Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 217 218 219 220 [221] 222 223 224 225 ... 273
Print
Author  (Read 131208 times)
Roja
Guest
«Reply #3300 on: February 19, 2009, 03:05:15 AM »
Mere Sabar Ka Na Le Imtehaan,
Meri Khamoshi Ko Sada Na De,
Jo Tere Bagair Na Jee Sake
Use Jeeneki Dua Na De,

Tu Azeez Dil-O-Nazar Se Hai,
To Qareeb Rag-O-Jaan Se Hai,
Mere Jism-O-Jaan Ka Ye Faasla,
Kahin Waqt Aur Badha Na De,

Tujhe Bhul Ke Na Bhula Sakun,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakun,
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar,
Meri Chahaton Ka Sila Na De,

Wo Tadap Jo Shula-E-Jaan Mein Thi,
Mere Tan Badanse Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha Ise,
Na Bujha Sake To Hawa Na De,

Tujhe Agar Mile Kabhi Fursatein,
Meri Shaam Phir Se Sanwar De,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar,
Yun Judaiyon Ki Saza Na De...


Yeh sharyi toh mujhe bahut pasand hai... Thanks for sharing dear Hasina  Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #3301 on: February 19, 2009, 03:06:11 AM »
Apni Ana Ke Saare Sheeshe Chakna Chur Hue,
Humne Jinpe Gazlein Sochein Unko Chaha Logone,
Hum Kitne Badnaam Hue Woh Kitne Mashoor Hue,
Tarq-E-Wafa Ki Saari Kasmein Unko Dekhke Toot Gayi,
Unka Naaz Salamat Thehra Hum Hi Zara Majboor Hue,
Ek Ghadi Ko Ruk Kar Puchha Usne To Ahwal Magar,
Baqi Umar Na Mud Kar Dekha Hum Aise Magroor Hue,
Ab Ke Inki Bazm Mein Jane Ka Gar Mohsin Izn Mile,
Zakhm Hi Inki Nazar Guzarein, Ashq To Na Manzoor Hue,
Tumne Bhi Thukra Hi Diya Hia Duniya Se Bhi Door Hue...


Wooow This one is also very good to read dear Hasina
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3302 on: February 19, 2009, 04:17:50 PM »
Thanks a lot roja...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3303 on: February 19, 2009, 04:21:52 PM »
Tere Badan Se Chhu Kar Jo Idhar Bhi Aata Hai,
Misaal-E-Rang Wo Jhonka, Nazar Bhi Aata Hai,

Tamaam Shab Jahan Jalta Hai Ek Udaas Diya,
Hawa Ki Raah Mein Ek Aisa Ghar Bhi Aata Hai,

Wo Mujhko Toot Ke Chahega Chhod Jayega,
Mujhe Khabar Thi Use Ye Hunar Bhi Aata Hai,

Ujaad Ban Mein Utarta Hai Ek Jugnu Bhi,
Hawa Ke Sath Koi Humsafar Bhi Aata Hai,

Wafa Ki Kaunsi Manzil Pe Usne Chhoda Tha,
Ke Wo To Yaad Hamein Bhool Kar Bhi Aata Hai,

Jahan Lahoo Ke Samundar Ki Had Thaherti Hia,
Wahin Jazeera-E-Laal-O-Guhar Bhi Ata Hai,

Chale Jo Zikar Farishton Ke Parsaye Ka,
To Zair-E-Behas Muqaam-E-Bashar Bhi Ata Hai,

Abhi Sinaan Ko Sambhale Rahein Adoo Mere,
Ke In Safaon Mein Kahin Mera Sar Bhi Aata Hai,

Kabhi Kabhi Mujhe Milne Bulandiyon Se Koi,
Shoa-E-Subah Ke Saurat Utaar Bhi Aatar Bhi Ata Hai,

Isi Liye Main Kisi Shaab Na So Saka Mohsin
Wo Mehtaab Kabhi Baam Par Bhi Aata Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3304 on: February 19, 2009, 04:22:47 PM »

Chhatri Laga Ke Ghar Se Nikalne Lage Hain Hum
Ab Kitnii Ehtiyaat Se Chalne Lage Hain Hum

Is Darje Hoshiyar To Pehle Kabhi Na The
Ab Kyun Qadam Qadam Pe Sambhalne Lage Hain Hum

Ho Jaate Hain Udas Ke Jab Dopehar Ke Baad
Suraj Pukarta Hai Ke Dhalne Lage Hain Hum

Aisa Nahin Ke Barf Ki Maanind Ho Magar
Lagta Hai Yun Ke Jaise Pighalne Lage Hain Hum

Aainaa Dekhne Ki Zarurat Na Thi Koi
Khud Jante The Hum Ke Badalne Lage Hain Hum

Is Ka Yaqeen Aaj Bhala Kis Ko Aayega
Ek Dheemi Dheemii Aanch Mein Jalne Lage Hain Hum...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3305 on: February 19, 2009, 04:23:28 PM »
Koi Bhi Shakl Ho Iski, Ye Saza Deta Hai,
Sipaah-E-Ranj Ka Ye Ishq Hi Salaar Jo Hai,

Bichhad Rahi Hai Wo Mujhse Khud Apni Marzi Se,
Main Kaise Maan Lun Wo Aankh Ashq-Baar Jo Hia,

Fosordaa Chehre Mujhe Bhi Hia Na-Pasand Magar,
Main Kya Karun Ke Teri Yaad Dil-Aazaar Jo Hia,

Tera Gam Jaan Se Badh Kar Na Kyon Azeez Rahe,
Yehi Reh Seh Ke Tera Haasil-E-Deedar Jo Hai,

Wo Ranjishein, Ladaiyan, Bhi Sab Baja Hai Magar,
Jhuth Ye Bhi Nahi, Tujhse Bala Ka Pyaar Jo Hai,

Alam Uthao Bagawat Ka, Chhodo Saadiq Ko,
Ke Wo To Kabse Khada Samne Taiyar Jo Hai,

Sadma Hai Mujhe Bhi Ke Tujhse Juda Hoon Main,
Lekin Ye Sochta Hoon Ke Ab Tera Kya Hoon Main,

Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Tera Wajood,
Bekaar Mehfilon Mein Tujhe Dhundta Hoon Main,

Na Jane Kis Ada Se Liya Tune Mera Naam,
Duniya Samajh Rahi Hia Ke Sab Kuch Tera Hoon Main,

Le Mere Tajurbon Se Sabak Aye Mere Raqeeb,
Do Chaar Saal Umr Mein Tujhse Bada Hoon Main...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3306 on: February 19, 2009, 04:23:59 PM »
Aa Ke Vaabasta Hai Us Husn Ki Yaadein Tujhse
Jisne Is Dil Ko Pari-Khaana Bana Rakha Tha
Jiski Ulfat Mein Bhula Rakhi Thi Duniya Humne
Dahar Ko Dahar Ka Afsana Bana Rakha Tha

Aashnaa Hain Tere Qadmon Se Woh Rahein Jin Par
Uski Madhosh Jawani Ne Inaayat Ki Hai
Karwaan Guzre Hain Jinse Isi Ra’anaai Ke
Jiski In Aankhone Be-Sud Ibadat Ki Hai

Tujhse Kheli Hai Woh Mehboob Hawaayein Jin Mein
Uske Malbuus Ki Afsurda Mahek Baaqi Hai
Tujh Pe Bhi Barsaa Hai Us Baam Se Mehtaab Ka Noor
Jis Mein Beeti Hui Raaton Ki Kasak Baaqi Hai

Tune Dekhi Hai Voh Peshaani, Woh Rukhsaar, Woh Honth,
Zindagi Jinke Tasavvur Mein Luta Di Humne
Tujhpe Uthi Hain Woh Khoyi Khoyi Saahir Aankhein
Tujhko Malum Hai Kyon Umr Ganwa Di Humne

Hum Pe Mushtarak Hain Ehsaan Gham-E-Ulfat Ke
Itne Ehsaan Ki Ginwaun To Ginwa Na Sakun

Humne Is Ishq Mein Kya Khoya Hai Kya Sikha Hai
Juz Tere Aur Ko Samjhaun To Samjha Na Sakun
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3307 on: February 19, 2009, 04:24:37 PM »
Is Barish Mein Mujhe Tera Pyaar Bhi,
Kachhi Mitti Ki Maanind Laga
Ke Jaise
Chand Lamhon Ki Inayaton Ke Baad,
Zameen Ko Sara Saal
Pyasa Rehna Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3308 on: February 19, 2009, 04:25:48 PM »
Koi Kaash Tujhe Batlata,
Hijr Mein Kaise Khwab Utra,
Rooh Par Kaisa Azab Tha Utra,
Koi Kaash Tujhe Batlata
Kitni Yaadon Ka Gham Charon Simat Tha Mere,
Dil Mein Bilkul Matam Jaisa Shor Tha Mere,
Kitne Kaante Dil Mein Chubhe The,
Kitne Ashq Meri Aankhon Mein Thehre The,
Koi Kash Tujhe Batlata...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3309 on: February 19, 2009, 04:26:07 PM »
Hai Dua Yaad Harf-E-Dua Yaad Nahi,
Mere Naghmat Ko Andaz-E-Nava Yaad Nahi,

Maine Palkon Se Dar-E-Yaar Pe Dastak Di Hai,
Main Woh Sayail Hoon Jise Koi Sada Yaad Nahi,

Maine Jin Ke Liye Rahon Mein Bichaya Tha Lahoo,
Humse Kehte Hain Wohi Ehad-E-Wafa Yaad Nahi,

Sirf Dhundalaye Sitaroon Ki Chamak Dekhi Hai,
Kab Hua, Kaun Hua Kis Se Hua Khafa Yaad Nahi,

Zindagi Jabr-E-Musalsal Ki Tarah Kati Hai,
Jane Kis Jurm Ki Payii Hai Saza Yaad Nahi,

Aao Ek Sajda Karein Aalam-E-Madhoshi Mein
Log Kehte Hai K Saagar Ko Khuda Yaad Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3310 on: February 23, 2009, 03:35:55 PM »
Ye Chandni Khili Khili,
Chamak Tumhare Rang Ki,
Ye Sardiyon Ki Dhoop Si,
Tapish Tumhare Roop Ki,
Phir Inpe Yaasiyat Ka Rang,
Hamein To Kuch Jacha Nahi,
Labon Pe Muskurahatein,
Sajao Khush Rah Karo,
Udaas Mat Hua Karo,

Tamaam Rozgaar Ki,
Alam Taraaz Sa'atein,
Hansi Ki Oat Mein Basi
Kayi Hazar Nafratein,
Har Ek Rukh Ki Oat Mein,
Chhupi Hui Munaafqat,
Tamaam Manzaron Ka Dukh,
Bahut Rulaye Hai Magar,
Ye Log To Isi Tarah,
Sitam Kiya Karein Sanam,
Tum Inki Baat Baat Par,
Dhyan Mat Diya Karo,
Udaas Mat Hua Karo...

Tumhe Udaas Dekh Kar,
Kisi Ke Rang Kho Gaye,
Kahin Pe Chand Bujh Gaya
Kahin Sitare So Gaye,
Kahin Pe Baarishon Ki Rut,
Ghazab Ki Pyaas Ban Gayi,
Koi Bahar Ruth Kar,
Sarapa Yaas Bun Gayi,
Kisike Mausamon Ko Yun
Azaab Mat Kiya Karo,
Udaas Mat Hua Karo...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3311 on: February 23, 2009, 03:37:48 PM »
Baarish Ki Boondein Jo Padi Phoolon Par
To Kaliyan Muskara Kar Khil Uthi
Pyaar Ki Barsaat Jo Hui
To Mast Hawayein Bhi Gun-Guna Uthi
Mehakne Laga Har Chaman Bhi,
Titliyan Bhi Raks Karne Lagi
Jhoomne Lagi Mast Ho Kar Daaliyaan Bhi
Parwaanon Ki Mehfilon Mein Shammein Jal Uthin!...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3312 on: February 23, 2009, 03:38:33 PM »

Mere Sahir Teri Aankhein,
Ye Kaisa Dard Rakhti Hia,
Inhe Likhne Ki Chahat Mein,
Meri Kalam Thaki Kitna,
Inhe Padhneki Chahat Mein,
Meri Aankhein Jali Kitna,

Main Likh Likh Kar Teri Aankhein,
Sunati Thi Jo Duniya Ko,
Zamana Rukti Saanson Mein,
Teri Aankhon Ko Sunta Tha,
Zamane Doob Jaate The,
Jo Tujhko Yaad Rakthe The,
Wo Khudko Bhool Jaate The,

Kisi Shab Ek Saa'at Mein,
Teri Aankhon Se Soyi Thi,
To Jitne Khwab Bhi Dekhe,
Main Pehron Inpe Royi Thi,
Teri Aankhon Se Takra Kar,
To Sapne Toot Jate Hai,
Mere Sahir Teri Aankhein,
Ye Kaisa Dard Rakhti Hai,

Ye Sapne Aur Bhi Lein To
Kisi Tabeer Ka Surat
Inhe Sone Nahi Deta,
Kisi Shishe Se Manzar Par
Teri Aankhein Jo Uth Jayein
Wo Shisha Zard Ho Jaye
Misaal-E-Dard Ho Jaye,

Teri Aankhon Ki Mehroomi,
Kisi Chehre Ki Dualat Se,
Kyon Jane Kam Nahi Hoti,

Ye Sadiyon Ka Safar Aur Hai,
Larazti Narm Palkon Mein,
Zamana Saaz Si Aankhein,
Na Jane Kab Se Patthar Hai,
Kyon Jane Nam Nahi Hoti,

Ye Socha Tha Kabhi Maine,
Yehi Kuch Maine Socha Tha,
Ke Chahun To Faqat Ek Lams Dekar Hi,
Inhe Phir Se Jaga Dalun,
Main Is Gumsum Se Patthar Ko,
Mehaz Chhu Kar Rula Dalun,
Main In Aankho Mein Likha Dard,
Mohabbat Se Mita Dalun,

Magar Jab Roobaroo Paaya,
Teri Aankhon Ko Meri Jaan,
Teri Aankhein Meri Aankhon Mein,
Jaise Jazb Hoti Thi,
Main Khudko Bhul Baithi Thi,
Mujhe Tum Yaad Rehte The,

Teri Aankhon Ke Dukh Dariya,
Meri Aankhon Se Behte The,
Meri Aankhein Bhi Ab Bilkul
Teri Aankhon Si Lagti Hia,
Wohi Hasrat Wohi Wehshat,
Wohi Chup Chaap Patthar Si,
Ke Jiss Manzar Pe Uth Jayein,
Aseer-E-Dard Kar Jayein,

Main Jab Se Soch Mein Gum Hoon,
Mujhe Kuch Tu Hi Samjha De,
Mere Sahir Teri Aankhein,
Ye Kaisa Dard Rakhti Hai???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3313 on: February 23, 2009, 03:39:34 PM »
Mere Dil Mere Musaafir
Hua Phir Se Hukum Saadir
Ke Watan Badar Ho Hum Tum
Den Gali Gali Sadaayen
Karein Rukh Nagar Nagar Ka
Ke Suraag Koi Paayein
Kisi Yaar-E-Naamaabar Ka
Har Ek Ajnabi Se Puchein
Jo Pata Tha Apne Ghar Ka
Sar-E-Ko-E-Na-Ashanayan
Humein Dinse Raat Karna
Kabhi Isse Baat Karana
Kabhi Us Se Baat Karana
Tumhein Kya Kahun Ke Kya Hai
Shab-E-Ghum Buri Bala Hai
Humein Ye Bhi Tha Ghanimat
Jo Koi Shumar Hota
Humein Kya Bura Tha Marna
Agar Ek Baar Hota
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3314 on: February 23, 2009, 03:40:04 PM »
Main Tumhare Bina
Jaise Ye Aasman Chaand Sitaron Ke Bina,
Aur Ye Banjar Zameen Baarishon Ke Bina,
Ye Phool Paudhe Mitti Ke Bina,
Aur Ye Insaan Hawa Paani Ke Bina,
Aisi Hi Hoon Main Tumhare Bina,
Haan Aisi Hi Hoon Main Tumhare Bina...
Logged
Pages: 1 ... 217 218 219 220 [221] 222 223 224 225 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 05:22:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.2 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer