Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 206 207 208 209 [210] 211 212 213 214 ... 273
Print
Author  (Read 131230 times)
angel4u
Guest
«Reply #3135 on: January 25, 2009, 06:47:44 AM »
Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho,
Zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho,

Wo sitara hai chamakne do yun hi aankhon mein,
Kya zaroori hai use jism banakar dekho,

pattharon mein bhi zubaan hoti hia dil hote hia,
apne ghar ki dar-o-deewar saja kar dekho,

Faasla nazaron ka dhoka bhi to ho sakta hia,
wo mile ya na mile haath badha kar dekho...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3136 on: January 25, 2009, 06:59:39 AM »
Tum Talluq Todne Ka Khain Ziqr Na Karna 'Faraz',
Main Logon Se Keh Doonga Ke Use Fursat Nahin Milti...


is ek sher meri hazaaron daad..
Logged
Roja
Guest
«Reply #3137 on: January 25, 2009, 07:03:20 AM »
Angel sis, mujhe last 2 shayri bahut pasand aayi. Thanks for sharing.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3138 on: January 25, 2009, 01:56:03 PM »
Thanks roja and bekarar...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3139 on: January 28, 2009, 03:08:23 AM »
Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar Ke Mujhe,
Guzar Gayi Jaras-E-Gul Udaas Karke Mujhe,

Main So Raha Tha Kisi Yaad Ke Shabistaan Mein,
Jaga Ke Chhod Gaya Gafila Saher Ka Mujhe,

Main Tere Dar Ki Tugiyaaniyon Mein Doob Gaya,
Pukarte Rahe Taare Ubhar Ubhar Ke Mujhe,

Tere FiraaQ Ki Raatein Kabhi Na Bhulengi,
Maze Mile Inhi Raton Mein Umar Bhar Ke Mujhe,

Zara Si Der Theherne De Aye Gam-E-Duniya,
Bula Raha Hai Koi Baam Se Utar Ke Mujhe,

Phir Aaj Aayi Thi Ek Mauj-E-Hawa-E-Tarab,
Suna Gayi Hai Fasane Idhar Udhar Ke Mujhe...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3140 on: January 28, 2009, 05:43:38 PM »

Ek Bekasi Hai Hijr Ke Maron Ke Sath Sath,
Toota Hai Mera Dil Besaharon Ke Sath Sath,

Jee Bhar Ke Dekh Bhi Na Paaye The Ke Chhup Gaye,
Armaan Bhi Hai Udaas Nazron Ke Sath Sath,

Dil Mein Wafoor-E-ShauQ Ka Toofan Liye Hue,
Khamosh Jagta Hoon Sitaron Ke Sath Sath,

Itni To Mehviyat Ho Tasavuur Mein Tere Dost,
Khud Ko Bhi Bhool Jaun Nazron Ke Sath Sath,

Ye Aag IshQ Ki Phri Bhi Na Bujh Sak,
Hai Dil Mein AshQ-E-Gam Besehraon Ke Sath Sath...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3141 on: January 28, 2009, 05:44:17 PM »

Bichhad Ke Mujhse Kabhi Tune Ye Bhi Socha Hai,
Adhoora Chand Bhi Kitna Udaas Lagta Hai,

Ye Wasl Ka Lamha Hai Ise Rayegaan Na Samajh,
Ke Iske Baad Wohi Dooriyon Ka Sehra Hai,

Kuch Aur Der Na Jhadta Udaasiyon Ka Shajar,
Kise Khabar Tere Saaye Mein Kaun Baitha Hai,

Ye Rakh Rukhao Mohabbat Sikha Gayi Usko,
Wo Rooth Kar Bhi Mujhe Muskura Kar Milta Hai,

Main Kis Tarah Tujhe Dekhun Nazar Jhijhakti Hai,
Tera Badan Hai Ke Ye Aaiyno Ka Dariya Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3142 on: January 28, 2009, 05:47:46 PM »

Ye Shab-E-FiraQ Ye Bebasi Hai Qadam Qadam Pe Udaasiyan,
Mera Sath Koi Na De Saka Meri Hasratein Hai Dhuwan Dhuwan,

Main Tadap Tadap Ke Jiya To Kya Mere Khwab Mujhse Bichhad Gaye,
Main Udaas Ghar Ki Sada Sahi Mujhe De Na Koi Tasalliyan,

Chali Aisi Dard Ki Aandhiyan Mere Dilki Basti Ujad Gayi,
Ye Jo Raakh Si Hai Bujhi Bujhi Hai Isi Mein Meri Nishaniya,

Ye Fiza Jo Gard-O-Gubaar Hai Meri Bekasi Ka Mazar Hai,
Main Wo Phool Hoon Jo Na Khil Saka, Meri Zindagi Mein Wafa Kahan...

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3143 on: January 28, 2009, 07:07:58 PM »
Bohat Achche Huzaina Ji,.
NIce One,.
Yunhi Lage Raho,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3144 on: January 29, 2009, 02:50:12 AM »
Shukriya azeem...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3145 on: January 29, 2009, 02:51:04 AM »
Yaad Beete Dino Ki Phir Se Aane Lagi,
Meri Tanha Raaton Ko Mehkane Lagi,

Kal Tak Dil Mohabbat Se Anjaan Tha,
Aaj Jaana Isse, Aankh Sharmane Lagi,

Dhadkan Thamti Nahi Dekh Lun Jab Use,
Mere Khwabon Mein Surat Wo Samane Lagi,

Jab Mohabbat Na Thi, Dil Tadapta Na Tha,
Aaj Reh Reh Ke Judayi Mujhko Tadpane Lagi,

Jab Mai-Khane Mein Tha, Kabhi Behka Nahi,
Aaj Uski Nazrein Nashili Mujhko Behkane Lagi,

Aaj Bekhabar Hoon Duniya Ki Uljhano Se Main,
Mohabbat Naye Naye Rang Mujhko Dikhane Lagi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3146 on: January 31, 2009, 02:03:07 PM »

Ye Waada Hai Mera Tumse,
Kabhi Wapas Na Aunga,
Magar Tum Dehan Rakhna,
Jab Kabhi Tum Khwab Mein Dekho,
Koi Tooti Hui Kashti,
Ke Ujda Hua Aangan,
Diya Koi Bujha Dekho,
Ya Dekho Maut Ka Matam,
To Mujhko Yaad Kar Lena...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3147 on: January 31, 2009, 02:09:02 PM »

Itne Dino Ke Baad To Aya Hai Aaj,
Sochta Hoon Kis Tarah Tujhse Milun,

Mere Andar Jaag Uthi Ek Chandni,
Main Zameen Se Aasman Tak Ek Ang Hoon,

Aur Ujla Ho Gaya Qurbat Ka Chand,
Aur Gehra Ho Gaya Tere Fusun,

Aye Saraapa Rang-O-Nikahat Tu Bata,
Kis Dhanak Se Tera Pairaahan Bunoon,

Saare Gul-Buute Tar-O-Taaza Hue,
Dur Tak Pahuchi Hai Meri Mauj-E-Khun,

Kar Rahe Hai Lamhe Lamhe Ka Hisab,
Milke Phir Baithe Hai Yaaran-E-Junoon,

Dasht-E-Gam Ki Dhoop Mein Mujhpar Khula,
Main Khud Apna Saya-E-Diwaar Hoon,

Naaz Kar Khud Par Ke Tu Hai Beshumaar,
Qadar Kar Meri Ke Main Bas Ek Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3148 on: January 31, 2009, 02:09:57 PM »

Siyaahiyon Ke Bane Harf Harf Dhote Hai,
Ye Log Raat Mein Kaagaz Kahan Bhigote Hai,

Kisiki Shah Mein Dehliz Par Diya Na Rakho,
Kivaar Sukhi Hui Lakdiyon Ke Hote Hai,

Charaag Paani Mein Maujon Se Puchhte Honge,
Wo Kaun Log Hai Jo Kashtiyan Dubote Hai,

Qadeem Qasbon Mein Kya Sukun Hota Hai,
Thake Thakaye Hamare Buzurg Sote Hai,

Chamakti Hai Kahin Sadiyon Mein Aansuon Ki Zameen,
Gazal Ke Sher Kahan Roz Roz Hote Hai...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3149 on: January 31, 2009, 02:10:23 PM »
Yaad Beete Dino Ki Phir Se Aane Lagi,
Meri Tanha Raaton Ko Mehkane Lagi,

Kal Tak Dil Mohabbat Se Anjaan Tha,
Aaj Jaana Isse, Aankh Sharmane Lagi,

Dhadkan Thamti Nahi Dekh Lun Jab Use,
Mere Khwabon Mein Surat Wo Samane Lagi,

Jab Mohabbat Na Thi, Dil Tadapta Na Tha,
Aaj Reh Reh Ke Judayi Mujhko Tadpane Lagi,

Jab Mai-Khane Mein Tha, Kabhi Behka Nahi,
Aaj Uski Nazrein Nashili Mujhko Behkane Lagi,

Aaj Bekhabar Hoon Duniya Ki Uljhano Se Main,
Mohabbat Naye Naye Rang Mujhko Dikhane Lagi...


Yeh wala sher mujhe bahut pasand hai..
Thanks for sharing Hasina...
Logged
Pages: 1 ... 206 207 208 209 [210] 211 212 213 214 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 10:48:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.158 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer