Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 236 237 238 239 [240] 241 242 243 244 ... 273
Print
Author  (Read 131173 times)
angel4u
Guest
«Reply #3585 on: April 13, 2009, 04:33:49 PM »
Thanks Vikas... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3586 on: April 14, 2009, 02:25:56 PM »
Meri Kaza Pe Wo Sangdil Jashn Manayega,
Masarratein Chirag Ko Wo Bedardi Se Jalayega,

Royegi Meri Rooh Zaar Zaar Tab Mere Maula,
Aur Wo Muskurake Ek Naya Jaam Uthayega,

Na Ayega Kabhi Wo Meri Majboor Mazaar Pe,
Apni Berukhi Se Wo Kuch Aur Mujhe Tadpayega,

Na Zindagi Na Maut Sukoon De Sakegi Tab,
Jab Wo Mere Kisse Hans Ke Dostonko Dohrayega,

Kya Mila 'Farhana' Tujhko Bewafa Pe Mar Mitke,
Kya Aisa Adhura Rishta Kabhi Pyaar Kehlayega...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3587 on: April 14, 2009, 02:26:14 PM »
Aankehin Teri Raahon Mein Bichhate Rahe,
Tere Intezaar Mein Hum Raah Sajate Rahe,

Shamma Bujh Na Payegi In Andheron Mein Kabhi,
Hum Jalate The Aur Tum Bujhate Hi Rahe,

Labon Ki Justuju Hai Chhune Ki Tamanna,
Hum Paas The Aur Tum Door Jaate Hi Rahe,

Hum Sab Se Kehte Nahi Apna Haal-E-Dil Magar,
Hum Rote The Aur Tum Rulate Hi Rahe...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3588 on: April 14, 2009, 02:27:46 PM »
Khalish Seene Ki Din-Raat Jalati Hai,
Kashmaksh Raaton Ki Neend Bhi Kha Jati Hai,
Kahin Kio Manzil Nazar Aati Nahi,
Bas Jazbaaton Ke Shor Mein Aankh Khul Jaati Hai,

Vyakul Mann Uske Diye Dard Mein Rota Hai,
Karvatein Badal Badal Ke Is Shab Ko Dhota Hai,
Nam Aankhon Mein Dard Bhi Bheeg Bheeg Jaata Hai,
Uff Magar Gam Ka Paimana Khali Na Ho Pata Hai,

Meri Bechaini Har Pal Kaanto Pe Chalti Hai,
Tapish Zakhmo Ki Labon Se "AAH" Banke Nikalti Hai,
Band Karte Hi Aankhon Mein Simat To Jata Hai Gam,
Magar Sakoon Saanso Ko Kahan Mil Paata Hai,

Bin Aahat Kiye Gam Chala To Aata Hai,
Kya Jaanu Kis Mod Par Mujhse Naata Jod Laata Hai,
Dil Zaar-Zaar Ho Jaata Hai Iske Humsafar Mein,
Magar Kya Majaal Ke Ye Gam Kabhi Mujhko Chod Paata Hai,

Ha-Ha-Kaar Kar Uthta Hai Har Dil Ka Kona,
Masoom Rukhsaron Pe AshQ Dhalak Jaata Hai,
Kaise Khud Ko Sambhalun Yaaron,
Gam-E-Lashkar Ka Sabr-E-Pyaala Bhar Jaata Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3589 on: April 14, 2009, 02:28:29 PM »
Aksar Khwab Aa Jaate Hai,
Mujhko Tadpa Jaate Hai,
Kisko Main Humraaz Banaun,
Sab Se Dhoka Khaa Jaate Hai,
Milne Aate Hai Rozana,
De Kar Zehem Naya Jaate Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3590 on: April 14, 2009, 02:29:44 PM »
Samunar Ki Gehrayi Mein Utar Ke To Dekho,
Ek Aur Naye IttefaaQ Se Guzar Ke To Dekho,

Lehron Ki Awaz Bhala Kehti Hai Kya,
Kabhi Un Mein Jaakar Simat Kar To Dekho,

Sahil Ke Kinare Par Khamoshi Hai Bahut,
Dilki Dhadkan Se Ye Puchh Kar To Dekho,

Wo Jo Ek Shakhs Tanha Dikhayi Deta Hai,
Kaho Usse Jaakar Zara Sambhal Ke To Dekho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3591 on: April 14, 2009, 02:30:08 PM »
Dilki Baat Labon Par Laa Kar Ab Tak Hum Dukh Sehte Hai,
Humne Suna Tha Is Basti Mein Dilwale Bhi Rehte Hai,

Beet Gaya Sawan Ka Maheena, Mausan Ne Nazrein Badli,
Lekin In Pyaari Aankhon Se Ab Tak Aansu Behte Hai,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Wale Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehte Hai,

Jinki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jinke Liye Badnaam Hue,
Aaj Wohi Humse Begaane Begaane Se Rehte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3592 on: April 14, 2009, 02:30:27 PM »
Meri Sab Wafayein Tumhare Liye,
Mere Ehad-O-Paiam Tumhare Liye,
Meri Sab Adayein Tumhare Liye,
Meri Sab Jafayein Tumhare Liye,
Meri Raaton Ki Neendein Tumhare Liye,
Meri Ratjagein Bhi Tumhare Liye,
Dhadakta Hai Dil Ye Tumhare Liye,
Meri Nass Nass Mein Chahat Tumhare Liye,
Meri Saanson Ki Garmi Tumhare Liye,
Mere Honthon Ki Narmi Tumhare Liye,
Hai Phoolon Mein Khushbu Tumhare Liye,
Hai Taaron Ki Jhilmil Tumhare Liye,
Meri Zindagi Ab Tumhare Liye,
Meri Har Khushi Ab Tumhare Liye,
Tu Hai Bani Sirf Mere Liye
Main Hoon Bana Sirf Tumhare Liye,
Haan!!!!! Sirf Tumhare Liye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3593 on: April 14, 2009, 02:32:32 PM »
Phir Aaj Woh Bhooli Kahani Yaad Aati Hai,
Tumhare Sath Guzri Zindagani Yaad Aati Hai,

Tumhe Bhule Hue Bhi Ek Zamana Ho Gaya Lekin,
Jhalak Jaati Hai Aankhein Jab Purani Yaad Aati Hai,

Wo Jis Mein Markazi Kirdar Hasil Tha Kabhi Mujhko,
Main Jitna Bhulti Hoon Wo Kahani Yaad Aati Hai,

Mere Dilko Gam-E-Duniya Ki Daulat Bakshnewale,
Mujhe Reh Reh Ke Teri Meherbaani Yaad Aati Hai,

Ujadte Dilki Duniya Dekhna Khamosh Reh Jaana,
Abhi Tak Doston Woh Bezubaani Yaad Aati Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3594 on: April 14, 2009, 02:32:59 PM »
Koi Lamha Bhi Kabhi Laut Kar Nahi Aaya,
Wo Shakhs Aisa Gaya Phir Nazar Nahi Aaya,

Wafa Ke Dasht Mein Rasta Nahi Mila Koi,
Siwaye Gard-E-Safar Humsafar Nahi Aaya,

Kisi Chirag Ne Puchhi Nahi Khabar Meri,
Koi Bhi Phool Mere Naam Par Nahi Aaya,

Palat Kar Aane Lage Shaam Ke Parinde Bhi,
Hamara Subah Ka Bhoola Magar Nahi Aaya,

Hamein YaQeen Hai Wo Wafa Khilaaf,
Ye Umar Kaise Kategi Aur Nahi Aaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3595 on: April 14, 2009, 02:33:22 PM »
Pyar Mein Humne Kya Paya Tha, Chodo Ye Sab Jaane Do,
Kya Samjhayein Kya Kissa Tha, Jo Bhi Tha Ab Jaane Do,

Nazrein Sab Kehti Sunti Thi, Hum Dono Chup Rehte The,
Do Nazron Ka Aisa Naata Toota Tha Kab, Jaane Do,

Hum Apne Man Bhed Batate Par Tumne Kab Dhyaan Diya,
Honthon Ko Humne Jab See Dala, Aaye Ho Tab Jaane Do,

Sannate Kehte Hai Mujhse, Jaao Jaake So Jao,
Koi Nahi Hai Aane Wala, Beet Gayi Shab Jaane Do,

Pyaar Mein Humne Kya Paaya Tha, Chhodo Ye Sab Jaane Do,
Kya Samjhayein Kya Kissa Tha, Jo Bhi Tha, Ab Jaane Do...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3596 on: April 14, 2009, 02:34:13 PM »
Mohabbat Mein Kuch Aise Bhi Dilon Ke Haal Hote Hai,
Khafa Ho Jinse Unhi Ke Khayal Hote Hai,

Machalte Rehte Hai Zehno Mein Waswason Ki Tarah,
Haseen Log Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hai,

Main Dilke Zakham Chhupaun Teri Tarah Kaise,
Ke Tere Paas To Lafzon Ke Jaal Hote Hai,

Bas Ek Tu Hi To Nahi Sabab Udaasi Ka,
Tarah Tarah Ke Dilon Ke Malaal Hote Hai,

Siyaan Raat Mein Jalte Hai Jugnuon Ki Tarah,
Dilon Ke Zakhm Bhi Kitne Kamaal Hote Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3597 on: April 14, 2009, 02:36:25 PM »
Khushgawaar Mausam Ki,
Khushgawaar Yaadein Hai,
Tere Sang Beeti Hui,
Beshumaar Shaamein Hai,

WaQt Udta Panchhi Hai,
Haath Mein Nahi Aata,
Khushgawar Lamhon Ki,
BeQarar Yaadein Hai,

Din Ki Roshni Hogi,
Subah Hum Bhi Dekhenge,
Abhi Meri Aankhon Mein,
Beshumaar Raatein Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3598 on: April 14, 2009, 05:02:28 PM »
Jab Koi Zikr Ho Judayi Ka,
Ya Kisiki Bewafayi Ka,

Ya Mausam Ek Dam Badle,
Koi Awara Badal Achanak Barse,

Koi Mile Ya Phir Bichhde,
Jab Koi Ajnabi Hans Ke Bole,

Pyaar Jaate Jhuth Bole,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,

Jab Saans Ki Dor Kahin Toote,
Jab Koi Kisiko Tanha Chhode,

Dil Kisika Toote,
Koi Bich Majhdhaar Tanha Jab Kisiko Chhode,

Jab Naav Kisiki Doobe,
Jab Bhi Aas Kisi Ki Toote,
Haan Sach,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3599 on: April 14, 2009, 05:02:54 PM »
Usne Jaane Ki Kahi Ho Jaise,
Koi Aandhi Si Chali Ho Jaise,

Aaj Kuch Aisi Thakan Hai Mujhko,
Raat Aankhon Mein Kaati Ho Jaise,

Phir Meri Aankh Se Aansu Tapka,
Koi Ummid Bandhi Ho Jaise,

Aaj Hansne Ko  Bahut Jee Chahe,
Dil Ke Ek Chot Lagi Ho Jaise,

Tujhse Milkar Ye Hua Hai Mehsoos,
Zindagi Aaj Mili Ho Jaise...
Logged
Pages: 1 ... 236 237 238 239 [240] 241 242 243 244 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 07:45:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.158 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer