Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 207 208 209 210 [211] 212 213 214 215 ... 273
Print
Author  (Read 131227 times)
angel4u
Guest
«Reply #3150 on: January 31, 2009, 02:12:26 PM »

Phir Khafa Ho Gaye Hai Zindagi Humse,
Kab Haath Tera Chhoota Mere Daaman Se,
Ab Nahi Kuch Bhi Haasil Na Hi Koi Manzil,
Hum Ko Tanhayi Mili Hai Is Mohabbat Se,

Ab Bhi Yaad Aate Hai Hame Guzre Wo Lamhe,
Ashq Rukte Nahi Hai Meri Aankhon Se,
Dhadkane Tham Jati Hai Rukti Hai Saansein,
Yaad Jaati Nahi Kyon Teri Is Dil Se,

Socha Tha Humne Kya Aur Humko Mila Kya,
Gila Kismat Se Hai Humko Tumse Gila Kya,
Ab To Tanha Guzar Rahe Hai Hum Is Dagar Se,
Phir Khafa Ho Gaye Hai Zindagi Humse...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3151 on: January 31, 2009, 02:12:55 PM »
Yeh wala sher mujhe bahut pasand hai..
Thanks for sharing Hasina...

thanks for reading and appreciating DILSE...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3152 on: January 31, 2009, 02:14:08 PM »

Charaag Apne Tahkan Ki Koi Safayi Na De,
Wo Teeragi Hai Ke Ab Khwab Tak Dikhayi Na De,

Bahut Satate Hai Rishte Jo Toot Jaate Hai,
Khuda Kisiko Bhi Taufiq-E-Aashnayi Na De,

Main Saari Umr Andheron Mein Kaat Sakta Hoon,
Mere Diyo Ko Magar Roshni Parayi Na De,

Agar Yehi Teri Duniya Ka Haal Hai Maalik,
To Meri Qaid Bhali Hai Mujhe Rihayi Na De,

Dua Ye Mangi Hai Sehme Hue Mu'arrik Ne,
Ke Ab Qalam Ho Khuda Surkh Roshni Na De...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3153 on: January 31, 2009, 02:16:10 PM »

Dard Kya Hota Hai Batayenge Kisi Roz,
Kamal Ki Gazal Tumko Sunayenge Kisi Roz,

Thi Unki Zid Ke Main Jaun Unko Manane,
Mujhko Ye Vahem Tha Wo Bolenge Kisi Roz,

Allah Kasam Maine To Socha Bhi Nahi Tha,
Wo Itna Mere Dilko Dukhayenge Kisi Roz,

Har Roz Aaine Se Yehi Puchhta Hoon Main,
Kya Rukh Pe Tabassum Bhi Sajenge Kisi Roz,

Udne To In Paridon Ko Aazad Fiza Mein,
Tumhare Honge Agar Laut Hi Ayenge Kisi Roz,

Apne Sitam Ka Dekh Lena Khud Hi Asar Tum,
Zakhm-E-Jigar Tamaam Dikhayenge Kisi Roz,

Jo Peete Rahe Yun Hi Doston,
Hum Keh Rahe Hai Jaan Gawayenge Kisi Roz...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3154 on: January 31, 2009, 02:18:43 PM »

Mehakti Hui Sard Raaton Ke Saye Mein,
Kaampte Patton Ke Halke Halke Sarsarahaton Mein,

Mujhe Apna Wajood Bhi Aaadha Sa Laga,
Tere Bagair Is Lamhe Maine Jana Ke,
Meri Sari Khushiyan Bhi Adhuri Hai,
Tere Bagair...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3155 on: January 31, 2009, 02:19:41 PM »

Shaam Ke Ujalon Par,
Apne Narm Haathon Se,
Koi Baat Achhi Si,
Koi Khwab Sacha Sa,
Koi Bolti Khushbu,
Jab Bhi Likhna Chahunga,
Sochke Darichon Se,
Yaad Ke Hawalon Se,
Mera Naam Chup Chup Kar,
Tumko Yaad Aayega,
Hath Kaamp Jayenge,
Sham Thaher Jayegi,
Mera Naam Chup Chup Kar,
Tumko Yaad Aayega
Sham Thehar Jayegi,
Sham Theher Jayegi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3156 on: January 31, 2009, 02:22:16 PM »

Main Use Dekhke Hairan Hua Phirta Hoon,
Wohi Gatee Hui Aankhein Wohi Andaaz-E-Kalaam,
Wohi Gulnaar Tabassum Se Muskurata Chehra
Wohi Khush Rang Kharaam,
Narm Lehje Mein Tarannum Ki Wohi Gulkaaree,
Jaise Wo Kal Ki Gayi Aaj Chali Ayi Ho,
Jaise Jag Ke Kaati Hui Kaali Raatein,
Sard Kamre Mein Thithartee Hui Sochein, Yaadein,
Raat Bhar Royi Hui Aankh Se Bhige Takiye,
Aur Taaloo Se Chimte Hue Kadwe Lamhe,
Maine Socha Tha Guzre Hue Kadwe Lamhe,
Uske Taaloo Se Bhi Chmite Honge,
Uske Takiyon Pe Bhi Meri Yaadein,
Ashq Banke Tapakti Hongi,
Sard Raaton Mein Rasm-E-Tanhayi,
Uski Neendon Ko Bhi Khaata Hoga,
Uski Aankhon Mein Magar Dard Ka Saya Bhi Na Tha,
Jaise Usne Mujhe Chaha Bhi Na Tha,
Mujhko Yun Saamne Paa Akr Wo Harasaan Na Hui,
Mere Be-Rabt Sawalon Se Pareshan Na Hui,
Apne Maanoos Tabassum Mein Tarannum Bhar Kar,
Aujh Se Chalte Hue Boli,
Shair-E-Waqt Kaho, Kaise Ho,
Main Use Dekhke Hairan Hua Phirta Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3157 on: January 31, 2009, 02:23:35 PM »

Wo Barkha Rut Ki Boondon Mein,
Kisi Chhoti Si Waadi Mein,
Guzre Jo Tumhare Sath, Un Anmol Lamhon Par,
Bahut Maasoon Jazbon Par,
Tumhare Shokh Aankhon Par,
Laraztee Apni Palkon Par,
Chalo Ek Nazm Kehte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3158 on: January 31, 2009, 02:26:46 PM »

Bahut Hi Muddat Ke Baad Kal Jab,
Kitaab Maazi Ko Maine Khola,
Bahut Se Chehre Nazar Mein Utre,
Bahut Se Naamon Pe Dil Paseeja,
Ek Aisa Safha Bhi Us Mein Aaya,
Likha Hua Tha Jo Aansuon Se,
Ke Jiska Onwan Humsafar Tha,
Jo Safha Sabse Mo'atbar Tha,
Kuch Aur Aansu Phir Us Par Tapke,
Phir Usse Aage Main Padh Na Paya,
Kitab Maazi Ko Band Karke,
Tumhari Yaadon Mein Kho Gaya Main,
Agar Tu Milta To Kaisa Hota,
Inhi Khayalon Mein So Gaya Main...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3159 on: January 31, 2009, 02:30:50 PM »

Chale Jaana
Magar Thehro Zara,
Is Pair Ki Sargoshiyan Sun Lo
Ye Kehtaa Hai,
Ke Aage Dhoop Hai,
Tum Meri Chhanv Saath Le Jao,
Hare Mausam Jab Aayenge,
Main Tumko Khushbuyein Bhejunga,
Meri Shaakh Aankhein Barg Aansu Royenge,
Main Janta Hoon,
Jab Hawa Hi Par Bane To Phir Parinde Rokne Se Ruk Nahi Paate,

Chale Jaana,
Magar Thehre Zara,
Ye Lawn Tumko Yaad Karta Hai,
Yahan Shaam Ka Suraj Aur Hamare Geet Ki Lai Aaj Tanhayi Hai,
Tumhare Qahqahon Ke Phool Suthi Tehniyon Pe Jhulte Hai,
Titliyan Basi Dhuno Par Raqs Karti Hai,
Sadaayein Bujh Gayi Hai,
Door Tak Ye Dhoop Hi Dast-E-Dua Hai,
Aur Hawayein Narm Lafzon Ki Tarah Koi Duaa Tashkeel Deti Hai,

Chale Jaana,
Magar Thehro Zara,
Ye Dar Ye Deewar Judayi Ki Lughat Hai,
In Pe Likhe Lafz Ko Padh Lo,
Ke In Boseedah Deewaron Ki Aankhon Mein Tumhare AQs Roshan Hai,
Inhe Achhi Tarah Dekho,
Ke In Din Tum Inhi Akson Ki Jaanib Lautna Chahoge,
Lekin Waapsi Ke Saare Raaste Band Paoge,

Chale Jana,
Magar Thehro Zara,
Par Kya?Huh???
Thik Hai Chale Jaiye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3160 on: January 31, 2009, 02:32:42 PM »

Dilke Aaino Par Tum Aitbar Kar Lete,
Mausamon Ke Khulne Ka Intezaar Kar Lete,

Sheher Chhod Jane Ki Thi Tumhe Bahut Jaldi,
Ye Na Kar Sake Mera Dukh Shumaar Kar Lete,

Tum To Har Taaluq Hi Sath Le Gaye Apne,
Kash Ye Bichhad Jana Tum Udhaar Kar Lete,

Ek Tumhare Milne Ki Aas To Bandhi Rehti,
Raasta Koi Aisa Ikhteyaar Kar Lete,

Ishq Mein Bhi Tum Ne Fayde Hi Soche The,
Kash Tum Koi Behtar Karobaar Kar Lete...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3161 on: January 31, 2009, 02:33:46 PM »

Dilpe Roshan Ek Dareecha Kiya Hua,
Band Hum Par Gharka Darwaza Hua,

Is Tarah Dekha Tujhe Kal Khwaab Mein,
Khwab Par Taabeer Ka Dhoka Hua,

Tak Raha Hai Aasman Ko Aasman,
Jheel Ki Aagosh Mein Simta Hua,

Raaste Lagte Hai Kyon Chalte Hue,
Kaarwan Kyon Lagta Hai Thehra Hua,

Aye Hawa-E-Gulistan Khush Aamdeed,
Yaad To Aaya Koi Bhoola Hua,

Jis Taraf Jaata Hai Dilka Raasta,
Us Taraf Bhi Kya Kabhi Jana Hua,

Wo Hawa-Ekoi Janan Kya Hui,
Wo Gubaar-E-Rahe Pema Kya Hua,

Zindagi Kitni Sabak Raftaar Hai,
Khudse Milke Aaj Andaza Hua,

Dekhiye Kya Waqt Ki Parchhaiya,
Jodiye Kya Aaina Tuta Hua,

Jaane Wale Dilse Jab Jaate Nahi,
Phir Yahan Aakhonse Ojhal Kya Hua,

Hai Zameen Odhe Hue Girdogubaar,
Aasman Pe Chand Hai Nikla Hua,

Is Tarah Basti Hai Koi Bastiyan,
Raasta Sunsaan, Dil Ujda Hua,

Bun Raha Hoon Jane Kis Lamhon Ke Khwab,
Waqt Ki Dehleez Pe Baitha Hua,

Ek Taraf Hai Naam-O-Nasab,
Ek Taraf Taqdeer Ka Likha Hua,

Aane Wale Waqt Ki Aawaz Hoon,
Main Nahi Lamha Koi Guzra Hua,

Ye Bhi Mumkin Hai Udhar Koi Na Ho,
Aur Ho Bas Aaina Rakha Hua...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3162 on: January 31, 2009, 02:34:49 PM »

Main Aur
Meri Tanhaai
Shab Bhar Baatein Karte Hain
Chaand, Sitaare, Raat Ho
Sab Meri Baatein Sunte Hain
Rote Hain, Hanstey Hain
Door Ufaq Par
Subah Ka Taara Jaise Hi Chamakta Hai
Aankh Mein Thehra Aakhri Aansoo
Chupke Se Beh Jaata Hai....!

Logged
Roja
Guest
«Reply #3163 on: January 31, 2009, 02:41:32 PM »
Wah wah Hasina... kya lajawab collections hai aap ke gazane mein...  Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3164 on: January 31, 2009, 03:01:46 PM »
Thanks a lot roja... Usual Smile
ye achha laga mujhe, dilse ki hui tarif hi achhi lagti hia,
Logged
Pages: 1 ... 207 208 209 210 [211] 212 213 214 215 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 10:34:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.181 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer