Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 231 232 233 234 [235] 236 237 238 239 ... 273
Print
Author  (Read 131180 times)
angel4u
Guest
«Reply #3510 on: March 28, 2009, 02:39:08 PM »
Justuju Khoye Huon Ki Umr Bhar Karte Rahe,
Chaand Ne Humraah Hum Har Shab Safar Karte Rahe,

Raaston Ka Ilm Tha Humko Na Simton Ki Khabar,
Shaher=E=Namalum Ki Chahat Magar Karte Rahe,

Humne Khud Se Bhi Chhupaya Aur Saare Sheher Se,
Tere Jaane Ki Khatir Dar-O-Deewar Karte Rahe,

Wo Na Aayega Hamein Malum Tha Us Shaam Bhi,
Intezaar Uska Magar Kuch Soch Kar Karte Rahe,

Aaj Aaya Hai Hamein Bhi Un Udaano Ka Khayal,
Jinko Tere Zaum Mein Be-Baal-O-Par Karte Rahe...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3511 on: March 28, 2009, 03:10:59 PM »
Sadiyon Se Insaan Yehi Sunta Aaya Hai,
Dukh Ki Dhoop Ke Aage Sukh Ka Saaya Hai,

Hum Ko In Sasti Khushiyon Ka Bojh Na Do,
Humne Soch Samajh Kar Gam Apnaya Hai,

Jhuth To Qaatil Thehra Iska Kya Rona,
Sach Ne Bhi Insaan Ka Khoon Bahaya,

Paidaish Ke Din Se Maut Ki Zard Mein Hai,
Is Muktil Mein Kaun Hamein Le Aaya Hai,

Awal Awal Jis Dilne Barbaad Kiya,
Aakhir Aakhir Wo Dil Hi Kaam Aaya Hai,

Itne Din Ehsaan Kya Deewano Par,
Jitne Din Logone Saath Nibhaya Hai...



 Applause Applause Applause
Beautiful dear Hasina  love9
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3512 on: March 28, 2009, 04:26:36 PM »
Thanks roja...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3513 on: March 28, 2009, 04:35:54 PM »
BOhat Achche Huzaina Aapa,.
Nice One,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3514 on: March 28, 2009, 04:46:55 PM »
Thanks bhai... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3515 on: March 30, 2009, 03:45:49 PM »
Bheed Mein Ek Ajnabee Ka Saamna Achha Laga,
Sab Se Chhup Kar Wo Kisika Dekhna Achha Laga,

Suramayi Aankhonke Neeche Phool Se Khilne Lage,
Kehte Kehte Kuch Kisika Sochna Achha Laga,

Baat To Kuch Bhi Nahi Thi Lekin Uska Ek Dam,
Haath Ko Honthon Par Rakh Kar Rokna Achha Laga,

Chaay Mein Chini Milana Us Ghadi Bhaya Bahut,
Zer-E-Lab Wo Muskurata Shukriya Achha Laga,

Dil Mein Kitne Ahed Baandhe The Bhulane Ke Use,
Wo Mila To Sab Irade Todna Achha Laga,

Be-Irada Lamz Ki Wo Sansani Pyaari Lagi,
Kam Tavajjo Aankhka Wo Dekhna Achha Laga,

Neem Shab Ki Khamoshi Mein Bhigti Sadkon Pe Kal,
Teri Yaadon Ke Jaalo Mein Ghumna Achha Laga,

Us Udu-E-Jaan Ko 'Amjad' Main Bura Kaise Kahun,
Jab Bhi Aaya Samne Wo Bewafa Achha Laga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3516 on: March 30, 2009, 03:56:04 PM »
Dil Apne Aap Dhadakta Hai, Dhadkaya Nahi Jaata,
Ye Raaz-E-Mohabbat Ha Rek Ko Bataya Nahi Jaata,

Agar Ehsaas Na Ho To, Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos,
Ye Wo Jazba Hai Jo Lafzon Mein Samjhaya Nahi Jaata,

Dosti Ke Liye Mohabbat Aur Khuloos Hai Lazim,
Har Haath Milane Wale Ko Dost Samjha Nahi Jaata,

Bahtu Kam Hai Log Jo Dil Mein Utar Jaate Hai,
Har Raah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jaata,

Koshish Se Badal Jaati Hai TaQdeerein,
De Kar Ilzaam Qismat Aur Dilko Behlaya Nahi Jaata...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3517 on: March 30, 2009, 03:57:21 PM »
Wo Jo Hum Mein Tum Mein Qaraar Tha Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho,
Wahi Yaani Waada Nibaah Ka Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho,

Wo Naye Gile Wo Shikayatein Wo Maze Maze Ki Hikaayatein,
Wo Har Ek Baat Pe Ruthna Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho,

Koi Baat Aisi Agar Hui Jo Tumhare Jee Ko Buri Lagi,
To Bayaan Se Pehle Bhi Bhulana Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho,

Suno Zikr Hai Kayi Saal Ka, Koi Waada Mujh Se Tha Aapka,
Wo Nibhane Ka To Zikr Kya, Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho,

Kabhi Hum Mein Tum Mein Bhi Chah Thi, Kabhi Hum Se Tum Se Bhi Raath Hi,
Kabhi Hum Bhi Tum Bhi The Aashna, Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho,

Hue IttefaaQ Se Gar Baham, Wo Wafa Jatane Ko Dam-Ba-Dam,
Gila-E-Malaamat-E-Argabaa, Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho,

Wo Jo Lutf Mujh Pe Tha Beshtar, Wo Karam Ke Haath Mere Haath Par,
Mujhe Sba Hai Yaad Zara Zara, Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho,

Kabhi Baithe Sab Hai Jo Rubaru To Isharato Hi Se Guftugu,
Wo Bayan ShauQ Ka Baramalaa Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho,

Wo Bigadna Wasl Ki Raat Ka, Wo Na Maanna Kisi Baat Ka,
Wo Nahi Nahi Ki Har Aan Ada, Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho,

Jaise Aap Ginte The Aashna Jise Aap Kehte The Bawafa,
Main Wahin Hoon "Momin"-E-Mubtala Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3518 on: March 30, 2009, 03:58:25 PM »
Honthon Pe Mohabbat Ke Fasane Nahi Aate,
Saahil Pe Samundar Ke Khazane Nahi Aate,

Palkein Bhi Chamak Uthti Hai Sote Mein Hamari,
Aankhon Ko Abhi Khwab Chupane Nahi Aate,

Dil Ujdi Hui Ek Saraye Ki Tarah Hai,
Ab Log Yahan Raat Jagane Nahi Aate,

Udne Do Parindon Ko Abhi Shokh Hawa Mein,
Phir Laut Ke Bachpan Ke Zamane Nahi Aate,

Is Sheher Ke Badal Teri Zulfon Ki Tarah Hai,
Ye Aag Lagate Hai Bujhane Nahi Aate,

Ehbaab Bhi Gairon Ki Ada Sikh Gaye Hai,
Aate Hai Magar Dilko Dukhane Nahi Aate...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3519 on: March 30, 2009, 04:01:46 PM »
Tanhayi Bata Teri Wajah Kya Hai,
Jis Pal Tu Mile Mila Kya Hai,

Har Shab Bedaar, Har Sabhoo Khwab Hai,
Ajab Hai Silsila Ye Silsila Kya Hai,

Teri Qurbat Hai Naseeb Har Pal Mujhe,
Phir Teri Doori Tera Faasla Kya Hai,

Har Khwahish Par Aksar Khamosh Rehti Hai Zuba,
Ye Dil Mera Khud Se Itna Badguma Kyon Hai,

Jis Justujoo Mein Guzar Di Zindagi Humne,
Us Raste Par Chal Kar Aakhir Mila Kya Hai,

Tanhayi Bata Teri Wajah Kya Hai,
Jis Pal Tu Mile To Mila Kya Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3520 on: March 30, 2009, 04:02:20 PM »
Khel Ye Kaisa Khel Rahi Hai Dilse Teri Mohabbat,
Ek Pal Ki Sarshari De Aur Dino Malal Mein Rakhe,

Maine Saari Khushbuyein Aanchal Se Bandh Ke Rakhi,
Shayad Unka Zikr To Apne Kisi Sawal Mein Rakhe,

Kisi Se Tere Aane Ki Sargoshi To Sunte Hi,
Maine Kitne Phool Chune Aur Apni Shaal Mein Rakhe,

Mushkil Bankar Toot Padi Hai Dil Par Ye Tanhayi,
Ab Jaane Ye Kab Tak Usko Apne Jaal Mein Rakhe...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3521 on: April 03, 2009, 04:15:20 PM »
Aas Hogi Na Aasra Hoga,
Aanewale Dino Mein Kya Hoga,

Main Tujhe Bhool Jaunga Ek Din,
WaQt Sab Kuch Badal Chuka Hoga,

Naam Hum Ne Likha Tha Aankhon Mein,
Aansuon Ne Mita Diya Hoga,

Aasman Bhar Gaya Parindonse,
Ped Koi Hara Gira Hoga,

Kitna Dushwar Tha Safar Uska,
Wo Sar-E-Shaam So Gaya Hoga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3522 on: April 03, 2009, 04:15:42 PM »
Aye Sanam Jisne Tujhe Chaand Ki Surat Di Hai,
Usi Allah Ne Mujh Ko Bhi Mohabbat Di Hai,

Tegh Be-Aab Hai Na Baazu-E-Qaatil Kamzor,
Kuch Giraan Jaani Hai, Kuch Maut Ne Fursat Di Hai,

FurQat-E-Yaar Mein Ro Ro Ke Basar Karta Hoon,
Zindagani Mujhe Kya Di Hai, Musibat Di Hai,

Josh Paida Kiye Sunne Ko Tera Zikr-E-Jamaal,
Dekhne Ko Teri Aankhon Mein Basaarat Di Hai,

Kamar-E-Yaar Ke Mazmoon Ko Baandho "Aatish",
Zulf-E-Khubaan Si Mere Tumko Tabiyat Di Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3523 on: April 03, 2009, 04:16:08 PM »
Sab Kuch Luta Dunga Ye Bhi Dekh Lena,
Tujhse Nahi Karunga Dhoka Ye Bhi Dekh Lena,

Haath Se Haath Mila Ke Dekho Aye Dost,
Zindagi Tere Naam Na Kar Dun To Dekh Lena,

Uska To Gam Bhi Azeez Hai Yaaron,
Wo Bichhad Gaya Ab Maine Zindagi Se Kya Lena,

Agar Sanam Na Mila To Teri Zindagi Kya,
Wo Meri Qabar Par Aa Ke Royega Ye Bhi Dekh Lena...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3524 on: April 03, 2009, 04:16:40 PM »
Chaar Mausam Bhi Hai Aur Zindagi Bhi Chaar Din,
Koi Nagma Wafa Ka Charagar Dhund Lo,

Sard Mausam Ki Bhi Hai Kuch Apni Deewangi,
Barf Chaandni Ki Lekar Jism Ko Dhaamp Lo,

Baharon Ka Mausam Phoolon Ki Kahani,
Rangon Ko Chura Kar Inke Rang Men Dhal Lo,

Garam Mausamon Ki Lipti Hui Lau Mein,
Apne Aang Mein Naha Kar Aise Tarang Kar Lo,

Patjhad Ka Mausam Patto Ki Rawani,
Tum Apni Kahani Ye Sab Ko Suna Lo...
Logged
Pages: 1 ... 231 232 233 234 [235] 236 237 238 239 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 09:38:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer