Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 205 206 207 208 [209] 210 211 212 213 ... 273
Print
Author  (Read 131233 times)
angel4u
Guest
«Reply #3120 on: January 04, 2009, 01:00:22 PM »
Chalo TuMko Batate Hai,
Ke TuMko Dekhkar Dil Ne
Kaha TuM Rishta-E-Jaan Se Bhi Badh Kar Ho,
Dua Ki Sarhadon Par,
Jo Adhuri Hai, Meri Aisi TaManna Ho,
Mere Dilka Muqaddar Ho,
Ke TuM Ek Roshni Bankar, Shafa Le Kar,
Kabhi Dast-E-Masiha Ki Tarah,
Utre Hue, Har ZakhM-E-Dil Par Ho,
Chalo TuMko Batate Hai,
Ke TuM IMaan HaMara Ho,
Sara-E-Dher Mein Andesha-E-Zindagani Mein,
TuM Hi Dil Ka Sahara Ho,
Jo Rooh Ke AasMan Pe JagMagaya Hai Mohabbat Se,
Suhani ShaaM Ki Chahaton Ka Pehla Tara Ho,
Wafa Ka Ista-Ara Ho,
TuMhare Qarb Ki Khushbu Se Patthar Ki Tarah HuMne,
Sulagti Dhoop Mein Phailao Paya Hai,
TuMhare Pyaar Ke Rangeen Kanwal Thandi Hawa Se
Sarsarate Hai,
HuM Sawan Mein Bheege Pairon Ko Chhu Lein To,
TuMhare LaMs Ki Khushbu Ke LaMhe JagMagate Hai,
Chalo TuMko Batate Hai,
Ke HuMne Zindagi Ke Sab Warq Le Kar,
Sab Hi Satron Mein Likh Li TaManna TuMko Pane Ki,
ZaMane Bhar Mein Shayad Katib-E-Taqdeeer Ke Haathon,
Mere Dilne Likh Li Hai TuMhari Chah Ki Khwahish,
TuMhari Aarzuon Ka Jo Ek Idraak Hai Mujh Mein,
Kiisi Mein Ho Nahi Sakta,
TuMhari Muskurahat Ka Ek ArMaan Hai Mujh Mein,
Kisi Mein Nahi Ho Sakta,
Chalo TuMko Batate Hai,
Chalo TuMko Batate Hai...
Logged
Aadi_aryan
Guest
«Reply #3121 on: January 04, 2009, 01:40:13 PM »
yaar dil kush ho gaya,

really its nice one

Aadi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3122 on: January 04, 2009, 08:53:34 PM »
Waah Waah Waah,.
Jitni Bhi Wah Waah Hi,.Karoon Kam Hai,.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #3123 on: January 14, 2009, 03:07:54 AM »
Angel ji aadab!
Bohot dino baad YO par aaya hun, tamam ahbab se behad sharminda or muaafi ka talabgaar hun...
=============================

Wah itna kuchh likhne or YO ke khazane me is qadar izafa karne ke liye shairy ki muhabbat nahi balke diwangi ki zarurat hai, aap ne kamaal ka zakhira jama kar rakkha he, bohot khoob...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3124 on: January 14, 2009, 03:21:52 AM »
Wah wah kya collections hai...ek se badkar ek ..
Padkar accha laga. Thanks for sharing Angel sis...
Logged
amarhellboy
Guest
«Reply #3125 on: January 16, 2009, 06:18:23 AM »
ANGEL JI MAAF KARNA MAI BAHUT DINO BAAD AAPKO KOI COMMEMTS NHI DE PAYA AAPKE COLLECTIONKI JITNI TARIF KI JAAYE KAM HAI. USSE JAYADA AAPKI TAARIF KI JAYE TO BHI KAM HAI KYUNKI IS SAARE COLLECTION KO HUM AAPKE KARAN HI PAD SAKE HAI. WAKAI MAI AAPKA COLLECTION WAKAI TAARIFE KABIL HAI. MAI HUMESHA YE DUA KARUNGA KI AAPKA YE SILSILA JO AAPNE SURU KIYA WO KABHI KHATAMNA HO HUMESHA CHALTE RAHE. AAPKE COLLECTION KE BAARE MAI EK BAAT OR KEHNA CHAHUNGA KI.......................

     AAPKA COLLECTION PAD KAR ACCHA LAGA,
   AAP KA YE SILSILA ACCHA BAHUT ACCHA LAGA.
   SAGAR SE GEHARI LAGI AAPKI DOSTI ANGEL JI,
    TERNAA AATA THA MAGAR DUBNAA ACCHA LAGA.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3126 on: January 22, 2009, 02:41:46 AM »

Thanks a lot all for appreciation.
i might not be able to post more for the time being due to present circumstances..
thanks anyways for your wonderful appreciations
hope to come back.........
take care all of you
it was nice getting ur valuable time on this thread...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3127 on: January 25, 2009, 06:03:53 AM »
Kuch Door To Mere Sath Chalo, Phir Beshak Raah Badal Lena,
Kuch Pal Tum Mere Sath Chalo, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Kuch Der To Thamo Mera Haath Kuch Der Raho Tum Mere Paas,
Ya Yaadein Mujhko Tum De Do, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Auron Ke Sath To Rehte Ho Auron Ke Sunte Kehte Ho,
Do Baatein Mujhse Bhi Kar Lo, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Kandhe Pe Tere Sar Rakh Lun Aankhon Ko Apni Band Kar Lun,
Palkon Ki Chilman Girne Do, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Kyon Mujhse Chupke Rehte Ho Kyon Dil Ki Baat Nai Kehte Ho,
Jo Dil Mein Hai Wo Keh Dalo, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Tum Kehte Na Kehti Hai Kyon Aankhon Saath Na Deti Hai,
Ya Aansu Bhi Apne Chun Lun, Phir Beshak Raah Badal Lena,

Bin Tere Jee Na Paunga Main Mitti Mein Mil Jaunga,
Meri Maiyyat Ko Kandha De, Phir Beshak Raah Badal Lena...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3128 on: January 25, 2009, 06:31:59 AM »
Saamne hai jo use log bura kehte hain
Jisko dekha hi nahin usko Khuda kehte hain

Zindagi ko bhi sila kehte hain kehne waale
Jeene waale to ise gunaahon ki saza kehte hain

Faasle umar ke kuchh aur bada deti hai
Jaane kyun log use phir bhi dawa kehte hain

Chand maasoom se patton ka lahoo hai bas
Jisko log mehboob ke haathon ki heena kehte hain
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3129 on: January 25, 2009, 06:35:32 AM »
wah angel ah aapka khajana to anmol motiyon se bhara hai.....bikherte rahiye aise hi ek ek karke in motiyon ko
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3130 on: January 25, 2009, 06:36:59 AM »
Saamne hai jo use log bura kehte hain
Jisko dekha hi nahin usko Khuda kehte hain

Zindagi ko bhi sila kehte hain kehne waale
Jeene waale to ise gunaahon ki saza kehte hain

Faasle umar ke kuchh aur bada deti hai
Jaane kyun log use phir bhi dawa kehte hain

Chand maasoom se patton ka lahoo hai bas
Jisko log mehboob ke haathon ki heena kehte hain


Wah Wah Wah!!! Bahut Khoob Applause Applause Applause
Thanks For Sharing Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3131 on: January 25, 2009, 06:37:34 AM »
Tum Talluq Todne Ka Khain Ziqr Na Karna 'Faraz',
Main Logon Se Keh Doonga Ke Use Fursat Nahin Milti...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3132 on: January 25, 2009, 06:38:36 AM »
wah angel ah aapka khajana to anmol motiyon se bhara hai.....bikherte rahiye aise hi ek ek karke in motiyon ko

THanks a lot Bekarar ji. pasand karne ke liye

itne din baad aayi comments padhke achha laga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3133 on: January 25, 2009, 06:39:05 AM »
Bahut shukriya khwaish..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3134 on: January 25, 2009, 06:40:17 AM »
Jab Meri Raah Teri Raah Se Milti Hi Nahi,
Phir Mere Sath Nibhane Ki Zaroorat Kya Hai,
Apni Masoom Tamannaon Ko Rehbar Na Banao,
Khwaab Phir Khwaab Hai Labon Ki HaQeeQat Kya Hai,
Ye Nahi Raah Tujhe Raas Na Aayegi,

Maine Maana Ke Tujhe Mujhse Mohabbat Hai Magar,
Meri Gurbat Teri Chahat Ka Sila Kya Degi,
Apni Mehroomi-E-Kismat Se Pareshan Hoon Main,
Bebasi AshQ-E-Nidamat Ke Siwa Kya Degi,
WaQt Ki Dhoop Mein Har Chiz Jhulas Jayegi...
Logged
Pages: 1 ... 205 206 207 208 [209] 210 211 212 213 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 11:42:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.186 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer