Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 204 205 206 207 [208] 209 210 211 212 ... 273
Print
Author  (Read 133011 times)
angel4u
Guest
«Reply #3105 on: January 02, 2009, 04:58:34 PM »
Teri Yaadon Ke Bina Koi LaMha Guzaara Nahi,
Ek Pal Nahi Jab TuMhe HuMne Pukara Nahi,

Meri NakaMiyon Ko Itna Bhi GuM Na Kijiye,
Agar Aap Jeete Hai To Main Haara Nahi,

Ye Naqsh-E-Dard Kaise Utar Jaye Chehre Se,
Maine Abhi Aapka GaM Dilse Utara Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3106 on: January 02, 2009, 04:58:59 PM »
Mujhe Sahara De De Koi,
Mere Toote Hue Dil Par Haath Rakh De Koi,

Mere Behte Hue Ashqon Ko Rok Le Koi,
Mujhe Apne Seene Se Laga Le Koi,

Mere Dilke Sau Tukde Hue Hai,
Is Toote Dilke Tukdo Ko Jod De Koi,

Aaj Tanha Ho Chuka Hoon,
Kash Mujhe Apna Bana Le Koi,

Seene Mein Dard Bahut Ho Chuka Hia,
Kash Is Seena-E-Dard Ko Baant Le Koi,

Ek Pal Ki Khushi Ke Liye Taras Gaya Hoon,
Kash Khushiyan Dene Wala Mil Jaye Koi,

Mujhe Sahara De De Koi,
Mere Toote Hue Dil Pe Haath Rakh De Koi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3107 on: January 02, 2009, 04:59:29 PM »
Dilki Baat Zubaan Tak Lana Kitna Mushkil Hai,
Haal-E-Dil Auron Ko Sunana Kitna Mushkil Hai,

Ek HaMein Hai Teri Chahat, Ek Duniya Ki Majboori,
Beech SaMundar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai,

TuM Duniya Ki Shedayi Ho, Main Sapno Ka Bashinda,
Sath HaMein Yun Tera Nibhana Kitna Mushkil Hai,

Ek Nayi Duniya Ki Chahat Le Aayi Hia Kitni Door,
Wapas Laut Ke Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hia,

Wehshat Ke Saaz Pe Raksaan MataM Ke Kuch Alfaaz,
In Hothon Pe Geet Sajana Kitna Mushkil Hia,

Apne Honthon Se Aana Ke Tale HuMse Na Khol Payenge,
Door Hote Sathi Ko Bhulna Kitna Mushkil Hai,

Ab To Har Ek Hi HuMko Dard Ka Mara Lagta Hai,
Apne ZakhM Logonko Dikhana Kitna Mushkil Hai,

Roz Mujhse Ek Nayi TaManna Karta Hai Ye Mera Dil,
Is Nadaan Bachhe Ko SaMjhana Kitna Mushkil Hai,

HuM Aankhon Se Kehne Wale TuM Honthonse Sunnewale,
Apni Chahat Yun TuMhe Batana Kitna Mushkil Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3108 on: January 02, 2009, 05:00:05 PM »
Tab Yaad Bahut TuM Aate Ho,
Jab Raat Ki Nagin Dasti Hia,
Nass Nass Mein Zeher Utarta Hai,
Jab Chand Ki Kirnein Tezi Se,
Is Dilko Cheer Ke Aati Hia,
Jab Aankh Ke Andar Hi Aansu,
Zanjeeron Mein Bandh Jaate Hia,
Sab Jazbon Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut TuM Aate Ho,
Jab Dard Ki Jhanjhar Bajti Hia,
Jab Raks GaMon Ka Hota Hia,
Khwabon Ki Taal Lpe Saare Dukh,
Wehshat Ke Saaz Bajate Hai,
Gaate Hai Khwahish Ki Lay Mein,
Masti Mein JhuMte Jaate Hai,
Sab Jazbon Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut TuM Aate Ho,
Tab Yaad Bahut TuM Aate Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3109 on: January 02, 2009, 05:00:25 PM »
Suno HuM ZaMane Se Darne Lage Hai,
Mohabbat Jo TuMse Karne Lage Hai,

Ye Kundilein Aankhon Ki Bujhne Lagi Hia,
Ke Aankhon Mein Dariya Utarne Lage Hai,

Ye Be-Waqt MausaM Ke Tever Badle Kyon,
Ye Patte Kyon Shakhon Pe Mudne Lage Hai,

HaMein Ab Nahi Hai ZaMane Ki Hasrat,
Akele HuM Baatein Jo Karne Lage Hai,

Gulon Se Shikwa Hia Na Kharon Se Ranjish,
HaMein Mat SaMeto Bikharne Lage Hai,

Meri Jaan Judayi Mein Jalne Lagi Hia,
Ke Raaton Mein Uth Uth Ke Darne Lage Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3110 on: January 02, 2009, 05:00:48 PM »
Jab Bhi Aati Hai Teri Yaad ShaaM Ke Baad,
Aur Badh Jati Hai Afsurdadili ShaaM Ke Baad,

Ab Iradon Pe Bharosa Hai Na Tauba Pe Yaqeen,
Mujhko Le Jaye Kahan Tashnaalabi ShaaM Ke Baad,

Yun To Har LaMha Teri Yaad Ka Bojhal Guzara,
Dilko Mehsoos Hui Teri KaMi ShaaM Ke Baad,

Yun To Kuch ShaM Se Pehle Bhi Udaasi Thi,
Ab To Kuch Aur Badhi Dilki Lagi ShaaM Ke Baad...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3111 on: January 02, 2009, 05:01:03 PM »
Ye To Nahi Ke GaM Nahi,
Haan Meri Aankh NaM Nahi,

TuM Bhi To TuM Nahi Ho Aaj,
HuM Bhi To Aaj HuM Nahi,

Ab Na Khushi Ki Hia Khushi,
GaM Ka Bhi Ab To GaM Nahi,

Maut Agarche Maut Hai,
Maut Se Zist KaM Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3112 on: January 02, 2009, 05:01:25 PM »
Waqt Aata Hai Aur Ek Pal Mein Guzar Jaata Hai,
Jaise Har Taar Par Har Saaz Badal Jaata Hai,

Shikwa Karte Ho TuM Tanhayi Ka Is Zeest Mein,
Tanha Bashar Aata Hai Aur Tanha Hi Guzar Jaata Hai,

SaMjho To Isse Badi Haqeeqat Nahi Koi,
Khwabon Ke Khilauno Se Har Nafs Bahel Jaata Hai,

Adawaton Ke Khar Bahut Khoob Hai Gar-Cha,
Mohabbaton Ka Phool Khilte Hi Bikhar Jaata Hai,

Chup Reh Kar Kabhi Taaqub Karo Sadao Ka,
Nahi Milta Jo Kabhi To Wo Bhi Mil Jaata Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3113 on: January 02, 2009, 05:02:01 PM »
Ajeeb Rangon Mein Rang Gaye Hai Wafa Ke Jazbe,
Ajeeb Yaadon Mein Dhal Gaye Hia,
Kisiko Apna Na Keh Sake HuM,
Kisiko Apna Na Kar Sake HuM,
Kahin Pe Ranjish Hai Tanha Dil Ki,
Kahin Pe Khwabon Ki Kirchiyan Hai,
Kahin Pe Khoon Hai ArMano Ka,
Kahin Pe Shikasta Yaadein,
Bas Yehi Paya Hia Is Duniya Se,
Yehi Mila Hia HaMein Yahan Se,
Ajeeb Rangon Mein Rang Gaye Hai Wafa Ke Jazbe...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3114 on: January 02, 2009, 05:05:05 PM »
Shukriya Huzaina Ji,.
And Nice One Again Yaar,.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #3115 on: January 04, 2009, 11:08:25 AM »
Wallah..tere kadardaano ko koi kami nahi...!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3116 on: January 04, 2009, 12:57:58 PM »
achha aisi galatfehmi lagti hia tumhe...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3117 on: January 04, 2009, 12:58:38 PM »
Muqaddar Chhod De Jisko ZaMana Chhod Deta Hai,
Khizan Mein Har Parinda Aashiyan Chhod Deta Hai,

SaMajh Lein Lag Rahi Hia Aapki Buniyaad Mein DeeMak,
Padosi Jab Kabhi Nazrein Milana Chhod Deta Hai,

ZaMane Bhar Ki Taqreerein Asar Mujh Par Nahi Karti,
Magar Ek Lafz Tera Ek Fasana Chhod Deta Hai,

Wo ZaaliM Bewafa Harjayi Hia Magar Phir Bhi,
Nazar Milte Hi Ek Manzar Suhana Chhod Dete Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3118 on: January 04, 2009, 12:59:14 PM »
Chalo Aaj Phir Se,
Shuru Karein Wo Saari Baatein,
Wo Pyaari Baatein,
Chalo Aaj Phir Se,
Wo Ahd-E-Wafa Karein Ke Sari ShaaMein Jalein Phir Se,
Chalo Aaj Phir Se,
KhataM Karein Wo Saare Jhagde,
Chalo Aaj Phir Se,
Mohabbaton Ke Kathin Safar Ko Shuru Karein HuM,
Chalo Na Taake,
Jhagadne Ke Phir Se Sabab Bane To,
Chalo Aaj Phir Se...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3119 on: January 04, 2009, 12:59:32 PM »
Aao Chaand Se Wo Sab Baatein Karein,
Izhaar Bhi Karein Isi Se,
Bana Lein Ab Usi Ko Apna Raazdaan,
Wagarna Kaun Sunega HaMari Yahan Dastan,
Chalo Shazil Phir Isko Batayein,
Apni TaMaM Uljhanein,
Aur Na Layein Kisiko Apne DarMiyan...
Logged
Pages: 1 ... 204 205 206 207 [208] 209 210 211 212 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 09, 2025, 09:36:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.221 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer