Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 201 202 203 204 [205] 206 207 208 209 ... 273
Print
Author  (Read 131238 times)
angel4u
Guest
«Reply #3060 on: December 24, 2008, 02:39:51 AM »




HaMara Dil Savere Ka Sunehra JaaM Ho Jaye,
Chiragon Ki Tarah Aankhein Jalein Jab ShaaM Ho Jaye,

Kabhi To AasMan Se Chand Utre JaaM Ho Jaye,
TuMhare NaaM Ki Ek Khoobsurat ShaaM Ho Jaye,

Ajab Halaat The Yun Dilka Sauda Ho Gaya Aakhir,
Mohabbat Ki Haweli Jis Tarah NeelaaM Ho Jaye,

SaMundar Ke Safar Mein Is Tarah Awaz De HuMko,
Hawayein Tez Ho Aur Kashtiyon Mein ShaaM Ho Jaye,

Mujhe MaluM Hai Uska Thikana Phir Kahan Hoga,
Parinda AasMan Chhune Mein Jab NakaaM Ho Jaye,

Ujale Apni Yaadon Ke HaMare Sath Rehne Do,
Na Jaane Kis Gali Mein Zindagi Ki ShaaM Ho Jaye...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3061 on: December 24, 2008, 02:40:14 AM »
Zindagi Ke Raston Mein Itni Gird Udti Hia,
Fasle Se Dekhein To Kuch Nazar Nahi Aata,
Manzilon Ke Chehre Bhi, Raah Ki Nishani Bhi,
Sab Hi Doob Jaate Hai,
Gird Ke SaMundar Mein,
Dard Ke SaMundar Mein,
Raasta Nahi Milta,
Fasla Nahi Ghatta...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3062 on: December 24, 2008, 02:40:29 AM »

Ye Hadein Na Tod Dena, Mere Dayre Mein Rehna,
Mujhe Apne Dil Mein Rakhna, Mere Haafze Mein Rehna,

Mera Bojh Khud Uthana, Mera Qarb Aap Sehna,
Mere ZakhM Baant Lena, Mere Rat-Jage Mein Rehna,

Mera Huqb Khood Sunna, Meri Mohr Khood Lagana,
Mere Mashware Mein Hona, Mere Faisle Mein Rehna,

Kabhi Manzilon Ki Soorat Meri Dastaras Se Bahar,
Kabhi Sang-E-Mel Ban Kar Mere Raste Mein Rehna,

Mere Haath Ki Lakeerein, Tera NaaM Banke ChaMke,
Meri Khwahishon Ki Khushbu, Mere Za'iche Mein Rehna...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3063 on: December 24, 2008, 02:40:46 AM »

Kar Liya Hia Faisla Kehna Usse,
Ab Na Hoga Rabta Kehna Usse,

Jis Pe HuM Chalte Rahe Hai Saath Saath,
Kho Gaya Wo Rasta Kehna Usse,

Teri Yaadein Dilse Rukhsat Ho Gayi,
Ho Chuka Ye Saneha Kehna Usse,

Ab Na Dekhega TuMhara Rasta,
Dilko Main SaMjha Chuka Kehna Usse,

Chain Se Sone Na Dega GaM Tujhe,
Raat Bhar Ab Jagna Kehna Usse,

Mud Ke Pichhe Dekhte HuM Bhi Nahi,
Soch Kar Muh Pherna Kehna Usse...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3064 on: December 24, 2008, 02:41:00 AM »
Unse Milne Ko Dil Beqarar Sa Rehta Hai,
Har Ghadi Har Pal Intezaar Sa Rehta Hai,

Paheli Si Ban Gayi Hia Mohabbat Ki Dastan,
Iqraar Dil Mein, Zubaan Pe Inkaar Sa Rehta Hai,

Dil Ke Sehra Se Khayalon Ke Kaarwaan,
Guzar To Jaate Hai Par Gubaar Sa Rehta Hai,

Nazron Se Door Magar Dilke Kareeb Hia,
Gair Ho Kar Bhi Unpe Aitbaar Sa Rehta Hai,

Chahat Ki Giraft Mein Jab Dil Ho 'Hijaab'
Na Zor Koi Dil Pe Na Ikhtiyaar Sa Rehta Hia...



Logged
angel4u
Guest
«Reply #3065 on: December 24, 2008, 02:41:17 AM »
Zauq-E-SitaM Janoon Ki Hadon Se Guzar Gaya,
KaM-Zarf Zinda Reh Gaye, Insaan Mar Gaya,

GaM Khana-E-Jahanan Mein Kisi Jurrat-E-QayaM,
Mera Hi Huasla Tha, Do Din Theher Gaya,

Hai Shiddat-E-Khuloos Ek ZurM-E-Aashiqui,
Parwana Jal Ke ShaMMa Ko BadnaaM Kar Gaya,

Baithe Hai Aaj Aayina-E-Dil Le Ke Wo,
Ab Jaane Ye NazM-E-Do AlaaM Sanwaar Gaya,

Lillah! Aap Mujhse Mohabbat Na Kijiye,
Do Roz Hi Mein Aapka Chehra Utar Gaya,

Pehle To Zindagi Ki TaManna Thi Ishq Mein,
Ab Dhundta Hoon Main, Mera Qatil Kidhar Gaya...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3066 on: December 24, 2008, 02:42:15 AM »
Zauq-E-SitaM Janoon Ki Hadon Se Guzar Gaya,
KaM-Zarf Zinda Reh Gaye, Insaan Mar Gaya,

GaM Khana-E-Jahanan Mein Kisi Jurrat-E-QayaM,
Mera Hi Huasla Tha, Do Din Theher Gaya,

Hai Shiddat-E-Khuloos Ek ZurM-E-Aashiqui,
Parwana Jal Ke ShaMMa Ko BadnaaM Kar Gaya,

Baithe Hai Aaj Aayina-E-Dil Le Ke Wo,
Ab Jaane Ye NazM-E-Do AlaaM Sanwaar Gaya,

Lillah! Aap Mujhse Mohabbat Na Kijiye,
Do Roz Hi Mein Aapka Chehra Utar Gaya,

Pehle To Zindagi Ki TaManna Thi Ishq Mein,
Ab Dhundta Hoon Main, Mera Qatil Kidhar Gaya...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3067 on: December 24, 2008, 02:42:38 AM »



KhaMoshi Bol Uthe Har Nazar PaigaM Ho Jaye,
Ye Sannata Agar Had Se Badhe KehraM Ho Jaye,

Sitare Mashalein Le Kar Mujhe Bhi Dhundne Niklein,
Main Rasta Bhool Jaun, Jungalon Mein ShaaM Ho Jaye,

Main Wo AdaM Gazeedah Houn Jo Tanhayi Ke Sehra Mein,
Khud Apni Chaap Sunkar Larza Bara-NadaM Ho Jaye,

Misal Aisi Hai Us Dor-E-Khard Ke Hosh Mandon Ke,
Na Ho DaMan Mein Zara Aur Sehra NaaM Ho Jaye,

Shakaib Apne Taruf Ke Liye Yeh Baat Kaafi Hai,
HuM Usse Bach Ke Chalte Hai Jo Rasta AaM Ho Jaye...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3068 on: December 24, 2008, 02:43:09 AM »



Apne Zarf, Apni Talab, Apni Nazar Ki Baat Hai,
Raat Hai Lekin Mere Lab Par Seher Ki Baat Hai,

Aashiyan Ke Sath Puri Zindagi Badli Gayi,
KaM Nazar SaMjhe Ke Masht-E-Bal-O-Par Ki Baat Hai,

Taa Abaad, Kitne Andhere The Jo Roshan Ho Gayi,
ShaMa Ka Jalna Bazahir Raat Bhar Ki Baat Hai,

Zindagi Sadiyon Ka Hasil, Zindagi Sadiyon Ka Roop,
Zindagi Jo ChashMak-E-Barq-O-Sharar Ki Baat Hai,

Manzil Ek Reh Roo Ka Thak Jana Hia Warna Zindagi,
Ek Musalsal Rehguzar, PayhaM Safar Ki Baat Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3069 on: December 24, 2008, 02:43:38 AM »

ZakhM-E-Dil Ko Gulab Kya Likhun,
Chahaton Ke Azab Kya Likhun,

Apni Aukaat Se To Waaqif Hoon,
Khud Ko Mehtaab Kya Likhun,

Kis Ke Hisse Mein Ayein Tabeerein,
Kis Ke Ujde Hain Khwab Kya Likhun,

Jisne Likha Hai Zindagi Mujhko,
Uske Khat Ka Jawab Kya Likhun,

SadMe Pehle Bhi Seh Liye Hai Magar,
Ab To Toota Hai Ataab Kya Likhun,

Tishnagi To Na Bujh Saki,
Kitne Aaye Saarab Kya Likhun...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3070 on: December 24, 2008, 02:44:07 AM »



Waqt Thoda Hai Paas Mere,
Par Ab Bahut Kuch Abhi Karna Baaqi Hia,

Wo ZakhM Jo Apno Ne Diya
Use Abhi Bharna Baaqi Hia,

Teri Dosti Ki Aadat Si Apd Gayi Hia Mujhe,
Kuch Der Tere Sath Chalna Mera Baaqi Hia,

ShaMshan Chhod Ke Kuch Pal Ke Liye Kahin Mat Jaa,
Warna Rooh Kahegi Ruk Jaa Abhi Tere Yaar Ka Jalna Baaqi Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3071 on: December 24, 2008, 02:44:22 AM »

Yaqeen Kar Lo Sar Se Paa Tak ZaMeen Se Neele AasMan Tak,
Teri TaManna Mein Jee Rahe Hai Judayi Ka Zeher Pee Rahe Hai,
Na Tairgi Ka Mizaj Dekha Na Roshni Ka Khiraj Dekha,
Chale Hai Teri Nagar Ke Jaanib Ruke Hai Teri Nazar Ki Jaanib,
Yaqeen Kar Lo Ke AasMan Bhi TuMhare Dil Ka Ye Aashiyan Bhi,
Meri Wafa Ka AMeen Hoga Aise Bhi Mujh Par Yaqeen Hoga,
Haan Dooriyon Ka Sabab Batao Ye Kaisa Khud Par Gazab Batao,
Batao Wo Dilki Pyaari Baatein Na Keh Sake Jo Wo Pyari Baatein,
Batao Khuf-O-Hiras Kyon Hai TuMhare Andar Ye Pyaas Kyon Hai,
Kyon Mere Nazdeek Aate Aate Jhijhak Ke Kyon Ho Palat Jaate,
TuM Aao Mujh Par Yaqeen Kar Lo Mujhe Bhi Dilka Makeen Kar Lo,
HaMein TuMhari Hi Aarzu Hai HaMein TuMhari Hi Justuju Hia...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3072 on: December 24, 2008, 02:45:06 AM »

Neend Se Bojhal Jalti Aankhein,
LaMbi Bankar Jaagti Raatein,
Jab Bhi Main Koi Sapna Dekhun,
Sapna Dekhkar Dar Jata Hoon,
Sapne Aksar Dukh Dete Hai
Uljha Uljha Roz-E-Shab Mein
Na Waqif Begane Saare
In Mein Jab Koi Apna Dekhun,
Milne Se Bhi Katrata Hoon,
Apne Aksar Dukh Dete Hai...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3073 on: December 24, 2008, 02:45:22 AM »

Neend Se Bojhal Jalti Aankhein,
LaMbi Bankar Jaagti Raatein,
Jab Bhi Main Koi Sapna Dekhun,
Sapna Dekhkar Dar Jata Hoon,
Sapne Aksar Dukh Dete Hai
Uljha Uljha Roz-E-Shab Mein
Na Waqif Begane Saare
In Mein Jab Koi Apna Dekhun,
Milne Se Bhi Katrata Hoon,
Apne Aksar Dukh Dete Hai...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3074 on: December 24, 2008, 02:45:58 AM »
Dil Ki Chokhat Pe Ek Deep Jala Rakha Hai,
Tere Laut Aane Ka IMkaan Saja Rakha Hai,

Saans Tak Bhi Nahi Lete Hai Tujhe Sochte Waqt,
HuMne Is KaaM Ko Bhi Kal Pe Utha Rakha Hia,

Rooth Jaate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho,
HuMne Ye Soch Kar Hi TuMko Khafa Rakha Hai,

TuM Jise Rota Hua Chhod Gaye The Ek Din,
HuMne Us ShaaM Ko Seene Se Laga Rakha Hia,

Chain Lene Nahi Deta Ye Kisi Taur Mujhe,
Teri Yaadone Jo Toofan Utha Rakha Hai,

Jaane Wale Ne Kaha Tha Wo Laut Ayega Zaroor,
Ek Isi Aas Pe Darwaza Khula Rakha Hia,

Tere Jaane Se Jo Dhool Uthi Thi GaM Ki,
HuMne Us Dhool Ko Aankhon Mein Basa Rakha Hia,

Mujhko Kal ShaaM Se Wo Bahut Yaad Aane Laga,
Dil Ne Muddat Se Jo Ek Shakhs Bhula Rakha Hai,

Aakhri Baar Jo Aaya Tha Mere NaaM Wasi,
Maine Is Khat Ko Kaleje Se Laga Rakha Hai...

Logged
Pages: 1 ... 201 202 203 204 [205] 206 207 208 209 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 01:29:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.218 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer