Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 200 201 202 203 [204] 205 206 207 208 ... 273
Print
Author  (Read 131492 times)
angel4u
Guest
«Reply #3045 on: December 13, 2008, 02:44:42 PM »
HuMne Kuch Is Tarahse Mohabbat Ki Hia,
Ke Mohabbat Mein TuMhari Parastish Ki Hia,

TuMhare Bagair Zindagi Ka Koi Tasavvur Nahi,
Maine Kuch Is Tarah Se TuMhari TaManna Ki Hia,

HaMare DarMiyaan Phail Rahi Sadiyon Ki KhaMoshiyan,
Maine TuMse Kuch Is Tarah Guftugu Ki Hia,

Mere Dil Mein Bas Jao TuM Rooh-O-Mohabbat Banke,
Maine Dilki Gehrayi Se Ye Iltejaa Ki Hia,

TuMhare Milne Se Pehle Main Khud Se Na-Aashna Thi,
SaMjha Hia Pyar Ko Jabse Mohabbat Ki Hia,

Meri Zindagi Ki Khushiyan TuMhi Se Hai Wabasta,
Maine Rab Se TuMhe Paane Ki Dua Ki Hia...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3046 on: December 13, 2008, 02:45:00 PM »
Teri Judayi Mein Kya Kya Dikhayi Deta Hai,
Kahin Pe TuM Kahin Pe TuM Sa Dikhayi Deta Hai,

ZaMana Ho Gaya Aise Kisi Safar Mein Hia,
Ke Ab Na Mod Na Raasta Dikhayi Deta Hai,

Ulajh Rahe Hai Bahut Mujhse Mere Paanv Ki Gard,
QadaM QadaM Pe TaMasha Dikhayi Deta Hia,

Ajeeb Waqt, Suno, Aa Pada Hai Suraj Par,
Tuloo Hota Na Talta Dikhayi Deta Hai,

Yeh Meri Aankhein Nahi Dusron Ki Aankhein Hai,
Andhera Hia Par Ujala Dikhayi Deta Hai...


Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3047 on: December 13, 2008, 02:45:48 PM »
kahin nahi, apne paas hi rakhti hoon ab to...



 confused2 confused2 confused2


aisa ku ? yeh aap koh sahi site nahi lagi to paste yr poems ?

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3048 on: December 14, 2008, 06:29:33 AM »
not that, but jab comments nahi milti to bura lagta hia, thats why...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3049 on: December 14, 2008, 06:30:01 AM »

Kisi Din Chahte Hai,
Chupke Se HuM Uske Zeene Par
Koi Jalta Diya,
Kuch Phool
Rakh Aayein,
Ke Apne Bachpane Mein
Wo Andheron Se Bhi Darta Tha,
Usse Phoolonki Khushbu Sabhi Raghbat Thi,
Bahut MuMkin Hai Ab Bhi
Shab Ki Tareeki Se Usko Khauf Aata Ho,
Mehekte Phool Shayad Baais-E-Taskeen Ab Bhi Ho,
So Is IMkaan Par,
Ek ShaaM Uske NaaM Karte Hai,
Chalo Yeh KaaM Karte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3050 on: December 14, 2008, 06:30:19 AM »

Badalte MausaM Badal Rahe Ahi,
Hazar Raste Nikal Rahe Hai,
TuMhari Dastak Ki Muntazir Hoon,
TuMhe Sunane Ko Geet Kitne,
Mere Labon Par Machal Rahe Hai,
NadeeM Mere
KalaaM Mere KaleeM Mere,
Chale Bhi Aao Thak Gayi Hoon,
Saja Ke Rakhoon Ye Ghar Gharonda
Magar Adhoora Hai Saij Sapna,
Najane Ye Kaise Ho Raha Hai,
Wo Door Mujhse Main Door Usse,
Jo Hai Jahan Bhar Mein Ek Apna
Haseen Mere
HareeM Mere Makeen Mere
Chale Bhi Aao Thak Gayi Hoon
Har Ek NeMat Ki Ek NeMat
TuMhari Chahat TuMhari Surat
Magar TuMhe Kis Tarah Bataun
Hai Farsh Dil Pe Nazar JaMaye,
HaMari Chahat HaMari Soorat
Suhag Mere
Haseen Malhar Raag Mere
Chale Bhi Aao Main Thak Gayi Hoon...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3051 on: December 14, 2008, 08:34:24 AM »
not that, but jab comments nahi milti to bura lagta hia, thats why...


YEH BAAT HAI Huh??

aisa toh kabhi hua hi nahi hai ANGEL
har koi comments toh deta hi hai naa
aap pata hai kya karo, sari poems ek hi tread meh mat daloh aap


Jasbir Singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3052 on: December 14, 2008, 08:37:06 AM »

Kisi Din Chahte Hai,
Chupke Se HuM Uske Zeene Par
Koi Jalta Diya,
Kuch Phool
Rakh Aayein,
Ke Apne Bachpane Mein
Wo Andheron Se Bhi Darta Tha,
Usse Phoolonki Khushbu Sabhi Raghbat Thi,
Bahut MuMkin Hai Ab Bhi
Shab Ki Tareeki Se Usko Khauf Aata Ho,
Mehekte Phool Shayad Baais-E-Taskeen Ab Bhi Ho,
So Is IMkaan Par,
Ek ShaaM Uske NaaM Karte Hai,
Chalo Yeh KaaM Karte Hai...


wah kya shaam unkey naam ki hai
aap neh bahut ki kamaal ki tarkeeb ki hai

jalta dia ley key jaogey
andhere unkey door bhagaogey

bahut hi khoob.


Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3053 on: December 14, 2008, 02:48:29 PM »
Huzena Ji,.
Kamaal Ki Collection's Hain,.
Jitne Pages Aage Bardh Raha Hoon, Pardhne Mein Utna Mazaa Aa Raha Hai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3054 on: December 14, 2008, 02:49:21 PM »
yon lage dost tera mujhse khafa ho jana
jis tarah phul se khushbu ka juda ho jana

ahl-e-dil se ye tera tark-e-ta'alluq
waqt se pahle asiron ka riha ho jana

yon agar ho to jahan mein koi kafir na rahe
mojza tere wade ka wafa ho jana

zindagi main bhi chalunga tere piche-piche
tu mere dost ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jana

jane wo kaun si kaifiyat-e-gamkhwari hai
mere pite hi "Qateel" us ko nasha ho jana

__________________-Qateel Shifaai-
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #3055 on: December 14, 2008, 03:52:23 PM »
angel ji.....kamaal ka collection hain aapke paas.aapki jama punji isi tarh badhti rahe aur aapka dil hamesha isey baat-ne mein sankooch na kare kabhi..yahi dua hein.aameen.
aaj kayi paane padhe....pur chunki shaayri ka yadi asal lutf lena ho...to ek shaayri ko bhee kayi-kayi baar padhna padta hein aur aapki hur post yahan kayi baar padhne laayak hein.kayi baar aakar atak jaata hu urdu ke kuch mushkil shabdon pur fir bhee bahut behtareen aur umda..vaakai.

Aap apniself poetry sirf yadi isliye nahi likh rahi ki comments nahi miltey...to isey hamari nadani samajh kar ignore kare...kyonki jinka collection itna zabardast hein sochta hu ki unkey swam ke alfaaz bhee kam nahi honge...likha kijiye...

accha laga padhna yahan...vaapasi ka vada kar ke jaa raha hu.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3056 on: December 15, 2008, 07:10:37 AM »
ASHQ BHI ABB TOH MUSKURANEY LAGEY
PEHLEY SEY BHI JYADA
HUM AUR UNKEY KAREEB AANEY LAGEY


DIL KA KARAAR SIRF TUMHI SEY AATA HAI
YEH PYAR SIRF TUMHI SEY BAATA HAI
ASHQ BHI ABB TOH MUSKURANEY LAGEY
PEHLEY SEY BHI JYADA
HUM AUR UNKEY KAREEB AANEY LAGEY


SAPNEY BHI SIRF TUMHAREY HI AATEY HAI
TANHAYI MEH YEHI SAATH NIBHATEY HAI
ASHQ BHI ABB TOH MUSKURANEY LAGEY
PEHLEY SEY BHI JYADA
HUM AUR UNKEY KAREEB AANEY LAGEY




JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3057 on: December 15, 2008, 12:19:37 PM »
NIce One Jasbir Bhai,.

tere pyar main ruswa hokar jaye kahan diwane log
jane kya kya puch rahen hain ye jane pahchane log

jaise tumhen hamne chaha tha kaun bhala yun chahega
mana aur bahut ayenge tum se pyar jatane log

kaise dukhon k mausam aye kaisi ag lagi yaro
ab saharaon se late hain phulon k nazrane log

kal matam beqimat hoga aj inki tauqir karo
dekho khun-e-jigar se kya kya likhte hain afasane log

jante hain ye ishq musalsal rog hai ah-o-zari ka
phir bhi us k kuche main jate hain umr gawane log
 
nm,
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3058 on: December 24, 2008, 02:38:47 AM »
angel ji.....kamaal ka collection hain aapke paas.aapki jama punji isi tarh badhti rahe aur aapka dil hamesha isey baat-ne mein sankooch na kare kabhi..yahi dua hein.aameen.
aaj kayi paane padhe....pur chunki shaayri ka yadi asal lutf lena ho...to ek shaayri ko bhee kayi-kayi baar padhna padta hein aur aapki hur post yahan kayi baar padhne laayak hein.kayi baar aakar atak jaata hu urdu ke kuch mushkil shabdon pur fir bhee bahut behtareen aur umda..vaakai.

Aap apniself poetry sirf yadi isliye nahi likh rahi ki comments nahi miltey...to isey hamari nadani samajh kar ignore kare...kyonki jinka collection itna zabardast hein sochta hu ki unkey swam ke alfaaz bhee kam nahi honge...likha kijiye...

accha laga padhna yahan...vaapasi ka vada kar ke jaa raha hu.

Bahut shukriya pasand karne ke liye. hmm mostly to comments ki wajahse hi nahi post karti hoon, phir bura lagta hai, isliye nahi karti hoon... purani poetries bhi pata nahi kahan gum hogayi hia, so lets see kabhi iraada badla to post bhi karlun yahan...

pasand karne ka bahut bahut shukriya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3059 on: December 24, 2008, 02:39:39 AM »
Nice ones jasbir and Azeem Usual Smile
Logged
Pages: 1 ... 200 201 202 203 [204] 205 206 207 208 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 02:56:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer