lagaye, HuM Roye Saari Raat,

Bhige The Baarison Mein Kabhi Is Tarah Nahi,
Boondon Ne SitaM Dhaaye, HuM Roye Saari Raat,

Qurbat Ke JaaM Ko Ab Nosh Kya Karenge,
Honthon Ko See Silaye, HuM Roye Saari Raat,

Jeene Ki Sab UMMidein Hi Khaak Hui Saaki,
Zindagi Ki Talab Haaye, HuM Roye Saari Raat...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2954 on: November 12, 2008, 06:53:15 AM »


Usne Kaha Tu Kaun, Maine Kaha Hasrat Teri,
Usne Kaha Chahta Hai Kya, Maine Kaha KhidMat Teri,
Usne Kaha Dekhta Hai Kya, Maine Kaha Soorat Teri,
Usne Kaha Mangta Hai Kya, Maine Kaha KisMat Meri,
Usne Kaha Khwahish Hai Kya, Maine Kaha Chahat Teri,
Usne Kaha Kya MuMkin Nahi Duniya Mein, Maine Kaha QeeMat Teri,
Usne Kaha Achhi Lagti Hai Kya, Maine Kaha Aadat Teri,
Usne Kaha Dil Mein Hai Kya, Maine Kaha Aqeedat Teri,
Usne Kaha Izhar Kar Paoge, Maine Kaha Zaroorat Meri,
Usne Kaha Paas Hai Kya, Maine Kaha Mohabbat Teri,
Usne Kaha Aarzu Hai Kya, Maine Kaha Rafaqat Teri,
Usne Kaha Kis Chiz Se Darte Ho, Maine Kaha Nafrat Teri,
Usne Kaha Poojte Ho Kya, Maine Kaha Soorat Teri,
Usne Kaha Dil Hai Paas, Maine Kaha AManat Teri,
Usne Kaha Seh Paoge Tanhayi, Maien Kaha Ye HiMMat Meri,
Usne Kaha Baksh Dun Kya, Maine Kaha Ibaadat Teri,
Usne Kaha Is JurM Ki Saza Paoge, Maine Kaha Wo Sirf Adalat Teri,
Usne Kaha Chahte Ho Kya, Maien Kaha Sirf Zaroorat Teri,
Usne Kaha Dil Mein Basa Lun TuMko, Maine Kaha Hai Ijazat Meri,
Usne Kaha Pasand Hai Kya, Maine Kaha Sadaqat Teri,
Usne Kaha Milne Se Kyon Darte Ho, Maine Kaha Hai Anokhi Mohabbat Meri...


Logged
Pages: 1 ... 193 194 195 196 [197] 198 199 200 201 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 06:58:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.207 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer