Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 219 220 221 222 [223] 224 225 226 227 ... 273
Print
Author  (Read 131201 times)
angel4u
Guest
«Reply #3330 on: February 27, 2009, 02:46:28 AM »
Jo Baat Nahi Karte,
Un Bolte Rangon Mein,
Maine Tumhe Socha Hai,
Jo Dilse Guzarte Hai,
Un Ajnabi Raston Mein,
Maine Tumhe Dekha Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3331 on: February 27, 2009, 02:47:11 AM »
Kehne Ke Liye Tumse
Baatein To Bahut Si Hai,
Alfaz Nahi Milte,
Jo Meri Nazar Mein Hia,
Is Sher Ke Baagon Mein,
Wo Phool Nahi Khilte,

Maine Tumhe Jana Hai,
Izhaar Ke Rishton Se,
Is Tarah Juda Ho Ke
Jis Tarah Koi Banda
Dharti Pe Nazar Dale
Ek Baar Khuda Ho Ke...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3332 on: February 27, 2009, 02:47:55 AM »
Kisi Bhi Lamhe Koi Dhyan Mein Aa Sakta Hai,
Kisi Ki Baatein Kisika Chehra
Kisika Dheema Dheema Lehja
Koi Bhi Apna Ya Begaana,
Soche Bina, Bas Bedhyani Mein,
Na Danasta
Idhar Udhar Ki Baatein Karte,
Ekdam Dilko Behla Sakta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3333 on: February 27, 2009, 02:48:42 AM »
Mausam Yun Badal Jaate Hia,
Jaise Is Sheher Mein Ikhlaaq Badal Jaate Hia,
Doobte Doobte Ek Roz Doob Jayegi,
Zindagi Shaam Ka Suraj Hai Laut Jayegi,
Sochte Sochte Har Sham Guzar Jati Hai,
Badle Rukhse Hawa Ke Zulf Bikhar Jati Hia,
Kehte Kehte Zaban Pe Baat Theher Jaati Hai,
Shaam Ke Baad Charagon Mein Nazar Aati Hia,
Sehte Sehte Har Ek Zakham Laga Apna Apna,
Umar Bhar Isko Hai Seene Se Lagaye Rakhna,
Dhudnte Dhundte Humko Jo Nazar Ati Hia,
Kabhi Veerano Ke Pehloo Mein Kho Bhi Jaati Hai,
Hote Hote Deewane Pyar Mein Hojaate Hia,
Jahan Ko Bhool Kar Dildaar Mein Kho Jaate Hia,
Jaate Jaate Jahan Deewarein Gira Jaate Hia,
Wahan Wo Pyar Ke Chand Beej Laga Jate Hai,
Bharte Bharte Purane Zakham Bhi Bhar Jaate Hai,
Dekhte Dekhte Khizaan Se Shajer Bhi Poshaq Badal Jaate Hia...
Logged
pandit
Guest
«Reply #3334 on: February 27, 2009, 03:04:51 AM »
Mausam Yun Badal Jaate Hia,
Jaise Is Sheher Mein Ikhlaaq Badal Jaate Hia,
Doobte Doobte Ek Roz Doob Jayegi,
Zindagi Shaam Ka Suraj Hai Laut Jayegi,
Sochte Sochte Har Sham Guzar Jati Hai,
Badle Rukhse Hawa Ke Zulf Bikhar Jati Hia,
Kehte Kehte Zaban Pe Baat Theher Jaati Hai,
Shaam Ke Baad Charagon Mein Nazar Aati Hia,
Sehte Sehte Har Ek Zakham Laga Apna Apna,
Umar Bhar Isko Hai Seene Se Lagaye Rakhna,
Dhudnte Dhundte Humko Jo Nazar Ati Hia,
Kabhi Veerano Ke Pehloo Mein Kho Bhi Jaati Hai,
Hote Hote Deewane Pyar Mein Hojaate Hia,
Jahan Ko Bhool Kar Dildaar Mein Kho Jaate Hia,
Jaate Jaate Jahan Deewarein Gira Jaate Hia,
Wahan Wo Pyar Ke Chand Beej Laga Jate Hai,
Bharte Bharte Purane Zakham Bhi Bhar Jaate Hai,
Dekhte Dekhte Khizaan Se Shajer Bhi Poshaq Badal Jaate Hia...



Mast Collection banaya hai Angel (HASEENA).......
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3335 on: February 27, 2009, 04:28:12 PM »
Thanks (haseena means? ? ? }
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3336 on: February 28, 2009, 02:32:14 PM »
Hum Jise Dukh Kehte Hia,
Wo Ek Kaifiyat Hia,
Bhare Majme Mein,
Tanha Reh Kar,
Khud Mein Doob Jane Ki,
Lamhe Ka Waar
Gar Jism Par Ho,
To Fana Hai,
Aur Rooh Mein Utar Jaye
To
Amar Hai!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3337 on: February 28, 2009, 02:34:19 PM »
Mere Dil Mere Musafir
Hua Phir Se Hukum Saadir
Ke Watan Badar Hoon Hum Tum
Dein Gali Gali Sadayein
Karein Rukh Nagar Nagar Ka
Ke Suraag Koi Paayein
Kisi Yaar-E-Naamaa Ber Ka
Har Ek Ajanabi Se Puchhein,
Jo Pata Tha Apne Ghar Ka
Sar-E-Koy-E-Naashanaayan
Hamein Din Se Raat Karna
Kabhi Is Se Baat Karna
Kabhi Us Se Baat Karna
Tumhein Kya Kahun Ke Kya Hai
Shab-E-Ghum Buri Bala Hai
Hamein Ya Bhi Tha Ghanimat
Jo Koi Shumaar Hota
Hamein Kya Bura Tha Marna
Agar Ek Baar Hota
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3338 on: February 28, 2009, 02:35:17 PM »
Dilke Faisle Par Ikraar Hai,
Kisi Ajnabi Se Mujhe Bahut Pyaar Hai,

Aaj Mast Hoon Uske Nash Mein Main,
Roke Koi Hazaar Bekaar Hai,

Khushbu Si Aane Lagi Hia Chaman Se,
Phoolonse Lipta Hua Jo Dildaar Hai,

Har Roz Teri Hi Yaad Ka Sahara Hai,
Har Shaam Tera Hi Intezaar Hia,

Zakham Dil Par Laga Hai Kuch Aisa,
Shafa Kuch Nahi Magar Tera Deedar Hai,

Kisi Kone Se Awaz Do Mujhe Tum,
Ye Majnu Jaan Lutane Ko Taiyar Hia...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3339 on: February 28, 2009, 02:59:04 PM »
Wah wah dear Hasina bahut accha collections hai.. last post bahut accha laga padkar. Keep sharing  Thumbs UP
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3340 on: February 28, 2009, 03:02:09 PM »
Thanks roja...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3341 on: February 28, 2009, 03:02:29 PM »
Wah Huzaina Didi, Kamaal Ka Yaar, Tussi Great Ho, Great Colection Pardhke Mazaa Aagaya
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3342 on: February 28, 2009, 03:45:24 PM »
Wah Huzaina Didi, Kamaal Ka Yaar, Tussi Great Ho, Great Colection Pardhke Mazaa Aagaya


Bahut shukriya azeem... Usual Smile
Logged
aaina
Guest
«Reply #3343 on: February 28, 2009, 11:59:55 PM »
Mere Dil Mere Musafir
Hua Phir Se Hukum Saadir
Ke Watan Badar Hoon Hum Tum
Dein Gali Gali Sadayein
Karein Rukh Nagar Nagar Ka
Ke Suraag Koi Paayein
Kisi Yaar-E-Naamaa Ber Ka
Har Ek Ajanabi Se Puchhein,
Jo Pata Tha Apne Ghar Ka
Sar-E-Koy-E-Naashanaayan
Hamein Din Se Raat Karna
Kabhi Is Se Baat Karna
Kabhi Us Se Baat Karna
Tumhein Kya Kahun Ke Kya Hai
Shab-E-Ghum Buri Bala Hai
Hamein Ya Bhi Tha Ghanimat
Jo Koi Shumaar Hota
Hamein Kya Bura Tha Marna
Agar Ek Baar Hota


kia baat hai angel..............very nice nazms bhut acha collection................



ye na thi hamari qismat ke visaal e yaar hota
agr aur jeete rhete yahi intezaar hota.......


dua
chandni uske dreechay ko choo kar
mere neem roshan
jharoke mai aaye na aaye magr
meri palko ki taqdeer se
neend chunti rhe
aur uski aankh ke khaab bunti rhe........(NM)




Logged
angel4u
Guest
«Reply #3344 on: March 01, 2009, 06:30:27 AM »
Thanks Aaina and wonderful sharing...
Logged
Pages: 1 ... 219 220 221 222 [223] 224 225 226 227 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 03:42:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer