Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 233 234 235 236 [237] 238 239 240 241 ... 273
Print
Author  (Read 132878 times)
angel4u
Guest
«Reply #3540 on: April 05, 2009, 09:07:20 AM »
Agar Hum Dost Hote To,
To Karam Ki Intehaa Karte,
Tumhe Palkon Mein Basate Hum,
Agar Tum Rooth Jaate Ho,
Tumhe Kitna Manate Hum,
Jo Milne Tum Nahi Aate To,
Aa Kar Khud Tumhein Milte,
Tumhari Laghzishon Ko Bhi,
Hansi Mein Hum Uda Dete,
Agar Apni Khata Hoti,
To Khud Ko Bhi Saza Dete,
Magar Ye Sab Jabhi Hota,
Agar Hum Dost Hote To,
Magar Itna Hi Jaana Hai,
Ke Tumne Aaj Tak Humko,
Paraya Keh Kar Jaana Hai,
Kabhi Humdam Na Mana Hai,
Agar Hum Dost Hote To...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3541 on: April 05, 2009, 09:50:48 AM »
Chehra Mera Tha Nigahein Uski,
Khamoshi Mein Bhi Wo Baatein Uski,

Mere Chehre Pe Gazal Likhti Gayi,
Sher Kehti Hui Aankhein Uski,

Shokh Lamhon Ka Pata Dene Lagi,
Tez Hoti Hui Saansein Uski,

Aise Mausam Bhi Guzre Humne,
Subahein Jab Apni Thi Shaamein Uski,

Dhyaan Mein Uske Ye Alam Tha Kabhi,
Aankh Mehtaab Ki Yaadein Uski,

Faisla Mauj-E-Hawa Ne Likha,
Aandhiyan Meri Baharein Uski,

Neend Is Soch Se Tooti Aksar,
Kis Tarah Katti Hai Raatein Uski,

Door Reh Kar Bhi Sada Rehti Hai,
Mujhko Thaame Hue Baahein Uski...
Logged
Talat
Guest
«Reply #3542 on: April 05, 2009, 02:22:26 PM »
Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi Burham Hai Doston,
Ab Ho Chala YaQeen Ke Bure Hum Hai Doston,

Kisko Hamare Haal Se Nisbat Hai Kya Karein,
Aankhein To Dushmano Ki Bhi Purnam Hai Doston,  tearyeyed

Apne Siwa Hamare Na Hone Ka Gam Kise,
Apni Talash Mein To Hamein Hum Hai Doston,

Kuch Aaj Shaam Hi Se Hai Dil Bhi Bujha Bujha,
Kuch Sheher Ke Chirag Bhi Madham Hai Doston,

Is Sheher-E-Aarzu Se Bhi Bahar Nikal Chalo,
Ab Dil Ki RaunaQein Bhi Koi Dam Hai Doston,

Sab Kuch Sahi Faraz Par Itna Zaroor Hai,
Duniya Mein Aise Log Bahut Kam Hai Doston...


Very Nice Sharing Angel...really beautiful.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3543 on: April 05, 2009, 02:37:06 PM »
Thank you so much Talat sad5
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3544 on: April 06, 2009, 02:57:01 AM »
Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Mein Aate Jaate Ho,
insha sahab nahaq jee ko wehshat mein uljhaate ho,

dil ki baat chhupani mushkil, lekin khoob chhupate ho,
ban mein daana,sheher ke andar deewane kehlaate ho,

bekal bekal rehte ho, par mehfil ke aadaab ke saath,
aankh chura kar dekh bhi lete ho, bhole bhi ban jaate ho,

peet mein aise laakh jatan hai, lekin ek din sab nakaam,
aap jahan mein ruswa honge, vaaz hamein farmaate ho...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3545 on: April 06, 2009, 11:22:16 AM »
Bahut khoob likhti hain aap Angel Ji
Samay jab jab milta hai to padhta hoon
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3546 on: April 07, 2009, 03:22:22 PM »
Hansi Labon Pe Sajaye Udaas Rehta Hai,
Ye Kaun Hai Jo Mere Ghar Ke Paas Rehta Hai,

Ya Aur Baat Ke Milta Nahi Koi Isse,
Magar Woh Shakhs Sarapa Pas Rehta Hai,

Jehan Pe Doob Gaya Meri Aas Ka Suraj,
Usi Jagah Woh Sitara Shanas Rehta Hai,

Likhi Hai Kisne Ya Tehreer Rag-E-Sahil Par,
Bahut Dino Se Samundar Udaas Rehta Hai,

Guzar Raha Hoon Suda Garon Ki Basti Se,
Badan Pe Dekhiye Kab Tak Libaas Rehta Hai,

Main Wehshaton Ke Safar Mein Bhi Kahan Tanha,
Yehi Gumaan Hai Koi Aas Paas Rehta Hai,

Main Guftugu Ke Har Andaz Ko Samajhta Hoon,
Ke Meri Zaat Mein Lehjaye Shanas Rehta Hai,

Wo Faaslon Mein Bhi Rakhta Hai Rang-E-Qurbat Ke,
Nazar Se Door Sahi Dil Ke Paas Rehta Hai,

Jab Isse Guftugu Karta Hai Koi Bhi Ginni,
Ek Iltimas Paas-E-Iltimas Rehta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3547 on: April 07, 2009, 03:23:54 PM »
Log Padh Lete Hai Cheron Pe Kahani Dil Ki,
Aise Aalam Mein Tera Raaz Chhupaun Kaise,
Mujhse Dekhe Nahi Jaati Judayi Saagar,
Bhigi Palkein Hai Koi Khwab Sajaun Kaise,

Sukoon Paa Na Sakoge Mujhe Bhulane Se,
Kuch Aur Aag Bhadak Jaayegi Bujhane Se,
Hamare Haale Parayhan Pe Gaur Farmana,
Kabhi Aap Ko Fursat Mile Zamane Se,

Tere Bewafaiyon Par, Tere Kang Adaiyon Par,
Kabhi Sar Jhuka Ke Roye, Kabhi Munh Chhupa Ke Roye,
Mere Paas Se Guzar Ke Mera Haal Tak Na Puchha,
Main Kaise YaQeen Karun Ke Wo Door Jaa Ke Roye,

Tujhse Bichhad Kar Hum Bhi MuQaddar Ke Ho Gaye,
Phir Jo Bhi Dar Mila Usi Dar Ke Ho Gaye,
Aye Yaar Tujhse Karein Kya Shikayatein,
Aye Dard Hijr Hum Bhi Pathar Ke Hogaye,

Milta Tha Mujhse Kabhi Pal Pal Ke Farak Se,
Phir Rafta Rafta FaraQ Salon Mein Aagaya,
Phir Yun Hua Ke Aankh Mein Aansu Nikal Pade,
Chehra Kabhi Jo Uska Khayalon Mein Aagaya,

Wo Aisi Yaad Ke Zindagi Bhar Sath Rahegi,
Mere Veeran Dil Mein Yunhi Aabad Rahegi,
Koi Miyaad Agar Mujhko Qaid Bhi Kare,
Wo Mere Zaat Ke Andar Sada Aazad Rahegi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3548 on: April 07, 2009, 03:25:58 PM »
Abr-E-Bahar Ab Ke Bhi Barsa Pade Pade,
Gulshan Ujaar Ujaar Hai Jangal Hare Hare,

Jaane Ye Tishnagi Hai Hawas Hai Ke Khudkushi,
Jalte Hai Shaam Hi Se Jo Sagar Bhare Bhare,

Hai Dilki Maut Ahd-E-Wafa Ki Shikastagi,
Phir Bhi Jo Koi TarQ-E-Mohabbat Kare, Kare,

Ab Apna Dil Bhi Shaher-E-Khamoshaan Se Kam Nahi,
Sun Ho Gaye Hai Kaan Sada Par Dhare Dhare,

Rehte Hai Ahl-E-Shaher Ke Saaye Se Door Door,
Kaam Aahwaan-E-Dasht Ki Sorat, Dare Dare,

Gul Ban Ke Phutta Hai Lahoo Shaakh-Saar Se,
Zakhm-E-Rag-E-Bahar Hai Patte Hare Hare,

Zinda-Dilaan-E-Shashr Ko Kya Hogaya "Faraz",
Aankhein Bujhi Bujhi Hai To Chehre Mare Mare...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3549 on: April 07, 2009, 03:26:54 PM »
Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai,
Magar Kya Roothna Usse Wo Apni Dhun Mein Rehta Hai,

Madaarat-E-Alam Mein Wo Nahi Shirkat Ka Kahil,
Na Apne Dukh Batata Hai Na Mere Ranj Sehta Hai,

Lab-E-Khamosh, Chashm-E-Khushk Kya Samjhayenge Tujhko,
Jo Barish Jo Dil Mein Hoti Hai Jo Dariya Dil Mein Behta Hai,

Mujhe Tujhse Juda Rakhta Hai Aur Dukh Tak Nahi Hota,
Mere Andar Tere Jaisa Ye Aakhir Kaun Rehta Hai,

Khayal-E-Yaar Abhi Roshan, Abhi Nazron Se Ojhal Hai,
Abhi Ye Reshmi Dariya Pahadon Mein Hi Behta Hai...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3550 on: April 07, 2009, 04:02:27 PM »
Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi Burham Hai Doston,
Ab Ho Chala YaQeen Ke Bure Hum Hai Doston,

Kisko Hamare Haal Se Nisbat Hai Kya Karein,
Aankhein To Dushmano Ki Bhi Purnam Hai Doston,  tearyeyed

Apne Siwa Hamare Na Hone Ka Gam Kise,
Apni Talash Mein To Hamein Hum Hai Doston,

Kuch Aaj Shaam Hi Se Hai Dil Bhi Bujha Bujha,
Kuch Sheher Ke Chirag Bhi Madham Hai Doston,

Is Sheher-E-Aarzu Se Bhi Bahar Nikal Chalo,
Ab Dil Ki RaunaQein Bhi Koi Dam Hai Doston,

Sab Kuch Sahi Faraz Par Itna Zaroor Hai,
Duniya Mein Aise Log Bahut Kam Hai Doston...


Bahut Bahut Khoob Applause Applause Applause

Beautiful Sharing Angel!!! Thankyou

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3551 on: April 07, 2009, 04:04:39 PM »
Thank You So Much Khwaish Ji for reading and appreciating

Thankyou !
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3552 on: April 09, 2009, 06:15:59 PM »
Dilne Aksar Ye Socha Hai,
Mera Tujhse Kya Rishta Hai,

Chot Lage Jab Dil Par Tere,
Dard Mujhe Mehsoos Hota Hai,

Apni Manzilein Ek Nahi Jab,
Tu Kyon Mere Sath Chalta Hai,

Begane Bedard Jahan Mein,
Tu Apna Sa Kyon Lagta Hai,

Shazad Mein Ye Jaan Gaya Hoon Ab,
Ye Jeewan Bhi Ek Dhoka Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3553 on: April 09, 2009, 06:16:25 PM »
Pahaad Ki Bulandiyon Se,
Badhte Saaye
Girte Aa Rahe Hai,
Shaam Ki Fasurdagi Mein,
Ek Surkh Dor Si, UfaaQ Ki,
Jhilmila Rahi Hai,
Waadiyon Mein,
Ek Udaas Raagni Ki Gunj Se Lapak Gayi,
Birah Ki Aag,
Nagma Banke Jaag Uthti,
UfaQ Ki Dor Toot Kar,
Kisi AmiQ Gaar Ki Siyaahiyon Mein Kho Gayi,
Udaas Raagini Ki Gunj,
Chikh Banke Reh Gayi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3554 on: April 09, 2009, 06:17:57 PM »
Meri Teri Nigaah Mein Jo Laakh Intezaar Hai,
Jo Mere Tere Tan Badan Mein Laakh Dil Figaar Hai,
Jo Meri Teri Ungliyon Ki Bebasi Se Sab Kalam Nazaar Hai,
Jo Mere There Sheher Ki Har Ek Gali Mein,
Mer Etere NaQsh-E-Paa Ke Benishaan Mazaar Hai,
Jo Meri Teri Raat Ke Sitare Zakhm Zakhm Hai,
Jo Meri Teri Subah Ke Gulaab Chaak Chaak Hai,
Ye Zakhm Saare Be-Dawa Ye Chaak Sare Be-Rafu,
Kisi Pe Raakh Chaand Ki Kisi Pe Os Kaa Lahu,
Ye Hai Bhi Ya Nahi Bata,
Ye Hai Ke Mahaz Jaal Hai,
Mere Tumhare Ankabut-E-Wahem Ka Buna Hua,
Jo Hai To Is Ka Kya Karein,
Nahi Hai To Bhi Kya Karein,
Bata, Bata, Bata, Bata...
Logged
Pages: 1 ... 233 234 235 236 [237] 238 239 240 241 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 29, 2024, 08:04:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer