Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 232 233 234 235 [236] 237 238 239 240 ... 273
Print
Author  (Read 131176 times)
angel4u
Guest
«Reply #3525 on: April 03, 2009, 04:18:47 PM »
Hazaron Dukh Pade Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti,
Hai Tumse Bas Yehi Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti,

Tera Har Baar Mere Khat Ko Padhna Aur Dho Dena,
Mera Har Baar Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti,

Kiya Tha Humne Kimpass Ki Nadi Par Ek Waada,
Bhale Humko Pade Marna Mohabbat Mar Nahi Sakti,

Jahan Jab Tak Panchhi Chehekte Udte Phirte Hai,
Hai Jab Tak Phool Ka Khilna Mohabbat Mar Nahi Sakti,

Purane Ahad Ko Jab Zinda Karne Ka Khayal Aaye,
Mujhe Bas Itna Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti,

Hijr Ki Shab Phone Rakhne Se Zara Pehle,
Bahut Rote Hue Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti,

Agar Hasraton Ki Qabar Mein Hi Dafan Ho Jayein,
To Ye Kuttbon Pe Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti,

Purane Rabton Ko Phir Naye Waadon Ki Khwahish Hai,
Zara Ek Baar To Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3526 on: April 03, 2009, 04:22:51 PM »
Apne Pandaar Se Nikle To Phir Bikhar Jaungi,
Na Cheer Mujhe Itna Main Mar Jaungi,

Laakh Jatan Kar Le Mujhe Tu Bhulane Ke,
Main Tere Khwabon Khayalon Mein Chha Jaungi,

Main Gaya WaQt Nahi Hoon Jo Aa Bhi Na Sakun,
Jab Zara Yaad Karoge Main Chali Aaungi,

Yunhi Bharta Rahe Dhoka Duniya Mein To Saba,
Dil-E-Labreze Mohabbat Ko Le Ke Kahan Jaungi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3527 on: April 03, 2009, 04:23:21 PM »
Darakht Lagane Nahi Dete,
Phool Khilne Nahi Dete,

Ye Sheher Ke Log,
Kabhi Muskurane Nahi Dete,

Hai Ragon Mein Khoon Afaid,
Rang Jamane Nahi Dete,

Apne Ho Jayein Paraye,
Gair Bhulane Nahi Dete,

Rahe Sauteli Maa Sa Mausam,
Bahar Aane Nahi Dete,

Ummid Toot Toot Jaye,
Andeshe Aazmane Nahi Dete,

Andhere MuQaddar Ke Bade,
Chirag Jalane Nahi Dete,

Baad Mayoos Hai Ye Dil,
Gam Mitane Nahi Dete,

Khojun Hathon Pe Lakeerein,
Sitare Ishare Nahi Dete,

Niklun Sehra Ki Taraf,
Hosle Jaane Nahi Dete...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3528 on: April 03, 2009, 04:24:00 PM »
Main Ehwaal-E-Dil Mar Gaya Kehte Kehte,
Thake Hum Na "Bas, Bas, Suna!" Kehte Kehte,

Mujhe Chup Lagi Mudda Kehte Kehte,
Ruke Hai Wo Jaane Kya Kehte Kehte,

Zubaan Gungi Hai IshQ Mein Gosh Kar Hai,
Bura Sunate Sunate Bhala Kehte Kehte,

Shab-E-Hijr Mein Kya Hajoom-E-Bala Hai,
Zubaan Thak Gayi Marhaba Kehte Kehte,

Gila Harza-Gardi Ka Baja Na Tha Kuch,
Wo Kyon Muskuraye Baja Kehte Kehte,

Sad Afsos Jaati Rahi Wasl Ki Shab,
"Zara Theher Aye Bewafa" Kehte Kehte,

Chale Tum Kahan Maine To Dam Liya Tha,
Fasana Dil-E-Zaar Ka Kehte Kehte,

Sitam Haaye! Gardan Mufassil Na Puchho,
Ke Sar Phir Gaya Maajra Kehte Kehte,

Nahi Ya Sanam 'Momin' Ab Kufr Se Kuch,
Ke Khuu Ho Gayi Hai Sada Kehte Kehte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3529 on: April 03, 2009, 04:24:24 PM »
Teri Zulfein Bikharne Ko Ghata Keh Dun To Kaisa Ho,
Taare Aanchal Ke Udne Ko Saba Keh Dun To Kaisa Ho,

Bazahir Chup Ho Lekin Phir Bhi Aankhon Mein Hai Afsane,
Teri Khamoshiyon Ko Bhi Sada Keh Dun To Kaisa Ho,

Mere Shikwe Shikayat Par Bhi Mujh Se Pyaar Karti Ho,
Teri Chahat Ko Main Sab Se Juda Keh Dun To Kaisa Ho,

Teri Yaadein Mere Dil Par Ajab Sa Sher Karti Ha,
Teri Yaadon Ko Gar Main Ek Nasha Keh Dun To Kaisa Ho,

Tumhare Bin Mujhe Jeena Bada Dushwar Lagta Hai,
Tumhe Main Apne Jeene Ki Wajah Keh Dun To Kaisa Ho,

Jo Tum Naraz Na Ho To Mujhe Ek Baat Kehni Hai,
Agar Main Pyaar Se Tumko Wafa Keh Dun To Kaisa Ho...
Logged
Talat
Guest
«Reply #3530 on: April 03, 2009, 04:31:20 PM »
Darakht Lagane Nahi Dete,
Phool Khilne Nahi Dete,

Ye Sheher Ke Log,
Kabhi Muskurane Nahi Dete,

Hai Ragon Mein Khoon Afaid,
Rang Jamane Nahi Dete,

Apne Ho Jayein Paraye,
Gair Bhulane Nahi Dete,

Rahe Sauteli Maa Sa Mausam,
Bahar Aane Nahi Dete,

Ummid Toot Toot Jaye,
Andeshe Aazmane Nahi Dete,

Andhere MuQaddar Ke Bade,
Chirag Jalane Nahi Dete,

Baad Mayoos Hai Ye Dil,
Gam Mitane Nahi Dete,

Khojun Hathon Pe Lakeerein,
Sitare Ishare Nahi Dete,

Niklun Sehra Ki Taraf,
Hosle Jaane Nahi Dete...


Nice Sharing Angel
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3531 on: April 03, 2009, 04:34:00 PM »
Thank YOU Talat... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3532 on: April 05, 2009, 08:14:49 AM »
Hum Bahut Khush Hue Aye Dost Tujhko Paakar,
Tune Saja Liya Hai Veerana Dil Ka Aakar,

Har Guncha Khil Utha Hai Aur Har Kali Shagufta,
Kuchh Is Ada Se Tune Dekha Hai Muskura Kar,

Tere Bagair Mera Jeena Hai Koi Jeena,
Ek Zindagi Mili Hai, Apna Tujhe Banakar,

Na-Khush Kabhi Na Honge, Mujhko Daga Na Doge,
Rakhoge Ab Hamesha Dil Mein Mujhe Basa Kar,

Har Dam Mere Labon Par Tere Liye Dua Hai,
Parvardigaar-E-Alam Umr-E-Khizr Ata Kar,

Tu Wafa Par Unki Kabhi Na Ka Rashk,
Dil Mein Basa Liya Hai To Jaan Bhi Fida Kar...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3533 on: April 05, 2009, 08:15:52 AM »
In Anjaani Si Khoyi Hui Si Raaton Mein,
Maine Kitne Dukh Sukh Dekhe Hai,

Kitne Lamhon Ke Saayon Mein,
Maine Tumhare Chehre Dekhe Hai,

Adalti Badalti Din Aur Raat Ki Chaadar Mein,
Maine Kitne Sapne Khoye Hai,

Tumhari Yaad Ke Saagar Mein,
Maine Khoon Ke Dariya Roye Hai,

Ye Phir Wohi Si Baatein Hai,
Kuch Tumse Milne Ki Chahatein Hai,

Kuch Yaadein Hai Kuch Baatein Hai,
Bas Yehi Tanha Si Raatein Hai,

Jin Mein Bas Kuch Aisi,
Tumse Karne Ki Baatein Hai,

Kyon Tumne Chhod Diya Hai,
Mere Dilko Yun Tod Diya Hai,

Apne Rangon Ko
Kyon Mere Liye Badal Diya Hai,

Kyatha Mujh Mein Ye Aisa,
Kya Nahi Tha Main Waisa,

Jaise Tumne Socha Tha,
Jaise Tumne Chaha Tha,

Jo Tumne Mujhko Chhod Diya Hai,
Apna Munh Yun Mod Liya Hai,

Is Toofan Mein Laake Mujhko,
In Lehron Ki Chhanv Par,

Is Pyaar Ke Sagar Mein,
Kyon Mera Haath Chhod Diya Hai,

Kyon Mujhse Munh Mod Liya Hai,
Apna Naata Yun Tod Liya Hai,

Dil Mein Basi Kuch Thodi Si Yaadein Hai,
Jinko Main Bhula Nahi Sakta,
Jinko Main Lauta Nahi Sakta...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3534 on: April 05, 2009, 08:16:31 AM »
Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi Burham Hai Doston,
Ab Ho Chala YaQeen Ke Bure Hum Hai Doston,

Kisko Hamare Haal Se Nisbat Hai Kya Karein,
Aankhein To Dushmano Ki Bhi Purnam Hai Doston,  tearyeyed

Apne Siwa Hamare Na Hone Ka Gam Kise,
Apni Talash Mein To Hamein Hum Hai Doston,

Kuch Aaj Shaam Hi Se Hai Dil Bhi Bujha Bujha,
Kuch Sheher Ke Chirag Bhi Madham Hai Doston,

Is Sheher-E-Aarzu Se Bhi Bahar Nikal Chalo,
Ab Dil Ki RaunaQein Bhi Koi Dam Hai Doston,

Sab Kuch Sahi Faraz Par Itna Zaroor Hai,
Duniya Mein Aise Log Bahut Kam Hai Doston...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3535 on: April 05, 2009, 08:16:59 AM »
Aao Hum Milkar Ek Naya Jahan Banayein,
Duniya Se Door Pyaar Ka Ek Nagar Banayein,

Jahan Mohabbat Ka Raaj Ho,
Sar Par Khushi Ka Taaj Ho,

Zindagi Pe Na Khauf Tari Ho,
Hifazat Ek Dooje Ki Zimmedari Ho,

Nafrat Ki Jahan Ghutan Na Ho,
Zindagi Jahan Kathin Na Ho,

Chalo Mil Kar Is Khwab Ki Tabeer Dhundein,
Is Jahan Mein Mohabbat Ki Jaagir Dhundein,

Aao Hum Mil Kar Ek Naya Jahan Banayein,
Duniya Se Door Pyar Ka Ek Nagar Banayein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3536 on: April 05, 2009, 08:17:54 AM »
Mera Ek Dost Mere Jaisa Tha,
Mujhse Milta Tha Roz Shaam Dhale,

Saari Batein Use Sunata Tha,
Kaun Nazan Hai Kis Ne Hath Male,

Ab Wo Rehta Hai Is Jagah Se Door,
Raaz-E-Dil Ab Wo Kholta Bhi Nahi,

Sheesha-E-Dil Nahi Ab Uska Choor,
Ab Main Bolun To Bolta Bhi Nahi,

Mujhko Shikwa Ke Bewafa Hai Wo,
Log Kehte Hai Usko Daanishwar...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3537 on: April 05, 2009, 08:30:07 AM »
Mera Ek Dost Mere Jaisa Tha,
Mujhse Milta Tha Roz Shaam Dhale,

Saari Batein Use Sunata Tha,
Kaun Nazan Hai Kis Ne Hath Male,

Ab Wo Rehta Hai Is Jagah Se Door,
Raaz-E-Dil Ab Wo Kholta Bhi Nahi,

Sheesha-E-Dil Nahi Ab Uska Choor,
Ab Main Bolun To Bolta Bhi Nahi,

Mujhko Shikwa Ke Bewafa Hai Wo,
Log Kehte Hai Usko Daanishwar...


wow Yeh toh bahut accha laga padkar. Good collections Angel dear.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3538 on: April 05, 2009, 08:31:48 AM »
Thanks Roja...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3539 on: April 05, 2009, 09:07:01 AM »
To Kya Tumhe Main Kabhi Yaad Nahi Aaya?
Kis Gulaab Ki Khushbu Ke Bikharne Par Bhi,
Zara Se Aab Ke Aankhon Mein Utarne Par Bhi,
Kitaab Uthate Hue, Geet Koi Gaate Hue,
Ittar Lagate Hue, Chudiyan Pehente Hue,
Sanwar Ke Der Talak Aayine Ko Takte Hue,

To Kya Tumhe Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya,
Subah Ko Uthte Hue, Shaam Ko Tehelte Hue,
Neend Na Aaye Agar Karwatein Badalte Hue,
Kabhi Yunhi Kisi Makhsoos Dhun Ko Sunte Hue,
Faarigh OQaat Mein Koi Kitaab Padhte Hue,

To Kya Tumhe Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya,
Baraste Abr Mein Chhat Par Kabhi Khade Hokar,
Kisike Rooth Ke Jaane Par Chid Chide Hokar,
Kisi Saheli Se Bas Yunhi Baat Karte Hue,
Kisi Khayal Mein Baithe Se Uth Ke Chalte Hue,
Kisi Bhi Raat Ko Uth Kar Yunhi Tehelte Hue,

To Kya Tumhe Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya,
Akel Yunhi Kabhi Apni Dhun Mein Chalte Hue,
Kisiki Saalgirah Par Yunhi Behelte Hue,
Kisi Unchayi Pe Tanha Sambhal Ke Chadte Hue,
Utarte Chaand Ka Maujon Mein AQs Padte Hue,

To Kya Tumhe Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya,
Kisi Gulaab Ko Tehni Se Tod Kar Bhi Nahi,
Kis Darakht Ke Saaye Main Baith Kar Bhi Nahi,
Apne Darwaze Pe Dastak Koi Sunkar Bhi Nahi,
Kisi Dareecha-E-Makaan Se Jhaank Kar Bhi Nahi,

Apni Kitaab Mein Koi Naam Dekh Kar Bhi Nahi,
Yaad-E-Maazi Mein Kahin Door Doob Kar Bhi Nahi,
Kisi Bhi Shakhs Ko Khamosh Dekh Kar Bhi Nahi,
Kisi Bhi Aankh Ko Nam Dekh Kar Bhi Nahi,
Kahin Lafzon Mein Koi Aa Dekh Kar Bhi Nahi,
Azaan Hote Hi Aanchal Se Sar Ko Dhakte Hue Bhi Nahi,

To Kya Tumhe Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya???
Logged
Pages: 1 ... 232 233 234 235 [236] 237 238 239 240 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 09:23:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer