Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 209 210 211 212 [213] 214 215 216 217 ... 273
Print
Author  (Read 132999 times)
angel4u
Guest
«Reply #3180 on: February 01, 2009, 07:17:52 AM »
Suno
Ye Jo Chand Hai Mujhe Dekh Kar
Muh Pher Leta Hai Ab
Kabhi Baagh Jaun To To Phool Bhi Shikwa Kuna
Mujhse Baat Nahi Karta Hai Ab
Samundar Ki Taraf Niklun Kabhi
To Lehre Chhod Deti Hai Paanv Mere,
Barish Mein Tamam Katre Daman Bachate Hai,
Mujh Par Baraste Hi Nahi,
Shafaq Bhi Mujhe Dekh Kar,
Chhupa Leti Hai Khudko Badal Mein,
To Dekho Yun Mujhe,
Na Door Karo Tamam Alam Se,
Meri Zeesat Ko Aye Nishat-E-Mun
Yun Azab Mat Kiya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3181 on: February 01, 2009, 07:24:34 AM »
bahut achche angel

dekhte rahe hum aur woh muskuraate rahe
chandni raat mein moti jhilmilate rahe
dard badta gaya magar uff tak na kii
woh hamari bewafaai ka kissa mehfil mein sunaate rahe
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3182 on: February 01, 2009, 07:35:49 AM »
bahut achche angel

dekhte rahe hum aur woh muskuraate rahe
chandni raat mein moti jhilmilate rahe
dard badta gaya magar uff tak na kii
woh hamari bewafaai ka kissa mehfil mein sunaate rahe

Thanks salil...

Mehfil-e-aam mein leke baithe wo hamare mohabbat ki daastan,
use sunke wabasta kya kahen ho gaye hum bhi kuch hairan,
ek lamha yun bhi hua uske aansu chhalak pade ek warq ko palatte,
jahan maujood tha uski bewafayi pe hamari wafaaon ka bayaan...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3183 on: February 04, 2009, 02:37:11 AM »
Andheri Raaton Ki,
Tareekon Mein,
Ubharti Hui Siskiyon Ko
Tum Bhool Jao To
Achha Hai,
Un Anjaan Raaston Mein
Jisme Tumhare
Aur Uske
Qadam Mile The,
Un Raaston Par
Palat Ke Na Jao
To Achha Hai,
Unn Zard Patton Ko
Jin Mein Tamam
Zard Yaadein Ghul Ke
Sukh Chuki Thi,
Apne Kadmon Se
Tum Rond Jao
To Achha Hai...
Kya Hua Gar
Baalon Mein Safed Chandni Utar Chuki Hai,
Gulaab Saare Murjha Gaye Hai,
Aankh Se Aansu,
Tapak Rahe Hai,
Dil Jo Tumhara
Tadap Raha Hai
Tum Ab Is Par Itminaan Ka Hath Rakho,
Kuch Isko Bhi Tum
Qarar De Do,
Jo Chale Gaye Hai,
Nahi Wo Phir Aane Wale
Bas Hamare Paas Hai Faqat
Yaadein Chhod Jaate
Un Yaadon Ke Jugnuon Ko
Kahin Door Waadi Mein,
Daba Do To Achha Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3184 on: February 04, 2009, 02:40:03 AM »
Hangama-E-Gam Se Tang Aakar Izhaar-E-Musarrat Kar Baithe
Mashhur Thi Apni Zindadili Daanistaa Shararat Kar Baithe

Koshish To Bahot Ki Hamne Magar Paya Na Gam-E-Hasti Ka Mafar
Virani-E-Dil Jab Had Se Badhi Ghabara Ke Mohabbat Kar Baithe

Nazronse Na Karte Pursish-E-Gam Khamosh Hi Rehna Behtar Tha
Deewanoko Tumne Chhed Diya Wallaah Qayaamat Kar Baithe

Har Chiz Nahi Ek Markaz Par Ek Roz Idhar Ek Roz Udhar
Nafratse Na Dekho Dushmanko Shayad Ye Mohabbat Kar Baithe
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3185 on: February 04, 2009, 02:40:31 AM »
Bahut Dino Ke Baad Use
Ek Mehfil Mein Dekha Tha
Ek Lamhe Ko Hijr-O-Wisal Ke Saare Mausam
Aankhon Mein Lehra Se Gaye,
Dil Mein Chirag Se Jal Uthe,
Usse Gale Milne Ke Tasavvur Se Hi
Jaise Sara Wajood
Phool Ki Soorat Khil Utha,
Un Hathon Se Lims Ka Soch Ke
Saara Jism Sulag Utha,
Un Honthon Ke Garm Gulabi Nari Ka Khush Rang Khayal
Hothon Pe Muska Utha
Halq-E-Yaara'n Se Aakhir
Pal Bhar Ki Fursat Paakar
Meri Taraf Wo Aya Bhi,
Meri Jaanib Dekha Bhi,
Par Jo Kaha To Itna Kaha,
Aap Se Mil Kar Khushi Hui,
Mere Sehan-E-Dil Mein Achanak Hone Wali,
Patjhad Se Yaksaa'n La Elm...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3186 on: February 04, 2009, 02:42:10 AM »
Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi

Tanha Baitha Baatein Karta Hoon,
Tanha Hoon Magar Saath Hai Tanhayi,

Betha Rehta Hoon Sath Uske Baatein Karte,
Ke Kabhi Apni Si Lagti Hai Tanhayi,

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi

Waqt Guzarte Malum Nahi Hota,
Baatein Karte Karte Sula Deti Hai Tanhayi,

Hansta Rehta Hoon Sath Uske,
Ke Hansti Hai Tanha Dekhkar Meri Tanhayi,

Kuch Kehti Nahi Mere Baare Mein,
Bina Kahe Kuch Keh Jaati Hai Meri Tanhayi,

Tanha Bethe Baatein Karta Hoon
Tanha Hoon Magar Saath Hai Tanhayi,

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Qurbat Mein Ruswayi...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3187 on: February 04, 2009, 02:43:31 AM »
Hangama-E-Gam Se Tang Aakar Izhaar-E-Musarrat Kar Baithe
Mashhur Thi Apni Zindadili Daanistaa Shararat Kar Baithe

Koshish To Bahot Ki Hamne Magar Paya Na Gam-E-Hasti Ka Mafar
Virani-E-Dil Jab Had Se Badhi Ghabara Ke Mohabbat Kar Baithe

Nazronse Na Karte Pursish-E-Gam Khamosh Hi Rehna Behtar Tha
Deewanoko Tumne Chhed Diya Wallaah Qayaamat Kar Baithe

Har Chiz Nahi Ek Markaz Par Ek Roz Idhar Ek Roz Udhar
Nafratse Na Dekho Dushmanko Shayad Ye Mohabbat Kar Baithe


Wow what a great sharing Hasina dear.. bahut khoob.
Thanks for sharing dear Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3188 on: February 04, 2009, 03:55:05 PM »
Thanks a lot Roja Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3189 on: February 04, 2009, 03:57:16 PM »

Aaj Usne Kaha Tum Mera Intezar Kyon Karte Ho?
Sab Jaante Hue Phir Bhi Usne Yeh Sawal Kiya Hai,
Aaj Uske Is Sawal Ne Mujhe Bataya,
Ke Abhi Aitbaar Ka Wo Lamha Nahi Aaya Hai,
Meri Sachi Baatein Abhi Bhi Use Jhooth Lagti Hai,
Meri Har Ek Baat Usko Ek Bahana Lagti Hai,
In Sab Baaton Ke Bawajood,
Mujhe Apne Jazbon Ki Sachaiyon Ka YaQeen Hai,
Ek Na Ek Din Wasi Usko YaQeen Aa Hi Jayega,
Meri Zindagi Mein Na Sahi Meri Maut Ke Baad Hi Sahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3190 on: February 04, 2009, 03:57:41 PM »

Meri Yaadon Mein Ek Unki Kahani Reh Jayegi,
Kuch Palon Mein Beeti Saari Zindagi Reh Jayegi,

Kuch Kuch Palon Mein Main To Chal Dunga Duniya Chhod Kar,
Tamam Umr Tere Nazron Mein Ek Nishani Reh Jayegi,

Zakhmo Ka Hisaab To Hamesha Hi Behisaab Raha,
Kamse Kam Ek Aankh To Ye Nami De Jayegi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3191 on: February 05, 2009, 05:13:49 PM »
Kab uska visaal chahiye tha,
bas ek khayal chahiye tha,

Kab dilko jawaab se garz thi,
honthon ko sawal chahiye tha,

Shauq ek nafaz tha aur wafa ko,
paas-e-maah-osaal chahiye tha,

ek chehra-e-sada tha jo humko,
be-misl-o-misaal chahiye tha,

ek qarb mein zaat-o-zindagi hai,
mumkin ko muhaal chahiye tha...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3192 on: February 05, 2009, 05:22:08 PM »
Nice One Again, Huzaina Aapa,.
Yunhi Nawaazte Rahe Hum Sabko, Aapki Collections Se,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #3193 on: February 05, 2009, 05:23:18 PM »
Beautiful Sharing...Bohot Khoob Angel
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3194 on: February 05, 2009, 05:28:21 PM »
Thanks a lot Azeem.
Celmira its always a pleasure to have your comment on my post...
Take care
Logged
Pages: 1 ... 209 210 211 212 [213] 214 215 216 217 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 09, 2025, 10:55:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.229 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer