Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 202 203 204 205 [206] 207 208 209 210 ... 273
Print
Author  (Read 133013 times)
angel4u
Guest
«Reply #3075 on: December 24, 2008, 02:46:17 AM »
TuMhari In Siyan Aakhon Mein,
Meri Zindagi Ki ShaMMa Jalti Hia,
Jab TuM Kareeb Se,
Meri Taraf Dekhte Ho,
To Meri Zindagi Ki Saansein Aur Badh Jaati Hai,
Aur Jab TuM Muskurate Ho To
TuMhari Muskurahat Se Mera Dil Aur Zor Se Dhadakta Hai,
Aur Main Ye Duwa Mangti Hoon
Kash!
Khuda Kare
TuMhari Aankhon Ki ChaMak,
Aur Hothon Ki Muskurahat
Sada Yuhi Rahe...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3076 on: December 24, 2008, 02:47:08 AM »



Jeevan Kya Hai Chalta Phirta Ek Khilona Hai,
Do Aankhon Mein Ek Se Hansna Ek Se Rona Hia,

Jo Jee Chahe Wo Mil Jaye Kab Aisa Hota Hia,
Har Jeevan Jeevan Jeene Ka SaMjhauta Hai,
Ab Tak Jo Hota Aya Hia Wohi Hona Hia,

Raat Andheri Bhor Sunahi Yehi ZaMana Hia,
Har Chaadar Mein Dukh Ka Taana Sukh Ka Banana Hai,
Aati Saans Ko Paana Jaati Saans Ko Khona Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3077 on: December 26, 2008, 02:54:50 AM »

Mera Aur Uska Saath..........

Jaise Chand Ki Shaal Mein Lipti Hui Waadi,
Wo Waadi Jinki KisMat Mein SharMinda Tabeer Hona Nahi Likha,

Mera Aur Uska Saath,

Jaise Kali ShaM Mein Kali Darakhto Ke Kale Saye,
Jinki KisMat Mein UMMid Ki Ek Kiran Nahi,

Mera Aur Uska Saath,

Jaise Tanha Musafir Tanhayi Ke Khauf Se Tanhai Ko Odh Le,
Jiski KisMat Mein Mehfil Nahi,

Mera Aur Uska Saath,

Jaise Malik Aur Makhlook Ek Ban Ke Bhul Gaya Ek Bana Kar,
Bhool Gaya
Wo Mehek, Log Jinki KisMat Mein Sada Ki Pyaas Likh Di Gayi Hai,

Mera Aur Uska Sath,

Jaise JisM Uar Rooh Ja Kaise Din Aur Raat Ka
Jaise Nadi Aur Kinaro Ka Jaise Bahar Aur Khizaon Ka,

Aisa Hai Mera Aur Uska Saath...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3078 on: December 26, 2008, 02:55:36 AM »


Kan-E-Siyah Mein Hota Nahi Sawera,
Par Kiran-E-Aas Pe Hota Nahi Andhera,

Hota Hia Hazaron Mein Ek ChaMan-E-Sheeda,
Jo Deta Hai Poori Kaan Ko Ek Tanha Savera,

Pyaas Nahi Bujhti Aas Ki Ke Jab Hota Ho Andhera,
Ke Jaise Shab-E-Sukoon Mein KhaMoshi Ka Ho Dera,

Nahi Banta Insaan Ki Mehnat Se Wo Ek Heera,
Ke Jise Ho Kudrat Ka Ho Ek Dilkash ZaMeMa,

Rakh ThaaM Kar Isko Ke Shayad Aaye Natija,
Par Qudrat Ka Be-Mool Mein AnMol Hai Zaqeera,

Nahi Hota Kharab Magar Koob Ke Jitna Ho Ye Gehra,
KaaM-E-Nazuk Bhi Fitrat Hia Khuda Ka SaMeera,

Ke Kaan-E-Siyaan Ko Diya Ek AnMol Sa Heera,
Banta Nahi Aise Ke Hota Hai Ye Heera,

Ke Jise Ho ChaMan Ka Ek Adna Sa Sawera...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3079 on: December 27, 2008, 07:09:42 AM »



Shab Utarti Hai To Yaadein Bhi Utar Aati Hai,
Jis Tarah Chidiya Kahin Door Se Ghar Aati Hai,

Din Guzarta Hai To Ho Jaate Hia Lab Khushk Mere,
ShaaM Dhalti Hia To Aankhein Meri Bhar Aati Hia,

Khwahishein Liye Khwab Ke Darwazon Se,
Mere Seene Ke Bayaban Mein Dar Aati Hai,

Tu Nahi Hai To Tere Baare Mein Sochein Meri Aankhein,
Rote Rote Hue Basti Se Guzar Aati Hai,

Roz Le Jaati Hai Ek Khwab Ki Hawayein Aur Phir,
Ek Hi Shakhs Ki Dehleez Pe Dhar Aati Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3080 on: December 27, 2008, 07:09:59 AM »


Bilaakhir Ye Haseen Manzar Mita Dena Hi Padta Hai,
Kisike Sar Se Shaane Se Hata Dena Hi Padta Hai,

Kisi Der Aashna Ko Jhuthe Sachhe Kuch Hawalon Se,
Taarruf Ke Liye Sab Se Mila Dena Hi Padta Hai,

Jo Saanson Mein Mehekte Hai Jo Aankhon Mein DaMakte Hia,
Achanak Ek Din Unko Bhula Dena Hi Padta Hia,

Diye Jo HuM Jalate Hia Nihayat Shauq Se Har Shab,
Unhe Khud Apni Phoonkhon Se Bujha Dekha Hi Padta Hia,

Koi Jab Puchhta Hai HuMse Kaisa Haal Hia Sajid,
HaMein Mohtaat Ho Kar Muskura Dena Hi Padta Hai,

ChaMak Uthte Hai Sajid Jab Sitare Uski Palkon Par,
Use Dilse Laga Kar Hausla Dena Hi Padta Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3081 on: December 27, 2008, 07:11:41 AM »


Apni KhaMosh Mohabbat Aaj Mujh Par Ashkaar Kar De,
Aye Khuda Meri Ye Dua Wo Shakhs Mere NaaM Kar De,
Ruko! Suno! Mujhe TuMse Kuch Kehna Hia,
Laut Kar TuMne Mere Paas Hi Aana Hai,
Main Adhoori Hoon Mujhe MukaMMal TuMne Banana Hia,
Saath Apne Mujhe TuMne Le Kar Jaana Hia,
Dekho! Khuda Ki NeMaton Ko Thukraya Nahi Karte,
Mila Lein Jisse Haath Phir Chhudaya Nahi Karte...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3082 on: December 27, 2008, 07:13:25 AM »



Ye Kaisi Ajab Zindagi Ki Ghadi Hia,
Ke Jabse Ki Bhi Rafaqat Nahi Hia,
Koi Shakhs Unko Naya Jo Mila To,
Kaha Ke Purane Ki Aadat Nahi Hia,

Meri Aankh Bojhal Na Ho Gar To Kaise?
Koi Bojh Sehne Ki Aadat Nahi Hia,
Koi Aake Khole Meri Band Aankhein,
Mujhe Ab Jagne Ki Aadat Nahi Hia,

Koi Khalq Ki Bandagi Jo Kare Gar,
To Ye Bandagi Hia, Ibaadat Nahi Hia,
Jo MafhooM Puchhe Koi Abd Ka To,
Kahein Ye Batane Ki Aadat Nahi Hia,

Safar Ye Kathin Hia, Bataya Tha Unko,
Unhe Sath Chalne Mein Raahat Nahi Hia,
Jo Har Pal HaMein AazMate Rahe Ho,
Unhe AazMane Ki Aadat Nahi Hai,

Wafa Lafz Kehte Rahe UMar Bhar Jo,
Unhe Ye Nibhaneki Aadat Nahi Hai,
Jo TuM Khelte Ho To Khelo Dilonse,
HaMein Dil Lagane Ki Aadat Nahi Hai,

Jo Kehte The TuMko Hia Sapno Mein Dekha,
Wo Kehte Hai Khwabon Ki Aadat Nahi Hai,
Kisiki Hansi Yaad Aati Hai Warna,
HaMein Muskurane Ki Aadat Nahi Hai,

Jo Dekhi Wo Aankhein, QadaM Unke Bojhal,
Kahein HuMko Manzil Ki Chahat Nahi Hia,
Rahe Dasht Ke UMr Bhar Jo Musafir,
QadaM Do QadaM Ki Bhi Aadat Nahi Hia,

Naya Sheher Har Din, Naya Darr Har Ek Shab,
Dagar Puchhne Ki Bhi Haajat Nahi Hia,
HaMein Ghar Mila Bhi To Us Waqt Sajid,
Ke Jab Ghar Ko Jaane Aadat Nahi Hia...
 

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3083 on: December 27, 2008, 07:14:01 AM »


Yeh MuqaaM-E-Ulfat TuM Aaj Bhi Yaad Rakhna,
Jab Had Se Gir Jao To Sajda Gira Rakhna,

Meri Rooh Kyon Becain Hai Mere JisM Ke Darse,
Jab Dil Dahel Jaye Meri Rooh Bechain Rakhna,

Kuch Maazi Ki Batein Jo Mujhse Keh Na Sake To,
Tujhe Padhneke Waste Ye Aankhein Khuli Rakhna,

Teri Ab Har Saans Par Dhadakta Dil Hai Mera,
Jab Tujhse Joda Ho Apne Dilko ThaM Rakhna,

Wo Waqt Shanasayi TuM Aaj Bhi Yaad Rakhna,
Wo ShaaM Ka Paher Tha Wo Waqt ThaM Rakhna,

Phir Sarakta Aanchal Wo Aankhon Se Behta Kajal,
Jab Dhoop Si Na Paao, Meri Chhanv Yaad Rakhna,

Ye Duniya Badi ZaliM Hai TuM Kiske Paas Jaogi,
Jab Sab Se Thokar Khalo Mera Dar Yaad Rakhna,

Ye MuqaM-E-Ulfat TuM Aaj Bhi Yaad Rakhna,
Jab Had Se Gir Jao To Sajda Gira Rakhna...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3084 on: December 27, 2008, 07:14:29 AM »



Yun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne,
Apni Aankhonse Bhi Main ZakhM Chhupaun Apne,

Main To QaeM Hoon Tere GaM Ki Badaulat Warna,
Yun Bikhar Jaun Ke Khud Haath Na Aaun Apne,

Sochta Hoon Ke Bujha Dun Main Ye KaMre Ka Diya,
Apne Saaye Ko Bhi Kyon Sath Jagaun Apne,

Uski Talwar Ne Wo Chal Chali Hai Aisi,
Paanv Kattein Hai Agar Haath Bachaun Apne...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3085 on: December 27, 2008, 07:16:07 AM »



Tere Dhoke Pe Main Har Pal Roya,
Aah-O-Qatar Mein Din Raat Roya,

Tu Na Roya Koi Parwah Nahi,
Chaak Garebaan Pe Har Aashiq Roya,

Jo Haseeno Se Pyaar Karta Ho,
Aise Royega Jaise Main Roya,

Tu Har Jagah Pe Hansaya Karo,
Ye To Shahid Hai Jo Subah Tak Roya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3086 on: December 27, 2008, 07:17:56 AM »




Wo QayaMat Ho, Sitara Ho Ke Dil,
Kuch Na Kuch Hijr Mein Toote To Sahi,

HuM Wahin Par Hi Basa Lein Khudko,
Wo Kabhi Raah Mein Roke To Sahi,

Sabse Hat Kar Hi Manana Hia Use,
HuMse Ek Baar Wo Roothe To Sahi,

Dil Usi Waqt SaMbhal Jayega,
Dilka Ehwaal Wo Puchhe To Sahi,

Uski Nafrat Bhi Mohabbat Hogi,
Mere Baare Mein Wo Soche To Sahi,

Uske QadMon Mein Bichha Dun Aankhein,
Meri Raah Guzar Se Wo Guzre To Sahi,

Uske Sab Jhuth Bhisach Maan Lun Mohsin,
Shart Sirf Itni Ke Wo Bole To Sahi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3087 on: December 27, 2008, 07:20:14 AM »



Har Mod Pe Milta Hia Yehi Ek Dost,
Halka Karta Hai Ye Sabke Dilka Bojh,
Bina Jhijhak Keh Do Isse Apne Dilka Rog,
Tnahayi Mein Yehi Hai Ek Saug,
JanaM Isika Diya Hua Hai Ye Hi Suoaz,
Khoob Jaata Hai Ye Dil Mein,
Guzarti Shab Mein,
Girta Hia Ye Jab,
Aksar Mujhe,
Apni Yaadon Se,
Itne Pyar Se NaaM Karta Hai Mujhe,
Betaab Sa Rehta Hai,
Janejaana Aansu Hai Meri Aankhon Ka Wo,
Karta Hai Mujhse Behad Pyaar,
Besabab Chhalakne Ko Beikhtiyaar...

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3088 on: December 30, 2008, 10:03:06 PM »
Waah Huzaina,.
Kamaal Ki Sharing Hai Phirse,.
Nice One,.

Logged
Pooja
Guest
«Reply #3089 on: December 30, 2008, 10:03:26 PM »
good collection angel
Logged
Pages: 1 ... 202 203 204 205 [206] 207 208 209 210 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 12:01:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.208 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer