Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 220 221 222 223 [224] 225 226 227 228 ... 273
Print
Author  (Read 131200 times)
angel4u
Guest
«Reply #3345 on: March 01, 2009, 06:31:16 AM »
Ab So Jao
Kyon Raat Ki Ret Pe Bikhre Hue
Taaron Ke Kankar Chunti Ho?
Kyon Sannate Ki Silwat Mein
Lipti Awazein Sunti Ho
Kyon Apni Pyaasi Palkon Ki Jhalar Mein
Khwab Piroti Ho
Kyon Roti Ho?

Ab Kaun Tumhari Aankhon Mein
Sadiyon Ki Nind Undelega?
Ab Kaun Tumhari Chahat Ki
Haryali Mein Khil Khilayega
Ab Kaun Tumhari Tanhayi Ka
Andekha Dukh Jhelega?

Ab Aisa Hai___________?

Ye Raat Musalat Hai Jab Tak
Ye Shamayein Jab Tak Jalti Hia,
Ye Zakham Jahan Tak Chubhte Hia,
Ye Saansein Jab Tak Chalti Hia,

Tum Apni Sochke Jungle Mein Raah Bhatko Aur Kho Jao!!
Ab So Jao...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3346 on: March 01, 2009, 06:31:42 AM »
Bas Ek Wakt Ka Khanjar Meri Talash Mein Hai,
Jo Roz Bhes Badal Kar Meri Talash Mein Hia,

Main Katra Hoon Mera Alag Wajood To Hia,
Hua Kare Jo Samundar Meri Talash Mein Hai,

Main Devta Ki Tarah Qaid Apne Mandir Mein,
Wo Mere Jism Ke Bahar Meri Talash Mein Hai,

Main Jiske Haath Mein Ek Phool Deke Aya Tha,
Usike Hath Ka Pathar Meri Talash Mein Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3347 on: March 01, 2009, 06:32:09 AM »
Wo Mujhe Yaad To Aata Hai
Magar Is Tarah
Jaise Barson Pehle
Bichda Hua Musafir
Thak Haar Ke Ghar Ko Laute
Jaise Maazi Ki Kuch Talkh Yaadein
Kabhi Aa Kar Dastak Dein
Magar Un Dastak Ka Koi Jawab Tak Na Aaye
Jaise Kitab Mein
Rakha Hua Ek Gulab Ka Phool
Jo Kab Ki Apni Qadar Kho Chuka Ho
Wo Mujhe Yaad To Aata Hai
Magar Is Tarah Jaise
Hawa Ka Ek Jhonka
Jo Pal Bhar Ko Thehre
Aur Guzar Jaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3348 on: March 01, 2009, 06:32:53 AM »
Ye Aarzu Hi Rahi Koi Aarzu Karte,
Khud Apni Aag Mein Jalate Jigar Lahoo Karte,

Tere Jamaal Ka Paratao Nigaah Mein Hota,
Kabhi Saba Se Kabhi Gulse Guftagu Karte,

Tere Khayal Mein Gum Hoke Ek Gazal Kehte,
Aur Us Gazal Ko Na Ruswa Kubakoo Karte,

Hum Ahl-E-Dil Ko Bahut Tha Ye Nasha-E-Gam Bhi,
Usi Sharab Se Raushan Subu-Subu Karate,

Ye Ehtaraam-E-Junoon Hai Ke See Liya Daaman,
Wagarna Ek Tamasha-Sa Kubakoo Karte,

Hamein Yakeen Hai Ke Gar Tu Kareeb Bhi Hota,
To Door Jaake Kahin Teri Justaju Karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3349 on: March 01, 2009, 06:33:34 AM »
Naveed-E-Subah Mili Shabse Rabta Toota,
Khuli Jo Ankh Sarabon Ka Silsils Toota,

Mera Wajood Bhi Do Neem Ho Gaya Tha Wahan
Jahan Pe Ehl-E-Mohabbat Se Rabta Toota

Tamam Raat Bune Khwaab Us Ki Yaadoon Ke
Gujar Baja To Yeh Yaadoon Ka Silsila Toota

Juda Hua Jo Woh Mujhse To Yun Hua Mehsoos
Ke Jaise Dil Se Mere Dil Ka Rabta Toota

Wahin Kahin Tha Shab-E-Sast-E-Mauj Ka Sahil
Jahan Pahuch Ke Tere Dil Ka Hausla Toota....
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #3350 on: March 01, 2009, 06:38:15 AM »
aapki shayri ke prati be-intihaan deewangi mujhe bahut acchi lagti hein,angel ji.vaakai dumdaar collection hai aapke paas.fursat mein dawa ka kaam karenge yeh panne.......
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3351 on: March 01, 2009, 06:40:16 AM »
aapki shayri ke prati be-intihaan deewangi mujhe bahut acchi lagti hein,angel ji.vaakai dumdaar collection hai aapke paas.fursat mein dawa ka kaam karenge yeh panne.......

Shukriya Prateek Ji. Aapka regular yahan visit karna aur appreciate karna hi hamre liye kafi keemti hai.
Logged
Roja
Guest
«Reply #3352 on: March 01, 2009, 06:45:10 AM »
Naveed-E-Subah Mili Shabse Rabta Toota,
Khuli Jo Ankh Sarabon Ka Silsils Toota,

Mera Wajood Bhi Do Neem Ho Gaya Tha Wahan
Jahan Pe Ehl-E-Mohabbat Se Rabta Toota

Tamam Raat Bune Khwaab Us Ki Yaadoon Ke
Gujar Baja To Yeh Yaadoon Ka Silsila Toota

Juda Hua Jo Woh Mujhse To Yun Hua Mehsoos
Ke Jaise Dil Se Mere Dil Ka Rabta Toota

Wahin Kahin Tha Shab-E-Sast-E-Mauj Ka Sahil
Jahan Pahuch Ke Tere Dil Ka Hausla Toota....


Quote
Juda Hua Jo Woh Mujhse To Yun hua Mehsoos
Ke Jaise Dil Se Mera Dil Ka Rabta Toota

Wah nice sharing Hasina  Thumbs UP
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3353 on: March 01, 2009, 09:48:39 AM »
Thanks roja
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3354 on: March 01, 2009, 09:57:42 AM »
Kabhi Sab Kuch Keh Kar
Kabhi Khamosh Reh Kar
Kabhi Bahut Door Jaa Kar
Kabhi Paas Aa Kar,
Wo Mujhe Ye Ehsaas Dilata Hai,
Ke Uski Mohabbaton Ka,
Shiddaton Ka Koi Shumaar Nahi,
Magar Usse Puchho
Bata Kar Hi Ki Jaati Hia?
Kya Mohabbat Jata Kar Bhi Ki Jaati Hai???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3355 on: March 01, 2009, 09:58:02 AM »
Rasm-E-Ulfat Sikha Gaya Koi,
Dilki Duniya Pe Chha Gaya Koi,

Taa-Qayamat Kisi Tarah Na Bujhe
Aag Aisi Laga Gaya Koi

Dilki Duniya Ujaad Si Kyon Hai,
Kya Yahan Se Chala Gaya Koi,

Waqt-E-Rukhsat Gale Laga Kar,
Hanste Hanste Rula Gaya Koi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3356 on: March 01, 2009, 09:58:27 AM »
Jo Shab-E-Wasl Tere Sath Maine Guzar Di
Mere Jism Pe Woh Sub Raqam Hui
Meri Rooh-O-Jaan Mein Utar Gayi
Badi Mukhtasar Si Woh Raat Thi Jise Maine Wasl Samajh Liya
Mera Jism-O-Jaan Tere Sath Tha Meri Rooh Tujh Pe Nihal Thi
.
.
.
Bade Purfareb Woh Pal Lage
Meri Jaan Jab Tu Qareeb Thi
Mera Reza Reza Jism Ka Teri Khushbuon Se Mahek Utha
Meri Zeest Ki Sari Udasiyan Tere Qurab Se Bahel Gayi

Tere Pyar Se
Tere Pyar Se
Meri Zindagi Ki Ye Raat Bhi Takmeel The Tere Mere Pyar Ki
Tune Paa Liya
Maine Kho Diya
.
.
.
Ye Hi Husn Is Pal Ka Tha....
Aur
.
.
Aur
Sahir Mein Sara Azab Tha
Main Wasal Jis Ko Samajh Rahi Thi
Woh To Sare Ka Sara Hijr Tha
Aur Firaq Tha
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3357 on: March 01, 2009, 06:00:55 PM »

Ek Saza Aur Aseeron Ko Suna Di Jaye,
Yaani Ab Jurm-E-Aseeri Ki Saza Di Jaye,

Uski Khwahish Hai Ke Ab Log Na Hanse Na Roye,
Behisi WaQt Ki Awaz Bana Di Jaye,

Dasht-E-Nadeeda Ki TahQeeQ Zaroori Hai Magar,
Pehle Jo Aag Lagi Hai Wo Bujha Di Jaye,

Sirf Jalna Hi Nahi Humko Bhadakna Bhi To Hai,
IshQ Ki Aag Ko Laazim Hai Hawa Di Jaye,

Sirf Suraj Ka Nikalna Hai Agar Subah To Phir,
Ek Shab Aur Meri Shab Se Mila Di Jaye,

Aur Ek Saza Sitam Kiya Hai Usne Ijaad,
Usko Is Baar Zara Khulke Dua Di Jaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3358 on: March 03, 2009, 04:20:25 PM »
So Ye Tay Paya,
Ke Is Shahed Bhari Neend Ka Ras
Meri Aankhon Ke Siwa Bhi Koi Pee Sakta Hai,
Aur Wo Sar-Shari
Jo Ab Tak Kisi Mantar Ki Tarah
Sirf Mujhe Padhti Thi
Ab Kisi Aur Badan Ko Bhi Yun Vird-E-Zuban Janegi
Wohi Lamhe Usi Shiddat Se
Tere Khon Mein Sitaron Ki Tarah Damkayegi
Jinke Tanveer Abhi Tak Taqdree Rahi
Aaj Malum Hua,
Band Palkon Ke Aqab Mein Kisi Jugnu Ki Tarah,
Jisko Chupa Leti Thi Teri Palkein,
Wo Mera Aks Na Tha, Wo Meri Tasveer Na Thi,
Khwab-E-Yaktaye Ke Mere Kio Tabeer Na Thi,
Tera Dildaar Tabassum Aakhir
Uzar Se Kiya Dilke Girah Kholega,
Aankh Jab Jhuth Kahe
Aayna Kya Bolega...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3359 on: March 03, 2009, 04:21:07 PM »
Meri Gumshuda Hayat Ke Jitne Bhi Pal Hain
Sabhi Maut Ke Nohe Mein Dhali Hui Ghazal Hain

Mere Kamre Ki Diwaron Pe Saji Tasveerein
Teri To Nahi Magar Sab Teri Ham Shakal Hain

Tumhi Ne Mera Haath Pakad Kar Kaha Tha Jana
Aao Mohabbat Karein Ke Mohabbatein Sehel Hain

Zad Mein Hain Khizaan Ki Sab Mausam Tabiyat Ke
Sare Jazbe Jaise Rondi Hui Fasal Hain

Kis Raftar Se Chahat Aaghaz Hui Thi Yaad Hai??
Dekho Aaj Kis Manzil Pe Qadam Hamare Shal Hain

Adhoore Jazboon Ke Fasane Jin Mein Raqam Hain
Sanam Meri Wo Sab Diarian Na Mukammal Hain...
Logged
Pages: 1 ... 220 221 222 223 [224] 225 226 227 228 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 03:40:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.187 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer