Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 214 215 216 217 [218] 219 220 221 222 ... 273
Print
Author  (Read 132968 times)
angel4u
Guest
«Reply #3255 on: February 16, 2009, 04:36:44 PM »
Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saweron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhein Hain Ya Sajde Main Hai Masoom Namazi
Palkein Khulti Hain To Yun Goonj Ke Uthati Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Namnaak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatam Hui Ho
Teri Ankhein, Teri Thehri Hui Gamgeen See Ankhein
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Sachhi
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Ye Hayat...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3256 on: February 16, 2009, 04:37:26 PM »
Chalo Ke Raasta Purana Badal Ke Dekhte Hain
Yahan Se Door Thikana Badal Ke Dekhte Hain

Bahut Dinon Se Chali Aa Rahi Hai Shab Din Mein
Ye Teergi Ka Zamana Badal Ke Dekhte Hain

Ye Kya Nishane Pe Hum Khud Aaye Jate Hain
Khala Mein Ab Ke Nishana Badal Ke Dekhte Hain

Mein Apni Ankhein Tumhe Dun Tum Apna Chehra Do
Khazane Se Ye Khazana Badal Ke Dekhte Hain

Yaqeen Nahin Hai Use Aitbar Aa Jaye
Kaho To Phir Bhi Bahana Badal Kar Dekhte Hain

Nigah Chahti Hai Ab Koi Naya Manzar
Tumhara Khwab Suhana Badal Ke Dekhte Hain

Khulos Dostan Jis Se Hua Hai Kam Asghar
Wo Bebasi Ka Fasana Badal Ke Dekhte Hain
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3257 on: February 16, 2009, 04:37:33 PM »
waah Waaha Huzaina Behna Kya Khoob Kamaal ka Hai,.
Nice One Yaara./

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3258 on: February 16, 2009, 04:38:08 PM »
Thanks a lot Azeem...

Tera Hijr Mera Naseeb Hai, Tera Gam Hi Meri Hayaat Hai,
Mujhe Teri Doori Ka Gam Ho Kyon, Tu Kahin Bhi Ho Mere Saath Hai

Mere Waaste Tere Naam Par Koi Harf Aaye Nahi,
Mujhe Khaif-E-Duniya Nahi, Magar Mere Rubaru Teri Zaat Hai,

Tera Wasl Aye Meri Dilruba Nahi Meri Kismat To Kya Hua,
Meri Mehzabeen Yehi Kam Hai Kya Teri Hasraton Ka To Sath Hai,

Tera Ishq Mujhpe Hai Meharbaan Mere Dilko Haasil Hai Do Jahan,
Meri Jaan-E-Jaan Isi Baat Par Meri Jaan Jaaye To Baat Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3259 on: February 16, 2009, 04:39:41 PM »
Mohabbat Mausam Nahi,
Apni Muddat Puri Kare
Aur Rukhsat Ho Jaye,
Mohabbat Sawan Nahi Toot Kar Barse
Aur Tham Jaye,
Mohabbat Aag Nahi, Sulge Bhadke
Aur Bujh Jaye
Mohabbat Aaftaab Nahi Ubhre Chamke
Aur Dhal Jaye,
Mohabbat To Chand Ki Maanind Hai,
Jo Badhta Hai Ghutta Hai,
Nikalta Hai Chhupta Hai,
Magar Kabhi Fana Nahi Hota...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3260 on: February 16, 2009, 04:43:29 PM »
Ek Masoom Si Ummid Ka Haath Thame,
Ek Maddham Se Chirag Ke Saaye Mein,
Chale The Sehra Ko Gulistan Banane,
Kya Thi Khabar,
Ho Jayenge Yun Be-Amaan,
Mit Jayenge Raaston Ke Nishaan,
Lut Jayenge Karwan,
Reh Jayenge Be-Dast-O-Paa,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya,
Us Ummid Ko Panapne Hi Na Dete Kya,
Us Chirag Ko Jalne Hi Na Dete Kya,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya
Jo Likha Tha Muqaddar Mein Use Hona Hi Tha,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya?
Muqaddar Ko Apne Badal Dete Kya???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3261 on: February 16, 2009, 04:44:02 PM »
Mere Pyaase Khwab Jazeeron Par,
Ummid Tadapti Rehti Hai,
Ek Aas Machalti Rehti Hai,
Ek Sawan Aag Lagata Hai,
Bin Barse Guzre Jata Hai,
Ye Jeewan Tanha Tanha Sa,
Ye Raahein Suni Suni Si,
Meri Jagi Jagi Aankhon Ko
Kyon Har Pal Chubhti Rehti Hai,
Kisi Hamdam Ki Kisi Raah Ki,
Ummid Mein Jagti Rehti Hai,
Dil Seene Ke Is Pinjre Mein,
Kyon Bekal Bekal Rehta Hai,
Khamoshi Ke Is Parde Mein,
Jane Mujhse Kya Kehta Hai,
Hum Khush Hai Bahut Ye Baat Alag
Har Saans Sisakti Rehti Hai
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3262 on: February 16, 2009, 04:47:00 PM »
Zakhm-E-Tanhayi Mein Khushbu-E-Hina Kiski Thi,
Saaya Deewar Pe Mera Tha Sada Kiski Thi,

Uski Raftaar Se Lipti Rahi Meri Aankhein,
Usne Mud Kar Bhi Na Dekha Ki Wafa Kiski Thi,

Waqt Ki Tarah Dabe Paanv Ye Kaun Aya Hai,
Main Andhera Jise Samjha Wo Qabaa Kiski Thi,

Aansuon Se Hi Sahi Bhar Gaya Daaman Mera,
Haath To Maine Uthaye The, Dua Kiski Thi,

Meri Aanhon Ki Zubaan Koi Samajhta Kaise,
Zindagi Itni Dukhi Mere Siwa Kiski Thi,

Aag Se Dosti Uski Thi Jala Ghar Mera,
Di Gayi Kisko Saza Aur Khata Kiski Thi,

Maine Binaiyan Bo Kar Bhi Andhere Kaate,
Kis Ke Bas Mein Thi Zameen Abr-O-Hawa Kis Ki Thi,

Chhod Di Kis Liye Tune Duniya,
Justju Si Tujhe Har Waqt Bata Kiski Thi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3263 on: February 16, 2009, 04:48:22 PM »
Bas Itni Si Inaayat Mujh Pe Ek Baar Kijiye
Kabhi Aake Mere Zakhmon Ka Deedar Kijiye

Ho Jaiye Begane Aap Shaquq Se Sanam
Aapka Hum Aapka Rahungie Aitbaar Kijiye

Padne Waale Hi Dar Jaayein Dekh Kar Ise
Kitaab-E-Dil Ko Itna Na Daagdaar Kijiye

Na Majboor Kijiye, Ke Main Unko Bhool Jaaun
Mujhe Meri Wafaaon Ka Na Gunehgaar Kijiye

In Jalte Diyon Ko Dekh Kar Na Muskuraiye
Zara Hawaaon Ke Chalne Ka Intezaar Kijiye

Karna Hai Ishq Aapse Karte Rahenge Hum
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkaar Kijiye

Phir Sapno Ka Aashiyaan Bana Liya Hai Maine
Phir Aandhiyon Ko Aap Khabardaar Kijiye

Hame Na Dikhaiye Ye Daulate Ye Shohrate
Hum Pyaar Ke Bhuke Hain Hame Pyaar Kijiye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3264 on: February 16, 2009, 04:55:57 PM »


Lafz Ehmiyat Rakhte Hia,
Ye Lafz Ehmiyat Rakhte Hai,
Kabhi Yeh Rooh Ko
Katal Kar Dete Hai,
Aur Kabhi
Ye Rooh Ko Jhulsa Dete Hai,
Lekin Ye Lafz Hi Hai
Jo Khwahishon Ke Tapte Hue Sehra Mein,
Jeevan Ke Phool Khila Dete Hia,
Ek Haare Hue Insaan Ko
Jeevan Ki Naveed Suna Dete Hai,
Kabhi Ye Saath Chhod Dete Hai,
Kabhi Ye Saath Chhudwa Dete Hia,
Kabhi Inke Zariye Nafrat
Doosron Ke Dilo Mein Utar Jati Hia,
Jo Rooh Ki Gehraiyon Ko Bhi
Zeher Zeher Kar Jaati Hia,
Lafzonki Wajashe Ye Zindagi
Bemaani Hoke Reh Jati Hai,
Aur Kabhi In Lafzon Ki Wajahse Ye Zindagi
Jannat Bhi Ban Jati Hia,
Kitni Takat Hai In Lafzon Mein,
Ke Zindagi Badal Jaati Hia,
Ye Lafz Hi Hia Jo Logonke
Dilon Ko Bhi Pigla Deti Hia,
Ye Lafz Hi Hia Jo Jism Ke Sath,
Rooh Ko Bhi Jhulsa Dete Hai,
Ye Lafz Ehmiyat Rakhte Hai,
Ye Lafz Ehmiyat Rakhte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3265 on: February 16, 2009, 04:56:24 PM »
Zakhm Jo Aap Ki Inaayat Hai Is Nishani Ko Kyaa Naam De Ham
Pyaar Deewaar Ban Ke Reh Gaya Hai Is Kahani Ko Kya Naam De Ham

Aap Ilzaam Dhar Gaye Ham Par Ek Ehsaan Kar Gaye Ham Par
Aap Ki Ye Meharbaani Hai Meharbaani Ko Kya Naam De Ham

Aap Ko Yun Hi Zindagi Samjha Dhoop Ko Hamne Chandni Samjha
Bhool Hii Bhool Jis Ki Aadat Hai Ek Javaani Ko Kya Naam De Ham

Raat Sapna Bahaar Ka Dekha Din Hua To Gubaar Sa Dekha
Bewafa Waqt Bezubaan Nikla Bezubani Ko Kya Naam De Ham...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3266 on: February 16, 2009, 04:56:55 PM »
Itne Pyaare Mausam Mein,
Roothna Nahi Achha,
Roothne Manane Ki Baatein,
Kal Pe Hum Chhodte Hai,
Chhoti Si Zindagi Hai,
Aao Aaj Dosti Kar Lein,
Dosti Ke Bandhan Mein,
Roothna Kisne Sikha Hai,
Roothna Nahi Achha,
Roothne Manane Ki Baatien,
Kal Pe Hum Chhodte Hia,
Chhoti Si Zindagi Hai
Aao Aaj Dosti Kar Lein,
Dosti Ke Bandhan Mein,
Roothna Kisne Sikha Hia...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3267 on: February 16, 2009, 04:57:29 PM »
Ek Dilka Nazrana.....
De Kar Tum.....
Ehsan Jatane Lage.....
Maine To Kabse.....
Apni Har Saans.....
Tere Naam.....
Raqam Kar Rakhi Hia.....


Mujhe Zindagi Mein,
Har Wo Chiz,
Har Wo Aml,
Har Wo Baat,
Har Wo Bandhan,
Aur.....
Har Wo Rishta Pasand Hai,
Jiska Dosti Se Koi Taaluq Na Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3268 on: February 16, 2009, 04:58:41 PM »
Akela Dekh Ke Tumko
Hamein Ehsaas Hota Hia,
Kabhi Hum Bhi Akele The,
Agarche Shahar Mein,
Dilke Liye Laakhon Jhamele The,
Hazaro Rang Ke Mele The,
Magar Itni Bahut Si Raunako Mein,
Hum Akele The,
Akela Dekhke Tum Ko
Hamein Ehsaas Hota Hia,
Kabhi Hum Bhi Akle The,
Phir Ek Din Humne In Tanhaiyon Se Dosti Kar Li,
Akele Reh Ke Jeene Ka Kareena Aagaya Humko,
Koi Bhi Rut Ho,
Apni Aankh Hargiz Nam Nai Rakhte,
Ye Aalam Hia Ke Ab
Tanhaiyon Ka Gam Nahi Rakhte,
Magar Phir Bhi Hamein Tanha Nazar Ata Hai Jab Koi
To Phir Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Hum Bhi Akele The...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3269 on: February 16, 2009, 05:00:28 PM »
Tere Tabsarey Hai Bekhabar Meri Daastan-E-Hayaat Se,
Tu Keh Raha Hia Dil Jise Wo Meri Khwahishon Ki Mazaar Hia,

Tera Shukriya Aye Tabeeb-E-Jaan Ye Khaloos Apni Jagah Magar,
Teri Masihayi Bhi Kya Karein Mera Dard Hi Be-Shumaar Hia,

Mere Raaston Mein Jo Aagaya Mere Qaafle Ko Jo Kha Gaya,
Wo Toofan To Kabka Guzar Gaya Par Dil Mein Ab Tak Gubaar Hia,

Aye Meherbaan Dost Sun Meri Mushkilon Ko Samajh Ke Main
Teri Mohabbaton Ka Kya Karun Kise Dil Pe Ab Ikhtiyar Hai,

Naye Mausamon Ko Bulao Mat Ke Mujhe Khushbuon Ki Talab Nahi,
Meri Raah Rehne Do Khaar Khaar Mere Liye To Yehi Bahaar Hai,

Jo Nafraton Se Jhulas Gaya Use Dilse Saari Duwayein Do,
Par Us Sitam-Zada Ka Kya Karein Jo Mohabbaton Ka Shikar Hai...
Logged
Pages: 1 ... 214 215 216 217 [218] 219 220 221 222 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 08, 2025, 05:29:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]

by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.205 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer