Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 234 235 236 237 [238] 239 240 241 242 ... 273
Print
Author  (Read 132872 times)
angel4u
Guest
«Reply #3555 on: April 09, 2009, 06:18:16 PM »
Aayina-E-Khuloos-E-Wafa Choor Ho Gaye,
Jitne Chirag-E-Noor The, Benoor Ho Gaye,

Malum Ye Hua Ke Wo Raaste Ka Sath Tha,
Manzil Kareeb Aayi To Hum Door Aa Gaye,

Manzoor Kab Thi Humko Watan Se Ye Dooriyan,
Haalaat Ki Jafaon Se Majboor Ho Gaye,

Kuch Aa Gayi Hum Ahl-E-Wafa Mein Tamkanat,
Kuch Wo Bhi Apne Husn Pe Magroor Ho Gaye,

Charagon Ki Aisi Inayat Hui Hafeez,
Ke Jo Zakhm Bhar Cahle Wo Nasoor Ho Gaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3556 on: April 09, 2009, 06:18:35 PM »
Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hai NaQsh-E-Maazi Mite Mite Se,
Wo Aazmayish Si Dil-O-Nazar Ki, Wo Qurbatein Si Wo Faasle Se,

Kabhi Aarzu Ke Sehra Mein Aake Rukte Hai Qaafile Se,
Wo Saari Baatein Lagav Ki Si Wo Saare Unvan Visaal Ke Se,

Nigah-O-Dil Ka Qarar Kaisa Nishaat-O-Gam Mein Kami Kahan Ki,
Wo Jab Mile Hai To Unse Har Baar Ki Hai Ulfat Naye Sire Se,

Bahut Giraan Hai Ye Aish-E-Tanha Kahin Sabukatar Kahin Gawaara,
Wo Dard-E-Pinhan Ki Saaari Duniya Thi Jiske Waaste Se,

Tumhi Kaho Rind-O-Muhtasib Mein Ho Aaj Shab Kaun FarQ Aisa,
Ye Aake Baithe Hai Maikade Mein Wo Uthke Aaye Hai Maikad Se...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3557 on: April 09, 2009, 06:19:02 PM »
Aati Hai Teri Yaad Bhi Humko Kabhi Kabhi,
Hoti Hai Khwabon Mein Bhi MulaQaat Kabhi Kabhi,

Kuchh Apna Hosh Rehta Hai Na Duniya Ka Hamein,
Jab Hoti Hai Aankhon Se Barsat Kabhi Kabhi,

Hota To Hoga Tujhe Hamari Chahat Ka Ehsaas,
Hoti To Hogi Tu Bhi Betaab Kabhi Kabhi,

Ye Alag Baat Hai Mujhe Aadat Hai Muskurane Ki,
Guzar Jaati Magar Aansuon Mein Raat Kabhi Kabhi,

Kis Kambakht Ko Zaroorat Hai Teri Tasveer Ki,
Aansu Se Ban Jaati Teri Tasveer Kabhi Kabhi,

Duniya Kehne Lagegi Kaafir Humein Bhi,
Tere Takhaul Ko Kiya Hai Sajda Kabhi Kabhi,

Na Paa Saka Wo Sakoon-E-Dil Tere Sath Bhi,
Jo Mil Jaata Hai Tere Baad Kabhi Kabhi,

Likh To Leta Hoon Main Haal-E-Dil Magar Phir Bhi,
Hoti Hai Lafzon Ki Kami Mehsoos Kabhi Kabhi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3558 on: April 09, 2009, 06:19:37 PM »
Ek Bekarari Mein Doob Kar,
Ek Masti Mein Jhoom Kar,
Mohabbatne Apna Izhaar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dilne Kisiko Dilse Chaha,

Khwaab Bane Aarzu Ki Tarah,
Ummeed Bani Zindagi Ki Tarah,
Har Ehsaas Ne IQraar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dilne Kisi Ko Dilse Chaha,

Aitbaar Ka Haath Thaam Kar,
Yaadon Ko Humraah Le Kar,
Is Masoon Me Beikhtiyaar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dilne Kisiko Dilse Chaha,

Ek Khoobsurat Itminaan Ki Tarah,
Tum Hue Hamari Dua Ki Tarah,
Humne Tumhe Toot Kar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3559 on: April 09, 2009, 06:20:18 PM »
Dost Bankar Bhi Nahi Saath Nibhane Wala,
Wahi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamane Wala,

Ab Ise Log Samajthe Hai Giraftaar Mera,
Sakht Nadeem Hai Mujhe Daam Mein Laane Wala,

Kya Kahein Kitne Marasim The Hamare Isse,
Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Pher Ke Jaane Wala,

Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saari Duniya,
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Wala,

Muntazir Kiska Hoon Tooti Hui Dehliz Pe Main,
Kaun Aayega Yahan Kaun Hai Aane Wala,

Maine Dekha Hai Baharon Mein Chaman Ko Jalte,
Hai Koi Khwaab Ki Taabeer Batane Wala,

Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Mein Ghula Hai Itna,
Hai Wohi Mujhko Sar-E-Daar Bhi Laane Wala,

Tum TaQalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz',
Dost Hota Nahi Har Haath Milane Wala...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3560 on: April 09, 2009, 06:21:32 PM »
Chahat Ka Ek Mitha Mitha Dard Jagane Shaam Dhale,
Teri Yaadein Aa Jaati Hai Mujhko Rulane Shaam Dhale,

Teri Zulfein In Kandhon Par Tera Chehra Haathon Mein,
Maine Bhi Dekhe Hai Kitne Khwab Suhane Shaam Dhale,

Har Din Humse Waada Karke Yunhi Agar Tadapaoge,
Ek Din Yunhi Ho Jayenge Hum Bhi Deewane Shaam Dhale,

Din Ke Ujaale Mein To Mana To Laakh Jatan Se Behla Hoon,
Lekin Dilka Pagal Panchhi Ek Na Maane Shaam Dhale...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3561 on: April 09, 2009, 06:22:16 PM »
Chahat Mein Kya Duniya Daari IshQ Mein Kaisi Majboori,
Logon Ka Kya Samjhane Do Inki Apni Majboori,

Maine Dilki Baat Rakhi Aur Tune Duniya Walon Ki,
Meri Garz Bhi Majboori Thi Unka HuQam Bhi Majboori,

Rokh Sako To Pehli Baarish Ki Boondo Ko Tum Roko,
Kachhi Mitti To Mehkegi, Hai Mitti Ki Majboori,

Jab Tak Hansta Gata Mausam Apna Hai, Sab Apne Hai,
WaQt Pade To Yaad Aati Hai Masnovi Majboori,

Ek Awara Baadal Se Kyon Maine Saaya Manga Tha,
Meri Bhi Ye Nadani Thi, Uski Bhi Thi Majboori,

Muddat Guzri Ek Waade Par Aaj Bhi Qayam Hai Mohsin,
Humne Saari Umar Nibhayi, Apni Pehli Majboori...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3562 on: April 09, 2009, 06:22:44 PM »
Wo Nahi Milta Mujhe Iska Gila Apni Jagah,
Uske Mere Darmiyaan Ka Fasla Apni Jagah,

Zindagike Is Safar Mein Sekdon Chehre Mile,
Dilkashi Unki Alag, Paikar Tera Apni Jagah,

Tujhse Milkar Na Aane Wale Kal Se Nafrat Mol Li,
Ab Kabhi Tujhse Na Bichhdun Ye Dua Apni Jagah,

Is Musalsal Daur Mein Hai Manzilein Aur Faasle,
Paanv To Apni Jagah Hai Raasta Apni Jagah...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3563 on: April 09, 2009, 06:23:39 PM »
Apne Dilki Awaz Ko Sun, Usne Bhi Dhadakna Sikha Hai,
Dard Chhupe Hai Nas Nas Mein, Aur Tadapna Sikha Hai,

Rehne Do Na Chhedon Yun Lene Do Maza Abhi Sone Ka,
Khwabon Mein Yun Gum Ho Kar, Sochone Uljhana Sikha Hai,

Gam Kya Hai Tanhayi Ka, Kabhi Koi Na Samjhega,
Puchho Andheri Raaton Se, Jinhone Bichhadna Sikha Hai,

Duniya Ke Rangon Mein Jab Teri Kami Hum Payenge,
Puchhenge TaQdeer Se Tab Kyon Haathon Mein Sawarna Sikha Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3564 on: April 09, 2009, 06:24:13 PM »
Hasratein Jaag Uthein Yaas Ne Pehlu Badla,
Is Tarah Haath Teri Yaad Ne Aakar Rakha,

Hum Tujhe Dil Se Bhula Dein Na Kabhi Yaad Karein,
Mil Agar Jaye Zamane Mein Koi Bhi Tujh Sa,

Phool Sa Jism Dehekne Laga Sholon Ki Tarah,
Dil Teri Yaad Ko Bhi Wasl Ka Samaan Samjha,

Aankh Har Rote Hue Shakhs Ki Jaanib Thi,
Dil Har Chalte Hue Shakhs Ke Pichhe Bhaga,

Yaad Aayi To Sulag Uthe Nigahon Ke Ayagh,
Raat Aayi To Tere Gam Ka MuQaddar Chamka...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3565 on: April 09, 2009, 06:25:19 PM »
Hua Hai Insaaf Se Bezaar Mera Dil,
Bewafa Ho Aap Gunehgaar Mera Dil,

Har Kisike Sath Koi Tanha Main,
Phir Se Le Jaa Mere Yaar Mera Dil,

Ab To Kismaton Pe Chhod Di Hai Baat,
Thak Chuka Tumhe Pukaar Mera Dil,

Mere Marne Ki Ab Duwayein Maangiye,
Jeene Ka Nahi Hai Talabgaar Mera Dil,

WaQt Ki Aandhiyon Ne Maar Dala,
Tha Ek Dhuwein Ka Gubaar Mera Dil,

Ke Wafaon Ki Ummid Bewafaon Se,
Thi Paani Se Ladayi Sharaar Mera Dil,

Ab Husn-O-IshQ Ki Baatein Na Kijiye,
Mohabbat Se Hai Sharmsaar Mera Dil,

Ispe Phool Ki Jagah Aansu Chadhaiye,
Hai Haseen Khwabon Ka Mazaar Mera Dil,

Dhadkan Ruk Jaati Hai Tere Naam Se,
Chhu Ke Dekhiye To Ek Baar Mera Dil,

Jalao Na Usko Abhi Mere Doston,
Kisika Kar Raha Hai Intezaar Mera Dil...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3566 on: April 11, 2009, 01:20:22 PM »
Wo Log Bahut Khushkismat The,
Jo IshQ Ko Kaam Samajhte The,
Ya Kaam Se AashiQui Karte The,
Hum Jeete Jee Masroof Rahe,
Kuch IshQ Kiya Kuch Kaam Kiya,

Kaam IshQ Ke Aare Aata Raha,
Aur IshQ Se Kaam Ulajhta Raha,
Phir Aakhir Tang Aa Kar Humne,
Dono Ko Adhura Chhod Diya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3567 on: April 11, 2009, 01:20:41 PM »
Mohabbat Mein Har Ek Lamha Wisl Karna Hai,
Ab Pyaar Tujhe Har Din Maah-O-Saal Karna Hai,

Aage Bhi Badhna Hai Aur Tum Ko Bhi Paana Hai,
Khudase Bas Ek Yehi Sawal Karna Hai,

Kami Hogi Na Agaz Ta Anjaam-E-Mohabbat,
Dekho Humne Ab Ye Kamal Karna Hai,

Dar Na Jaana Kahin Zamane Ki Gardishko Dekh Kar,
Sirf Raat Aur Sawereka Khayal Rakhna Hai,

Jitni Bhi Aayein Nafratein Raaste Mein Tumhare,
Be Khauf-O-Khatar Sabko Pa'emal Karna Hai,

Anjaam Is Tarah Se Ho Ke Rutt Hi Badal Jaye,
Bilal Ezaton Ka Bhi Anee Magar Khayal Karna Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3568 on: April 11, 2009, 01:21:02 PM »
Aaj Ujaale Ki Kiran Kho Gayi,
Zindagi Veeran Si Ho Gayi,
Gaye Wo Din,
Jab Humne Unse Ummid Rakhi Thi,
Aaj Ye Khoob Ho Gaya,
Ke Hamein Mohabbat Se Nafrat Ho Gayi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3569 on: April 11, 2009, 01:21:25 PM »
Tum Bin Kahin Qarar Na Aaye To Main Kya Karun,
Har Pal Teri Yaad Sataye To Main Kya Karun,

Sharab Chhuna Mere Liye Haraam Hai,
Lekin Teri Nigaah Pilaye To Main Kya Karun,

Surat Main Apni Bhool Gaya Tujhko Dekh Kar,
Har Aayine Mein Tu Nazar Aaye To Main Kya Karun...
Logged
Pages: 1 ... 234 235 236 237 [238] 239 240 241 242 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 29, 2024, 06:00:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.242 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer