Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 230 231 232 233 [234] 235 236 237 238 ... 273
Print
Author  (Read 131177 times)
vikas2210
Guest
«Reply #3495 on: March 26, 2009, 04:21:59 AM »
Chura to liya tune zamane ki har khushi ko mere liye,
inhe palkon pe ashq banake sajaya kyon mere liye,
muskurahatein waise bhi kam hai zindagi mein dost,
apni haseen si muskaan ko kyon ganwaya mere liye...


Nice one angel......

muskan akele mere honton pe saj sakti nahi
dost mera ho udas palak meri sukh sakti nahi
ek baar keh de tujhe koi gam to nahi mere dost
phir dekh baagon se bahaar ja sakti nahi....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3496 on: March 27, 2009, 02:32:40 PM »
Nice one angel......

muskan akele mere honton pe saj sakti nahi
dost mera ho udas palak meri sukh sakti nahi
ek baar keh de tujhe koi gam to nahi mere dost
phir dekh baagon se bahaar ja sakti nahi....

apne gamon ko aajkal hum kisi par zaahir nahi karte,
kho jaye na hansi kisiki, hum ashq dikhaya nahi karte,

khush hi hia hum,hamein kya gam jo muskurata hai tu,
teri khushi ko apni khushi se hum alag samjha nahi karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3497 on: March 27, 2009, 05:56:18 PM »
Gir Jaaye Zameen Par To Sabhale Nahi Jaate,
Bazar Mein Dukh Dard Uchhale Nahi Jaate,

Aankhon Se Nikalte Ho Magar Dehaan Mein Rahna,
Tum Aise Kabhi Dilse Nikaale Nahi Jaate,

Ab Mujhse In Aankhon Ki Hifazat Nahi Hoti,
Ab Mujhse Tere Khwaab Sambhale Nahi Jaate,

Jaate Nahi Hum Sehrao Mein Ab IshQ-E-Girifta,
Jab Tak Dil-E-Majnoo Ki Dua Le Nahi Jaate,

Jungle Ke Ye Paudhe Hai Ise Chhod Do MOHSIN,
Gam Aap Jawan Hote Hai Paale Nahi Jaate...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3498 on: March 27, 2009, 05:57:54 PM »
Samjha Tha Ke Tujh Bin Seher Bhi Aayegi,
Shabnam Bhi Hogi Gul Pe, Bulbul Bhi Gaayegi,
Dinko Sukoon Hoga, Shab Muskurayegi,
Bhatak Bhatak Ke Meri Rooh Sambhal Bhi Jayegi,
Daudega WaQt Zakhm-E-Hayat Bharne Ko,
Aur Dard-E-Hayat Ke Baad Rahat Bhi Aayegi,
Yun Dard-E-Jahan Mere Man Ko Qaboo Karega,
Ye Mere Junoon Ko Teri Raah Bhul Jayegi,
Aur Yunhi Wehshat Zada Zindan-E-Hasrat Se,
Meri Hayat Chupke Wapis Laut Jaayegi,

Magar Wo Ek Wehem Tha Khwab-O-Khayal Ka,
Ke Jahan Misl-E-Bahar Nahi Tere Wajood Se,
Jisko Teri Yaad Ke Khumare Ne Mara,
Josh-O-Junoon Mein TaQat-E-Yass Ne Mara,
Ek Neem Sa Khayal Tha Tujh Bin Main Rahunga,
Jisko Tere IshQ Ke Jalal Ne Maara,
Ab Na Tagaful Na Mujhko Hijr Ke Manzoor,
Tujhko Main Manzoor, Ya Maut Mujhe Manzoor...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3499 on: March 27, 2009, 05:59:12 PM »
Mujhe Dariya Nahi Likhna, Mujhe Sehra Nahi Likhna,
Tasalsul Se Safar Mein Hoon Mujhe Thehra Nahi Likhna,

Purane Rabton Ki Rakh Ab Tak Dil Mein BaaQi Hai,
Meri Jalti Hatheli Par Naya Waada Nahi Likhna,

Ana Se Jeet Kar Usko Agar Jo Maine Khoya Hai,
Mera Noha Nahi Likhna Mera Nagma Nahi Likhna,

Bisat-E-Zindagi Ki Aakhri Sarhad Pe Khada Hoon,
Mujhe Fateh Nahi Likhna, Mujhe Muhra Nahi Likhna,

Tumhari Aankh Mein Gar Main Kabhi Chup Chap Jal Jaun,
Tum Apni Aankhon Mein Lekin Mera Sadma Nahi Likhna,

Gawahi Apne Dilse Lo Tumhara Dil Kya Kehta Hai,
Mujhe Jhutha Nahi Likhna, Mujhe Sacha Nahi Likhna,

Main Uski Yaadm Ein Gum Ho Ke Apne Aap Mein Gum Hoon,
Mujhe Mehfil Nahi Likhna, Mujhe Tanha Nahi Likhna,

Main Apne Lafzon Se Shohrat Tumhe De Jaunga Ek Din,
Mujhe Mashhoor Na Karna Mera Charcha Nahi Likhna,

Ye Na Ho Tum Kabhi Usko Mitana Chaho, Na Mite,
Mujhe Apna Samajh Lena Magar Apna Nahi Likhna,

Meir Aankhon Mein Baatein Hai Magar Chehre Pe Gehri Chup,
Meri Aankhein To Likh Dena Mera Chehra Nahi Likhna,

Kahin Aisa Na Ho Meri Kasak Us Dil Mein Reh Jaye,
Mera Dukh Dard Likh Dena Magar Gehra Nahi Likhna...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3500 on: March 27, 2009, 06:30:35 PM »
Good collection Angel!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3501 on: March 27, 2009, 06:33:12 PM »
Thanks di...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3502 on: March 28, 2009, 01:07:50 AM »
Good collection Angel Ji
Logged
Roja
Guest
«Reply #3503 on: March 28, 2009, 02:39:46 AM »
Mujhe Dariya Nahi Likhna, Mujhe Sehra Nahi Likhna,
Tasalsul Se Safar Mein Hoon Mujhe Thehra Nahi Likhna,

Purane Rabton Ki Rakh Ab Tak Dil Mein BaaQi Hai,
Meri Jalti Hatheli Par Naya Waada Nahi Likhna,

Ana Se Jeet Kar Usko Agar Jo Maine Khoya Hai,
Mera Noha Nahi Likhna Mera Nagma Nahi Likhna,

Bisat-E-Zindagi Ki Aakhri Sarhad Pe Khada Hoon,
Mujhe Fateh Nahi Likhna, Mujhe Muhra Nahi Likhna,

Tumhari Aankh Mein Gar Main Kabhi Chup Chap Jal Jaun,
Tum Apni Aankhon Mein Lekin Mera Sadma Nahi Likhna,

Gawahi Apne Dilse Lo Tumhara Dil Kya Kehta Hai,
Mujhe Jhutha Nahi Likhna, Mujhe Sacha Nahi Likhna,

Main Uski Yaadm Ein Gum Ho Ke Apne Aap Mein Gum Hoon,
Mujhe Mehfil Nahi Likhna, Mujhe Tanha Nahi Likhna,

Main Apne Lafzon Se Shohrat Tumhe De Jaunga Ek Din,
Mujhe Mashhoor Na Karna Mera Charcha Nahi Likhna,

Ye Na Ho Tum Kabhi Usko Mitana Chaho, Na Mite,
Mujhe Apna Samajh Lena Magar Apna Nahi Likhna,

Meir Aankhon Mein Baatein Hai Magar Chehre Pe Gehri Chup,
Meri Aankhein To Likh Dena Mera Chehra Nahi Likhna,

Kahin Aisa Na Ho Meri Kasak Us Dil Mein Reh Jaye,
Mera Dukh Dard Likh Dena Magar Gehra Nahi Likhna...


Wah wah Superb... collections..dear Hasina  love9
Keep sharing  Thumbs UP
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3504 on: March 28, 2009, 02:35:06 PM »
Mujhe Tumse IshQ Zaroor Hai,
Is Ada Se Bhi Ho Main Aashna,
Tujhe Itna Jis Pe Guroor Hai,
Main Jiyunga Tere Bagair Bhi,

Mujhe Zindagi Ka Shauor Hai,
Jo Samajh Liya Tujhe Bewafa,
To Phir Is Mein Teri Bhi Kya Khata,
Ye Khalal Hai Mere Dimaag Ka,
Ye Meri Nazar Ka Kasoor Hai,

Main Nikal Ke Bhi Tere Daam Se,
Na Girunga Apne MaQaam Se,
Main Qateel Jo Ru-E-Sitam Sahi,
Mujhe Tumse IshQ Zaroor Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3505 on: March 28, 2009, 02:36:10 PM »
Itni Muddat Baad Mile Ho,
Kin Socho Mein Gum Rehte Ho,

Tez Hawa Ne Mujhse Puchha,
Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho,

Kaunsi Baat Hai Tum Mein Aisi,
Itne Achhe Kyon Lagte Ho,

Humse Na Puchho Hijr Ke Kisse,
Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3506 on: March 28, 2009, 02:36:51 PM »
Hamara Kya Hai Ke Hum To Chirag-E-Shab Ki Tarah,
Agar Jale Bhi To Bas Itni Roshni Hogi,
Ke Jaise Tund Andheron Ki Raah Mein Jugnu,
Zara Si Der Ko Chamke, Chamak Ke Kho Jaye,
Phir Is Ke Baad Kisiko Na Kuch Sujhayi De,
N Ashab Kate Na Surag-E-Seher Dikhayi De,
Hamara Kya Hai Ke Hum To Paas-E-Gubaar-E-Safar,
Agar Chale Bhi To Bas Itni Raah Tay Hogi,
Ke Tez Hawaon Ki Zard Maail NaQsh-E-Qadam,
Zara Si Der Ko Ubhre Ubhar Ke Mit Jaye,
Phir Uske Baad Na Rasta Na Reh Guzar Mile,
Hadd-E-Nigaah Talak Dasht-E-Bekinar Mile,
Hamari Simt Na Dekho Ke Koi Der Mein Hum,
Qabila-E-Dil-O-Jaan Juda Hone Wala Hai,
Base Basaye Hue Sheher Apni Aankhon Ke,
Misaal-E-Khaana-E-Veeran Ujadne Wale Hai,
Hawa Ka Shor Ye Hi Hai To Dekhte Rehna,
Hamari Umar Ke Khaime Ukhadne Wale Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3507 on: March 28, 2009, 02:37:17 PM »
Teri Ummid Tera Intezaar Jab Se Hai,
Na Shab Ko Dinse Shikayat Na Dinko Shab Se Hai,

Kisika Dard Ho Karte Hai Tere Naam RaQam,
Gila Hai Jo Bhi Kisi Se Teri Sabab Se Hai,

Hua Hai Jab Se Dil-E-Naasabur BeQabu,
Kalam Tujhse Nazar Ko Badi Adab Se Hai,

Agar Sharar Hai To Bhadke Jo Phool Hai To Khile,
Tarah Tarah Ki Talab Tere Rang-E-Lab Se Hai,

Kahan Gaye Shab-E-FurQat Ke Jaagne Wale,
Sitara-E-Seher Hum-Kalaam Kab Se Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3508 on: March 28, 2009, 02:37:35 PM »
Sadiyon Se Insaan Yehi Sunta Aaya Hai,
Dukh Ki Dhoop Ke Aage Sukh Ka Saaya Hai,

Hum Ko In Sasti Khushiyon Ka Bojh Na Do,
Humne Soch Samajh Kar Gam Apnaya Hai,

Jhuth To Qaatil Thehra Iska Kya Rona,
Sach Ne Bhi Insaan Ka Khoon Bahaya,

Paidaish Ke Din Se Maut Ki Zard Mein Hai,
Is Muktil Mein Kaun Hamein Le Aaya Hai,

Awal Awal Jis Dilne Barbaad Kiya,
Aakhir Aakhir Wo Dil Hi Kaam Aaya Hai,

Itne Din Ehsaan Kya Deewano Par,
Jitne Din Logone Saath Nibhaya Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3509 on: March 28, 2009, 02:38:15 PM »
Hamare Darmiyan Aisa Koi Rishta Nahi Tha,
Tere Shaano Pe Koi Chhat Nahi Thi,
Mere Zimme Koi Aangan Nahi Tha,
Koi Waada Teri Zanjeer-E-Paa Banne Nahi Paaya,
Kisi IQraar Ne Meri Kalayi Ko Nahi Tha Thama,
Hawa-E-Dasht Ki Maanind,
Tu Aazad Tha,
Raaste Teri Marzi Ke Tabe The,
Mujhe Bhi Apni Tanhayi Pe,
Dekha Jaye To,
Pura Tasarruf Tha
Magar Jab Aaj Tune
Rasta Badla,
To Kuch Aisa Laga Mujhko,
Ke Jaise Tune Mujhse Bewafayi Ki...
Logged
Pages: 1 ... 230 231 232 233 [234] 235 236 237 238 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 09:29:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer