Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 196 197 198 199 [200] 201 202 203 204 ... 273
Print
Author  (Read 133028 times)
Muhammed
Guest
«Reply #2985 on: November 15, 2008, 10:01:18 AM »


Lafz EhMiyat Rakhte Hia,
Ye Lafz EhMiyat Rakhte Hai,
Kabhi Yeh Rooh Ko
Katal Kar Dete Hai,
Aur Kabhi
Ye Rooh Ko Jhulsa Dete Hai,
Lekin Ye Lafz Hi Hai
Jo Khwahishon Ke Tapte Hue Sehra Mein,
Jeevan Ke Phool Khila Dete Hia,
Ek Haare Hue Insaan Ko
Jeevan Ki Naveed Suna Dete Hai,
Kabhi Ye Saath Chhod Dete Hai,
Kabhi Ye Saath Chhudwa Dete Hia,
Kabhi Inke Zariye Nafrat
Doosron Ke Dilo Mein Utar Jati Hia,
Jo Rooh Ki Gehraiyon Ko Bhi
Zeher Zeher Kar Jaati Hia,
Lafzonki Wajashe Ye Zindagi
BeMaani Hoke Reh Jati Hai,
Aur Kabhi In Lafzon Ki Wajahse Ye Zindagi
Jannat Bhi Ban Jati Hia,
Kitni Takat Hai In Lafzon Mein,
Ke Zindagi Badal Jaati Hia,
Ye Lafz Hi Hia Jo Logonke
Dilon Ko Bhi Pigla Deti Hia,
Ye Lafz Hi Hia Jo JisM Ke Sath,
Rooh Ko Bhi Jhulsa Dete Hai,
Ye Lafz EhMiyat Rakhte Hai,
Ye Lafz EhMiyat Rakhte Hai...


"I Love U..."
Huzee
Waqaee Lafz badi Ehmiyat Rakhte Hai...
Shabdo Ka ati sukshmata se vivran kiya Gaya hai Isme..


Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2986 on: November 15, 2008, 10:08:03 AM »
shut up

Jaata Hun...Jaata Hun...Fir Kabhi Nahi aauga'
Soch le..
baar baar shut up..achha nahi lagta tere moonh se.

dekh wo Shareef bhi chala gaya Main bhi Jaata Hun...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #2987 on: November 16, 2008, 04:18:12 AM »
Angel sahiba itna kuchh likha gaya hai ke kam waqt mein sab padhna mumkin nahi, albattah jo kuchh padha bohot hi umda paya, mein kuchh halat ki wajah se bohot kam hi waqt nikal pata hun, aaj bohot dinon baad aaya is ke liye sharmindah hun, apni umda peshkash jaari rkahiye, or isi tarah YO ke khazane mein izafa karte rahiye, bohot koob
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2988 on: November 18, 2008, 08:48:42 AM »
Angel sahiba itna kuchh likha gaya hai ke kam waqt mein sab padhna mumkin nahi, albattah jo kuchh padha bohot hi umda paya, mein kuchh halat ki wajah se bohot kam hi waqt nikal pata hun, aaj bohot dinon baad aaya is ke liye sharmindah hun, apni umda peshkash jaari rkahiye, or isi tarah YO ke khazane mein izafa karte rahiye, bohot koob

Bahut shukriya padhne ke liye aur tarif karne ke liye,
aap apne busy schedule se itna waqt nikal ke padh paate hia wo hi mere liye bahut hai. really thankful for that.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2989 on: November 18, 2008, 08:49:28 AM »
Jaata Hun...Jaata Hun...Fir Kabhi Nahi aauga'
Soch le..
baar baar shut up..achha nahi lagta tere moonh se.

dekh wo Shareef bhi chala gaya Main bhi Jaata Hun...

to aisi baatein kyon karte ho?
kahan gaya shareef? idhar hi to hia...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2990 on: November 20, 2008, 02:39:35 AM »

Sharbati Kaanch Ki Tooti Hui Nazuk Choodi....

Ek Aanchal Se Bandha Hai Sab Kuch,
Ek Tasveer Aur Tasveer Pe Bheege Hue Honth,
Ek Sandal Ki Unabi Pencil,
Ek Beyrabt Ka Ukhda Hua Khat,
Ek Adad Card
Jisko Chhune Se Teri Yaad Chali Aati Hai,
Aur Is Card Mein Rakhi Hui Ekloti Palak,
Jisse Maanoos Duwaon Ki Mehek Aati Hai,
Kisi GuMnaaM Se Shayar Ka Adhura Misra,
Ek Paazeb Se Bichhda Hua Ujla Moti,
Ek Murjhayi Hui Zard Chanbali Ki Kali,
Jis Mein Ab Bhi Teri Zulfon Ke Bhanwar Lipte Hia,
Ek Boseeda Sa Question Paper,
Jiske Kone Pe Likha NaaM Abhi Taaza Hia,
Sharbati Kaanch Ki Tooti Hui Nazuk Choodi,
Ek Toota Hua Halka Sa Gulabi Nakhun,
Ek Gadla Sa Tissue Paper Bhi,
Jispe Mehke Hue Ashkon Ke Nishan Zinda Hia,
Yehi Daulat Hai Yehi Kuch Asaasa Mera,
Yehi Daulat Hai Yehi Kuch Asaasa Mera,
Ek Aanchal Se Bandha Hia Sab Kuch,
Ek Bheege Hue Aanchal Se Bandha Hia Sab Kuch,

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2991 on: November 20, 2008, 02:39:51 AM »



Mohabbat Raaz Thi Mujhpar,
Hui Mujh Par Ayaan Aise,
Teri Baatein,
Tera Chehra,
To Shayad Ek Bahana Tha,
Ye Tha Ek Raaz-E-Fitrat,
Ya Thi Koi AazMayish Ye,
Ke Khaliq Ko Mere
Bande Ko Apne AzMana Tha,
Nafi Thi Zaat Ki Meri,
Ana Ka Katal Tha Meri,
Thi Ye Ek Shart Ke
Mehboob Ki Hia Bandagi Karni,
Main Rota Tha, Sisakta Tha,
Magar Mehboob Tha Ke,
Sang-E-MarMar Ka Butt Ho Jaise,
Sadayein Be-Asar Thi,
The Sajde Be-Maani,
Phir Ek Din Yun Hua,
Ke Jo Utha Sajde Se Sar Mera,
To Paaya SaMne Khud Ko,
Main Karta Tha Ibaadat,
Khud Hi Apni Zaat Se Shayad,
Mohabbat Yun MukaMMil Ho Gayi Thi...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2992 on: November 20, 2008, 02:40:05 AM »


Na Tujhpe Jafa Ka Koi IlzaaM
Na Main Apni Ulfat Pe SharaMsaar,
Tagaaful Na PeshayMaani Na Koi Shikayat,
Bas Zindagi Ko Dekha Apne Apne Andaz Se HuMne,

Main Ishq Ko SaMajhta Hu Zindagi Ka Mukaddar,
Tune Mukaddar Ko Bas Zindagi SaMjha,
Main Jin ZulMaton Pe Uthata Raha Barbat-E-Bagawat,
Tune Unhi Aqaayud Ko Roshni SaMjha,

Main Banata Hi Raha Haseen Khwabon Ke Gharonde,
Mujhko Na Tha Pata Ke Tere Guzar InMein Kahan,
Tu To Dhundti Phirti Thi Ek Kafas Sandali,
Mere Tasavvur Mein Tha Tere Liye Ek Azad Jahan,

Maine To Chaha Tha TuM HuMqadaM Hoke Chalo,
TuMne Vise Mein Pyaa Hai Magar Aqeedat Ka BharaM,
Meri Ulfat To Thi Barabar Ki Dosti,
Teri Ulfat Rahi Meri Mohtaaj-E-KaraM,

Meri TaManna Thi Ke Tu Mujhe "Tu" Hoke Mile,
Tune Khud Hi Ko Apni Bikle Ke Liye Pala Tha,
Meri Hasrat Ki Tu Ise Apne Ehsaas Mein Rakh Kar Ke Jiye,
Tune Parastish Ke Liye Jise Ab Talak SaMbhala Tha,

Na Tujhse Thi Mujhe Parastish Ki Aarzu,
Na Khud Mujhe Tha Shauq-E-Aqeedat,
Main Tujh Mein Dhundta Phirta Tha Ek Khuddar Mehboob,
Aur TuMko Pyari Thi Apne Purkho Ki Viraasat...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2993 on: November 20, 2008, 02:40:34 AM »


Na Socha Na SaMjha Na Seekha Na Jaana,
Mujhe Aa Gaya Khud-Ba-Khud Dil Lagana,

Zara Dekh Kar Apna Jalwa Dikhana
SiMat Kar Yahin Na Aa Jaye ZaMana

Zuban Par Lagi Hai Wafaon Ki Mohrein
KhaMoshi Meri Keh Rahi Hai Fasana

Gulon Tak Lagayi To Asaan Hai Lekin
Hai Dushwar Kaanton Se DaaMan Bachana

Karo Lakh TuM MataM-E-Nojawani
Per 'Mir' Ab Nahi Aayega Woh ZaMana

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2994 on: November 20, 2008, 02:41:01 AM »



Mere Aansuon Pe Nazar Na Kar, Mera Shikwa Sunke Khafa Na Ho,
Use Zindagi Ka Bhi Haq Nahi Jise Dard-E-Ishq Mila Na Ho,

Ye Inayatein Ye Nawazishein, Mere Dard-E-Dil Ki Dawa Nahi,
Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai Jo Ada Shanaas-E-Wafa Na Ho,

Tujhe Kya Bataun Main Bekhabar Ki Hai Dard-E-Ishq Mein Kya Asar,
Ye Hai Wo Latif Si Kaifiyat Jo Zuban Tak Aayi Ada Na Ho,

Ye Sharaab Rez-E-Hasin Ghataa Jo Hai "Kaif" Naazish-E-Maykada,
Kisi Tashnaa-KaaM Ki Aarzu Kisi Tashna-Lab Li Dua Na Ho...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2995 on: November 20, 2008, 02:41:12 AM »

Ek Gazal Uspe Likhoon Dilka Takaza Hai Bahut,
In Dino Khudse Bichhad Jaane Ka Dhadaka Hai Bahut,

Raat Ho Din Ho Gaflat Ho Ke Bedaari Ho,
Usko Dekha To Nahi Hai Use Socha Hai Bahut,

Tashnagi Ke Bhi MuqaaMaat Hai Kya Kya Yaani,
Kabhi Dariya Nahi Kaafi, Kabhi Qatraa Hai Bahut,

Mere Haathon Ki Laqeeron Ke Izaafe Hai Gawah,
Maine Paththar Ki Tarah Khudko Taraasha Hai Bahut...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2996 on: November 20, 2008, 02:41:36 AM »



Jiska Dar Tha Wohi Haadsa Ho Gaya,
Uska Mujhse Alag Raasta Ho Gaya,

Wo Chala ThaaM Kar Haath Mera Magar,
Bich Raaste Mein Mujhse Juda Ho Gaya,

Koi Saya Nahi Tha Kadi Dhoop Mein,
Dil Pighalte Pighalte Fana Ho Gaya,

Maine Dekha Jise Maine Socha Jise,
Jisko Chaha Wohi Bewafa Ho Gaya...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2997 on: November 20, 2008, 02:41:52 AM »



Mohabbat Ek Shajr Hai,
Aur Shajr Ko Isse Kya Matlab
Ke Iski Chhanv Mein Koi
Thaka Hara Muskafir Aake Baitha Hai,
Ab Iska Rang Kya Hai,
Nasl Kaisi Hia?
Kahanse Aya Hai?
Isse Kis SiMt Jana Hai?
Shajr Ka KaaM To Bass
Chhanv Dena Aur Dhoop Sehna Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2998 on: November 20, 2008, 02:42:22 AM »



Dukhon Ko Seene Se Lagaya, Talkh Yadoon Ko Apnaya
Tujh Ko Bhool Kar Bhi HuM Ne, Tujhi Ko Hai Paya
Jo Kabhi Kathin Raahon Par Chalne Ka Rawadar Tha
Aaj Meri Tanhaiyone Hai Us Ko Hansaya
Kya Ab Us Par Itna Bhi Haq Nahi Mera
Ke Nigaah Milte Hi Woh Yun Dariche Se Utar Aya
Chand Haseen Mulaqatein Aur Kayee Tanha Ratein
Bus Yahi Hain Mere Zindagi Ka Kul SarMaya
Ajeeb Kurab Mein Mubtela Hai Hayaat-E-Muaviya
Shab-E-Firaaq Ne Nahin, Wisal-E-Yaar Ne Hai Rolaya.

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2999 on: November 20, 2008, 02:43:21 AM »



Mohabbat Baksh Deti Hai
Kabhi Raanaiyan Aisi,
Ke Jaise Dhoop Ke Hote
Kabhi Badal Baras Jaye
Ke Jaise Bin Kahe Koi
Kahin Dil Mein Utar Jaye
Kahin Pariyon Ki Waadi Mein,
Bade Se Takht Par Baithe
Koi Phoolon Ke DaMan Se
Koi Rangon Ke Aanchal Se,
Saron Par Saayebaan Kar De,

Mohabbat Baksh Deti Hia,
Kabhi Tanhaiyan Aisi
Ke Jaise Aag Si Barse
Jo Sara Tan Jala Rakhe,
Ke Jaise Dhoop Ke Honthonko
Shole Phir Jala Baithe,
Ke Jaise Raste Mein Hi
Koi Raahi Bhatak Jaye,
Ke Jaise Man Ke Andar Kuch,
Achanak Se Toot Sa Jaye,
Ke Jaise Dil Pighal Jaye
Mohabbat Kya Hai Phir Socho
Kya Ra'anai Ya Tanhayi???

Logged
Pages: 1 ... 196 197 198 199 [200] 201 202 203 204 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 10:40:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.25 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer