Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 194 195 196 197 [198] 199 200 201 202 ... 273
Print
Author  (Read 131526 times)
angel4u
Guest
«Reply #2955 on: November 12, 2008, 06:53:49 AM »


Kabhi Khwaabon Ke Jungle Mein,
Akelepan Ke Daldal Mein,
Kisi Sandal Ke Saaye Mein,
Kabhi Baadal Ki Chhatri Par,
Kisi Din Tez Barish Mein,
Kabhi Dariya Ke Dhaare Par,
Kabhi Dukh Ke Kinare Par,
Kabhi Sahil Pe Likhti Hai,
Kabhi Likh Kar Mitati Hai,
Kabhi Likhne Se Pehle Hi,
Mita Kar Hasne Lagti Hai,
Kisi Din ShaaM Se Pehle
Mitana Bhul Jati Hai,
To Saari Raat Roti Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2956 on: November 12, 2008, 06:54:09 AM »

Tere Jalwe Ab Mujhe Har Soo Nazar Aane Lage,
Kaash Ye Bhi Ho Ke Mujh Mein Tu Nazar Aane Lage,

Ibtedaa Ye Thi Ke Dekhi Thi Khushi Ki Ek Jhalak,
Intehaa Ye Hai Ke GaM Har Soo Nazar Aane Lage,

Bekarari Badhate Badhate Dil Ki Fitrat Ban Gayi,
Shayad Ab Taskeen Ka Pehlu Nazar Aane Lage,

KhataM Karde Ab ShaaM-E-GaM Ki Daastan,
Dekh Un Aankhon Mein Bhi Aansu Nazar Aane Lage...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2957 on: November 12, 2008, 06:54:34 AM »


Kal Zehen Mein HuM Baad-Saba Dhundte Rahe,
Bichhad Kar Tujhse, Tera Pata Dhundte Rahe,

Jo Dekha Bhi Kisiko, Dekha Tere Tasavvur Mein,
HuM Chehron Mein Chehra Tera Dhundte Rahe,

Jo Baat Bhi Ki Kisise To, Ke Tera Hawale Se,
HuM Lehjo Mein Lehja Tera Dhundte Rahe,

Meri Deewangi Mein Kuch Kasoor Mera To Na Tha,
TaMaaM Kisse Mein HuM Apni Khata Dhundte Rahe,

Kabhi Kho Kar Paya Tujhko, Kabhi Paake Khoya,
Teri Jafaon Mein HuM Apni Wafa Dhundte Rahe...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2958 on: November 12, 2008, 06:54:55 AM »


Mere Naseeb Ne Jab Mujhse InteqaaM Liya,
Kahan Kahan Teri Yaadone Hath ThaaM Liya,

Fazaa Ki Aankh Bhar Aayi Hawa Ka Rang Uda,
Sakuut-E-ShaaM Ne Chupke Se Tera NaaM Liya,

Wo Main Nahi Tha Ek Harf Bhi Na Keh Paya,
Wo Bebasi Thi Ke Jisne Tera SalaaM Liya,

Har Ek Khushi Ne Tere GaM Ki Aabru Rakh Li,
Har Ek Khushi Se Tere GaM Ne InteqaaM Liya...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2959 on: November 12, 2008, 06:55:07 AM »



Tukde Tukde Din Bita, Dhajji Dhajji Raat Mili,
Jiska Jitna Aanchal Tha, Utni Hi Saugat Mili,

Jab Chaha Dil Ko SaMjhein, Hansne Ki Awaz Suni,
Jaise Koi Kehta Ho, Le Phir Tujhko Maat Mili,

Maatein Kaisi, Ghaatein Kya, Chalte Rehna Aath Paher,
Dil Saa Sathi Jab Paaya, Bechaini Bhi Saath Mili...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2960 on: November 12, 2008, 06:55:28 AM »



Dilki Baatein Bata Deti Hai Aankhein,
Dhadkano Ko Jaga Deti Hai Aankhein,

Dil Pe Chalta Nahi Jaadu Chehron Ka Kabhi,
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hai Aankhein,

Wo HuMse Baat Nahi Karte, To Na Kare,
Haaal Saara Unke Dilka Suna Deti Hai Aankhein,

GhaM Sada Rehta Hai, AadMi Ke Sath,
Ashq Bankar Chhalka Deti Hai Aankhein,

Aata Hai Jab Daur-E-Jawan, To Aye Doston,
Sundar Sapne Zehen Mein Basa Deti Hai Aankhein,

Maana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste,
Magar Kabhi Kabar Neend Uda Deti Hai Aankhein,

Aisa Shukar Hai Khuda Ne Ata Ki Aankhon Ki NeMat HaMein,
Dard-O-GhaM Saare Dil Ke Chhupa Deti Hai Aankhein...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2961 on: November 12, 2008, 06:55:50 AM »


Kya Kahoon Usse Ke Jo Baat SaMajhta Hi Nahi,
Wo Milne Ko Mulaqat SaMajhta Hi Nahi,

HuMne Dekha Hai Faqat Khwab Khuli Aankhon Se,
Khwaab The Wasl Ko Wo Raat SaMajhta Hi Nahi,

Maine Pahuchaya Use Jeet Ke Haar Khane Tak,
Meri Baazi Thi Meri Maat SaMajhta Hi Nahi,

Dukh To Mujhko Bhi Judayi Ki Ghadi Ka Hai Magar,
Aaj Kyon Sochein Har Ek Baat SaMajhta Hi Nahi...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2962 on: November 12, 2008, 06:56:12 AM »


Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saweron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhein Hain Ya Sajde Main Hai MasooM NaMazi
Palkein Khulti Hain To Yun Goonj Ke Uthati Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale NaMnaak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan KhataM Hui Ho
Teri Ankhein, Teri Thehri Hui GaMgeen See Ankhein
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Sachhi
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Ye Hayat

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2963 on: November 12, 2008, 06:56:42 AM »


Chalo Ke Raasta Purana Badal Ke Dekhte Hain
Yahan Se Door Thikana Badal Ke Dekhte Hain

Bahut Dinon Se Chali Aa Rahi Hai Shab Din Mein
Ye Teergi Ka ZaMana Badal Ke Dekhte Hain

Ye Kya Nishane Pe HuM Khud Aaye Jate Hain
Khala Mein Ab Ke Nishana Badal Ke Dekhte Hain

Mein Apni Ankhein TuMhe Dun TuM Apna Chehra Do
Khazane Se Ye Khazana Badal Ke Dekhte Hain

Yaqeen Nahin Hai Use Aitbar Aa Jaye
Kaho To Phir Bhi Bahana Badal Kar Dekhte Hain

Nigah Chahti Hai Ab Koi Naya Manzar
TuMhara Khwab Suhana Badal Ke Dekhte Hain

Khulos Dostan Jis Se Hua Hai KaM Asghar
Wo Bebasi Ka Fasana Badal Ke Dekhte Hain...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2964 on: November 12, 2008, 06:57:00 AM »



Tera Hijr Mera Naseeb Hai, Tera GaM Hi Meri Hayaat Hai,
Mujhe Teri Doori Ka GaM Ho Kyon, Tu Kahin Bhi Ho Mere Saath Hai

Mere Waaste Tere NaaM Par Koi Harf Aaye Nahi,
Mujhe Khaif-E-Duniya Nahi, Magar Mere Rubaru Teri Zaat Hai,

Tera Wasl Aye Meri Dilruba Nahi Meri KisMat To Kya Hua,
Meri Mehzabeen Yehi KaM Hai Kya Teri Hasraton Ka To Sath Hai,

Tera Ishq Mujhpe Hai Meharbaan Mere Dilko Haasil Hai Do Jahan,
Meri Jaan-E-Jaan Isi Baat Par Meri Jaan Jaaye To Baat Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2965 on: November 12, 2008, 06:57:27 AM »


Mohabbat MausaM Nahi,
Apni Muddat Puri Kare
Aur Rukhsat Ho Jaye,
Mohabbat Sawan Nahi Toot Kar Barse
Aur ThaM Jaye,
Mohabbat Aag Nahi, Sulge Bhadke
Aur Bujh Jaye
Mohabbat Aaftaab Nahi Ubhre ChaMke
Aur Dhal Jaye,
Mohabbat To Chand Ki Maanind Hai,
Jo Badhta Hai Ghutta Hai,
Nikalta Hai Chhupta Hai,
Magar Kabhi Fana Nahi Hota...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2966 on: November 12, 2008, 06:57:41 AM »


Ek MasooM Si UMMid Ka Haath ThaMe,
Ek MaddhaM Se Chirag Ke Saaye Mein,
Chale The Sehra Ko Gulistan Banane,
Kya Thi Khabar,
Ho Jayenge Yun Be-AMaan,
Mit Jayenge Raaston Ke Nishaan,
Lut Jayenge Karwan,
Reh Jayenge Be-Dast-O-Paa,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya,
Us UMMid Ko Panapne Hi Na Dete Kya,
Us Chirag Ko Jalne Hi Na Dete Kya,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya
Jo Likha Tha Muqaddar Mein Use Hona Hi Tha,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya?
Muqaddar Ko Apne Badal Dete Kya???


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2967 on: November 12, 2008, 06:57:55 AM »


Mere Pyaase Khwab Jazeeron Par,
UMMid Tadapti Rehti Hai,
Ek Aas Machalti Rehti Hai,
Ek Sawan Aag Lagata Hai,
Bin Barse Guzre Jata Hai,
Ye Jeewan Tanha Tanha Sa,
Ye Raahein Suni Suni Si,
Meri Jagi Jagi Aankhon Ko
Kyon Har Pal Chubhti Rehti Hai,
Kisi HaMdaM Ki Kisi Raah Ki,
UMMid Mein Jagti Rehti Hai,
Dil Seene Ke Is Pinjre Mein,
Kyon Bekal Bekal Rehta Hai,
KhaMoshi Ke Is Parde Mein,
Jane Mujhse Kya Kehta Hai,
HuM Khush Hai Bahut Ye Baat Alag
Har Saans Sisakti Rehti Hai

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2968 on: November 12, 2008, 06:58:17 AM »



ZakhM-E-Tanhayi Mein Khushbu-E-Hina Kiski Thi,
Saaya Deewar Pe Mera Tha Sada Kiski Thi,

Uski Raftaar Se Lipti Rahi Meri Aankhein,
Usne Mud Kar Bhi Na Dekha Ki Wafa Kiski Thi,

Waqt Ki Tarah Dabe Paanv Ye Kaun Aya Hai,
Main Andhera Jise SaMjha Wo Qabaa Kiski Thi,

Aansuon Se Hi Sahi Bhar Gaya DaaMan Mera,
Haath To Maine Uthaye The, Dua Kiski Thi,

Meri Aanhon Ki Zubaan Koi SaMajhta Kaise,
Zindagi Itni Dukhi Mere Siwa Kiski Thi,

Aag Se Dosti Uski Thi Jala Ghar Mera,
Di Gayi Kisko Saza Aur Khata Kiski Thi,

Maine Binaiyan Bo Kar Bhi Andhere Kaate,
Kis Ke Bas Mein Thi ZaMeen Abr-O-Hawa Kis Ki Thi,

Chhod Di Kis Liye Tune Duniya,
Justju Si Tujhe Har Waqt Bata Kiski Thi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2969 on: November 12, 2008, 06:58:44 AM »




Bas Itni Si Inaayat Mujh Pe Ek Baar Kijiye
Kabhi Aake Mere ZakhMon Ka Deedar Kijiye

Ho Jaiye Begane Aap Shaquq Se SanaM
Aapka HuM Aapka Rahungie Aitbaar Kijiye

Padne Waale Hi Dar Jaayein Dekh Kar Ise
Kitaab-E-Dil Ko Itna Na Daagdaar Kijiye

Na Majboor Kijiye, Ke Main Unko Bhool Jaaun
Mujhe Meri Wafaaon Ka Na Gunehgaar Kijiye

In Jalte Diyon Ko Dekh Kar Na Muskuraiye
Zara Hawaaon Ke Chalne Ka Intezaar Kijiye

Karna Hai Ishq Aapse Karte Rahenge HuM
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkaar Kijiye

Phir Sapno Ka Aashiyaan Bana Liya Hai Maine
Phir Aandhiyon Ko Aap Khabardaar Kijiye

HaMe Na Dikhaiye Ye Daulate Ye Shohrate
HuM Pyaar Ke Bhuke Hain HaMe Pyaar Kijiye

Logged
Pages: 1 ... 194 195 196 197 [198] 199 200 201 202 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 05:30:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.176 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer