Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 225 226 227 228 [229] 230 231 232 233 ... 273
Print
Author  (Read 132927 times)
angel4u
Guest
«Reply #3420 on: March 08, 2009, 02:02:13 PM »
Jaa Ke Phir Laut Jo Aaye Wo Zamana Kaisa,
Teri Aankhone Ye Chheda Hai Fasana Kaisa,

Aankh Sarshare Tamanna Hai Tu Wada Kar Le,
Chaal Kehti Hai Ke Ab Laut Ke Aana Kaisa,

Mujhse Kehta Hai Ke Saaye Ki Tarah Sath Hai Hum,
Yun Na Milne Ka Nikla Hai Bahana Kaisa,

Iska Shikwa To Nahi Hai, Na Mile Tum Humse,
Ranj Iska Hai Ke Tumne Hamein Jaana Kaisa,

Khud Hi Socha Tha Bahut Usne Bhi Puchha Tha Bahut,
Haal Jab Khud Hi Na Samjhe To Sunana Kaisa,

Tujhko Paane Ki Khwahish Thi So Kise Tha Malum,
Apne Hi Aap Ko Kho Baithenge Paana Kaisa...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3421 on: March 08, 2009, 02:02:58 PM »
Main Junoon Ki Devi Hoon, Maslihat Ko Kya Janu,
Jo Kabhi Na Dekho Ho Raah Aisi Chunti Hoon,

Jaanti Hoon Main Ye Bhi Khwaab Sach Nahi Hote,
Phir Bhi Kuch Haseen Sapne Raat Din Main Bunti Hoon,

Main Khird Se Anjaani, Akal Se Hoon Begani,
Chhod Kar Gulabon Ko, Khar-O-Khaas Ko Chunti Hoon,

Aayina Tu Undha Hai, Aayina Kahega Kya,
AQs Jo Bhi Kehta Hai, Guftugu Wo Sunti Hoon,

Shagufta Uske Lehje Mein Jaane Kya Tilism Hai,
Sunke Uski Baaton Ko Sar Ko Apne Dhunti Hoon...
Logged
aaina
Guest
«Reply #3422 on: March 08, 2009, 02:09:04 PM »
kia baat hai angle nice sharing.......................
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3423 on: March 08, 2009, 04:57:35 PM »
Thanks Aaina...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3424 on: March 13, 2009, 04:34:19 PM »
Meri Har Baat Ki Tardeed Karna,

Mujhi Se Bahut Ummid Karna,

Kisi TaQreeb Mein TarQ-E-TalluQ

Akele Mein Kabhi Tajdeed Karna,

Mita Kabhi Airab Sare,

Mohabbat Par Kabhi Tashdeed Karna,

Agar Usko Palatna Hi Nahi Hai,

To Phir Bekar Hai Takeed Karna,

Hamare Jaise Roz-O-Shab Guzaro,

Bahut Aasan Hai TanQeed Karna,

Kabhi Inkaar Pe Asar Zyada,

Kabhi Taied Pe Taied Karna,

Mohabbat Kar-E-La Hasil Hai Jis Mein,

Kisi Ki Mat Kabhi TaQleed Karna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3425 on: March 14, 2009, 04:17:59 PM »
Jheelein Ye Qurbat Ki Dooriyan Bhi,
Saath Reh Kar Bhi Usko Na Pana Kaisa Lagta Hai,

Qismat Mein Nahi Phir Bhi Usko Chahte Hai,
Phool Samajh Kar Kaanto Par Chalna Kaisa Lagta Hai,

Ab To Mehfil Mein Bhi Hamare Liye Tanhayi Hai,
Gam Chhupa Kar Mehfil Ko Sajana Kaisa Lagta Hai,

Mehfil Mein Doosronse Hans Hans Kar Milte Hai,
Tanhayi Mein Gam Ke Aansu Bahane Kaisa Lagta Hai,

Samjhane Par Bhi Samajhta Nahi Hai Ye Dil,
Uski Yaad Mein Raaton Ko Jagna Kaisa Lagta Hai,

Uski Berukhi Ne Itne Diye Hai Zakham Ke,
Zakham Kha Kar Bhi Muskurana Kasia Lagta Hai,

Jab Wo Hans Hans Kar Baat Kare Dusron Se,
Tab Apne Aansuon Ko Chhupana Kaisa Lagta Hai,

Use Kho Kar To Mere Paas Raha Kuch Bhi Nahi,
Phir Bhi Khud Ko Ameer Batana Kaisa Lagta Hai,

Khud Ko Anmol Samajhne Ka Tha Bada Ghamand,
Phir Bhi Bemool Bik Jaana Kaisa Lagta Hai,

Khaye Haidhoke Mohabbat Mein Itne Ke,
Phir Bhi Isko Chahna Kaisa Lagta Hai,

Malum Hai Is Deewane Ki Manzil Nahi Hai Koi,
Phir Bhi Safar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai,

Wo To Aa Kar Bhi Kab Ke Jaa Chuke Hai,
Phir Bhi Iska Intezar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3426 on: March 14, 2009, 04:18:43 PM »
Bandh Palkon Tale Tere Khwab Liye Seher Har Roz Utarti Hai,

Zeest Ka Unwan Badal Dalo Ye Khwahish Ubharti Hai,

Dil-E-Gumrah Ko Koi Awaz Na Do,

Meri Aankhon Mein Koi Tasveer Ubharti Hai,

Bas Yun Ho Ke Haath Badahun Aur Paa Lun Tujhko

Nahi Kyon Sar-E-Husat, Wasl Ki Manzil Sukerti Hai,

Mauj-E-Saba Ab Koi Raah To Dikhlaye,

Band-E-Qaba Pardon Ki Sawan Mein Nikharti Hai,

In Lafzon Ko Yunhi Girne Do Smaayat Par,

Mehsoos Ye Hota Hai Ke Taqdeer Sanwarti Hai,

Meri Deed, Teri Aanhon Se Daman Bacha Kar,

Meri Zeest Ki Har Raah Guzarti Hai,

Tujhe Paane Ka Hausla Hai Na Chhodne Ki Sakat,

Ajab Kashmakash Liye Har Subah Ye Shaam Guzarti Hai,

Main Band Kar Lun Aankhein To Phir Jabeen Hole Se,

Sir-Dil Teri Suda-E-Khushandaam Bukherti Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3427 on: March 14, 2009, 04:19:38 PM »
Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Kisi Sunsaan Sapne Mein Chhupi Khwahish Ki Hidaat Mein,
Kisi Masroofiyat Ke Mod Par,
Tanhayi Ke Sehraon Mein,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Kisi Bichhde Hue Ki Chashm-E-Purnam Ke Nazare Par,
Kisi Beete Hue Din Ki Ot Mein,
Ya Phir Tumhare Ziqr Mein Guzri Hui Shab Ke Ishare Par,
Kisi Basti Ki Baronaq Sadak Par,
Aur Kisi Dariya Kisi Veeran Jungle Ke Kinare Par,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Kabhi Sunsaan Raaston Mein,
Suhani Shaam Ho Koi,
Kahin Barish Baras Jaye,
Kahin Sehra Taras Jaye,
Kahin Kaali Ghata Utre,
Kahin Baad-E-Saba Thehre,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3428 on: March 14, 2009, 04:26:24 PM »
Apni Tanhaiyon Se Puchha Hai,

Shab-E-Hijraan Se Baat Kar Li Hai,

Mere Andar Ki Sehmi Khamoshi,

Mera Bahaar Ka Hansta Chehra Bhi,

Raat Ke Sunsanate Lamhe Bhi,

Din Ka Dasta Hua Ujala Bhi,

Zabt Ka Tootta Ye Bandhan Hai,

Sabr Ka Chhutta Ye Daman Bhi,

Uski Yaadein Bhi Kuch Isharon Mein,

Mujhko Majboor Kar Rahe Hai Sab,

Aao Sab Uske Paas Chalte Hai,

Usse Kehte Hai Kuch Dawa Kar Do,

Apni Fitrat Ko Chhod Kar Ek Pal,

Koi Waada To Tum Wafa Kar Do,

Inki Baaton Se Kuch Nahi Hoga,

Aakhri Faisla To Dilka Hai,

Dil Ye Kehta Hai Uske Milne Se,

Apni Tanhaiyan Hi Achhi Hai,

Ab Akele Mein Lag Gaya Hai Dil,

Usse Milne Humein Nahi Jana,

Uski Baatein Udas Kar Dengi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3429 on: March 14, 2009, 04:27:44 PM »
Raaste Be-Naseebon Ki Tarah Hote Hai,
Mumkin Hai Tumhe Bhatka Dein,
Meri Tarah
Man Bhi To Bhatka Hua Hoon,
Ye Shaayad Tha,
Is "HOON" Aur "THA" Ke Darmiyan Abhi Ek Gumaan Baaqi Hai,
Tumhare Dil Ke Kisi Kone Mein Oongata Hua Guman,
Jisse Aage Kitne Naseeb Phootte Hai,

Ek Khaur Mere Dil Ke Kisi Kone Mein Bhi Hai,
Apne Raaston Ka Khauf,
Ya Shayad Mere Aur
Tumhare Naseebon Ka Khauf,
Ya "YA" Aur "SHAYAD" Bhi Ajeeb Lafz Hai,
Hamare Raaston Ki Tarah...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3430 on: March 14, 2009, 04:28:50 PM »
Teri Socho Mein Teri Soch Ke Mehver Mein Kya Hai,
Tu Mujhse Sun Teri Khudhi Ki Tamanna Kya Hai,

Main Teri Rooh Mein Utra Tha Kahan Kab Kaise,
Tujhe Malum Hai Sunne Ka Bahana Kya Hai,

Main Tere Hijr Mein Sadiyan Guzaar Sakta Hoon,
Ye Chaar Din Ki Judayi Ka Nibhana Kya Hai,

Main Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakta Hoon,
Ye Suraj Chand Sitaron Ka Lutana Kya Hai,

Apni Ulfat Ke Ek Lamhe Se Nawaz Mujhe,
Us Ek Lamhe Mein Sadiyon Ka Guzar Jana Kya Hai,

Har Ek Janam Mein Musalsal Mera Haasil,
Tum Ho Tere Liye Faqat Ek Umr Lutana Kya Hai,

Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Pahuchegi,
Mujhe Zameen Ko Is Falaq Ko Hilana Kya Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3431 on: March 14, 2009, 04:30:43 PM »
Tumne Haare Hue Juwari Ko Kabhi Dekha Hai,

Apne Aap Ko Ek Hi Daav Mein Hara Hua Juwari,

Wo Ek Daav Jiske Baad Haath Mein Kuch Na Rahe,

Bisaat-E-Waqt Ke Khanon Mein Chitt Wo Aisa Pade,

Ke Baat Banana Bhi Chahe To Baat Mein Kuch Na Rahe,

Jiska Afsana Har Zuban Pe Aam Ho Jaye,

Jiski Taqdeer Har Baar Nakaam Ho Jaye,

Jo Apni Zaat Waqt Ke Hisaab Mein Girvi Rakhe,

Khud Apni Taqdeer Ke Hathon Neelam Ho Jaye,

Shauq-E-Tamasha Hai To Kisi Roz Mujhe Milne Aao,

Tumne Haare Hue Khiladi Ko Nahi Dekha Agar...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3432 on: March 14, 2009, 04:31:35 PM »
Kahan Aake Rukne The Raaste,
Kahan Mod Tha Use Bhool Jaa,
Wo Jo Mil Aya Use Yaad Rakh,
Jo Nahi Mila Use Bhool Jaa,

Wo Tere Naseeb Ki Baarishein,
Kisi Aur Chhat Pe Baras Gayi,
Dil Bekhabar Meri Baat Sun,
Use Bhool Jaa, Use Bhool Jaa,

Main To Gam Tha Tere Hi Dehaan Mein,
Teri Aas Tere Gumaan Mein,
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein,
Mere Saath Aa, Use Bhool Jaa,

Kisi Aankh Mein Nahi Hai AshQ-E-Gam,
Tere Baad Kuch Bhi Nahi Hai Kam,
Tujhe Zindagi Ne Bhula Diya,
To Bhi Muskura, Use Bhool Ja,

Kahin Chaak-E-Jaan Ka Rafoo Nahi,
Kisi Asteen Pe Lahoo Nahi,
Ke Shahid-E-Raah-E-Malaal Ka,
Na Khoon Baha, Use Bhool Ja,

Kyon Ata Hua Hai Gubaar Mein,
Zindagi Ke Fashaar Mein,
Wo Jo Darj Tha Tere Bakhat Mein,
So Wo Gaya, Use Bhool Ja,

Na Wo Aankh Hi Teri Aankh Thi,
Na Hi Wo Khwaab Tere Khwaab The,
Dil-E-Muntazir To Ye Kis Liye,
Tera Jaagna, Use Bhool Ja,

Ye Jo Raat Din Ka Hai Khel Sa,
Use Dekh, Uspe YaQeen Na Kar,
Nahi Mumkin Koi Bhi MustaQil,
Sir-E-Aayina, Use Bhool Jaa,

Jo Bisaat-E-Jaan Hi Ulat Gaya,
Wo Jo Raaste Se Hi Palat Gaya,
Use Rokne Se Hasil Kya,
Use Mat Bula, Use Bhool Ja,

To Ye Kis Liey Shab-E-Hijr Ke,
Use Har Sitare Mein Dekhna,
Wo Falak Jispe Mile The Hum,
Koi Aur Tha, Use Bhool Ja...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3433 on: March 14, 2009, 04:32:30 PM »
Khwaab Toot Jaate Hai,
Bhid Mein Zamane Ki, Haath Chhut Jaate Hai,
Dost Daar Lehjon Mein Silwatein Si Padti Hai,
Ek Zara Si Ranjish Se,
Shak Ki Zard Tehni Par Phool Badgumani Ke,
Is Tarahse Khilte Hai,
Zidnagi Se Pyaare Bhi Ajnabi Se Lagte Hai,
Gair Banke Milte Hai,
Umr Bhar Ki Chahat Ko, Asra Nahi Milta,
Maazrat Ke Lafzon Ki Roshni Nahi Milti,
Lazzat-E-Pazeerayi Phir Kabhi Nahi Milti,
Phool Rang Waadon Ki,
Manzilein Sukarti Hai,
Raah Mudne Lagti Hai,
Khwaab Toot Jaate Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3434 on: March 14, 2009, 04:38:11 PM »
Suno,
Use Keh Do,
Hum Apne Zabt Mein Kamil To Hai Lekin,
WaQt Ka Samundar Bemeher Bahut Hai,
Wo Apni SaffaQ Maujon Se Kisiko Saf Bach Nahi Nikalne Deta Hai,
Kabhi Ret Hamare Kadmon Se Khich Leta Hai,
Kabhi Bhanwar Ki Gehrayi Mein Khich Leta Hai,
So Hum Bhi Darte Hai,
Kahin Koi Alood Gerdoon,
Na Daale Khak Aankhon Mein,
Kahin Koi Laher,
Na Lipte Paanv Se Khich Daale Bhanwar Mein,
Jao Is Intezar Ko Thoda Mukhtasir Kar Do,
Suno Use Keh Do,
Hum Apne Zabt Mein Kamil To Hai Lekin...
Logged
Pages: 1 ... 225 226 227 228 [229] 230 231 232 233 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 04, 2025, 11:43:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]

by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.177 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer