Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 199 200 201 202 [203] 204 205 206 207 ... 273
Print
Author  (Read 131456 times)
angel4u
Guest
«Reply #3030 on: December 13, 2008, 02:38:21 PM »

Pyar Karke Jo Wafa Karte Hai,
Aise KaM Log Mila Karte Hai,
Kyon Wo Khud HuMse Nahi Keh Dete
Aur Logonse Gila Karte Hai,
HuMse Milne Ko Wo Aa Jaye Kabhi,
Har Ghadi Yehi Dua Karte Hai,
Chahte Hai Unhe Jee Jaan Se HuM,
Bas Yehi Ek Khata Karte Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3031 on: December 13, 2008, 02:38:46 PM »
Koi Izhaar Ki Surat,
Koi Iqraar Ki Raah,
Koi Baarish Ki Boondon Mein
Thehre Pyaar Ke LaMhe
Kya Ye Sab Hone Par Bhi Izhaar Baaqi Hia,
Koi Iqraar Baaqi Hia,
Kisi Jazbe Ko Koi Lafz Ka
Roop Dene Par,
Us Jazbe Ki Latafat Ko
Kho Dene Mein
Kitni Der Lagti Hia...


Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3032 on: December 13, 2008, 02:39:01 PM »
AAP KI SARI POEMS MEH BAHUT HI GEHRA MATLAB HAI ANGEL.

har poem meh itni gehrayi hai, bahut hi khoob likhtey ho aap.
bahut hi sunder. keep it up


Jasbir Singh
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3033 on: December 13, 2008, 02:39:15 PM »
Dilpe Ek Tarfa QayaMat Karna,
Muskurate Hue Rukhsat Karna,

Achhi Aankhein Jo Mili Hia Usko
Kuch To LaziM Hua Wehshat Karna,

JurM Kiska Tha, Saza Kisko Mili,
Kya Gayi Baat Pe Hujat Karna,

Kaun Chahega TuMhe Meri Tarah,
Ab Na Kisise Mohabbat Karna,

Ghar Ka Darwaza Khula Rakha Hia,
Waqt Mil Jaye To ZehMat Karna...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3034 on: December 13, 2008, 02:39:54 PM »
AAP KI SARI POEMS MEH BAHUT HI GEHRA MATLAB HAI ANGEL.

har poem meh itni gehrayi hai, bahut hi khoob likhtey ho aap.
bahut hi sunder. keep it up


Jasbir Singh

Ye poems jo yahan post kar rahi hoon maine nahi likhi hia, apni likhi hui poems ab yahan kam hi post karti hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3035 on: December 13, 2008, 02:40:05 PM »


TuMhe Aisa Kyon Lagta Hai Ke HuM Khud Dhundte
Hai Apne Rishton Ko
Suno JanaM! Kabhi Aisa Nahi Hota,
TuMhare Aur Mere Chahne Se Kuch Nahi Hota,
Ke Sab Rishte, Sabhi Bandhan Khali Pehle Se
Rakhe Hai,
Wo Saare Aane Wale Pal Jo Aakhir Beet Jaate Hai,
Wo HuM Se Jeet Jaate Hai,
Wo Sab Pehle Se Rakhe Hia
SaMajh Kar Soch Kar Rakhe Hia Saare Pal, Sabhi Rishte,
Sabhi MausaM,
Mohabbat To LaMha Hia, Mohabbat Bhi To MausaM Hia,
Ye Kiske Dil Pe Utrega
Kahan Par Lab Kholega, Kaunsi Galiyon Mein Mehkega,
Na Jane Kaunsa Dil Iske Rangon Mein Fanaa Hoga,
Na Jane Kaun Is LaMhe Ko Paate Hi Ghani Tareek
Galiyon Ki Musaafat Se Rihaa Hoga,
Wazahat HuM Nahi Karte,
Mohabbat HuM Nahi Karte
Ke Ye To Jaadugarni Hai Jo HuM Ko Dhund Leti Hia,
HaMein Pehchaan Leti Hia,
Kisi Masroof KaMre Mein Padi Bekaar Chizon Se,
Ye HuMko Chaan Leti Hia,
HaMari Ungliyon Ke Nakhuno Mein Saans Leti Hia,
Kabhi Jab ZakhM Khulta Hia,
Buson Aur Daftaron Ki Bhid Mein Bhi Ye HaMare
Saath Rehti Hai,
HaMare Sath Chalti Hia,
Lahoon Ki Dhoop Mein Chup Chap Jalti Hai,
Heena Ki Khushbu Mein Jab Utarti Hia HaMari
Jaan Leti Hia,
Ye HuM Mein Baandh Deti Hia Naye MausaM, Naye Suraj, Sitare Aur

Khushbu,
Ye HuMko SoMp Deti Hai Koi Aizaaz Jiska
Maan Rakhna Farz Hota Hia,
Ye HuM Bojh Banti Hai--Ye HuM Par Qarz Hota Hia,
Kahan Kis Par Nichaver Jaan Karti Hai,
Ye Chahat HuM Nahi Karte
Suno JaanaM! Mohabbat HuM Nahi Karte...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3036 on: December 13, 2008, 02:40:27 PM »


Dost Gairon Ko Banate Aap To Aise To Na The,
Aur HuMko Bhool Jaate Aap To Aise Na The,

Ye Mohabbat Ki Gali Jo Ishq Se Mansoob Hia,
Iska Rasta Bhool Jaate Aap To Aise Na The,

Husn Par Nazaan Hia Beshak Naaz Kijiye Husn Par,
Ishq Se DaMan Bachate Aap Aise To Na The,

Bewafayi Ka Nateeja Hai Ke Aankhein Jhuk Gayi,
SharM Se Nazrein Jhukate Aap To Aise Na The,

Ye HaMara Dil Nahi Ye Aapka Ghar Hai Huzoor,
Aap Is Dil Mein Na Aate Aap To Aise Na The,

Raat Mein Furqat Ki Maine Pukara Tha Bahut,
Aap Sunkar Bhi Na Aate Aap To Aise Na The...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3037 on: December 13, 2008, 02:40:51 PM »

Mera Ek Dost Mere Jaisa Tha,
Mujhse Milta Tha Roz ShaaM Dhale,
Sari Baatein, Use Sunata Tha
Kaun Nazan Hai Kisne Haath Male,
Ab Wo Rehta Hai Is Jagah Se Door,
Raaz-E-Dil Ab Wo Kholta Bhi Nahi,
Sheesha-E-Dil Nahi Ab Uska Choor,
Ab Main Bolun To Bolta Bhi Nahi,
Mujhko Shikwa Ke Bewafa Hai Wo,
Log Kehte Hia Usko Danishwar...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3038 on: December 13, 2008, 02:41:03 PM »
Kal ShaaM Dhale Nange Panv Chalte Chalte
Aankh Se Ek Aansu Ne Bagawat Ki,
DaaMan-E-Dil Se Ulajh Gaya,
Thak Kar Puchh Raha Tha Wo,
Zindagi Kya Hia
NakaaM UMMidein
Hasratein!
Khwab Ya Phir Aarzuyein,
Door Se Ek Siski Ubhri,
Aansu Chup Chaap Lut Gaya,
Khwab Ka DaaMan Chhut Gaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3039 on: December 13, 2008, 02:41:33 PM »
Toota Hua Dil Hia Har Baat Par Ro Deta Hai,
Muskurana Bhi Uska Kisi GaM Ki Khabar Deta Hia,

Baat Karte Hue Usse Ab To Dar Lagne Lagta Hai,
Wo Itna Hassas Hia Har Baat Dil Pe Le Leta Hia,

Kisiko Chahne Ki Khwahish Nahi Usko,
Har Koi Usko Bewafa Sa Lagta Hai,

Judayi Ke Dar Ne Bahut Shiddat Se Dasa Hia,
Wo Ab Mujhse Milne Se Bhi Darta Hai,

Ye Nahi Hai Ke Ab Muskurate Nahi Uske Lab,
Haan Magar Aankhon Ka Kinara Bhiga Dikhayi Deta Hai,

Ye Ehsaas Hai Qarb Ki Inteha Ko Chuta Hai,
Wo MajMoyi Mein Bhi Tanha Sa Lagta Hai,

Bas Mein Ho Agar Mere
Usko Khwahishon Se Labrez Kar Dun,

Tanhayi Door Kar Dun Har Aarzu Jawab Kar Dun,
Uske Makan-O-Dil Mein Apna Basera Kar Lun,

Aas Paas Mandlata Har Andhera Doro Kar Dun,
Agar Meri Zndagi Ho Faqt Meri Zindagi,

To Har LabMha Zindagi Ka Uske NaaM Kar Dun,
Apna Haal-E-Dil Uske Gosh Guzar Kar Dun...

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3040 on: December 13, 2008, 02:42:39 PM »
Ye poems jo yahan post kar rahi hoon maine nahi likhi hia, apni likhi hui poems ab yahan kam hi post karti hoon...

toh fir kaha post kartey ho aap ?


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3041 on: December 13, 2008, 02:42:59 PM »


HaMesha Muskura Ke Aansu Ko Chhupaya,
GaM Ko Chhupane Ka Yehi Rasta Nazar Aaya,

Kis Kis Ko Batate Behte Ashqon Ka Sabab,
Ke Dard-E-Dil Dil Mein Kisne Jagaya,

Mehfilon Mein Kahin Bhi Maza Na Raha,
Rakha Dilpe Pathar To Khud Ko Sajaya,

Baat Be Baat Apni Aahein Daba Kar,
Yaaron Ke DarMiyan Kis Qadar Muskuraya,

Na Thi Chah Kabhi Mujhe Mankashi Ki,
JaaM-E-Wafa Kisi Bewafa Ne Pilaya,

Kya Muqaddar Se Shikwa Karte Rahe,
Jo QisMat Mein Tha Wohi Kuch To Paya,

Ye Kis Mod Pe Aagayi Hai UMMidein,
Ke Saaya-E-Manzil Nazar Mein Na Aaya,

Apno Ne Palat Ke Dekha Tak Nahi,
Gairone Aakar Gale Se Lagaya,

Achha Hua Ke Raaz Khul Hi Gaya,
Dil-E-Nadan Pe Khanjar Kisne Cahlaya,

Shab-E-Roz Chahat Sila Ye Hai Shaiki,
Dilke Tukde Hue Wo Chunne Na Aaya,

Ke Saaya-E-Manzil Nazar Mein Na Aaya...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3042 on: December 13, 2008, 02:43:31 PM »
toh fir kaha post kartey ho aap ?




kahin nahi, apne paas hi rakhti hoon ab to...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3043 on: December 13, 2008, 02:43:44 PM »



Hawaon Uski Gali Se Guzro To Usko Mera SalaM Kehna
Mujhe Kahbar Hai Ke Mere Ghar Se
Guzarne Wali Hawa Ka Rasta
TuMhare Ghar Tak Nahi Gaya Hai,
SalaaM Mera TuMhare Knon Se Naarsa Hia,
Main Jaanta Hoon Hai Ye Bachpana,
Magar Haqeeqat Ko Jaan Kar Bhi Na Janne Mein Ajab Maza Hai,
Hawa S EMaine Ye Phir Kaha Hia,
Guzar Rahe Hai TuMhari Yaadonke DaM Se Hi Subah ShaaM Kehna,
Hawao Uski Gali Se Guzro To Mera SalaaM Kehna,
Hawa Ke Rukh Ki Kise Khabar Hai,
TuMhare Ghar Ka Kise Pata Hai...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3044 on: December 13, 2008, 02:44:04 PM »
Majboor Ye Halaat Idhar Bhi Hia Udhar Bhi
Tanhayi Ki Ek Raat Idhar Bhi Hia Udhar Bhi,
Kehne Ko Bahut Kuch Hai Magar Kisse Kahe HuM,
Kab Tak Yunhi KhaMosh Rahe Aur Sahe HuM,
Dil Kehta Hai Duniyaki Har Ek RasM Utha De,
Deewar Jo HuM Dono Mein Hai Aaj Gira De,
Kyon Dil Mein Sulagte Rahe Logon Ko Bata De,
Haan HuMko Mohabbat Hia, Mohabbat Hai, Mohabbat Hai,
Ab Dil Mein Yehi Baat, Idhar Bhi Hia Udhar Bhi...


Logged
Pages: 1 ... 199 200 201 202 [203] 204 205 206 207 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 02:35:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.225 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer