Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24 25 ... 273
Print
Author  (Read 132825 times)
angel4u
Guest
«Reply #300 on: February 10, 2007, 08:46:14 PM »

Ab So Jao
Kyon Raat Ki Ret Pe Bikhre Hue
Taaron Ke Kankar Chunti Ho?
Kyon Sannate Ki Silwat Mein
Lipti Awazein Sunti Ho
Kyon Apni Pyaasi Palkon Ki Jhalar Mein
Khwab Piroti Ho
Kyon Roti Ho?

Ab Kaun Tumhari Aankhon Mein
Sadiyon Ki Nind Undelega?
Ab Kaun Tumhari Chahat Ki
Haryali Mein Khil Khilayega
Ab Kaun Tumhari Tanhayi Ka
Andekha Dukh Jhelega?

Ab Aisa Hai___________?

Ye Raat Musalat Hai Jab Tak
Ye Shamayein Jab Tak Jalti Hai,
Ye Zakham Jahan Tak Chubhte Hai,
Ye Saansein Jab Tak Chalti Hai,

Tum Apni Sochke Jungle Mein Raah Bhatko Aur Kho Jao!!
Ab So Jao...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #301 on: February 10, 2007, 08:49:48 PM »

Bas Ek Wakt Ka Khanjar Meri Talash Mein Hai,
Jo Roz Bhes Badal Kar Meri Talash Mein Hai,

Main Katra Hoon Mera Alag Wajood To Hai,
Hua Kare Jo Samundar Meri Talash Mein Hai,

Main Devta Ki Tarah Qaid Apne Mandir Mein,
Wo Mere Jism Ke Bahar Meri Talash Mein Hai,

Main Jiske Haath Mein Ek Phool Deke Aya Tha,
Usike Hath Ka Pathar Meri Talash Mein Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #302 on: February 10, 2007, 08:52:42 PM »

Wo Mujhe Yaad To Aata Hai
Magar Is Tarah
Jaise Barson Pehle
Bichda Hua Musafir
Thak Haar Ke Ghar Ko Laute
Jaise Maazi Ki Kuch Talkh Yaadein
Kabhi Aa Kar Dastak Dein
Magar Un Dastak Ka Koi Jawab Tak Na Aaye
Jaise Kitab Mein
Rakha Hua Ek Gulab Ka Phool
Jo Kab Ki Apni Qadar Kho Chuka Ho
Wo Mujhe Yaad To Aata Hai
Magar Is Tarah Jaise
Hawa Ka Ek Jhoonka
Jo Pal Bhar Ko Thehre
Aur Guzar Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #303 on: February 11, 2007, 06:22:59 PM »

Ye Aarzu Hi Rahi Koi Aarzu Karte,
Khud Apni Aag Mein Jalate Jigar Lahoo Karte,

Tere Jamaal Ka Paratao Nigaah Mein Hota,
Kabhi Saba Se Kabhi Gulse Guftagu Karte,

Tere Khayal Mein Gum Hoke Ek Gazal Kehte,
Aur Us Gazal Ko Na Ruswa Kubakoo Karte,

Hum Ahl-E-Dil Ko Bahut Tha Ye Nasha-E-Gam Bhi,
Usi Sharab Se Raushan Subu-Subu Karate,

Ye Ehtaraam-E-Junoon Hai Ke See Liya Daaman,
Wagarna Ek Tamasha-Sa Kubakoo Karte,

Hamein Yakeen Hai Ke Gar Tu Kareeb Bhi Hota,
To Door Jaake Kahin Teri Justaju Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #304 on: February 12, 2007, 08:18:00 PM »

Naveed-E-Subah Mili Shabse Rabta Toota,
Khuli Jo Ankh Sarabon Ka Silsils Toota,

Mera Wajood Bhi Do Neem Ho Gaya Tha Wahan
Jahan Pe Ehl-E- Mohabbat Se Rabta Toota

Tamam Raat Bune Khwaab Us Ki Yaadoon Ke
Gujar Baja To Yeh Yaadoon Ka Silsila Toota

Juda Hua Jo Woh Mujhse To Yun Hua Mehsoos
Ke Jaise Dil Se Mere Dil Ka Rabta Toota

Wahin Kahin Tha Shab-E-Sast-E-Mauj Ka Sahil
Jahan Pahuch Ke Tere Dil Ka Hausla Toota....
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #305 on: February 12, 2007, 08:18:39 PM »

Naveed-E-Subah Mili Shabse Rabta Toota,
Khuli Jo Ankh Sarabon Ka Silsils Toota,

Mera Wajood Bhi Do Neem Ho Gaya Tha Wahan
Jahan Pe Ehl-E- Mohabbat Se Rabta Toota

Tamam Raat Bune Khwaab Us Ki Yaadoon Ke
Gujar Baja To Yeh Yaadoon Ka Silsila Toota

Juda Hua Jo Woh Mujhse To Yun Hua Mehsoos
Ke Jaise Dil Se Mere Dil Ka Rabta Toota

Wahin Kahin Tha Shab-E-Sast-E-Mauj Ka Sahil
Jahan Pahuch Ke Tere Dil Ka Hausla Toota....
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #306 on: February 12, 2007, 08:22:08 PM »

MERA AUR USKA SAATH..........

Jaise Chand Ki Shaal Mein Lipti Hui Waadi,
Wo Waadi Jinki Kismat Mein Sharminda Tabeer Hona Nahi Likha,

Mera Aur Uska Saath,

Jaise Kali Sham Mein Kali Darakhto Ke Kale Saye,
Jinki Kismat Mein Ummid Ki Ek Kiran Nahi,

Mera Aur Uska Saath,

Jaise Tanha Musafir Tanhayi Ke Khauf Se Tanhai Ko Odh Le,
Jiski Kismat Mein Mehfil Nahi,

Mera Aur Uska Saath,

Jaise Malik Aur Makhlook Ek Ban Ke Bhul Gaya Ek Bana Kar,
Bhool Gaya
Wo Mehek, Log Jinki Kismat Mein Sada Ki Pyaas Likh Di Gayi Hai,

Mera Aur Uska Sath,

Jaise Jism Aur Rooh Ja Kaise Din Aur Raat Ka
Jaise Nadi Aur Kinaro Ka Jaise Bahar Aur Khizaon Ka,

Aisa Hai Mera Aur Uska Saath...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #307 on: February 12, 2007, 08:25:17 PM »

Tanha Hoon Is Haal Mein Saath De Koi,
Haathon Mein De Hath Aisa Ho Humsafar Koi,

Main Hoon Pyasa Aur Teri Aankhein Hai Jheel,
Is Jheel Tak Mujhko Pahucha De Koi,

Nibhayengi Tamam Umr Ab Tere Sath,
Shart Ye Hai Ke Na Aaye Dusra Koi,

Main Likh To Lun Dil Pe Wo Naam Magar,
Tera Naam To Mujhko Bata De Koi...

Wo Na Bhi Mila To Kya Uski Yaadein To Hai,
Bas In Yaadon Ko Na Mujhse Chhine Koi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #308 on: February 12, 2007, 08:28:04 PM »

Kan-E-Siyah Mein Hota Nahi Sawera,
Par Kiran-E-Aas Pe Hota Nahi Andhera,

Hota Hai Hazaron Mein Ek Chaman-E-Sheeda,
Jo Deta Hai Poori Kaan Ko Ek Tanha Savera,

Pyaas Nahi Bujhti Aas Ki Ke Jab Hota Ho Andhera,
Ke Jaise Shab-E-Sukoon Mein Khamoshi Ka Ho Dera,

Nahi Banta Insaan Ki Mehnat Se Wo Ek Heera,
Ke Jise Ho Kudrat Ka Ho Ek Dilkash Zamema,

Rakh Thaam Kar Isko Ke Shayad Aaye Natija,
Par Qudrat Ka Be-Mool Mein Anmol Hai ZaQeera,

Nahi Hota Kharab Magar Koob Ke Jitna Ho Ye Gehra,
Kaam-E-Nazuk Bhi Fitrat Hai Khuda Ka Sameera,

Ke Kaan-E-Siyaan Ko Diya Ek Anmol Sa Heera,
Banta Nahi Aise Ke Hota Hai Ye Heera,

Ke Jise Ho Chaman Ka Ek Adna Sa Sawera...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #309 on: February 12, 2007, 08:29:56 PM »

Kabhi Sab Kuch Keh Kar
Kabhi Khamosh Reh Kar
Kabhi Bahut Door Jaa Kar
Kabhi Paas Aa Kar,
Wo Mujhe Ye Ehsaas Dilata Hai,
Ke Uski Mohabbaton Ka,
Shiddaton Ka Koi Shumaar Nahi,
Magar Usse Puchho
Bata Kar Hi Ki Jaati Hai?
Kya Mohabbat Jata Kar Bhi Ki Jaati Hai???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #310 on: February 12, 2007, 08:32:38 PM »

Rasm-E-Ulfat Sikha Gaya Koi,
Dilki Duniya Pe Chha Gaya Koi,

Taa-Qayamat Kisi Tarah Na Bujhe
Aag Aisi Laga Gaya Koi

Dilki Duniya Ujaad Si Kyon Hai,
Kya Yahan Se Chala Gaya Koi,

WaQt-E-Rukhsat Gale Laga Kar,
Hanste Hanste Rula Gaya Koi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #311 on: February 12, 2007, 08:34:36 PM »

Jo Shab-E-Wasl Tere Sath Maine Guzar Di
Mere Jism Pe Woh Sub RaQam Hui
Meri Rooh-O-Jaan Mein Utar Gayi
Badi Mukhtasar Si Woh Raat Thi Jise Maine Wasl Samajh Liya
Mera Jism-O-Jaan Tere Sath Tha Meri Rooh Tujh Pe Nihal Thi
.
.
.
Bade Purfareb Woh Pal Lage
Meri Jaan Jab Tu Qareeb Thi
Mera Reza Reza Jism Ka Teri Khushbuon Se Mahek Utha
Meri Zeest Ki Sari Udasiyan Tere Qurab Se Bahel Gayi

Tere Pyar Se
Tere Pyar Se
Meri Zindagi Ki Ye Raat Bhi Takmeel The Tere Mere Pyar Ki
Tune Paa Liya
Maine Kho Diya
.
.
.
Ye Hi Husn Is Pal Ka Tha....
Aur
.
.
Aur
Sahir Mein Sara Azab Tha
Main Wasal Jis Ko Samajh Rahi Thi
Woh To Sare Ka Sara Hijr Tha
Aur FiraQ Tha
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #312 on: February 12, 2007, 08:35:06 PM »

Jo Shab-E-Wasl Tere Sath Maine Guzar Di
Mere Jism Pe Woh Sub RaQam Hui
Meri Rooh-O-Jaan Mein Utar Gayi
Badi Mukhtasar Si Woh Raat Thi Jise Maine Wasl Samajh Liya
Mera Jism-O-Jaan Tere Sath Tha Meri Rooh Tujh Pe Nihal Thi
.
.
.
Bade Purfareb Woh Pal Lage
Meri Jaan Jab Tu Qareeb Thi
Mera Reza Reza Jism Ka Teri Khushbuon Se Mahek Utha
Meri Zeest Ki Sari Udasiyan Tere Qurab Se Bahel Gayi

Tere Pyar Se
Tere Pyar Se
Meri Zindagi Ki Ye Raat Bhi Takmeel The Tere Mere Pyar Ki
Tune Paa Liya
Maine Kho Diya
.
.
.
Ye Hi Husn Is Pal Ka Tha....
Aur
.
.
Aur
Sahir Mein Sara Azab Tha
Main Wasal Jis Ko Samajh Rahi Thi
Woh To Sare Ka Sara Hijr Tha
Aur FiraQ Tha
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #313 on: February 12, 2007, 08:36:01 PM »

Jo Shab-E-Wasl Tere Sath Maine Guzar Di
Mere Jism Pe Woh Sub RaQam Hui
Meri Rooh-O-Jaan Mein Utar Gayi
Badi Mukhtasar Si Woh Raat Thi Jise Maine Wasl Samajh Liya
Mera Jism-O-Jaan Tere Sath Tha Meri Rooh Tujh Pe Nihal Thi
.
.
.
Bade Purfareb Woh Pal Lage
Meri Jaan Jab Tu Qareeb Thi
Mera Reza Reza Jism Ka Teri Khushbuon Se Mahek Utha
Meri Zeest Ki Sari Udasiyan Tere Qurab Se Bahel Gayi

Tere Pyar Se
Tere Pyar Se
Meri Zindagi Ki Ye Raat Bhi Takmeel The Tere Mere Pyar Ki
Tune Paa Liya
Maine Kho Diya
.
.
.
Ye Hi Husn Is Pal Ka Tha....
Aur
.
.
Aur
Sahir Mein Sara Azab Tha
Main Wasal Jis Ko Samajh Rahi Thi
Woh To Sare Ka Sara Hijr Tha
Aur FiraQ Tha
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #314 on: February 12, 2007, 08:37:54 PM »

Gham Kuch Aur Zindagi Ke Dekh Lun,
Tum Kaho To Aur Jee Ke Dekh Lun,

Baarishein To Tishnagi Badha Gayi,
Ek Ghoont Dhoop Pi Ke Dekh Lun,

Ghir Gaye Jo Aansuon Ki Jang Mein,
Hosle Mein Us Hansi Ko Dekh Lun,

Dhund Mein Chhupi Hui Na Ho Kiran,
Chhu Ke Rang Roshni Ke Dekh Lun,

Pair Chand Aur Sard Rasta,
Chal Ke Sath Mein Sabhi Ke Dekh Lun,

Kash Phir Bahar Umr Laut Aaye,
Phir Se Roop Taazgi Ke Dekh Lun,

Thak Gayi Hoon Bol Bol Kar Bahut,
Ab Main Apne Honth See Ke Dekh Lun...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24 25 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 01:59:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer