Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 273
Print
Author  (Read 133973 times)
angel4u
Guest
«Reply #30 on: November 17, 2006, 08:02:34 PM »

Jis Chirag Ko Apne Dam Se Jalaya Hia,
Usi Chirag Ne Mera Aashiyan Jalaya Hai,

Bachaya Tha Jisko Hawa Ke Ek Jhonke Se Bhi,
Usine Aaj Mujhe Toofan Mein Fansaya Hai,

Darun Kyon Na Ab Chiragon Se Main Ke
Ek Jala Tha Mere Ghar Ab Raqeeb Ke Ghar Ujala Hai,

Jism Par Jalne Ke Nishaan Uar Daman Par Kaale Daag Kaise
Chiragon Ki Sohbat Mein Bas Maine Yehi Paya Hai...
* * * * * {Nm}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #31 on: November 17, 2006, 08:03:44 PM »

Chalo Is Shaam Koi Aur Hi Kissa Sunate Hai,
Chalo Is Shaam Usko Hum Sire Se Bhool Jaate Hia,
Chalo Is Shaam Koi Aane Wala Khwab Bunte Hia,
Chalo Is Shaam Kaliyan Nahi Kaanto Ko Chunte Hia,
Chalo Is Shaam Jashn-E-Tergi Hans Kar Manayein Hum,
Chalo Is Shaam Usko Phir Sire Se Bhul Jayein Hum...
* * * * * {Nm}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #32 on: November 18, 2006, 07:37:18 PM »
TUM! TUM HO NA!
jisne mujhse
mera maazi chhin kar,
uske purze purze kar dalein hai,
bawajood ye jaanne ke
mujhe kitaab-e-maazi ka har lafz yaad hia,
tum kyon ek nayi kitab likh rahe ho mere andar,

tum! tum hi ho na,
jisne har lamha bina lafzon ke mujhse baat ki hai,
tum! tum hi ho na
kaash tumhe koi "TUM" na rehne de,
jis tarah tumen mujhe "MAIN" nahi rehne diya...
* * * * *nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #33 on: November 18, 2006, 07:39:15 PM »
Us mod se shuru karein phir ye zindagi,
har shay jahan haseen thi, hum tum the ajnabi,

lekar chale the hum jinhein jannat ke khwab the,
phoolon ke khwab the wo mohabbat ke khwab the,
lekin kahan hai un mein wo pehli si dilkashi,

rehte the hum hasin khayalon ki bhid mein,
uljhe hue hai aaj sawalonki bhid mein,
aane lagi hia yaad wo fursat ki har ghadi,

shayad ye waqt humse koi chaal chal gaya,
rishta wafa ka aur hi rangon mein dhal gaya,
ashkon ki chandni se thi behtar wo dhoop hi...
* * * * *nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #34 on: November 18, 2006, 07:41:07 PM »
Koi puchhe to main kya kahoon,
usse kya bataun,
ye roz-o-shab to janam janam par muheet hai,
mere zakhm zakhm dil-o-nazar
mujhe is janam mein nahi mile,
mere ratt-jage mere humsafar
mere sath aaj nahi chae,
ye maheeb wehshat-e-fikar jo
mere naksh naksh ki rooh hai,
koi be-sabaat bayan nahi,
ye aasmaon ka aks hai,
Ye to dewtaon ka dhyan hai,
ye to jane kaise
sadi sadi ki aziyaton ka bayan hai,
ye ajeeb mere gham-o-alam
ye naseeb sang-e-siyaah par,
ye warq warq pe gadhe qalam,
ye qaraa hisar naya nahi
mera intezaar qadeem hai,
mera usse pyaar qadeem hai,
ye ajeeb meri mohabbatein...
* * * * * nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: November 18, 2006, 07:42:29 PM »
Mere labon pe saji hai dua kisike liye,
mere khuda mujhe hansna sikha kisike liye,

mujhe yaqeen hai ye mujhse na ho sakega magar,
main kar raha hoon kisise wafa kisike liye,

nahi milunga agar kho diya tune
na apne haath se ganwa mujhe kisike liye,

mere janoon ko to ye baat bhi ganwara hai,
mere liye na sahi phir bhi aa kisike liye,

main saath saath hoon uske baadbaan ki tarah,
mere khuda meri saansein badha kisike liye...
* * * * *nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #36 on: November 18, 2006, 07:45:05 PM »
zabt-e-gam-e-dil aasan, izhar wafa mumkin
hone ko ye sab mumkin, milna tera na mumkin

nalon ka sar mumkin, taseer dua mumkin
is hone pe har shey ke, kuch bhi na hua mumkin

is alam imkan mein kya hai jo hai namumkin
dhoondo to mile unqa, chaho, khuda mumkin

jis ko teri kwahish mein dunya se nahin matlab
us ke liye yaksan hai har mumkin o namumkin

be ja bhi sahi shikwa, gussa tumhein kyon aya
mein bhi to bashr hi hon, insan se khata mumkin

do gaz hai zameen kafi, basti ho ke weerana
parr rehne ko jaa aasan, marmitne ko jaa mumkin

marna wo hi chahe ga, jeena jise mushkil ho
phir zaher hi kyon khate, hoti jo dawa mumkin

aye aarzoo mein hon aur ishq ki ruswaee
khamosh bhi gar bethon chatcha na ho kya mumkin
* * * * *
nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #37 on: November 18, 2006, 07:46:34 PM »
Ye tajurba bhi karun ye bhi kar dikhlaun main,
ke khudko yaad rakhun usko bhool jaun main,

fareb-e-kaar mein kuch to hai koi baat to hia,
ki jaan bujh ke itne fareb khaun main,

Wo pal kahan hai jo dunia se jodta tha mujhe,
jo paun tujhko to sabke kareeb aaun main,

Kabhi to ho mere ehsaas-kam-tari mein kami,
kabhi to ho ke use khulke aaun main,

wo shakhs hai ke naseem-e-saher ka jhonka hia,
bikhar hi jaun jo usko gale lagaun main,

azan ke baad dua ko jo haath uthaye wo,
ya khuda apni namazein bhi bhul jaun main...
* * * * *
nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #38 on: November 18, 2006, 07:47:32 PM »
Zara sa qatra kahin aaj agar ubharta hia,
samandaron hi ke lehje mein baat karta hai,

khuli chahaton ke diye kab ke bujh gaye hote,
kio to hai jo hawaon ke par katarta hai,

sharafaton ki yahan koi ehmiyat hi nahi,
kisika kuch na bigado to kaun darata hai,

zameen ki kaisi vikaalat ho phir nahi chalati,
jab aasman se koi faisla utarta hia,

tum aa gaye ho to phir kuch chandni si baatein ho,
zameen pe chand kahan roz roz utarta hai...
* * * * *
nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #39 on: November 18, 2006, 07:49:05 PM »
Usne mujhse kaha
mere saathi!
tumko mujhse jo hai gila, kya hai?
kabhi fursat mile to socho,
manzilein kyon hai? fasla kya hai?
apne apne safar pe nikle log,
mushtarka raaston pe chalte hai,
humraahi ke hisar mein jitne,
din nikalte, chirag jalte hai,
apni apni ummid ke dar-o-baam
zindagi ke safar mein milte hai,
mutaqil dard, aarzi aram

Tum mere humsafar to ho lekin,
hum kahin se bichhad bhi saket hai,
der tak ek taweel raaste par
saath to ajnabhi bhi chalte hai...
* * * * *nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #40 on: November 18, 2006, 07:51:36 PM »
Aankhon ko intezaar ka de kar hunar chala gaya,
chaha tha ek shakhs ko jaane kidhar chala gaya,

dinki wo mehfilein gaye raaton ke ratt-jage gaye,
koi samet kar mere shaam-o-sahar chala gaya,

jhonka hai ek bahar ka rung-e-khayal yaar bhi
har soo bikhar bikhar gayi khushbu jidhar chala gaya

iske hi dum se dil mein aaj dhoop bhi chandni bhi hai
de ke wo apni yaad ke shams-o-qamar chala gaya

kuncha ba kuncha dar-badar kabse bhatak raha hai dil
hum ko bhula ke raah wo apni dagar chala gaya
* * * * *
nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #41 on: November 18, 2006, 07:54:01 PM »
Tasveer ne phir mujhko dikhaya wohi lamha,
ye to wohi lamha hai khuda ya, wohi lamha,

aankhein hain kisi manzar gum gashta ki zad mein,
maazi se mujhe dhoondta aya wohi lamha,

wo jisko bhulane mein kayi saal lage the,
ek lamha gaflat mein dar aaya wohi lamha,

bikhre the mere samne yaadonke nagine,
heere ki tarah chunke uthaya wohi lamha,

jugnoo ki tarah hai mere atraf mein lekin,
dhoonda to kabhi haath na aya wohi lamha...
* * * * *
nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #42 on: November 18, 2006, 07:55:14 PM »
Use maine hi likha tha
ke lehje barf ho jayein
to phir pighla nahi karte,
parinde dar ke udd jayein,
to phir lauta nahi karte,

use maine likha tha,
yakeen ek baar uth jaye,
kabhi wapas nai aata,
hawaon ka koi toofan
kabhi baarish nahi laata,

use maine likha tha,
jo sheesha toot jaye to,
kabhi phir jud nahi paata,
jo raste se bhatak jaaye,
wo wapas mud nahi paata,

use kehna,
wo be-maani adhura khat,
use maine hi likha tha,

use kehna ke deewane mukammal khat nai likhte...
* * * * *nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #43 on: November 18, 2006, 07:57:59 PM »
ek bar mil ke phir na kabhi umr bhar mile
do ajnabi thai hum jo sar-e-rahguzar mile

kuch manzilon ke khwaab the kuch raston ki dhoop
nikle safar pe hum to yehi humsafar mile

yon apni sarsari si mulaqat khud se thi
jaise kisi se koi sar-e-rahguzar mile

ek shakhs kho gaya hai jo raste ki bheer mein
us ka pata chale to kuch apni khabar mile

apne safar mein yun to akela main magar
saya sa ek, raah ke har morr pe mile

barson mein ghar hum aye to begana war aaj
hum se khud apne ghar ke hi deewar-o-dar mile

makhmoor hum bhi raqs karein moj gul ke sath
khul kar jo hum se mausam-e-deewana gar mile
* * * * *nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #44 on: November 18, 2006, 07:59:24 PM »
Wo keh ke chale itni mulaqat bahut hia,
maine kaha ruk jao abhi raat bahut hia,

aansu mere tham jayein to phir shauk se jana,
aise mein kahan jaoge barsat bahut hai,

wo kehne lage jana mera bahut zaroori hia,
nahi chahti dil todun tera par majboori hai,

gar hui ho khata to maaf kar dena,
maine kaha hojao chup itni kahi baat bahut hai,

samajh gaya hoon sab aur kuch kaho zaroori nahi,
bas aaj ki raat ruk jao, jana itna bhi zaroori nahi,

phir kabhi na aunga tumhari zindagi mein laut ke,
saari zindagi tanhayi ke liye aaj ki raat bahut hai...
* * * * *nm
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:17:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer