Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 228 229 230 231 [232] 233 234 235 236 ... 273
Print
Author  (Read 132908 times)
angel4u
Guest
«Reply #3465 on: March 21, 2009, 02:19:48 PM »
Puchhte Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai,
Raat Khairat Ki SadQe Ki Seher Hoti Hai,

Saans Bhar Aane Ko Jeena Nahi Kehte Yaa Rab,
Dil Hi Dukhta Hai Na Ab Aasteen Tar Hoti Hai,

Jaise Jaagi Hui Aankhon Mein Chubhein Kanch Ke Khwab,
Raat Is Tarah Deewanon Ki Basar Hoti Hai,

Gam Hi Dushman Hai Mera Gam Hi Ko Dil Dhundta Hai,
Ek Lamhe Ki Judayi Bhi Agar Hoti Hai,

Ek Markaz Ki Talash Ek Bhatakti Khushbu,
Kabhi Manzil Kabhi Tamheed-E-Safar Hoti Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3466 on: March 21, 2009, 02:20:47 PM »
Mere Zakhm Puchhte Hai,
Mere Dost Kyon Khafa Hai,
Kayi Dino Se Koi Khankar Koi Neza Koi Teer
Na Hua Mere MuQaddar,
Koi Bhool Koi Gaflat,
Koi Taza Jurm Mera,
Koi Na-Qubool Lehja Ke,
Zuban Ki Koi Lakant, Na Koi Sunane Aaya,
Na Koi Kahin Malamat, Na Lagi Koi Aadat,
Mere Zakhm Puchhte Hai,
Mere Dost Kyon Khafa Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3467 on: March 21, 2009, 06:05:54 PM »

Haadsa Is Tarah Guzarte Hai,
Log Jeete Hai Log Marte Hai,

Kaise Hum Log Hai Aapas Mein,
Dilka Haal Sunane Se Darte Hai,

Jhuth Bole To Sach Lagta Hai,
Aisa Lafzo Mein Rang Bharte Hai,

Mujhpar Kyon Hai Itna Bharosa Rafay,
Chaandni Raath Mainooar Tae Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3468 on: March 21, 2009, 06:14:40 PM »

Ana Pe Chot Pade Bhi To Kaun Dekhta Hai,
Dhuan Sa Dil Se Uthe Bhi To Kaun Dekhta Hai,

Mere Liye Kabhi Matti Pe Sardiyon Ki Hawa,
Tumhara Naam Likhe Bhi To Kaun Dekhta Hai,

Ujjad Ghar Ke Kisi Be-Sada Dareeche Mein,
Koi Charag Jale Bhi To Kaun Dekhta Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3469 on: March 21, 2009, 06:15:10 PM »
Kuch Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi Roye The,
Kuch Zeher Mein Bujha Tha Ehbaab Ka Dilaasa,

Phir Yun Hua Ke Sawan Aankhon Mein Aa Base The,
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aabla Sa,

Ab Sach Kahein To Yaaron Humko Khabar Nahi Thi,
Ban Jayega Qayamat Ek Waqiya Zara Sa,

Tewar The Berukhi Ke Andaz Dosti Ke,
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa,

Hum Dasht The Ke Dariya Hum Zeher The Ke Amrat,
Nahaq Tha Zo'am Hum Jab Wo Nahi Tha Pyaasa,

Humne Bhi Usko Dekha Kal Shaam Ittefaqan,
Apni Bhi Haal Hai Ab Logon 'Faraz' Ka Sa...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3470 on: March 21, 2009, 06:15:54 PM »
Jaane Kis Zo'am Mein Maqtal Ko Sajaye Tum Ho,
Mujhko Kya Qatl Karoge Mere Saaye Tum Ho,

Mera Pindaar Badha Hai Isi Mayyar Ke Saath,
Jis Raoonat Se Mujhe Daar Pe Laaye Tum Ho,

Is Khujalat Ke Tabassum Se Ayyan Hai Yaaron,
Aasteeno Mein Wo Khanjar Chhupaye Tum Ho,

Dost Ka Lutf To Ehsaan Hai Jab Ho Jaye,
Meherbaan Phir Bhi Badi Der Mein Aaye Tum Ho,

Dast Basta-O-Kamer Basta-O-Lab Basta Hi Sahi,
Ispe Khush Ho Ke Darbar Mein Aaye Tum Ho,

Haaye Wo Subah-E-Tamanna Ke Na Dekhoge Faraz,
Haaye In Shaamon Ki Qismat Ke Jalaye Tum Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3471 on: March 22, 2009, 05:27:59 AM »
Bahut Takhair Se Lekin,
Khula Hai Bhed Khud Par Bhi,
Ke Main Ab Tak
Mohabbat Jaan Kar Jis
Jazba Dayrinaa Ko Apne Lahoo Mein Sinchti Aayi,
Wo Jiski Saat-E-Sad Meherbaan Hai Zindagi Ki Sharti Thehri,
FaQt Ki Shaiba Hi Tha Mohabbat Ka,
Yunhi Aadat Thi Har Raaste Par Uske Sath Chalne Ki,
Wagarna TarQ-E-Khwahish Par,
Ye Dil Thoda Sa To Dukhta,
Zara Si Aankh Namm Hoti...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3472 on: March 23, 2009, 04:49:55 PM »
Kahin Par Hai Gam Samati Hui,
Kahin Par Hai Khushiyan Banti Hui,
Kahin Par Pyaar Ke Geet Gungunati Hui,
Kabhi Par Hai Samundar Mein Dubti Hui,
Kabhi Par Hai Kisi Andekhe Sapno Ko Sajati Hui,
Kabhi Par Hai Ek Pyaase Banjar Zameen Bani Hui,
Kabhi Par Hai Tanhaiyon Ko Apne Sang Layi Hui,
Kabhi Par Hai Chand Sitaron Ki Khwahish Karti Hui,
Kahin Par Saaye Se Bhi Darti Hui,
Kahin Par Sajdon Mein Giri Hui,
Magar Aye Duniya Walon,
Ye Zindagi Bhi Phir Bewafa Hi Hai,
Ye Tanha Hai Aur Tanha Hi Rahegi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3473 on: March 23, 2009, 04:50:19 PM »
Kabhi Hawa
Tere Aane Ka Pata Deti Hai,
Tu Kahan Se Guzri,
Teri Khushboo Bata Deti Hai,
Teri Ek Muskurahat
Mere Dil Mein
Kayi Deep Jala Deti Hai,
Teri Baatein,
Teri Shokh Baatein,
Aur Adayein,
Meri Deewangi Ko
Kuch Aur Hawa Deti Hai,
Ek Jaan Do Qalib Ki Soorat,
Ek Pal Ki Bhi
Judayi Ki Wo Tadap,
Kuch Pal Ki Narazgi,
Phir Manane Ki Lagan,
Wo Ek Dooje Ke Liye,
Zamane Se Takra Jaane Ka Junoon,
Phir.......WaQt Ki Aandhi Ne
Jazbon Pe
Kuch Aisi Dhool Dali,
Ke Aaj To
Sheher Hi Chhod Gayi,
Aur.......
"Mujhe Khabar Tak Na Hui"...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3474 on: March 23, 2009, 04:50:38 PM »
Dilki Siyaahiyon Mein Tujhe Dhundta Hua,
Palkon Pe Aa Ruka Hai Sitaron Ka Qaafila,

Khalwat Mein Muddaton Main Jise Pujta Raha,
Dekha Qareeb Se To Wo Ek Sang-E-Surkh Tha,

Kuch Is Tarah Sabaa Se Kahi Teri Dastan,
Har Phool Muskura Ke Mujhe Dekhne Laga,

Lao Kahin Se Dhundhke Yaadonki Roshni,
TaareeQ Ho Gaya Hai Mohabbat Ka Raasta,

Haan Meri Zindagi Ki Haraarat Inhi Se Hai,
Tutega Kis Tarah Teri Yaadon Ka Silsila,

Jaise Koi Chirag Andhere Mein Jal Uthe,
Dilke Qareeb Aake Koi Yun Theher Gaya,

Daaman Mein Aansuon Ke Sharare Liye Hue,
Aankhein Mana Rahi Hai Shab-E-Gam Ka Ratjaga,

Jisne Bade Khulus Se Thukra Diya Mujhe,
IQbal Sochta Hoon Ke Wo Shakhs Kaun Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3475 on: March 23, 2009, 04:51:06 PM »
Kuch Aise Ghaav Bhi Hote Hai,
Jinhe Zakhmi Aap Nahi Dhote,
Bin Roye Hue Aansuon Ki Tarah,
Seene Mein Chhupa Ke Rakhte Hai,
Aur Saari Umr Nahi Rote,

Neendein Bhi Muhaiya Hoti Hai,
Sapne Bhi Door Nahi Hote,
Kyon Phir Bhi Jagate Rehte Hai,
Kyon Saari Raat Nahi Sote,

Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Ye Ahl-E-Wafa Kis Aag Mein Jalate Rehte Hai,
Kyon Bujh Ke Raakh Nahi Hote...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3476 on: March 23, 2009, 04:51:40 PM »
Guftugu Ke Lamhon Mein,
Dekh Hi Nahi Paate,
Hum Tumhare Chehre Ko,
Tum Hamari Aankhon Ko,
Aaj Aisa Karte Hai,
Chasm-O-Lab Ko Padhte Hai,
Baat Chhod Dete Hai,

Jaane Kya Lamha Hoga,
Jab Ye Haath Haathon Se,
Gar Kabhi Juda Hoga,
Aaj Aisa Karte Hai,
Zabt-E-Jaan Parakhte Hai,
Haath Chhod Dete Hai,

Kash Koi Samjha De,
Log Kis Tarah Dilki,
Manzilein Alag Kar Ke,
Sath Chhod Dete Hai,
Aaj Aisa Karte Hai,
Besabab Bikharte Hai,
Zaat Tod Dete Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3477 on: March 23, 2009, 04:56:26 PM »
Mere Ehsaas Ko Koi Naam Do,
Mere Roop Roop Ko Sanwar Do,
Chahe Nafraton Ki Bheed Do,
Chahe Mohabbaton Ki Mehkaar Do,
Wohi Zindagi, Wohi Taazgee,
Mere Ang Ang Utaar Do,
Meri Umar Bhar Ki Hai Iltija,
Mujhe Chahaton Se Nikhar Do,
Mere Humsafar, Mere Dilnasheen,
Sattrang Si Bahar Do,
Ban Kar Safeer Mohabbaton Ke,
Mujhko Tum Aitbaar Do...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3478 on: March 23, 2009, 05:03:04 PM »
Dushman Ko Bhi Seene Se Lagana Nahi Bhule,
Hum Apne Buzurgon Ka Zamana Nahi Bhule,

Tum Aankhon Ki Barsaat Bichhaye Hue Rakhna,
Kuch Log Abhi Aag Lagaana Nahi Bhule,

Ye Baat Alag, Hath Kalam Ho Gaye Apne,
Hum Aapki Tasveer Banana Nahi Bhule,

Ek Umr Hui Main To Hansi Bhul Chuka Hoon,
Tum Ab Bhi Mere Dilko Dukhana Nahi Bhule...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3479 on: March 23, 2009, 05:03:33 PM »
Jaa Ke Phir Laut Jo Aaye Wo Zamana Kaisa,
Teri Aankhone Ye Chheda Hai Fasana Kaisa,

Aankh Sarshare Tamanna Hai Tu Wada Kar Le,
Chaal Kehti Hai Ke Ab Laut Ke Aana Kaisa,

Mujhse Kehta Hai Ke Saaye Ki Tarah Sath Hai Hum,
Yun Na Milne Ka Nikla Hai Bahana Kaisa,

Iska Shikwa To Nahi Hai, Na Mile Tum Humse,
Ranj Iska Hai Ke Tumne Hamein Jaana Kaisa,

Khud Hi Socha Tha Bahut Usne Bhi Puchha Tha Bahut,
Haal Jab Khud Hi Na Samjhe To Sunana Kaisa,

Tujhko Paane Ki Khwahish Thi So Kise Tha Malum,
Apne Hi Aap Ko Kho Baithenge Paana Kaisa...


Wah Wah Wah!!! Bahut Bahut Khoob.. Applause Applause Applause
Thakyou So Much Angel..
Logged
Pages: 1 ... 228 229 230 231 [232] 233 234 235 236 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 02, 2025, 04:25:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer