Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 203 204 205 206 [207] 208 209 210 211 ... 273
Print
Author  (Read 133015 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3090 on: December 30, 2008, 10:06:35 PM »
Dasht-e-Gurbat Mein Tumhe Kaun Pukaarega "Faraaz',.
Chal Pardo Khud Hi Jidhar Dil Ki Sadaa Le Jaaye,.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3091 on: December 30, 2008, 10:06:54 PM »
Wah! Angel kya baat hai
Bahut achcha sangraha hai
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3092 on: December 31, 2008, 02:25:32 AM »
Thanks Poooja JI, Azeem & Rajesh Ji...

Nice one Azeem...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3093 on: December 31, 2008, 02:26:40 AM »
Aankhon Mein Kis Saraab Ke Manzar Hia In Dino,
HuM Had-E-Aitbaar Se Bahar Hai In Dino,

Bikhre Hue Hai Sheher Ke Raston Pe Misl-E-Khaak,
Yaani Hawa Ke RehM-O-KaraM Pe Hai In Dino,

Bahar Hi Nahi Nikalte Mubada Malaal Ho,
HuM Isliye Makaan Ke Andar Hai In Dino,

Lab Izn-E-Guftugoo Ko Taraste Hai Aajkal,
Rone Mein Dono Aankhein SaMundar Hai In Dino,

Narazgi Ke ZakhM Hia Aur Rehuguzar-E-Sheher,
Goya Halaak RasM-E-SitaMgar Hia In Dino,

Kya Aur TuMse Khulke Kahein Apna Haal-E-Zaar,
Maayoosi Aur UMMid Barabar Hai In Dino...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3094 on: December 31, 2008, 02:27:25 AM »

Tu Hi Bata Ke Tere Aitbaar Kaise Karein,
BharaM Hi Toot Gaya Ab Pyaar Kaise Karein,

Khiza Khiza Rahi Hai Zindagi Apni,
Rutein Badal Ke Isse HuM Bahar Kaise Karein,

Jab Uski Baat Par HuMko Yaqeen Na Raha,
Ab Aur Usse Qol-O-Qaraar Kaise Karein,

Wafa Shuaar To Ab Wo Nahi Raha,
Ab Us Bewafa Ka Intezar HuM Kyon Karein...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3095 on: January 01, 2009, 05:09:36 PM »
Shukriya Huzaina Ji,.
And Good Going yaar,.
Lage Raho,.
Inshallah Hum Hai saath Aapke,.'
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3096 on: January 01, 2009, 05:13:12 PM »
sholaa thaa jal-bujhaa hon havaayain mujhe na do
main kab kaa jaa chukaa hon sadaayain mujhe na do

jo zahar pii chukaa hon tumhiin ne mujhe diyaa
ab tum to zindagii kii duaayain mujhe na do

aisaa kahiin na ho ke palaTakar na aa sakon
har baar duur jaa ke sadaayain mujhe na do

kab mujh ko aiteraaf-e-muhabbat na thaa 'Faraaz'
kab main ne ye kahaa thaa sazaayain mujhe na do
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3097 on: January 02, 2009, 04:42:47 PM »
Shukriya azeem...

Bahut khoobsurat sharing hai aapki bhi
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3098 on: January 02, 2009, 04:43:26 PM »


Jo TuMne Thaan Hi Li Hia,
HaMare Dilse Nikloge,
To Itna Jaan Lo Jaana,
Wafa Ki Sidiyon Par Har QadaM Phaila Hua,
SaMundar SaMne Hoga Agar Sahil Se Nikloge,
Ye Arzuon Ka Lahoo Yunhi Zayaan Na Jayega,
Sitare Jinke Aankhone HaMein Ek Sath Dekha Tha,
Gawahi Dene Aayenge,
Purane Kagazon Ke Balkani Se Bahut Se Lafz Jhankenge,
TuMhe Wapas Bulayenge,
Kayi Waade Fasade Qarz Khwahishon Ke Tarha Raste Mein Rokenge,
TuMhe DaMan Se Pakdenge,
TuMhari Jaan Khayenge,
Chhupa Kar Kis Tarah Chehra Bhari Mehfilse Nikloge,
Zara Phir Soch Lo Jana Nikal To Jaoge Shayad,
Magar Mushkil Se Nikloge...
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #3099 on: January 02, 2009, 04:54:57 PM »


Jo TuMne Thaan Hi Li Hia,
HaMare Dilse Nikloge,
To Itna Jaan Lo Jaana,
Wafa Ki Sidiyon Par Har QadaM Phaila Hua,
SaMundar SaMne Hoga Agar Sahil Se Nikloge,
Ye Arzuon Ka Lahoo Yunhi Zayaan Na Jayega,
Sitare Jinke Aankhone HaMein Ek Sath Dekha Tha,
Gawahi Dene Aayenge,
Purane Kagazon Ke Balkani Se Bahut Se Lafz Jhankenge,
TuMhe Wapas Bulayenge,
Kayi Waade Fasade Qarz Khwahishon Ke Tarha Raste Mein Rokenge,
TuMhe DaMan Se Pakdenge,
TuMhari Jaan Khayenge,
Chhupa Kar Kis Tarah Chehra Bhari Mehfilse Nikloge,
Zara Phir Soch Lo Jana Nikal To Jaoge Shayad,
Magar Mushkil Se Nikloge...


superb angel ji.
Bahut mushkil hai ,is thread se nikalna. Sach bolu to likhne waale no to kher kamaal ka likha hi hai,pur aapki choice bhee vaakai,be-misaal hai,kamaal hai.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3100 on: January 02, 2009, 04:56:35 PM »
superb angel ji.
Bahut mushkil hai ,is thread se nikalna. Sach bolu to likhne waale no to kher kamaal ka likha hi hai,pur aapki choice bhee vaakai,be-misaal hai,kamaal hai.

Bahut shukriya itni tarif karne keliye..
kahir mujhe nahi lagta ke yahan koi aata bhi hoga to jaane ki baat to door ki hia.. well anywys..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3101 on: January 02, 2009, 04:56:55 PM »
Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha,
Sar-E-BazM Raat Ye Kya Hua,
Meri Aankh Kaise Chhalak Gayi,
Mujhe Ranj Hia Ye Bura Hua,
Meri Zindagike Chirag Ka,
Ye Mizaj Kuch Naya Nahi,
Abhi Roshni Abhi Teergi,
Na Jala Hua Na Bujha Hua,
Mujhe Jo Bhi DushMan-E-Jan Mila,
Wo Pukhta Kar-E-Jehan Mila,
Na Kisi Ki Zerb Ghalat Padi,
Na Kisi Ka Teer Khata Hua,
Mujhe Raste Mein Pada Hua,
Ek Ajnabi Ka Khat Mila,
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua,
Kahin Aansuon Se Mita Hua,
Mujhe HuMsafar Bhi Mila To Wo,
SitaM Zareef Meri Tarah,
Kayi Manzilon Ka Thaka Hua,
Kayi Raston Mein Luta Hua...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3102 on: January 02, 2009, 04:57:27 PM »
Main Wo Lau Hoon Jo ShaMa Ke Sath Hi Jal Jaunga,
Jab Dhalegi ShaaM Main Bankar Dhuan Ud Jaunga,

Ronaq-E-Mehfil Rahunga Jab Talak Jalta Hoon Main,
Main Bujha To Saath Apne Roshni Le Jaunga,

Mere DaMan Mein Andhere Hai Magar Aye Karwan,
Sath Rakhoge Mujhe Main Pasbaan Ban Jaunga,

Na Safar Mein Hoon Koi Na Aas Manzil Ki Mujhe,
Ek Hi Kooche Mein Jalta Hoon Wahin Mit Jaunga,

Kitne Parwane Jale GaM Mein Mere Milkar Gale,
Na SaMaje The Ye Na SaMjhe Main To Jalta Jaunga,

Waqt Badlega Nayi Mehfil Naye Honge Sukhan,
Sab Badal Jayega Lekin Main Wo Hi Reh Jaunga,

Zindagi Meri Faqt Itni Si Hia Is Deher Mein,
Raakh Hogi Jab Bhi Lau Main Khak Mein Mil Jaunga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3103 on: January 02, 2009, 04:57:39 PM »
Sab Kuch Aapke Liye,
HaMara Din HaMari Raat
HaMare Subah HaMari ShaaM
HaMara Hansna HaMara Rona
HaMara Roothna HaMara Manana
HaMari Mohabbat HaMari Chahat
HaMara Izhar HaMara Iqraar
Sab Aapke Liye,
Aap Ko Sochna
Aap Hi Ko Dekhna,
Aap Se Hi Baatein Karna,
Aap Hi Ka Intezar
Hai Ye Intezar Aakhri Saans Tak,
HaMari Zindagi Mein,
Sirf Aap Hi Ke Liye
Sab Kuch Aap Ke Liye...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #3104 on: January 02, 2009, 04:57:59 PM »
TuM Is Tarah Wafa Ki Laaj Nibhaye Rakhna,
Apne Aansuon Ko Bhi Aanchal Mein Chhupaye Rakhna,

Kahin Dekh Na Le Ye Duniya TuMko,
Meri Tasveer Ko Dil Mein Chhupaye Rakhna,

Agar Puchhe Ye Mere Baare Mein Koi,
Muskura Kar TuM Isko Jawab Dena,

Keh Dena HaMari Mohabbat NakaM Nahi,
Dono Ke Naseeb Mein Likha Hia Door Rehna...
Logged
Pages: 1 ... 203 204 205 206 [207] 208 209 210 211 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 01:19:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.185 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer