Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 224 225 226 227 [228] 229 230 231 232 ... 273
Print
Author  (Read 131196 times)
angel4u
Guest
«Reply #3405 on: March 07, 2009, 02:14:09 PM »
Na Main Paas Usko Bula Saka, Na Main Dilki Baat Suna Saka,
Wo Hansi Hansi Mein Hi Chal Diya Ke Main Haath Tak Na Hila Saka,

Mujhe Kya Khabar Ke Wo Kya Hua, Mujhe Kitna Gehra Khumaar Tha,
Main Khaa Tha Uske Hisaar Mein, Mere Ird Gird Gubaar Tha,
Yunhi Sochta Raha Der Tak Magar Usko Kuch Na Bata Saka,
Na Main Paas Usko Bula Saka, Na Main Dilki Baat Suna Saka,

Na Hai Dushmani Kisi Dinse Ab, Na Hai Dosti Kisi Raat Se,
Hai Bacha Hi Kya Jo Wo Le Gaya Mujhe Cheen Kar Meri Zaat Se,
Ye Makaam Hi Tha Ajeeb Sa Ke Main Khudko Bhi Na Bacha Saka,
Na Main Paas Usko Bula Saka, Na Main Dil Ki Baat Suna Saka,

Ye Bhi Thik Hai Wo Chala Gaya Mujhe Band Raste Mein Chhod Kar,
Ye Bhi Thik Hai Ke Na Aayega Kabhi Butt Ana Ka Wo Tod Kar,
Wo Juda Bhi Kaise Hua Ke Main Koi Rasm Bhi Na Nibha Saka,
Na Main Paas Usko Bula Saka, Na Main Dilki Baat Suna Saka,

Wo Hansi Hansi Mein Hi Chal Diya Ke Main Haath Tak Na Hila Saka...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3406 on: March 07, 2009, 02:14:47 PM »
Dil Bhi Bhuja Ho Shaam Ki Parchhaiyan Bhi Ho,
Mud Jaye Jo Aise Mein Tanhaiyan Bhi Ho,

Aankhon Ki Surkh Leher Hai Mauj-E-Supurdagi,
Ye Kya Zaroor Hai Ke Ab Angdaiyan Bhi Ho,

Har Husn-E-Sada Loh Na Dil Mein Utar Saka,
Kuch To Mazaj-E-Yaar Ki Gehraiyan Bhi Ho,

Duniya Ke Tazkare To Tabiyat Hi Le Bujhe,
Baat Uski Ho To Phir Sukhan Aaraiyan Bhi Ho,

Pehle Pehal Ka IshQ Abhi Yaad Hai Faraz,
Dil Khud Ye Chahta Tah Ke Ruswaiyan Bhi Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3407 on: March 07, 2009, 04:30:13 PM »
Meri Zindagi Ke Lamhaat Kam Na The,
Teri Bewafai Ke Baad Pehle Se Hum Na The,
Mujhe Maut Ka Dar Nai Tha Tere Aneke Pehle,
Meri Mohabbat Ko Samjha Hota Mujhe Satane Ke Pehle,
Tere Gamonke Baad Baki Koi Sitam Na The,
Tujhe Main Kya Deta Iske Badle,
Mere Paas Tujhe Deneko Gam Na The,
Teri Zindagi Me Aur Bhi Kayi Log Aaye Is Diwane Ke Pehle,
Meri Zindagi Me Phir Bhi Tu Raha Is Zamaneke Pehle...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3408 on: March 07, 2009, 04:31:21 PM »
Mujhe Zinda Dafan Kar Gai Kisi Aur Ki Inayatein,
Shab Bhar Sochta Raha Kaha Gum Hui Wo Manzil,
Chin Le Gayi Meri Khwahishe Kisi Aur Ki Hasratein,
Ta-Umar Guzarta Raha Gaironke Ehsano Tale,
Zakhm Hare Mere Kar Gayi Kisi Aur Ki Amanatein,
Hairan Ho Rahe Mere Arman Ruthi Hai Meri Mohabbat,
Wakt Mera Barbad Kar Gayi Kisi Aur Ki Fursate,
Pal Pal Jutata Reh Nishan Apni Begunahi Ke,
Aashiyan Mera Jala Gai Kisi Aur Ki Shikayatein,
Ek Aas Lagta Raha Hoon Humsafar Tujhe Bananeke,
Ulfatme Daga De Gayi Meri Apni Hi Sharafatein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3409 on: March 07, 2009, 04:32:34 PM »
Ek Aandhi Si Khayalonme Aayi Thi Kal Raat,
Badi Zad-O-Zahed Se Bitayi Thi Kal Raat,
Phir Teri Khushbu Fizame Mahek Gayi,
Kya Tum Mujhse Milne Ayi Thi Kal Raat?
Main Janta Hun Meri Hum-Nakash Ke Ye Ho Nai Sakta,
Phir Shayad Teri Yaad Aayi Thi Kal Raat,
Kya Kahun Us Khuda Se Jisne Chhin Liya Tujhe,
Kya Tum Khudase Khudko Mang Layi Thi Kal Raat...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3410 on: March 07, 2009, 04:33:07 PM »
Dekhiye Hote Hai Ishqme Kamal Kaise Kaise,
Dilonke Lutne Ke Baad Aate Hai Khayal Kaise Kaise,

Bahut Hasratein Le Kar Aye The Unke Kooche Me,
Dil Loot Ke Banaya Hai Kangaal Kaise Kaise,

Phir Bhi Lajawab Kaha Hai Tere Ishqko,
Uthte Hai Dilone Sawal Kaise Kaise,

Jab Bhi Teri Zulfonki Chhanv Me Dhunda Karar-E-Dil,
Teri Batonke Nashtar Ne Kiya Behaal Kaise Kaise...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3411 on: March 07, 2009, 04:33:49 PM »

Bikhar Jate Hai Jab Teri Yaadmein,
Kya Karein Aur Tab Hamein Kalam Karne Aana Padta Hai,

Bikte Hai Har Aur Chehre Duniyame,
Hans Has Kar Tera Gam Bhulana Padta Hai,

Chaukhat Na Jane Kis Lakdi Se Bani Hai Teri Aye Sanam,
Ke Rote Bhi Hote Hai To Yahan Aakar Muskurana Padta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3412 on: March 07, 2009, 04:34:26 PM »
Jeene Ki Tamanna Na Rahi Mujhe Uske Jaaneke Baad,
Ro Raha Hoon Zindagi Bhar Main Ek Pal Muskurane Ke Baad,

Ab Aa Rahi Hai Wo Mujhse Pyar Jatane Mujhe Samjhane,
Jab Kuch Bhi Na Bacha Mere Paas Ghar Jalaneke Baad,

Ye Bhi Uski Inayatein Hai Ke Main Tanha Hoon Duniyaki Mehfilonme,
Aaj Roshan Hai Uski Zindagi Mera Chirag Bujhaneke Baad,

Aisi Bhi Kya Khata Hui Humse Ke Wo Hamein Aise Zakham De Gaye,
Aaj Main Tanha Hoon Kabar Ke Viraneme Mehfilein Sajaneke Baad...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3413 on: March 07, 2009, 04:36:09 PM »
Chashmashk Humsafar Mere Mujhe Yaad Nai,
Kaun Bichda Kahan Ab Mujhe Yaad Nai,

Dilki Shorida Se Ujli Thi Ulfat Koi,
Tum The Ya Daur Tha Jahan Ka Mujhe Yaad Nai,

Zindagine Apni Chaal Chal Di Har Kahin,
Koi Bhi Apna Nishan Mujhe Kahin Yaad Nai,

Saath Kashti Ke Laga Karte The Log Kuch,
Hum The Ya Mauj-E-Rawaan Mujhe Yaad Nai,

Faasle Kuch Is Tarah Phir Badhte Gaye, Aur Badhte Gaye, Kiss Ka Gam Kahan Mila
Ab Hamein Ranj-O-Gham Ki Dava Yaad Nai,

Hum Hai Ke Hamara Wajod Bhi Hai Yahan Koi,
Ab Manzilein Aur Giriyan-E-Shua Mujhe Yaad Nai,

Jab Gulistan Me Lag Chuki Hai Aag Kisi Ke Roshnise Kya Fark Padta Hai
Fasl-E-Gul Thi Ya Khizan, Jo Tujhe Yaad Nai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3414 on: March 08, 2009, 01:54:44 PM »
Main Nahi Khudke Liye, Hoon Main Zamane Ke Liye,
Khudko Zakham De De Kar Auron Ko Hasane Ke Liye,

Humne Kya Kya Na Kiya Tere Chale Jaane Ke Baad,
Tujhe Hi Yaad Kiya Tujhko Bhulane Ke Liye,

Ye Khiza Ye Andhere Ye Veeran Sa Safar,
Hum To Nikle The Kahin Aur Hi Jaane Ke Liye,

Aayina Dekh Ke Hairan Sa Hojata Hoon,
Khud Ko Hi Bhool Gaya Aapko Paane Ke Liye,

Yun RaQeebon Se Has Has Ke Kyon Milte Ho,
Teri Berukhi Hi Bahut Thi, Dilko Jalane Ke Liye,

Ye Jo Chhalakta Hai Aankhon Se Ise Pani Na Kaho,
Ye To Moti Hai Mere Pyar Ko Sajane Ke Liye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3415 on: March 08, 2009, 01:55:17 PM »
Dil Zakham Zakham Hai To Aankhein Bhi AshQ-Bar Hai,
Kitna Fareb Khaye Mohabbat-O-Pyaar Mein,

Aankhein Dasht Dasht Hai Dil Bhi Dukha Hua,
Guzra Tha Aaj Wo Bhi Hamein Dekhta Hua,

Honthon Pe Muskurahat Aankhon Mein Hai Nami Si,
Wo Samne Hai Phir Bhi Hai Kuch Kami Si,

Tum Munh Se Na Bolo Aankhein To Batati Hai,
Kiya Jee Mein Tumhare Hai Hum Khoob Samajhte Hai,

Aankhein Hazar Sabar Ki Koshish Ke Bawajood,
Ruk Ruk Ke Baar Baar Barasti Hai Aaj Bhi,

Khushk Aankhon Ki Lakeerein Pe Pata Deti Hai,
Karwan-E-Gam Ka Isi Raah Se Guzar Hoga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3416 on: March 08, 2009, 01:58:05 PM »
Mohabbat Ke Jahan Mein Roshni Ka Saaz Bajta Hai,

Hawaon Mein Chameli Ka Abhi Andaz Sajta Hai,

Hatheli Se Tumhare Naam Ki Khushbu Nahi Roothi,

Hamare Haath Se Ummid Ki Tasbeeh Nahi Chhuti,

Abhi To Khwab Ki TaQdeer Mein Marna Nahi Likha,

Hamari Qismaton Ne Hijr Ka Koi Panna Nahi Likha,

To Phir Ye Kaise Mumkin Hai Ke Hum Dono,

Ana Ke Wajbi Se Khol Mein Mehsoor Ho Jaye,

Khudi Ke Hathon Kuch Is Tarah Majboor Ho Jaye,

Ke Aankhon Par FaQt Nafrat Ka Pehra Ho,

Hamare Aur Tumhare Darmiyan Sirf Dard Thehra Ho,

Dilon Ki Waadiyon Mein Tishnagi Hi Gashat Karti Ho,

Tareeki Hamara Aur Tumhara Bekhat Karti Ho,

Kaho Jaana! Kya Tumhe Aisa Nahi Lagta,

Ke Ana Ko Raste Mein Chod Dena Hi Munasib Hai,
 
Kyon Ke Abhi To Khwaab Zinda Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3417 on: March 08, 2009, 01:59:19 PM »
Apne Hathon Ki Pouro Ki Hiddat
Jinhone Mere Hathon Ko Chhua Tha,
To Jaise Dafatan
Dil-E-Sehra Mein Barish-E-Wafa Ka Chal Pada Tha Silsila Sa,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Apni Nazrein Jo Takra Gayi Thi Achanak,
To Ye Gumaan Sa Hua Tha,
WaQt Jaise Tham Sa Gaya Hai,
Labon Se Ada Na Ho Saki Thi,
Kitni Ankahi Baatein Phir Bhi,
Aankone Bina Ruke Keh Thi Dali,
Phir Jhuk Bhi To Gaye The Sharma Ke,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Apni Khuli Zulfon Ko Yunhi Hawa Mein Lehrate,
Ke Dil Ab Tak Is Manzar Se Bhara Nahi Hai,
Hawayein Jo In Zulfon Mein Se Hote Hue Mujh Tak Pahuchti Thi,
To YaQeen Jaano Ke Main,
Bagh-E-Bhayshat Ki Pur Muatar Hawaon Mein Rach Bas Jata Tha,
Abhi Kuch Der Aru Rehne Do,
Wo Chehre Ki Muskaan,
Apne Chehre Par Bante Bigadte Zawiyah,
Jinki Masoomiyat Par
Main Hans Padta Tha,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Wo Saare Kisse,
Wo Saari Baatein,
Wo Saari Yaadein,
Wo Saare Manzar,
Dil Ab Tak Muztarib Hai,
Fariyad Yehi Kar Raha Hai,
Wo Sara WaQt Jo Ek Pla Mein Hai Beeta,
Beet Gaya Hai,
So Use Guzar Bhi Jana Tha,
Magar Wo Kash Beetta Theher Theher Ke,
Kayi Sadiyon Ka Safar Hota Inke Darmiyan,
Zindagi Kab Shuru Ho Kar Khatam Bhi Ho Jati,
Pata Bhi Na Chalta,
So Apni Dilki Yaadonki,
Tasveer Un Haseen Mulakaton Ki,
Yehi Kehti Hai,
Yehi Kehti Rahegi,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3418 on: March 08, 2009, 02:00:38 PM »
Ab Kya Likhe Kagaz Par?
Ab Likhne Ko Kya Baaki Hai,

Ek Dil Tha So Ab Toot Gaya,
Lutne Ko Ab Kya Baaki Hai,

Ek Shakhs Ko Humne Chaha Tha,
Kuch Raatein Par NaQsh Banaya Tha,

In Raaton Ke Razuon Ko
Humne Dil Mein Sajaya Tha,

Wo Raatein To Kabki Bikhar Gayi,
Wo NaQsh Ab Kahan Baaki Hai,

Ab Kya Likhe Hum Kagaz Par,
Wo Jinko Hum Apni Nazmo,

Ka Anwan Banaya Karte The,
Wo Lafzon Ka Bana Ke Tajmahal,

Kagaz Par Sajaya Karte The,
Wo Humko Akela Chhod Gaya,

Sab Rishton Se Munh Mod Gaya,
Ab Rishte Saare Soone Hai,

Wo Pyara Ab Kahan Baaki Hai,
Ab Kya Likhe Kaagaz Par...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3419 on: March 08, 2009, 02:01:25 PM »
Aankh Se Door Sahi Dil Se Kahan Jayega,
Jaane Wale Tu Hamein Yaad Bahut Aayega,

Khwaab Sa Dekha Hai Tabeer Na Jaane Kya Ho,
Zindagi Bhar Koi Ab Khwaab Hi Dohrayega,

Toot Jaye Na Kahin Pyar Ke Nazuk Rishte,
WaQt Zalim Hai Har Ek Mod Pe Takrayega...
Logged
Pages: 1 ... 224 225 226 227 [228] 229 230 231 232 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 01:46:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer