Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 19 20 21 22 [23] 24 25 26 27 ... 273
Print
Author  (Read 131143 times)
angel4u
Guest
«Reply #330 on: February 13, 2007, 06:09:12 PM »

Aankh Mein Koi Sitara Ho Zaroori To Nahi,
Pyaar Mein Koi Khush Raha Ho Zaroori To Nahi,

Ye Hakikat Hai Ke Mujhe Tumse Mohabbat Hai,
Par Tere Saath Guzara Ho Zaroori To Nahi,

Ye Dariche Se Jo Phoolon Ki Mehek Aati Hai,
Tere Aane Ka Ishara Ho Zaroori To Nahi,

Doobte WaQt Nazar Uspe Bhi To Pad Sakti Hai
Samne Mere Kinara Ho Zaroori To Nahi,

Kam Nahi Ye Bhi Ke Hai Shaher Hamara Lekin,
Shaher Mein Koi Hamara Ho Ye Zaroori To Nahi,

Chuk Sakta Hai Uska Nishaana Bhi Par,
Teer Usne Mujhe Maara Ho Ye Zaroori To Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #331 on: February 13, 2007, 06:13:04 PM »

Ek Dalat Jise Na Baantein Hum,
Dard Ho Aur Sirf Apna Ho,

Dhoop Apne Wajood Se Faile
Chhanv Dene Ko Apna Saya Ho,

Dushmani Ho To Zaat Se Apni,
Apni Hi Zaat Pe Bharosa Ho,

Uski Aankhon Mein Raat Utre Jab,
Sirf Mera Chirag Jalta Ho,

Koi Gohar Shannaas Ho Aisa,
Gehre Paani Se Jo Na Darta Ho,

Ghar Ke Aangan Mein Ek Darwaza
Sirf Bahar Ki Simt Khulta Ho,

Wo Bhi Meri Talash Mein Nikle,
Aur Meri Tarah Akela Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #332 on: February 13, 2007, 06:15:10 PM »

Jab Kabhi Tum Bikhar Kar Rone Lago,
Aur Dil Gam Aashna Hone Lage,
To Sirf........... Itna Yaad Rakhna,
Aankh Heere Ki Tarah Hai,
Aur Heere............
Yun Roya Nahi Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #333 on: February 13, 2007, 06:16:53 PM »

Main Saahil Pe Likhi Koi Ibaarat Nahi
Jo Lehron Se Mit Jaati Hai,
Main Baarish Ki Barasti Boond Nahi,
Jo Baras Kar Tham Jaati Hai,
Main Khwab Nahi,
Jise Dekha Aur Bhula Diya,
Main Shama Nahi
Jise Phoonka Aur Bujha Diya,
Main Chand Bhi Nahi
Jo Raat Ke Baad Dhal Jaye,
Main To Wo Ehsaas Hoon
Jo Tujh Mein Lahoo Ban Kar Gardish Karein,
Main To Wo Rang Hoon,
Jo Tere Dilpe Chade To Kabhi Na Mite,
Khwab, Ibarat, Hawa Ki Tarah Chand,
Boond Shama Ki Tarah,
Mere Mitne Ka Sawal Nahi,
Kyon Ke Main Mohabbat Hoon,
Aur Mohabbat Ko Koi Zawaal Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #334 on: February 13, 2007, 06:19:49 PM »

Jaane Kab Ayega Lab-E-Azad Ka Mausam,
Jaane Kab Khatam Hoga Ye Hasrat-O-Yass Ka Mausam,
Jaane Kab Band Hongi Ye Nafrat Ki Hawayein,
Jaane Kab Khatam Hongi Bagair Kisi Khata Ki Sazayein,
Jaane Kab Uski Aankhon Mein Mohabbat Ke Deep Jalenge,
Jaane Kab Hum Usko Bagair Kisi Bahane Milenge,
Jaane Kab Is Faza Mein Se Aansu Ki Nami Khatam Hogi,
Jaane Kab Sab Ke Samne Hum Usko Apna Keh Sakenge,
Jaane Kab Tak Wo Mere Dil-O-Dimag Par Uski Zaat Ka Qabza Rahega,
Jaane Kab Tak Wo Meri Saanson Mein Basta Rahega,
Jaane Kab Tak Ye Saanso Ki Dor Rahegi
Jaane Kab Tak Ye Zindagi Aur Rahegi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #335 on: February 13, 2007, 06:22:15 PM »

Is Chand Ko Kya Hua Hai,
Kyon Ye Itna Murjhaya Hua Hai,
Iski Chandni Mein Itni Sogwariyat Kyon Hai,
Kya Isko Bhi Dukh Hai,
Apni Chandi Se Juda Hone Ka,
Haan Sahyad Iski Pehchan Chandi Se Hai,
Dukh Kis Tarah Na Ho Isko,
Har Raat Ke Baad Isko Bhi To Juda Hona Padta Hai,
Apna Aap Khona Padta Hai,
Kyon Ke Chandni Ke Bagair Iski Koi Pehchan Nahi,
Ye Sirf Ek Pathar Ho Jata Hai,
To Kya Tere Baad
Meri Bhi Koi Pehchan Nahi Hogi,
Mujhe Bhi Pathar Hona Padega,
Chand Ko To Uski Chandni Mil Jati Hai
Har Raat
Lekin Mere Nasib Mein To Shayad
Chand Ghadiyon Ka Bhi Milan Nahi Hai,
To Kya Mujhe Apna Aap Khona Padega
Mujhe Bhi Patthar Hona Padega???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #336 on: February 13, 2007, 06:23:49 PM »

Ya Rab! Gam-E-Hijraan Mein Itna To Kiya Hota
Jo Haath Jigar Pe Hai Wo Dast-E-Dua Hota,

Ek IshQ Ka Gam Aafat Aur Us Pe Ye Dil Aafat,
Ya Gam Na Diya Hota Ya Dil Na Diya Hota,

Gairon Se Kaha Tumne Gairon Se Suna Tumne,
Kuch Humse Kaha Hota Kuch Humse Suna Hota,

Ummid To Bandh Jaati Taskin To Ho Jaati,
Wada Na Wafa Karate Wada To Kya Hota,

Nakaam-E-Tamanna Dil Is Soch Mein Rehta Hai,
Yun Hota To Kya Hota, Yun Hota To Kya Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #337 on: February 13, 2007, 06:25:20 PM »

Tumko Hum Dil Mein Basa Lenge Tum Aao To Sahi,
Saari Duniya Se Chhupa Lenge Tum Aao To Sahi,

Ek Wada Karo Ab Humse Na Bichhdoge Kabhi,
Naaz Hum Saare Utha Lenge Tum Aao To Sahi,

Bewafa Bhi Ho Sitamgar Bhi Jafa Peshaa Bhi,
Hum Khuda Tum Ko Bana Lenge Tum Aao To Sahi,

Raah Taareek Hai Aur Door Hai Manzil Lekin,
Dard Ki Shamayein Jala Lenge Tum Aao To Sahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #338 on: February 13, 2007, 06:32:16 PM »

Jise Aks Aks Ganwa Diya
Kabhi Rubaru Thi Mere Liye
Jise Naksh Naksh Bujha Diya,
Kabhi Chaar Soo Thi Mere Liye
Jo Had-E-Hawa Se Bhi Door Hai,
Kabhi Koo-Ba-Koo Thi Mere Liye,
Jo Tapish Hai Mauj-E-Saraab Ki,
Kabhi Aab Jo Thi Mere Liye,
Jise "Aap" Likhta Hoon Khat Mein,
Kabhi Sirf "Tu" Thi Mere Liye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #339 on: February 13, 2007, 06:36:39 PM »

Shaam Ke Failte Andhere Mein,
Thaki Thaki Si Fiza Ke Lamhon Mein,
Hole Hole Ubharte Chaand Ke Gird,
Chamakti Chandni Ban Kar Aksar
Tera Chehra Nigahon Ke Rubaru Aata Hai,
Aur Phir Aise Mein Bahut Paas Kahin
Teri Masum Hansi Mujhko Sunayi Deti Hai,
Kaano Mein Gunj Uthti Hai Jal Tarang Jaise,
Khil Uthta Hai Har Ek Manzar Jaise,
Mehek Uthti Hai Thaki Hui Si Fiza,
Hole Hole Chalne Lagti Hai Tand-O-Tez Hawa,
Jab Teri Khushbu Liye Ata Hai Koi Bhatakta Jhonka,
UfaQ Ke Paar Chamakta Hua Chand,
Kisi Khayalse Sharma Ke Simat Jata Hai,
Kisi Awara Badal Ki Ott Mein Chhup Jata Hai,
Main Aankhein Moonde Hue,
Door Khayalon Mein Kahin Kho Jati Hoon,
Apni Zaat Se Hat Kar, Main Tum Ho Jati Hoon,
Magar Aise Mein Na Jane Kahan Se,
Tanhayi Apni Bharpoor Sakhtiyan Lekar,
Shaam Ke Failte Andhere Mein,
Ghata Si Ban Ke Chha Jaati Hai,
Aur Phir Us Par Teri Yaad Sitam Dhaati Hai,
Har Guzarte Pal Mujhe Tadpati Hai,
Is Qarb Ke Aalam Mein Baahein Khole Hue,
Main Apni Khamosh Zuban Se Tujhko Sada Deti Hoon,
Sochta Hoon Ke Tum Daude Chale Aoge,
Zindagi Bhar Ke Liye Mujhe Baahon Mein Samet Loge,
Phir HaQeeQat Ehsaas Ki Dehliz Par Dastak Dekar,
Mujh Par Ek Sach Ko Ayaan Karti Hai,
Ke Aye Deewani,
Tu Dasht-E-Zeest Mein Ab Bhi Tanha Hai,
Apne Badhte Kadam Rok Le To Achha Hai,
Tu Khud Ko Ab Bhi Tok Le To Achha Hai,
Warna.........
Tu Dasht-E-Zeest Mein Kahin Kho Jayegi,
Apne Armaano Ki Aag Mein Jal Jayegi,
Khaak Ban Jayega,
Hawaon Mein Bikhar Jayegi,
Magar Kya Karun, Ke Meri Ek Uljhan Hai,
Main Apni Zaat Ki Haakim Hi Nahi,
Mere Wajood Par Tu Qabiz Hai,
Aur Meri Rooh Mein Tu Shaamil Hai,
Ye Mera Dil Tere Naam Par Dhadakta Hai,
Dekhti Hoon To Sirf Tum Hi Tum Ho,
Sochti Hoon To Sirf Tum Hi Tum Ho,
Khud Ko Kho Hi Chuki Hoon Magar Dilbar Mere,
Main Ab Tujhko Khona Nahi Seh Paungi,
Tum Bin Jeene Ka Tasavvur Hi Nahi,
Tum Se Bichhdi To Shayad Yunhi Mar Jaungi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #340 on: February 14, 2007, 06:28:58 PM »

Zindagi Mein To Tumhari Aa Na Sake, Ab Khwaabon Mein Chale Aate Hain
Tum Laakh Nazrein Pher Lo Sanam, Hum Phir Bhi Chale Aate Hain

Kehne Ko To Tum Bhul Chuki Thi, Phir Bhi Anjaane Mein Pukarti Ho
Tum Kabhi Bhuli Nahin Thi, Sirf Jaankar Anjaane Mein Pukarti Ho

Mann To Mann Hai, Mann Ko Kya Kahena
Hum Aayenge Sapno Mein, Sapno Ko Kya Kahena

Azeez Bewafa Nahin, Tum Paas Aao Ya Na Aao,
Wo Mar Ke Bhi Mara Nahin, Uski Yaadon Ko Gale Se Lagao...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #341 on: February 14, 2007, 06:31:14 PM »

Aankhein Band Kar Bhi, Hum Tera Deedar Karte Hain,
Aye Sanam, Hum To Sirf Tum Se Pyar Karte Hain.
Lakh Chaah Kar Bhi Main Tujhe Bhula Nahi Sakta,
Saans Rahte, Teri Tasvir Aankhon Se Hataa Nahi Sakta.
Aakhiri Pal Tak O Bewafaa, Tujehe Yaad Karta Hoon,
Teri Yaadon Ko Seene Mein Basaa Kar Chalta Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #342 on: February 14, 2007, 06:33:40 PM »

IshQ To Khud Hee Ho Jaata Hai
Dil Bhi Apna Kho Jaata Hai
Jab Aisa Ho Jaata Hai
To Dil Bekaraar Ho Jaata Hai.

Kyun Hota Hain Humko Pyaar
Mujhko Nahi Pata Yaar.

Itna Zaroor Pata Hai Mujhko
Ek Din Ye Bhi Hoga Tumko.

Jab Hoga Tumko Pyaar
Hawa Mein Udoge Tum Bhi Yaar
Khush Rahoge Hardam Tum
Pyaar Karoge Pyaar Se Tum.

Aaj Tumne Jisko Dekha Hai
Shayad Who Hee Tumhara Apna Hai
Abhi Chalega Pata Nahi
Intezaar Mein Rahna Har Ghadi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #343 on: February 14, 2007, 06:38:32 PM »

Pooche Har Koi Gulab Se
Kya Mila Tumhe Kaanton Se

Bana Main Phoolon Ka Raja
Kisi Dulhan Ka Sahera
Kahe Gulab Khushi Se

Pooche Har Koi Humse
Kya Mila Tumhe Bewafa Pyar Se

AashiQue Kahalaye Lakhoon Mein
Har Ik Ki Tassalyee Payi Humne
Wafa Humne Apni Nihbhaee
Kahe Sabir Zamane Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #344 on: February 14, 2007, 06:40:11 PM »

Mere Dil Mere Musaafir
Hua Phir Se Hukum Saadir
Ke Watan Badar Ho Hum Tum
Den Gali Gali Sadaayen
Karein Rukh Nagar Nagar Ka
Ke Suraag Koi Paayein
Kisi Yaar-E-Naamaabar Ka
Har Ek Ajnabi Se Puchein
Jo Pata Tha Apne Ghar Ka
Sar-E-Ko-E-Na-Ashanayan
Humein Dinse Raat Karna
Kabhi Isse Baat Karana
Kabhi Us Se Baat Karana
Tumhein Kya Kahun Ke Kya Hai
Shab-E-Ghum Buri Bala Hai
Humein Ye Bhi Tha Ghanimat
Jo Koi Shumar Hota
Humein Kya Bura Tha Marna
Agar Ek Baar Hota
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 19 20 21 22 [23] 24 25 26 27 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:04:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer