Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 195 196 197 198 [199] 200 201 202 203 ... 273
Print
Author  (Read 133032 times)
angel4u
Guest
«Reply #2970 on: November 12, 2008, 06:59:27 AM »



Lafz EhMiyat Rakhte Hia,
Ye Lafz EhMiyat Rakhte Hai,
Kabhi Yeh Rooh Ko
Katal Kar Dete Hai,
Aur Kabhi
Ye Rooh Ko Jhulsa Dete Hai,
Lekin Ye Lafz Hi Hai
Jo Khwahishon Ke Tapte Hue Sehra Mein,
Jeevan Ke Phool Khila Dete Hia,
Ek Haare Hue Insaan Ko
Jeevan Ki Naveed Suna Dete Hai,
Kabhi Ye Saath Chhod Dete Hai,
Kabhi Ye Saath Chhudwa Dete Hia,
Kabhi Inke Zariye Nafrat
Doosron Ke Dilo Mein Utar Jati Hia,
Jo Rooh Ki Gehraiyon Ko Bhi
Zeher Zeher Kar Jaati Hia,
Lafzonki Wajashe Ye Zindagi
BeMaani Hoke Reh Jati Hai,
Aur Kabhi In Lafzon Ki Wajahse Ye Zindagi
Jannat Bhi Ban Jati Hia,
Kitni Takat Hai In Lafzon Mein,
Ke Zindagi Badal Jaati Hia,
Ye Lafz Hi Hia Jo Logonke
Dilon Ko Bhi Pigla Deti Hia,
Ye Lafz Hi Hia Jo JisM Ke Sath,
Rooh Ko Bhi Jhulsa Dete Hai,
Ye Lafz EhMiyat Rakhte Hai,
Ye Lafz EhMiyat Rakhte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2971 on: November 12, 2008, 06:59:49 AM »




ZakhM Jo Aap Ki Inaayat Hai Is Nishani Ko Kyaa NaaM De HaM
Pyaar Deewaar Ban Ke Reh Gaya Hai Is Kahani Ko Kya NaaM De HaM

Aap IlzaaM Dhar Gaye HaM Par Ek Ehsaan Kar Gaye HaM Par
Aap Ki Ye Meharbaani Hai Meharbaani Ko Kya NaaM De HaM

Aap Ko Yun Hi Zindagi SaMjha Dhoop Ko HaMne Chandni SaMjha
Bhool Hii Bhool Jis Ki Aadat Hai Ek Javaani Ko Kya NaaM De HaM

Raat Sapna Bahaar Ka Dekha Din Hua To Gubaar Sa Dekha
Bewafa Waqt Bezubaan Nikla Bezubani Ko Kya NaaM De HaM

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2972 on: November 12, 2008, 07:00:05 AM »



Itne Pyaare MausaM Mein,
Roothna Nahi Achha,
Roothne Manane Ki Baatein,
Kal Pe HuM Chhodte Hai,
Chhoti Si Zindagi Hai,
Aao Aaj Dosti Kar Lein,
Dosti Ke Bandhan Mein,
Roothna Kisne Sikha Hai,
Roothna Nahi Achha,
Roothne Manane Ki Baatien,
Kal Pe HuM Chhodte Hia,
Chhoti Si Zindagi Hai
Aao Aaj Dosti Kar Lein,
Dosti Ke Bandhan Mein,
Roothna Kisne Sikha Hia...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2973 on: November 12, 2008, 07:00:18 AM »



Ek Dilka Nazrana.....
De Kar TuM.....
Ehsan Jatane Lage.....
Maine To Kabse.....
Apni Har Saans.....
Tere NaaM.....
RaqaM Kar Rakhi Hia.....


Mujhe Zindagi Mein,
Har Wo Chiz,
Har Wo AMl,
Har Wo Baat,
Har Wo Bandhan,
Aur.....
Har Wo Rishta Pasand Hai,
Jiska Dosti Se Koi Taaluq Na Ho...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2974 on: November 12, 2008, 07:00:34 AM »

Akela Dekh Ke TuMko
HaMein Ehsaas Hota Hia,
Kabhi HuM Bhi Akele The,
Agarche Shahar Mein,
Dilke Liye Laakhon JhaMele The,
Hazaro Rang Ke Mele The,
Magar Itni Bahut Si Raunako Mein,
HuM Akele The,
Akela Dekhke TuM Ko
HaMein Ehsaas Hota Hia,
Kabhi HuM Bhi Akle The,
Phir Ek Din HuMne In Tanhaiyon Se Dosti Kar Li,
Akele Reh Ke Jeene Ka Kareena Aagaya HuMko,
Koi Bhi Rut Ho,
Apni Aankh Hargiz NaM Nai Rakhte,
Ye AalaM Hia Ke Ab
Tanhaiyon Ka GaM Nahi Rakhte,
Magar Phir Bhi HaMein Tanha Nazar Ata Hai Jab Koi
To Phir Ehsaas Hota Hai,
Kabhi HuM Bhi Akele The...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2975 on: November 12, 2008, 07:00:57 AM »



Tere Tabsarey Hai Bekhabar Meri Daastan-E-Hayaat Se,
Tu Keh Raha Hia Dil Jise Wo Meri Khwahishon Ki Mazaar Hia,

Tera Shukriya Aye Tabeeb-E-Jaan Ye Khaloos Apni Jagah Magar,
Teri Masihayi Bhi Kya Karein Mera Dard Hi Be-ShuMaar Hia,

Mere Raaston Mein Jo Aagaya Mere Qaafle Ko Jo Kha Gaya,
Wo Toofan To Kabka Guzar Gaya Par Dil Mein Ab Tak Gubaar Hia,

Aye Meherbaan Dost Sun Meri Mushkilon Ko SaMajh Ke Main
Teri Mohabbaton Ka Kya Karun Kise Dil Pe Ab Ikhtiyar Hai,

Naye MausaMon Ko Bulao Mat Ke Mujhe Khushbuon Ki Talab Nahi,
Meri Raah Rehne Do Khaar Khaar Mere Liye To Yehi Bahaar Hai,

Jo Nafraton Se Jhulas Gaya Use Dilse Saari Duwayein Do,
Par Us SitaM-Zada Ka Kya Karein Jo Mohabbaton Ka Shikar Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2976 on: November 12, 2008, 07:01:12 AM »




Masjidon-Mandiron Ki Duniya Mein,
Mujhko Pehchante Kahan Hai Log,

Roz Main Chaand Banke Aata Hoon,
Din Mein Suraj Sa JagMagata Hoon,

Khankhanata Hoon Maa'n Ke Gehno Mein,
Hansta Rehta Hoon Chhup Ke Behno Mein,

Main Hi Mazdoor Ke Paseene Mein,
Main Hi Barsaat Ke Maheene Mein,

Meri Tasveer Aankh Ka Aansu,
Meri Tehreer JisM Ka Jaadu,

Masjidon-Mandiron Ki Duniya Mein,
Mujhko Pehchante Nahi Jab Log,

Main ZaMeenon Ko Be-Jiyaa Karke,
AasMano Mein Laut Jaata Hoon,

Main Khuda Banke Kaher Dhaata Hoon...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2977 on: November 12, 2008, 07:01:28 AM »

Ye Aankhein Teri Jaise Do Kanwal,
Kehti Hain Chupke Se Koi Gazal

Ye Aankhein Teri Aur Inki Gehrayee,
Sunaati Hai Jaise Ye Dastaan Koi,

Ye Aankhein Teri Aur Inka Dard,
Dekha To Bas Tadap Uthe HuM

Ye Aankhein Teri, Yaane PaiMaane Do,
Khuda Ke Hain, Ye Nazraane Do,

Ye Aankhein Teri, Koi Jaadoo Hain InMein,
Dekhe To Bhool Jaayein Log Apne Raste,

Ye Aankhein Teri, Nahi In Jaisi Kahin,
Deewaana Kiya HuMe In Aankhon Ne Teri...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2978 on: November 12, 2008, 07:01:43 AM »
GaMon Ki Jo Faseel Hai,
Wo Is Kadar Taweel Hai,
Gazab To Hai Ye,
Ek Nahi
Faseel Dard Faseel Hai,

TuM Iski Manderon Par
Aarzuon Ke Tel Se
Charag-E-Dil Jalao Na

Zara Sa Muskurao Na...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2979 on: November 12, 2008, 07:02:03 AM »



Ab Bhi Shayar Rahoon, Kiski Khatir Rahoon,
Kaun Hia Jo Mere Lafz-O-Manai Ki Aankhonse Behte Hue,
Aansu Mein Chhipe Dard Chunta Phire,
Khwab Bunta Phire, Kauun Hai Jo Mere Khoon Hote Dil Hue Dilki Awaz Par,
Apni Awaz Ke Honth Rakhta Phire,
Kaun Aankhein Meri Dak Kar Ye Kahe,
Kya Hua Jaane Jaan Kabse Soye Nahi,
Isse Pehle Itna Roye Nahi
Ab Bhala Kiske Liye Khoobsurat Si Aankhein Pareshan Hai,
Apni Halat Pe Khud Itna Hairan Hai,
Kaun Bechain Ho Kaun Betaab Ho,
MausaM Hijr Ki ShaaM-E-Tanhayi Mein Abla Pai Mein,
Kaun Ho HuMsafar
Gird Hai Reh Guzar
Koi Rasta Nahi,
Koi Raah Nahi,
Dar Pe Dastak Ki Koi Gawahi Nahi,
Dilke Weeran-O-Barbaad Safahaat Par,
Jis Kadar Lafz Likhe The Bekaar Hia,
Ek LaMbi Judai Ka Asar Hai,
Sochti Hoon Ke Ab
In Khayalon Se Khwab Se Bahar Rahoon,
Kyon Main Shayar Rahoon,
Kiski Khatir Rahoon???

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2980 on: November 12, 2008, 07:02:23 AM »

HaMein DushMan Ki Nigahon Se Na Dekha Kijiye,
Pyar Hi Pyar Hain HuM, HuM Pe Bharosa Kijiye

Chand Yaadon Ke Siwa Haath Na Kuch Aayega
Is Tarah UMr-E-Garezaa'n Ka Na Peecha Kijiye

Roshni Auro Ke Aangan Mein Gawara Na Sahi
KaM Se KaM Apne Hi Ghar Mein To Ujaala Kijiye

Kya Khabar Kab Woh Chale Aayenge Milne Ke Liye
Roz Palkon Pe Nayi ShaMMa'en Jalaya Kijiye...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2981 on: November 12, 2008, 07:02:44 AM »

Apni Ana Ke Saare Sheeshe Chakna Chur Hue,
HuMne Jinpe Gazlein Sochein Unko Chaha Logone,
HuM Kitne BadnaaM Hue Woh Kitne Mashoor Hue,
Tarq-E-Wafa Ki Saari KasMein Unko Dekhke Toot Gayi,
Unka Naaz SalaMat Thehra HuM Hi Zara Majboor Hue,
Ek Ghadi Ko Ruk Kar Puchha Usne To Ahwal Magar,
Baqi UMar Na Mud Kar Dekha HuM Aise Magroor Hue,
Ab Ke Inki BazM Mein Jane Ka Gar Mohsin Izn Mile,
ZakhM Hi Inki Nazar Guzarein, Ashq To Na Manzoor Hue,
TuMne Bhi Thukra Hi Diya Hia Duniya Se Bhi Door Hue...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2982 on: November 12, 2008, 07:03:24 AM »


Bina Tere Koi MausaM Achha Nahi Lagta,
Nazar Ko Koi Bhi Manzar Haseen Achha Nahi Lagta,

Main Kaise Kahun Tujhse Bina Tere Bahut Khush Hoon,
Na Ho Gar Paas Tu Mujhk Kahin Achha Nahi Lagta,

Koi Dekhe Teri Janib Nahi Manzoor Ye Mujhko,
Na Ho Tujhko Is Baat Ka Yaqeen Achha Nahi Lagta,

Kabhi To Haan Keh De Dilke Rakhne Ke Liye Janan,
Tera Har Baat Pe Kehna Naa Achha Nahi Lagta...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2983 on: November 12, 2008, 07:04:51 AM »

Uska Chehra Kitab Jaisa Hia,
Naqsh Har Intihab Jaisa Hai,

Fasla Qurbat Bane To Kaise,
Had-E-Nazar Sarab Jaisa Hai,

Qurbatein Gul Ruhoon Ka Har LaMha,
Ek Shagufta Gulab Jaisa Hia,

Mera Haal To Dekh Le Zara,
Kisi Khana Kharab Jaisa Hia...


Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2984 on: November 15, 2008, 09:34:07 AM »

Usne Kaha Tu Kaun, Maine Kaha Hasrat Teri,
Usne Kaha Chahta Hai Kya, Maine Kaha KhidMat Teri,
Usne Kaha Dekhta Hai Kya, Maine Kaha Soorat Teri,
Usne Kaha Mangta Hai Kya, Maine Kaha KisMat Meri,
Usne Kaha Khwahish Hai Kya, Maine Kaha Chahat Teri,
Usne Kaha Kya MuMkin Nahi Duniya Mein, Maine Kaha QeeMat Teri,
Usne Kaha Achhi Lagti Hai Kya, Maine Kaha Aadat Teri,
Usne Kaha Dil Mein Hai Kya, Maine Kaha Aqeedat Teri,
Usne Kaha Izhar Kar Paoge, Maine Kaha Zaroorat Meri,
Usne Kaha Paas Hai Kya, Maine Kaha Mohabbat Teri,
Usne Kaha Aarzu Hai Kya, Maine Kaha Rafaqat Teri,
Usne Kaha Kis Chiz Se Darte Ho, Maine Kaha Nafrat Teri,
Usne Kaha Poojte Ho Kya, Maine Kaha Soorat Teri,
Usne Kaha Dil Hai Paas, Maine Kaha AManat Teri,
Usne Kaha Seh Paoge Tanhayi, Maien Kaha Ye HiMMat Meri,
Usne Kaha Baksh Dun Kya, Maine Kaha Ibaadat Teri,
Usne Kaha Is JurM Ki Saza Paoge, Maine Kaha Wo Sirf Adalat Teri,
Usne Kaha Chahte Ho Kya, Maien Kaha Sirf Zaroorat Teri,
Usne Kaha Dil Mein Basa Lun TuMko, Maine Kaha Hai Ijazat Meri,
Usne Kaha Pasand Hai Kya, Maine Kaha Sadaqat Teri,
Usne Kaha Milne Se Kyon Darte Ho, Maine Kaha Hai Anokhi Mohabbat Meri...





Kuch alag hi andaaz Hai Iska..badhiya sa sharing.
IsMe Jo Lafz Istemal Hue wo bahut hi badhiya hai,,Tarteeb bhi Lafzo ki.


Huzee Ne Kahaa Yo.Ko chhod do,,Maine Kahaa Puri Karuga arzu Teri
 
Logged
Pages: 1 ... 195 196 197 198 [199] 200 201 202 203 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 11:38:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.211 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer