Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 215 216 217 218 [219] 220 221 222 223 ... 273
Print
Author  (Read 131209 times)
angel4u
Guest
«Reply #3270 on: February 16, 2009, 05:01:14 PM »
Masjidon-Mandiron Ki Duniya Mein,
Mujhko Pehchante Kahan Hai Log,

Roz Main Chaand Banke Aata Hoon,
Din Mein Suraj Sa Jagmagata Hoon,

Khankhanata Hoon Maa'n Ke Gehno Mein,
Hansta Rehta Hoon Chhup Ke Behno Mein,

Main Hi Mazdoor Ke Paseene Mein,
Main Hi Barsaat Ke Maheene Mein,

Meri Tasveer Aankh Ka Aansu,
Meri Tehreer Jism Ka Jaadu,

Masjidon-Mandiron Ki Duniya Mein,
Mujhko Pehchante Nahi Jab Log,

Main Zameenon Ko Be-Jiyaa Karke,
Aasmano Mein Laut Jaata Hoon,

Main Khuda Banke Kaher Dhaata Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3271 on: February 16, 2009, 05:02:16 PM »
Ye Aankhein Teri Jaise Do Kanwal,
Kehti Hain Chupke Se Koi Gazal

Ye Aankhein Teri Aur Inki Gehrayee,
Sunaati Hai Jaise Ye Dastaan Koi,

Ye Aankhein Teri Aur Inka Dard,
Dekha To Bas Tadap Uthe Hum

Ye Aankhein Teri, Yaane Paimaane Do,
Khuda Ke Hain, Ye Nazraane Do,

Ye Aankhein Teri, Koi Jaadoo Hain Inmein,
Dekhe To Bhool Jaayein Log Apne Raste,

Ye Aankhein Teri, Nahi In Jaisi Kahin,
Deewaana Kiya Hume In Aankhon Ne Teri...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3272 on: February 16, 2009, 05:02:45 PM »
Gamon Ki Jo Faseel Hai,
Wo Is Kadar Taweel Hai,
Gazab To Hai Ye,
Ek Nahi
Faseel Dard Faseel Hai,

Tum Iski Manderon Par
Aarzuon Ke Tel Se
Charag-E-Dil Jalao Na

Zara Sa Muskurao Na...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3273 on: February 16, 2009, 05:03:24 PM »
Ab Bhi Shayar Rahoon, Kiski Khatir Rahoon,

Kaun Hia Jo Mere Lafz-O-Manai Ki Aankhonse Behte Hue,

Aansu Mein Chhipe Dard Chunta Phire,

Khwab Bunta Phire, Kauun Hai Jo Mere Khoon Hote Dil Hue Dilki Awaz Par,

Apni Awaz Ke Honth Rakhta Phire,

Kaun Aankhein Meri Dak Kar Ye Kahe,

Kya Hua Jaane Jaan Kabse Soye Nahi,

Isse Pehle Itna Roye Nahi

Ab Bhala Kiske Liye Khoobsurat Si Aankhein Pareshan Hai,

Apni Halat Pe Khud Itna Hairan Hai,

Kaun Bechain Ho Kaun Betaab Ho,

Mausam Hijr Ki Shaam-E-Tanhayi Mein Abla Pai Mein,

Kaun Ho Humsafar

Gird Hai Reh Guzar

Koi Rasta Nahi,

Koi Raah Nahi,

Dar Pe Dastak Ki Koi Gawahi Nahi,

Dilke Weeran-O-Barbaad Safahaat Par,

Jis Kadar Lafz Likhe The Bekaar Hia,

Ek Lambi Judai Ka Asar Hai,

Sochti Hoon Ke Ab

In Khayalon Se Khwab Se Bahar Rahoon,

Kyon Main Shayar Rahoon,

Kiski Khatir Rahoon???
Logged
salma786
Guest
«Reply #3274 on: February 16, 2009, 05:30:27 PM »
Waah bahoot khoob Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3275 on: February 17, 2009, 05:58:12 PM »
Yaad Beete Dino Ki Phir Se Aane Lagi,
Meri Tanha Raaton Ko Mehkane Lagi,

Kal Tak Dil Mohabbat Se Anjaan Tha,
Aaj Jaana Isse, Aankh Sharmane Lagi,

Dhadkan Thamti Nahi Dekh Lun Jab Use,
Mere Khwabon Mein Surat Wo Samane Lagi,

Jab Mohabbat Na Thi, Dil Tadapta Na Tha,
Aaj Reh Reh Ke Judayi Mujhko Tadpane Lagi,

Jab Mai-Khane Mein Tha, Kabhi Behka Nahi,
Aaj Uski Nazrein Nashili Mujhko Behkane Lagi,

Aaj Bekhabar Hoon Duniya Ki Uljhano Se Main,
Mohabbat Naye Naye Rang Mujhko Dikhane Lagi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3276 on: February 17, 2009, 05:59:49 PM »
Waah bahoot khoob Clapping Smiley Clapping Smiley

Thanks salma...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3277 on: February 17, 2009, 06:02:03 PM »

Main Wohi Hoon Jisse Tum Pyaar Kiya Karte The,
Din Mein Sau Baar Mera Naam Liya Karte The,

Kya Baat Hai Kyon Mujhse Khafa Baithe Ho,
Kya Kisi Aur Ko Dil Apna De Baithe Ho,

Faasle To Pehle Na Hua Karte The Anmol,
Main Woh Hoon Jispe Tum Aitbaar Kiya Karte The,

Mujhko Malum Hai Gam Hai Koi Saugaat Nahi,
Tum Mujhe Apna Kaho Aise Bhi Halaat Nahi,

Aur Agar Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahi,
Zakhm To Pehle Bhi Is Dilpe Laga Karte The,

Main Wohi Hoon Jise Tum Pyaar Kiya Karte The,
Din Mein Sau Bar Mera Naam Liya Karte The...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3278 on: February 17, 2009, 06:04:18 PM »
Ab Unki Yaad Bhi Nahi Wajah Sukoon-E-Dil,
Layi Kahan Ye Halat Shaam-O-Seher Mujhe,

Aye Dost Tere Dam Se Khizaan Bhi Bahar Thi,
Ab Mausam Bahar Hai Baad Nazar Mujhe,

Apne Par Kar Raha Hoon Gumaan Teri Zaat Ka,
Le Aayi Bekhudi Ye Kahan Khich Kar Mujhe,

Aye SANAM Kuch Dino Se Ajab Hai Ye Maajra,
Har Shay Mein Koi Aata Hai Aksar Nazar Mujhe...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3279 on: February 17, 2009, 06:04:58 PM »
Tujhko Bhool Jaane Ko Roz Ki Koshish Karta Hoon,
Tujhko Bhool Jaunga Phir Is Baat Se Darta Hoon,

Tera Dur Jana Bhi Main Bardasht Kar Nahi Sakta,
Ke Bina Tere Ek Pal Main Hazar Baar Marta Hoon,

Gam Judayi Ka Mujhko Sehna Hi Pada Lekin,
Jab Bhi Saans Leta Hoon Tujhi Ko Yaad Karta Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3280 on: February 17, 2009, 06:05:49 PM »
Bachpan Ke Dukh Bhi Kitne Achhe The,
Jab Sirf Khilone Toota Karte The,

Apne Jalne Ka Ehsaas Na Hota Tha,
Jalte Sholon Ko Jab Chheda Karte The,

Paanv Marke Khud Baarish Ke Paani Mein,
Apni Naanv Aap Bhigoya Karte The,

Ab Sochein To Chot Si Padti Hai Dil Par,
Titli Ke Par Noch Ke Uchhla Karte The,

Khushboo Ke Udte Hi Kyon Murjhaya Phool,
Hum Is Baat Pe Aksar Socha Karte The,

Ab To Ek Aansu Bhi Ruswa Kar Jaata Hai,
Bachpan Mein Jee Bhar Ke Roya Karte The...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3281 on: February 17, 2009, 06:06:43 PM »
Kyon Yaad Tum Itna Aate Ho,

Kyon Humko Tum Tadpate Ho,

Gum Sum Gum Sum Hai Aaj Seher Se Hum,

Kyon Itna Hamein Satate Ho,

Tumhe Khayalon Se Gar Nikal Bhi Dein,

To Khwabon Mein Aa Jaate Ho,

Hum Lab Se Nahi Karte Izhaar-E-Mohabbat,

Tum Aakhein Nahi Padh Paate Ho...
Logged
Talat
Guest
«Reply #3282 on: February 17, 2009, 10:59:20 PM »
Beautiful collections Angel
Logged
pandit
Guest
«Reply #3283 on: February 17, 2009, 11:06:30 PM »
Ye Aankhein Teri Jaise Do Kanwal,
Kehti Hain Chupke Se Koi Gazal

Ye Aankhein Teri Aur Inki Gehrayee,
Sunaati Hai Jaise Ye Dastaan Koi,

Ye Aankhein Teri Aur Inka Dard,
Dekha To Bas Tadap Uthe Hum

Ye Aankhein Teri, Yaane Paimaane Do,
Khuda Ke Hain, Ye Nazraane Do,

Ye Aankhein Teri, Koi Jaadoo Hain Inmein,
Dekhe To Bhool Jaayein Log Apne Raste,

Ye Aankhein Teri, Nahi In Jaisi Kahin,
Deewaana Kiya Hume In Aankhon Ne Teri...


well written angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3284 on: February 18, 2009, 02:44:20 AM »
Beautiful collections Angel

Thanks a lot Celmira...
as i said its always a pleasure to see you here..

take care...
Logged
Pages: 1 ... 215 216 217 218 [219] 220 221 222 223 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 05:29:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.205 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer