Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 235 236 237 238 [239] 240 241 242 243 ... 273
Print
Author  (Read 132871 times)
angel4u
Guest
«Reply #3570 on: April 11, 2009, 01:21:51 PM »
Jab Meri Yaad Aaye To Rukna Mat,
Mere Paas Laut Aana,

Jab Raat Ka Diya Bujh Jaye,
Aur Kuch Saaf Nazar Na Aaye,
To Darna Mat,
Mere Paas Laut Aana,

Jab Bin Badal Barsat Ho Jaye,
Aur Tumhein Rasta Na Mil Paaye,
To Udaas Mat Hona,
Mere Paas Laut Aana,

Jab Saans Ki Dori Toote,
Aur Koi Apna Tumhe Loote,
To Maayus Mat Hona,
Tum Mere Paas Laut Aana,

Jab Dil Tumhara Toote,
Aur Kisika Saath Tumse Chhute,
To Aansu Mat Bahana,
Mere Paas Laut Aana,

Apni Khushi Se Chhod Ke Gayi Ho Tum,
Mere Jazbaat, Pyaar, Aitbaar,
Ko Tod Ke Gayi Ho Tum,
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aaye,
Aur Aankhein Tumhari Bhar Aayein,
To Sharminda Mat Hona,
Mere Paas Laut Aana,

Bas Itna Kehna Chahta Hoon,
Ke Hamesha Intezar Karunga,
Is Kaaynaat Se Zyada Pyaar Karunga,
Magar Jab Tumhe Meri Yaad Aaye,
To Rukna Mat,
Mere Paas Laut Aana...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3571 on: April 11, 2009, 01:22:15 PM »
Har Shakhs Majboori Tale,
Har Simt Mein Majbooriyan,
Mohabbaton Ke Bich Mein
Aur Chahaton Ke Darmiyaan,
Aye Sada Majboori,

Kyon Paas Ho Kar Faasle,
Ye Duri Ki Nazdeekiyan,
Hai Rooh Tak Bechain,
Sab Silsalonke Darmiyan,
Aye Sada Majbooriyan,

Jazbon Ki Ye Moon Zoorein,
Rishton Ki Kuch Kamzoriyan,
Badhte Kadam Rukte Kadam,
Har Ek Amal Ke Darmiyan,
Aye Sada Majbooriyan,

Kuch Aap Ki Naadaniyan,
Kab Tha Gila Tumse Magar,
Is Dilki Kuch Hairaniyan,
Haan, Tere Mere Darmiyan,
Aye Sada Majbooriyan...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3572 on: April 11, 2009, 01:22:45 PM »
Bahut Hi Yaad Aata Hai Mere Dilko Tadpata Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mujhko Rulata Hai,

Wo Mera Teri Aankhon Ke Samundar Mein Utar Jaana,
Aur Teri Muskurahat Ke Bhanwar Mein Doobte Jaana,

Teri Awaz Ke Seher Se Na Nikal Paana,
Tujhko Dekhna Aur Bekhudi Se Dekhte Jaana,

Bahut Chaha In Guzre Hue Lamhon Ko Na Sochun,
Na Teri Yaad Mein Reh Ke Tere Sath Ka Sochun,

Bhula Dun Saari Yaadon Ko Ke Jinse Dil Tadapta Hai,
Ke Jinse Thes Uthti Hai Ke Jin Se Dard Hota Hai,

Magar Jab Raat Aati Hai To Teri Yaad Aati Hai,
Tere Hi Khwaab Hote Hai Teri Hi Baat Hoti Hai,

To Tay Paaya Ab Mumkin Nahi Tujhko Bhula Dena,
Teri Yaad Mein Rehna Tujhe Hi Sochte Rehna,

Tujhe Jab Yaad Karte Hai To Dil Apna Tadapta Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mehsoos Hota Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3573 on: April 11, 2009, 01:23:40 PM »
Pehli Hi MulaQaat Mein,
Hum Dil To De Baithe,
Kya Pata Tha Aye Zalim,
Pyaar Bewafa Bhi Hota Hai,

Tumko Kya Pata
Ke Pyar Kya Chiz Hai,
Chaha Tha Tumse Kya,
Tumne Kya Sila Diya,
Mera Yaar Bewafa,

Gam Ke Aansu Behte Hai,
Toot Raha Hai Dil Har Pal,
Yeh Dard Tum Kya Jano,
Mere Yaar Bewafa,

Kehte Hai Pyaar Ek Hi Baar Htoa Hai,
Hum Apne Hisse Ka Pyar Kar Chuke,
Na Dohrayenge Is Galti Ko,
Na Ho Payenge Aur Kisi Ke,
Mere Yaar Bewafa,

Tumse Kya Karein Shikayat,
Samjha Tumne Hamein Kahan,
Pyar Kiya Tha Beshumar,
Paya Hai Sirf Humne,
Ek Bewafa Yaar...
[/color]
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3574 on: April 11, 2009, 01:27:27 PM »
Tumse Kabhi Kuch Kehne Ki Himmat Na Hui,
Tumko Bhulane Ki Bhi Kabhi Koshish Na Hui,
Tumse Mohabbat Thi, Hai Aur Rahegi,
Hamesha,
Par Tumse Izhaar Karne Ki Kabhi Ulfat Na Hui,
Kehte Hai Log Ke Pyaar Ko Aankhon Se Bhi Bayan Kiya Jaa Sakta Hai,
Par Tumko Kabhi Mere Aankhon Mein Dekhne Ki Fursat Na Hui,
Mere Pyaar Ka Mazak Bana Kar Ek Hasi Mein To Uda Diya,
Par Mere Aansu Ko Dekhneki Kabhi Jurrat Na Hui...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3575 on: April 11, 2009, 01:28:17 PM »
Pyaar Apna Aazma Kar Dekhiye,
Yaar Ke Kooche Mein Jaa Kar Dekhiye,

Kuch Nadaamat Chahiye Gar Aap Ko,
Aap Logonka Bhala Kar Dekhiye,

Ug Padenge Ye Zubaan Par Ek Din,
Raaz Seene Mein Daba Kar Dekhiye,

Inki Fitrat Hai Khushi Se Dushmani,
Gam Se Aankhein To Mila Kar Dekhiye,

Soch Ki Aandhi Uthegi Zehen Mein,
Yaad Ki Shamma Jala Kar Dekhiye,

Mere Gam Ka Ho Yehi Shayad Ilaaj,
Meri Janib Muskura Kar Dekhiye,

Baat Se Kab Haath Qismat Aayegi,
Maraka Koi Dikha Kar Dekhiye,

Roop Unka Samne Aa Jayega,
Doston Ke Kuch Gila Kar Dekhiye,

Thar Tharahat Maut Par Chha Jayegi,
Sir Sir-E-MaQtal Utha Kar Dekhiye,

Humne 'Ashraf' Ko Banaya Aaj Tak,
Aaj To Apna Bana Kar Dekhiye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3576 on: April 11, 2009, 01:28:43 PM »
Kaisa Kaisa Kaam Raha Tha,
Bas Haathon Mein Jaam Raha Tha,

Aur To Sab Kuch Bhool Gaye Hum,
Bas Tera Hi Naam Raha Tha,

Jiski Soorat Aam Hui Hai,
Wo Kitna Gumnaam Raha Tha,

Jab Bhi Kam Se Fursat Ho Li,
Phir Dekho To Kaam Raha Tha,

Itne Bekal Kyon Rehte Ho,
Ek Ye Bhi Ilzaam Raha Tha,

Yaad Na Aana Ab Tum Mujh Ko,
Maine Ek Ye Kaam Kaha Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3577 on: April 11, 2009, 01:29:20 PM »
Aaj Phir Dard Mein Mera Ye Dil Doob Gaya Hai,
Shayad Koi Dil Ka Tukda Pichhe Chhut Gaya Hai,

Jiske Haathon Ko Haath Mein Thame Chali Thi Main,
Wo Haath Aaj Mujhse Jaane Kahan Chhut Gaya Hai,

Jiske Paas Apne Pyaar Ka Khazana Thamaya Tha,
Wo Behroopi Aaj Mujhe Sar-E-Bazar Loot Gaya Hai,

Khile The Jo Phool Baharon Mein Pyaar Banke,
Aaj Wo Har Mausam Phool Apni Daali Se Toot Gaya Hai,

Durakhsha Aankhone Jo Khwab Sajaye The,
Aaj Wo Har Khubsurat Khwab Mera Toot Gaya Hai,

Jise Paane Par Apni Kismat Pe Naaz Hua Tha Kabhi,
Aaj Wahi Naseeb Uske Bina Mujhse Rooth Gaya Hai,

Jiske Waadon Pe Jaan Se Zyada YaQeen Tha Mujhko,
Aaj Wo Gazab Aayina Mere Aitbaar Ka Phoot Gaya Hai...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3578 on: April 11, 2009, 08:24:09 PM »

Mere Sabar Ka Na Le IMtihaan,
Meri KhaMoshiyon Ko Sada Na De,
Jo Tere Bagar Na Jee Sake,
Use Jeeneki Dua Na De,

Tu Azeez Dil-O-Nazar Se Hai,
Tu Kareeb Rag-O-Jaan Se Hai,
Mere JisM-O-Jaan Ka Ye Faasla,
Kahin Waqt Aur Badha Na De,

Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakun,
Tujhe Chah Kar Bhi Na Paa Sakun,
Meri Hasraton Ko ShuMaar Kar,
Meri Chahaton Ka Sila Na De,

Wo Tadap Jo Shula-E-Jaan Mein Thi,
Mere Tan Badan Se Ilpat Gayi
Jo Bujha Sake To Buja Ise,
Na Bujha Sake To Ise Hawa Na De,

Tujhe Ar Milein Kabhi Fursatein,
Meri ShaaM Phir Se Sanwaar De,
Gar Qatal Karna Hai To Qatal Kar,
Yun Judaiyon Ki Saza Na De...
* * * * *


Bahut Bahut Khoob!! Applause Applause Applause Applause
Thanks A lot For Sharing Angel.. icon_salut

Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3579 on: April 12, 2009, 01:24:45 AM »
Great sharing as always Angel..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3580 on: April 12, 2009, 03:53:46 AM »
Bahut Bahut Khoob!! Applause Applause Applause Applause
Thanks A lot For Sharing Angel.. icon_salut



Thanks a lot Khwaish Ji..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3581 on: April 12, 2009, 03:54:20 AM »
Great sharing as always Angel..

Thanks Aryaan...
Nice to see you here after such a long time.. Usual Smile
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3582 on: April 12, 2009, 11:52:22 PM »
Good ones as usual Angel Ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3583 on: April 13, 2009, 02:57:10 AM »
Thanks Rajesh Ji...
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3584 on: April 13, 2009, 04:32:49 PM »
nice collection and sharing angel
Logged
Pages: 1 ... 235 236 237 238 [239] 240 241 242 243 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 29, 2024, 05:30:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.195 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer