Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27 28 29 ... 273
Print
Author  (Read 132842 times)
angel4u
Guest
«Reply #360 on: February 15, 2007, 05:10:13 PM »

Benaam Sa Ye Dard Thaher Kyon Nahi Jaata,
Jo Beet Gaya Hai Wo Guzar Kyon Nahi Jaata,

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Hai Nigahein,
Kya Baat Hai Main WaQt Pe Ghar Kyon Nahi Jaata,

Wo Ek Hi Chehra To Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Wo Dilse Utar Kyon Nahi Jaata,

Main Apni Hi Uljhi Hui Raahon Ka Tamasha,
Jaate Hai Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jaata,

Wo Naam Jo Barso Se Na Chehra Na Badan Hai,
Wo Khwab Agar Hai To Bikhar Kyon Nahi Jaata...
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #361 on: February 15, 2007, 06:11:59 PM »
very  nice sharing Husena..........   awesome  collection......
Logged
angel4u
Guest
«Reply #362 on: February 16, 2007, 05:48:14 PM »
Thanks motuuuuuuuuuuuuuu
pink sandh tongue3
Logged
angel4u
Guest
«Reply #363 on: February 16, 2007, 05:53:21 PM »

Is Tarah Mile Ho Tum
Jaise Tareek Raahon Pe,
Koi Diya Ho Madham Sa,
Jiski Roshni Mein Khud Ko
Dekh To Sakta Hoon Magar,
Ye Roshni Ka Safar,
Shayad Mera Humsafar Na Ho,
Shayad Ke Tera Milna Kabhi Bhi
Meri Zindagi Ka Mukaddar Na Ho,
So Aaj Inhi Lamhon Mein
Luta Dun Jitni Chahatein Hai,
Mere Dilke Har Ek Kone Mein
Jitni Ankahi Baatein Hai,
Phir Kal Fursat Mile Ya Nahi,
Jis Tarah Saji Hai Aaj Apni Mehfil,
Phir Ye Bazm Kabhi Saje Ya Nahi,
Kyon Ke Main Janta Hoon,
Meri Natamaam Khwahishon Mein Ab
Tumhe Bhi Shamil Hona Hai,
Aaj Paya Hai Tumhe Mukaddar Se,
Kal Ki Tarah Tumhe Khona Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #364 on: February 16, 2007, 05:55:17 PM »

Jab Dhoop Dhal Jayegi Jana,
Jab Parinde Chhod Kar Aashiyan Apna
Nayi Aor Kuch Karenge,
Ped Ke Saare Patte Tinka Tinka Hokar
Khizaan Ka Ailan Karenge,

Jab Barf Sa Ho Jayega Sara Manzar,
Aur Chhayega Gum Ka Badal,
Aise Mein Chupke Se Aakar,
Main Tumko Hasaungi
Tumhe Main Yaad Aungi,

Khuli Khidkiyon Se Bhi Jab
Ghutan Kam Nahi Hopayegi,

Tanhayi Tumhara Dar Khat Khatayegi,
Jab Sawan Jhoom Ke Barsega
Tumhara Dil Bhi Tarsega,
Jab Ye Matlab Parast Duniya
Tumhe Chhod Jayegi
Tumhe Main Yaad Aungi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #365 on: February 16, 2007, 05:56:44 PM »

Phir Wohi Shor Hai Hungama Hai
Zindagi Phir Se Chal Padi Hai
Usi Namaalum Simat Mein
Lekin Yeh Kis Gham Ki Mehak Hai
Meri Har Khushi Mein?
Kyu Nikal Aate Hain Mere Aansoo
Hanste Hanste
Kahin Yeh Ehsaas To Nahin
Unhi Yaadon Ka
Jise Chhod Diya Hai Tune
Meri Rooh Ki Gehrayi Mein?
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #366 on: February 18, 2007, 09:07:10 PM »

Mustakil Is Jahan Mein Tum Bhi Nahi,
Mustakil Is Jahan Mein Hum Bhi Nahi,
Na Masarrat Hi Mustakil Hai Yahan,
Mustakil Is Jahan Mein Gam Bhi Nahi,
Phir Adawat Bhi Mustakil Kyon Ho,
Aao Kuch Is Tarah Na Kar Dekhein,
In Andheron Mein Roshni Kar Le
Aao Dosti Kar Le, Aao Dosti Kar Le...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #367 on: February 18, 2007, 09:07:51 PM »

Bas Ek Jhijhak Hai Yahi Haal-E-Dil Sunane Mein
Ki Tera Zikr Bhi Aayega Is Fasaane Mein

Baras Padi Thii Jo Rukh Se NaQaab Uthane Mein
Vo Chandni Hai Abhi Tak Mere Gareeb-Khaane Mein

Isi Mein IshQ Ki Qismat Badal Bhi Sakti Thi
Jo WaQt Beet Gaya Mujh Ko Aazmaane Mein

Ye Keh Ke Toot Pada Shaakh-E-Gul Se Aakhri Phool
Ab Aur Der Hai Kitni Bahaar Aane Mein
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #368 on: February 18, 2007, 09:13:03 PM »

Dil Ki Meri BeQarari Mujhse Kuchh Puchho Nahi,
Shab Ki Meri Aah-O-Zaari Mujhse Kuch Puchho Nahi,

Baar-E-Gam Se Mujh Pe Roz-E-Hijr Mein Ek Ek Ghadi,
Kya Kahun Hai Kaisi Bhaari Mujhse Kuch Puchho Nahi,

Meri Surat Hi Se Bas Malum Kar Lo Doston,
Tum HaQeeQat Meri Saari Mujhse Kuchh Puchho Nahi,

Shaam Se Taa-Subah Jo Bistar Pe Tum Bin Raatko,
Maine Ki Akhtar-Shumaari Mujhse Kuchh Puchho Nahi,

Aye Sanam Jo Haal Hai Mera Karungi Gar Bayan,
Hogi Unki Sharm-Saari Mujhse Kuch Puchho Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #369 on: February 18, 2007, 09:14:07 PM »

Dareeche Se Jhankti Wo Ladki Ajab Dukh Se Bhari Hui Hai,
Ke Uske Aangan Mein Phool Par Ek Titli Mari Hui Hai,

Kabhi Azano Mein Khoyi Khoyi, Kabhi Namazon Mein Royi Royi,
Wo Aise Duniya Ko Dekhti Hai Ke Jaise Usse Dari Hui Hai,

Dard Se Mehki Mehki Saansein, Wazeefa Padhti Hui Wo Aankhein,
Ke Wo Shama Ummid Inmein Kayi Baras Se Dhari Hui Hai,

Wo Dukh Ki Chadar Mein Lipti Lipti, Wo Kaale Kapdon Mein Simti Simti,
Mohabbat Usne Kisi Se Shayad Meri Tarah Hi Kari Hui Hai,

Bade Zamano Ke Baad Barsi Hai Meri Aankhein Kisi Ki Khatir,
Bade Zamano Ke Baad Dil Ki Zameen Phir Se Hari Hui Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #370 on: February 18, 2007, 09:15:29 PM »

Ek Dafa
Wo Mujhse Lipat Kar
Kisi Dusre Shakhs Ke Gam Mein
Phoot Phoot Kar Roye The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #371 on: February 18, 2007, 09:17:45 PM »

Titliyon Ke Mausam Mein Nochna Gulabon Ka,
Reet Is Nagar Ki Hai Aur Jane Kab Se Hai,
Dekh Kar Parindon Ko Bandhna Nishano Ka,
Reet Is Nagar Ki Hai Aur Jaane Kab Se Hai...

Tum Abhi Naye Ho Na Isliye Pareshan Ho,
Aasman Ki Jaanib Tum Is Tarah Se Mat Dekho,
Aafatein Jab Aani Ho Tootna Sitaron Ka
Reet Is Nagar Ki Hai Aur Jaane Kab Se Hai...

Dekho In Bashindo Ko Nafraton Ko Bo Kar Jo,
Intezar Karte Hai Fasal Ho Mohabbat Ki,
Chhod Kar HaQeeQat Ko Dhundna Saraabon Ka
Reet Is Nagar Ki Hai Aur Jaane Kab Se Hai...

Ajnabi Fizaon Mein Ajnabi Musafir Se,
Apne Har UQ Ko Da-E-Mi Samajh Lena,
Aur Jab Bichhad Jana Mangna Duwaon Ka,
Reet Is Nagar Ki Hai Aur Jaane Kab Se Hai...

Khamoshi Mere Sheva Guftagu Hunar Unka,
Meri Begunahi Ko Log Kaise Manenge,
Baat Baat Par Jab Mangna Hawalon Ka,
Reet Is Nagar Ki Hai Aur Jaane Kab Se Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #372 on: February 19, 2007, 06:08:02 PM »

Mere Maula Ye Haseen Haath Salamat Rakhna
Aisa Lagta Hai Jo Ye Haath Dua Ko Uthein
Khud Farishte Chale Aate Ho Zameen Ki Janib
Sonp Ker Marmareen Haathon Ki Hatheli Ko Heena
Jo Bhi Manga Ho Wo Chupchap Diye Jate Ho
Mere Maula Ye Haseen Haath Salamat Rakhna
In Ki Khushbu Se Moattar Hai Mera Sara Wajood
Inhi Hathon Mein Mere Khuwab Chupe Hain Maula
Ungliyan Mujh Ko Mohabbat Mein Bhigo Deti Hain
Inhi Poron Ne Meray Dard Chune Maula
In Ki Rug Rug Mein Mohabbat Hi Mohabbat Rakhna
Mere Maula Ye Haseen Haath Salamat Rakhna

Inhi Haathon Ki Lakeeron Mein MuQaddar Hai Mera
Ye Jo Kone Mein Sitara Hai Sikandar Hai Mera
Khwaab Se Naram Khayalon Ki Tarah Nazuk Hain
In Ke Har Lams Mein Mere Liye Chahat Rakhna
Mere Maula Ye Haseen Haath Salamat Rakhna
Mere Maula Ye Haseen Haath Salamat Rakhna
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #373 on: February 19, 2007, 06:10:31 PM »

Izzaton Se Badh Kar To Aur Kuch Nahi Hota
Chahto Ki Dori Bhi,
Todni Hi Padti Hai,
Manzilon Ki Kashti Bhi,
Modni Hi Padti Hay
Bhoolna Hi Padta Hai,
Khud Se Pyaare Logon Ko
Aur Dil Ke Aangan Mein,
NaQsh Un Ki Tasweerein
Kuch Haseen Lafzon Ki,
Kuch Haseen Tehreerein
Paanv Jin Mein Jakdein Ho,
Kholni Hi Padti Hain
Khoobsurat Aankhon Mein Basne Wale Khawbon Ko
Nochne Hi Parte Hai,
Dil Se Milta Her Rishta Todna Hi Padta Hai......
Kyun Ke......
Izzaton Se Badh Kar To Aur Kuch Nahi Hota!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #374 on: February 19, 2007, 07:01:29 PM »

Ajnabi Si Raahon Ka,
Ajnabi Musafir Ek,
Mujhse Puchh Baitha Hai,
Raasta Bata Doge,
Ajnabi Si Raahon Ke
Ajnabi Musafir Sun,
Raasta Koi Bhi Ho,
Waasta Koi Bhi Ho,
Manzilein Nahi Milti,
Manzilein To Dhoka Hai,
Manzilein Gar Mil Jayein,
To Justajoo Nahi Rehti
Zindagi Ko Jeene Ki
Aarzu Nahi Rehti...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27 28 29 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 27, 2024, 04:54:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer