Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 198 199 200 201 [202] 203 204 205 206 ... 273
Print
Author  (Read 133023 times)
angel4u
Guest
«Reply #3015 on: December 03, 2008, 01:48:59 PM »
Thanks di...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3016 on: December 07, 2008, 02:44:27 PM »
Har Ek Shayaari Teri Dil Tak Pahoonch Gayi,.
Aye Kaash Tu Aur Bhi Likhaa Kare, Is Mehfill Mein,.

Khuda Tujhe Salaamath Rakhe Dost,.
Yunhi LIkhte Jaao,.
Hume Pardhne Ka Shauq Hai Tumhari Shayari,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3017 on: December 10, 2008, 03:02:08 AM »
Shukriya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3018 on: December 10, 2008, 03:02:27 AM »

Tanha Hoon Is Haal Mein Saath De Koi,
Haathon Mein De Hath Aisa Ho HuMsafar Koi,

Main Hoon Pyasa Aur Teri Aankhein Hai Jheel,
Is Jheel Tak Mujhko Pahucha De Koi,

Nibhayengi TaMaM UMr Ab Tere Sath,
Shart Ye Hai Ke Na Aaye Dusra Koi,

Main Likh To Lun Dil Pe Wo NaaM Magar,
Tera NaaM To Mujhko Bata De Kio...

Wo Na Bhi Mila To Kya Uski Yaadein To Hia,
Bas In Yaadon Ko Na Mujhse Chhine Koi...

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3019 on: December 12, 2008, 10:35:26 AM »
Nice One Again Huzaina Ji,.
Keep Going,.
Inshallah Main Pardhta Rahoonga,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3020 on: December 13, 2008, 02:30:47 PM »
Suno Achha Nahi Lagta
Ke Koi Dusra Dekhe
TuMhari Sharbati Aankhein,
Lab-O-Rukhsaar Aur Palkein,
Siyaah LaMbi Ghani Zulfein,
Sarahe Dusra Koi,
Mujhe Achha Nahi Lagta,

Suno Achha Nahi Lagta,
Kare Jab Tazkara Koi,
Kare Jab Tabsara Koi,
TuMhari Zaat Ko Khoje,
TuMhari Baat Ko Soche,
Mujhe Achha Nahi Lagta,

Suno Achha Nahi Lagta,
TuMhari Muskurahat Par
Hazaron Log Marte Ho,
TuMhari Ek Aahat Par,
Hazaro Dil Dhadakte Ho,
Kisika TuMpe Yun Marna
Mujhe Achha Nahi Lagta,

Suno Achha Nahi Lagta
Hawa Guzre TuMhe Chhu Kar,
Na Hoga Zabt Ye Mujhse,
Kare Gustakhi TuMse,
TuMhari Zulfein Bikhar Jayein,
TuMhare LaMs Pe Jaayein,
Mujhe Achha Nahi Lagta,

Suno Achha Nahi Lagta,
Ke TuM Ko Phool Bhi Dekhe,
TuMhare Paas Se Mehke,
Ya Chanda Ki Guzarish Ho,
Ke Apni Roshni Bakshun,
Rukh-E-Jaana Koi Dekhe,
Mujhe Achha Nahi Lagta...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3021 on: December 13, 2008, 02:31:06 PM »
Teri Khushbu Meri Jaan Meri Saanson Mein SaMayi Hia,
Ab Bhi Dilko SanaM Teri Yaad Aayi Hia,

Taras Rahi Hia Meri Aankhein Teri Deed Ko,
In Aankhon Mein Tere Liye Sagar Si Gehrayi Hia,

Bechain Kar Diya Hia Us Hawa Ne Mujhe,
Tere Chehre Ko Jo Shayad Chhu Kar Aayi Hia,

Tujhe Chahte Hai Kitna Batana Hai Mushkil,
TuMhe Khud Mein Mehsoos Karna Aadat Si Ban Gayi Hia,

Tera Pyar Meri Chahat Hai Aarzu Hia,
Tere Baad Is Jeevan Mein Udaasi Hia Tanhayi Hia,

Mere Ehsaasaat Ko Zaroorat Hai Tere Lafzon Ki,
Mere Khayalon Mein Bhi Teri Aahat Chhayi Hia,

Tere Saath To Bahar Hai Mere Dilki Khizaan Par,
Ab Ke Ye Bahar Dard-E-Judayi Saath Laayi Hia,

Pyaar Ke Is MausaM Mein Bichhadna Theher Hi Gaya To,
Kuch Tere Firaaq Ka Hai Dard Kuch Meri KisMat Harjayi Hia,

KisMat Se Paya Tha Tera Pyar Sathiya,
Bich Mein Ab Hayaal Zaine Badi LaMbi Judayi Hia...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3022 on: December 13, 2008, 02:31:27 PM »
Teri Yaad Ne Mere Dilko Saja Rakha Hai,
Tere Pyar Mein Sab Ko Bhula Rakha Hia,

Kuch Achha Nahi Lagta Teri Judayi Ke Baad,
Ek Teri Yaad Ko Seene Se Laga Rakha Hia,

Tera Milna To Ab Ek Khwaab Hi Lagta Hia,
Najane Ab Kyon Dilko Bhula Rakha Hia,

Sab Kuch Lut Gaya HaMara Tere Pyaar Mein,
Teri Yaad Ko Palkon Mein Chhupa Rakha Hia,

Muqaddar Se Milte Hai Bichhad Ke Warna,
Aaj Bhi Tera NaaM Dil Mein Saja Rakha Hai,

Najane Koi Nahi Basta Tere Siwa Ankh Mein,
Ek Teri Tasveer Ko Dil Mein Chhupa Rakha Hia...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3023 on: December 13, 2008, 02:32:41 PM »
TuMse Kya Gila
Gila To Takdeer Se Hai,
TuMse Kya Shikayat
Shikayat To Naseeb Se Hai,
Aye The Meri Zindagi Mein Ek Tufan Banke
Gaye To Aandhi Banke,
Ab Toofano Se Kya Gila
Ye To Aata Hai Aur Jaata Hai
Ab.......
Kisise Kya Gila Jab Wo Hi Sath Nahi Ab Raha
Chalnewale Se Kya Gila Jab
Apna Jise Kaha
Wo Saath Nahi,
Likhe Walene Bahut Kuch Likha Hai Meri Taqdeer Mein
Par Likh Na Saka Wo
Tha Tera Pyaar...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3024 on: December 13, 2008, 02:32:53 PM »
TuMse Kuch Is Tarah Ki Chahat Ki Hia,
TuMhare Bagair Zindagi Ka Koi Tasavvur Nahi,
Kuch Is Tarah Se TuMhari TaManna Ki Hia
HaMare DarMiyan Hai Rahein, Sadiyon Ki KhaMoshiyan,
Maine TuMse Kuch Is Tarah Guftugu Ki Hia,
Pehle Main Khudse Na Aashna Tha
SaMjha Hia Pyar Ko Jabse Mohabbat Ki Hia
Meri Zindagi Ki Khushiya TuMse Hi Hai Wabasta
Maine Rabse TuMhe Paane Ki Dua Ki Hia
Main TuMhe Chheen Lunga Duniya Ki RasMon Se
Maine TuMhare Liye ZaMane Se Bagawat Ki Hia...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3025 on: December 13, 2008, 02:33:16 PM »
Woh Be-Hajab Jo Peeke Kal Sharaab Aaya,
Agarcha Mast Tha Main Par Mujhe Hajab Aaya,

Idhar Khayal Mere Dil Mein Zulf Ka Guzra,
Udhar Wo Khatab Hua Dil Mein Pech-O-Taab Aaya,

Khayal Kiska SaMaya Hia Deed-O-Dil Mein,
Na Dinko Chain Mujhe Aur Na Shab Ko Khwaab Aaya...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3026 on: December 13, 2008, 02:34:02 PM »

Mujhe Likhna Agar Aata,
To Likhta Teri Aankhon Par,
Bahut Kuch Likhna Chahun Main,
Teri Aankhon Ki Palkon Par,
Teri Aankhon Ki Shokhi Par,
Tere Naino Ke Kajal Par,
Ke Jab Tu Baat Karti Hai,
Tere Honthon Ki JuMbish Par,
Teri Lehrati Zulfon Par,
Ke Kab Tu Muskurati Hai,
Goya Phool Khilte Hai,
Ke Jab Tu Aankh Uthati Hai,
To Dil Rukne Sa Lagta Hai,
Ke Jab Tu Apne Baalon Mein
Koi Gajra Sajati Hai,
Fazayein Gungunati Hai,
Main Apne Dilke Jazbon Ko,
TuMhare NaaM Karta Hoon,
Mujhe Likhna Agar Aata To,
Likhta Teri Aankhon Par,
Magar
Main Kya Karun,
Mujhe Likhna Nahi Aata...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3027 on: December 13, 2008, 02:34:17 PM »

Suraj Sar Pe Aa Pahucha Hai,
Saaya Bhi Chhupta Jaata Hai,

Aisi Hi Muskaan TuMhari,
Guncha Jaise Khil Jaata Hai,

ZakhM Laga Ke Wo Kehte Hai,
Bol Re Sajan Tu Kaisa Hai?

Baatein Kar IMroz Ki Pyaare,
Chhod De Usko Jo Farda Hai,

Is Duniya Mein Ulfat Dhunde,
Kuch Kuch Diwana Lagat Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3028 on: December 13, 2008, 02:34:39 PM »



Tez Jhonka Na Seh Saka Patta,
Shaakh Se Toot Kar Gira Patta,

Zard Roo Sa Muda Tuda Patta,
Aye Aandhi Hua Hawa Patta,

Main Bhi Tha Zeb-E-Gul Hara Patta,
Zer-E-Pa Hai Ye Keh Raha Patta,

De Slaa Rabt Pair Se Rakhna,
Fasl-E-Gul Ka Yeh GaMzada Patta,

Besaharon Ki Zindagi Jaise,
Pair Ke Saaye Mein Pada Patta,

HuM Bhi Ra'na The Yun Kabhi,
Jaise Gulzaar Ka Hara Patta...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3029 on: December 13, 2008, 02:37:05 PM »


KhaMoshi Khud Apni Sada Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,
Sannata Hi Gunj Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Mera Maazi Mujhse Bichhad Kar Kya Jaane Kis Haal Mein Hai,
Meri Tarah Wo Bhi Tanha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Sahara Sahara Kab Tak Main Dhundun Ulfat Ka Ek AlaM,
AlaM AlaM Ek Sahara Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Ahl-E-Toofan Soch Rahe Hai Saahil Dooba Jaata Hai,
Khud Unka Dil Doob Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai...

Logged
Pages: 1 ... 198 199 200 201 [202] 203 204 205 206 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 07:29:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.223 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer