Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 273
Print
Author  (Read 131142 times)
angel4u
Guest
«Reply #345 on: February 14, 2007, 06:41:26 PM »

Tumse Pyar Hua
Yaadon Mein Basera Tera
Tu Hi To Kaal Ka Savera Mera
Zingagi Tumharein Saath Jeene Hai
Nahin To Issi Aas Mein Mar Jana Bhi Hai
Suraj Jab Dhalta Hai
Udaas Main Ho Jantin Hun
Meri Kahani Ka Ujala Ho Tum
Dhal Na Jaana Meri Zindagi Se Yun
Sona Bhi Duswaar Huya Mera
Khwaabbon Mein Kyun Aatein Ho Tum
Hakeekat Ban Jaaoo Meri Abb
Aur Bahhon Mein Bhar Lo Tum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #346 on: February 14, 2007, 06:45:46 PM »

Jab Seena Gam Se Bojhal Ho,
Aur Yaad Kisiki Aati Ho,
Tab Kamre Mein Band Ho Jana,
Aur Chupke Chupke Ro Lena,
Jab Aankhein Baaghi Ho Jaye
Aur Yaad Mein Meri Bhar Aaye,
Phir Khudko Dhoka Mat Dena,
Aur Chupke Chupke Ro Lena,
Jab Palkein Karb Se Moondi Ho,
Aur Sab Samjhein Tum Sote Ho,
Tab Muh Pe Takiya Rakh Lena
Aur Chupke Chupke Ro Lena,
Ye Duniya Zalim Duniya Hai,
Ye Baat Bahut Failayegi
Tum Samne Sabke Chup Rehna,
Aur Chupke Chupke Ro Lena,
Jab Barish Chehra Dho Dale
Aur AshQ Bhi Boondein Lagti Ho,
Wo Lamha Hargiz Mat Khona,
Aur Chupke Chupke Ro Lena...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #347 on: February 14, 2007, 06:47:14 PM »

Banna Sanwarna Achha Nahi Lagta,
Be-Sabab Hasna Achha Nahi Lagta,
Chand To Hai Be-Hajab,
Har Aankh Mein Utarna Achha Nahi Lagta,
Tum Hi Aao To Kuch Baat Bane,
Ab Kisi Aur Ka Saamna Achha Nahi Lagta,
Sabah Ne Kaha Mausan Me Angdayi Li Hai,
Tum Bin Mausam Suhana Achha Nahi Lagta,
Paimane Be-Asar Hai Teri Aankhon Ke Samne,
SaaQi Ke Haathse Pina Achha Nai Lagta,
Khazaan Parasti Mein Guzri Hai Umar Sari
Ab In Baharo Se Ulajhna Achha Nahi Lagta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #348 on: February 14, 2007, 06:52:33 PM »

Tum Mujhe Yaad To Nahi Aate
Haan Mujhe Yaad To Nahi Aate,

Haan Magar Jab Bhi Sans Leta Hoon,
Khushbu Ki Tarah Saanson Mein
Roz Tum Bikharte Ho
Rooh Mein Har Dam Utarte Ho,

Tum Mujhe Yaad To Nahi Aate
Jab Kadi Dopahar Mein Sooraj Ka
Aks Mere Badan Pe Padta Hai
Saaya Ban Kar Sath Sath Chalte Ho,

Tum Mujhe Yaad To Nahi Aate,
Raat Ki Zulfein Jab Bikharti Hai,
Sapna Ban Kar
Meri Sooni Aankhon Ki
Roshni Bhi Bante Ho
Har Ghadi Mere Sath Rehte Ho

To Tumhe Kaise Yaad Kar Lun Main,
Bhool Jaun To Yaad Kar Lunga
Tum Mujhe Yaad To Nahi Aate
Haan Mujhe Yaad To Nahi Aate...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #349 on: February 14, 2007, 06:54:14 PM »

Aankh Mein Koi Sitara Ho Zaroori To Nahi,
Pyaar Mein Koi Khush Raha Ho Zaroori To Nahi,

Ye Hakikat Hai Ke Mujhe Tumse Mohabbat Hai,
Par Tere Saath Guzara Ho Zaroori To Nahi,

Ye Dariche Se Jo Phoolon Ki Mehek Aati Hai,
Tere Aane Ka Ishara Ho Zaroori To Nahi,

Doobte WaQt Nazar Uspe Bhi To Pad Sakti Hai
Samne Mere Kinara Ho Zaroori To Nahi,

Kam Nahi Ye Bhi Ke Hai Shaher Hamara Lekin,
Shaher Mein Koi Hamara Ho Ye Zaroori To Nahi,

Chuk Sakta Hai Uska Nishaana Bhi Par,
Teer Usne Mujhe Maara Ho Ye Zaroori To Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #350 on: February 14, 2007, 06:56:07 PM »

Ek Dalat Jise Na Baantein Hum,
Dard Ho Aur Sirf Apna Ho,

Dhoop Apne Wajood Se Faile
Chhanv Dene Ko Apna Saya Ho,

Dushmani Ho To Zaat Se Apni,
Apni Hi Zaat Pe Bharosa Ho,

Uski Aankhon Mein Raat Utre Jab,
Sirf Mera Chirag Jalta Ho,

Koi Gohar Shannaas Ho Aisa,
Gehre Paani Se Jo Na Darta Ho,

Ghar Ke Aangan Mein Ek Darwaza
Sirf Bahar Ki Simt Khulta Ho,

Wo Bhi Meri Talash Mein Nikle,
Aur Meri Tarah Akela Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #351 on: February 14, 2007, 07:07:15 PM »

Jab Kabhi Tum Bikhar Kar Rone Lago,
Aur Dil Gam Aashna Hone Lage,
To Sirf........... Itna Yaad Rakhna,
Aankh Heere Ki Tarah Hai,
Aur Heere............
Yun Roya Nahi Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #352 on: February 14, 2007, 07:08:58 PM »

Main Saahil Pe Likhi Koi Ibaarat Nahi
Jo Lehron Se Mit Jaati Hai,
Main Baarish Ki Barasti Boond Nahi,
Jo Baras Kar Tham Jaati Hai,
Main Khwab Nahi,
Jise Dekha Aur Bhula Diya,
Main Shama Nahi
Jise Phoonka Aur Bujha Diya,
Main Chand Bhi Nahi
Jo Raat Ke Baad Dhal Jaye,
Main To Wo Ehsaas Hoon
Jo Tujh Mein Lahoo Ban Kar Gardish Karein,
Main To Wo Rang Hoon,
Jo Tere Dilpe Chade To Kabhi Na Mite,
Khwab, Ibarat, Hawa Ki Tarah Chand,
Boond Shama Ki Tarah,
Mere Mitne Ka Sawal Nahi,
Kyon Ke Main Mohabbat Hoon,
Aur Mohabbat Ko Koi Zawaal Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #353 on: February 14, 2007, 07:12:45 PM »

Jaane Kab Ayega Lab-E-Azad Ka Mausam,
Jaane Kab Khatam Hoga Ye Hasrat-O-Yass Ka Mausam,
Jaane Kab Band Hongi Ye Nafrat Ki Hawayein,
Jaane Kab Khatam Hongi Bagair Kisi Khata Ki Sazayein,
Jaane Kab Uski Aankhon Mein Mohabbat Ke Deep Jalenge,
Jaane Kab Hum Usko Bagair Kisi Bahane Milenge,
Jaane Kab Is Faza Mein Se Aansu Ki Nami Khatam Hogi,
Jaane Kab Sab Ke Samne Hum Usko Apna Keh Sakenge,
Jaane Kab Tak Wo Mere Dil-O-Dimag Par Uski Zaat Ka Qabza Rahega,
Jaane Kab Tak Wo Meri Saanson Mein Basta Rahega,
Jaane Kab Tak Ye Saanso Ki Dor Rahegi
Jaane Kab Tak Ye Zindagi Aur Rahegi...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #354 on: February 15, 2007, 04:46:50 AM »
Quote from: "angel4u"
thanks pooja ji, actually ye meri creation nahi hia meri collection hai Usual Smile
plz aap hamein ji na kahiye sad5
THanks pasand karne ke liye,

haan majid lage hi hue hai :D:D:D


Good collection, thanks for sharing with us...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #355 on: February 15, 2007, 04:56:13 PM »
Thanks pooja ji...


Is Chand Ko Kya Hua Hai,
Kyon Ye Itna Murjhaya Hua Hai,
Iski Chandni Mein Itni Sogwariyat Kyon Hai,
Kya Isko Bhi Dukh Hai,
Apni Chandi Se Juda Hone Ka,
Haan Sahyad Iski Pehchan Chandi Se Hai,
Dukh Kis Tarah Na Ho Isko,
Har Raat Ke Baad Isko Bhi To Juda Hona Padta Hai,
Apna Aap Khona Padta Hai,
Kyon Ke Chandni Ke Bagair Iski Koi Pehchan Nahi,
Ye Sirf Ek Pathar Ho Jata Hai,
To Kya Tere Baad
Meri Bhi Koi Pehchan Nahi Hogi,
Mujhe Bhi Pathar Hona Padega,
Chand Ko To Uski Chandni Mil Jati Hai
Har Raat
Lekin Mere Nasib Mein To Shayad
Chand Ghadiyon Ka Bhi Milan Nahi Hai,
To Kya Mujhe Apna Aap Khona Padega
Mujhe Bhi Patthar Hona Padega???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #356 on: February 15, 2007, 05:00:33 PM »

Ya Rab! Gam-E-Hijraan Mein Itna To Kiya Hota
Jo Haath Jigar Pe Hai Wo Dast-E-Dua Hota,

Ek IshQ Ka Gam Aafat Aur Us Pe Ye Dil Aafat,
Ya Gam Na Diya Hota Ya Dil Na Diya Hota,

Gairon Se Kaha Tumne Gairon Se Suna Tumne,
Kuch Humse Kaha Hota Kuch Humse Suna Hota,

Ummid To Bandh Jaati Taskin To Ho Jaati,
Wada Na Wafa Karate Wada To Kya Hota,

Nakaam-E-Tamanna Dil Is Soch Mein Rehta Hai,
Yun Hota To Kya Hota, Yun Hota To Kya Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #357 on: February 15, 2007, 05:02:25 PM »

Tumko Hum Dil Mein Basa Lenge Tum Aao To Sahi,
Saari Duniya Se Chhupa Lenge Tum Aao To Sahi,

Ek Wada Karo Ab Humse Na Bichhdoge Kabhi,
Naaz Hum Saare Utha Lenge Tum Aao To Sahi,

Bewafa Bhi Ho Sitamgar Bhi Jafa Peshaa Bhi,
Hum Khuda Tum Ko Bana Lenge Tum Aao To Sahi,

Raah Taareek Hai Aur Door Hai Manzil Lekin,
Dard Ki Shamayein Jala Lenge Tum Aao To Sahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #358 on: February 15, 2007, 05:04:23 PM »

Jise Aks Aks Ganwa Diya
Kabhi Rubaru Thi Mere Liye
Jise Naksh Naksh Bujha Diya,
Kabhi Chaar Soo Thi Mere Liye
Jo Had-E-Hawa Se Bhi Door Hai,
Kabhi Koo-Ba-Koo Thi Mere Liye,
Jo Tapish Hai Mauj-E-Saraab Ki,
Kabhi Aab Jo Thi Mere Liye,
Jise "Aap" Likhta Hoon Khat Mein,
Kabhi Sirf "Tu" Thi Mere Liye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #359 on: February 15, 2007, 05:09:00 PM »

Shaam Ke Failte Andhere Mein,
Thaki Thaki Si Fiza Ke Lamhon Mein,
Hole Hole Ubharte Chaand Ke Gird,
Chamakti Chandni Ban Kar Aksar
Tera Chehra Nigahon Ke Rubaru Aata Hai,
Aur Phir Aise Mein Bahut Paas Kahin
Teri Masum Hansi Mujhko Sunayi Deti Hai,
Kaano Mein Gunj Uthti Hai Jal Tarang Jaise,
Khil Uthta Hai Har Ek Manzar Jaise,
Mehek Uthti Hai Thaki Hui Si Fiza,
Hole Hole Chalne Lagti Hai Tand-O-Tez Hawa,
Jab Teri Khushbu Liye Ata Hai Koi Bhatakta Jhonka,
UfaQ Ke Paar Chamakta Hua Chand,
Kisi Khayalse Sharma Ke Simat Jata Hai,
Kisi Awara Badal Ki Ott Mein Chhup Jata Hai,
Main Aankhein Moonde Hue,
Door Khayalon Mein Kahin Kho Jati Hoon,
Apni Zaat Se Hat Kar, Main Tum Ho Jati Hoon,
Magar Aise Mein Na Jane Kahan Se,
Tanhayi Apni Bharpoor Sakhtiyan Lekar,
Shaam Ke Failte Andhere Mein,
Ghata Si Ban Ke Chha Jaati Hai,
Aur Phir Us Par Teri Yaad Sitam Dhaati Hai,
Har Guzarte Pal Mujhe Tadpati Hai,
Is Qarb Ke Aalam Mein Baahein Khole Hue,
Main Apni Khamosh Zuban Se Tujhko Sada Deti Hoon,
Sochta Hoon Ke Tum Daude Chale Aoge,
Zindagi Bhar Ke Liye Mujhe Baahon Mein Samet Loge,
Phir HaQeeQat Ehsaas Ki Dehliz Par Dastak Dekar,
Mujh Par Ek Sach Ko Ayaan Karti Hai,
Ke Aye Deewani,
Tu Dasht-E-Zeest Mein Ab Bhi Tanha Hai,
Apne Badhte Kadam Rok Le To Achha Hai,
Tu Khud Ko Ab Bhi Tok Le To Achha Hai,
Warna.........
Tu Dasht-E-Zeest Mein Kahin Kho Jayegi,
Apne Armaano Ki Aag Mein Jal Jayegi,
Khaak Ban Jayega,
Hawaon Mein Bikhar Jayegi,
Magar Kya Karun, Ke Meri Ek Uljhan Hai,
Main Apni Zaat Ki Haakim Hi Nahi,
Mere Wajood Par Tu Qabiz Hai,
Aur Meri Rooh Mein Tu Shaamil Hai,
Ye Mera Dil Tere Naam Par Dhadakta Hai,
Dekhti Hoon To Sirf Tum Hi Tum Ho,
Sochti Hoon To Sirf Tum Hi Tum Ho,
Khud Ko Kho Hi Chuki Hoon Magar Dilbar Mere,
Main Ab Tujhko Khona Nahi Seh Paungi,
Tum Bin Jeene Ka Tasavvur Hi Nahi,
Tum Se Bichhdi To Shayad Yunhi Mar Jaungi...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 12:44:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer