Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 237 238 239 240 [241] 242 243 244 245 ... 273
Print
Author  (Read 132870 times)
angel4u
Guest
«Reply #3600 on: April 14, 2009, 05:03:27 PM »
Koi Hasrat Bhi Nahi, Koi Tamanna Bhi Nahi,
Dil Wo Aansu Jo Kisi Aankhse Chhalka Bhi Nahi,

Rooth Ke Baith Gayi Himmt Dushwar Pasand,
Raah Mein Ab Koi Jalta Hua Sehra Bhi Nahi,

Aage Kuch Log Hamein Dekh Ke Hans Dete The,
Ab Ye Aalam Hai, Koi Dekhne Wala Bhi Nahi,

Dard Wo Aag Ke Bujhti Nahi, Jalti Bhi Nahi,
Yaad Wo Zakham Ke Bharta Nahi, Rishta Bhi Nahi,

Baad-Baan Khol Ke Baithe Hai Safeeno Wale,
Par Utarne Ke Liye Halka Sa Jhonka Bhi Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3601 on: April 14, 2009, 05:06:18 PM »
Har Khushi Mein Koi Kami Si Hai,
Hansti Aankhon Mein Bhi Nami Si Hai,

Din Mein Chup Chap Sar Jhukaye The,
Raat Ki Nabz Bhi Thami Si Hai,

Kisko Samjhayein Kiski Baat Nahi,
Zehen Aur Dil Mein Phir Thani Si Hai,

Khwab Tha Ya Gubar Tha Koi,
Gard In Palkon Pe Jami Si Hai,

Keh Gaye Hum Kisse Dilki Baat,
Sheher Mein Ek Sansani Si Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3602 on: April 14, 2009, 05:06:43 PM »
Tu Mujhe Samajh Na Paaya Tujhse Koi Gila Nahi,
Bas Itna Jaan Liya Maine Tu Apni Qismat Tha Nahi,

Tujhko Toot Kar Chaha Maine Ye Sitam Kya Kam Hua,
Tune Chhuda Liya Daman Ab Rone Ka Faayda Nahi,

Tum Khush Raho Jidhar Raho Dilki Ye Aarzu Hai,
Teri Galiyon Se Mera Ab Waasta Raha Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3603 on: April 14, 2009, 05:07:39 PM »
Mere Dil Mein Kyon Chubhta Sa Ehsaas Hai,
Main Hoon Tanha Yahan Tu Kisi Aur Ke Paas Hai,

Tanha Hai Ye Raatein, Doobi Hui Har Aas Hai,
Judayi Ke Is Daur Mein Har Lamha Kyon Udaas Hai,

Har Ek Pal Daste Hue Guzar Gaya Tere Intezaar Mein,
Bechain Dilko Nahi Qarar, Teri Chahat Ki Bas Pyaas Hai,

WaQt Ki Aandhi Uda Le Gayi Har Ek Yaad Teri,
Phir Yaadon Ke Ye NaQoosh Kyon Mere Paas Hai?

Aankhein Rahi Muntazir Aru Ye Jism Zinda Laash Hai,
Saya Bhi Chhod Gaya Sath, Sirf Teri Yaadein Aas Paas Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3604 on: April 14, 2009, 05:08:23 PM »
Tumse Bichhde Saal Hua Hai,
Dekho Kaisa Haal Hua Hai,

Rooth Gaye Hai Sapne Saare,
Khushiyon Ka To Akaal Hua Hai,

Teri Chah Mein Jeevan Apna,
Sookhe Ped Ki Daal Hua Hai,

Apno Ki Har Mehfil Ab To,
Saazish Ka Ek Jaal Hua Hai,

Kab Se Takte Takte Raasta,
Tanha Deep Nidhal Hua Hai,

Hijr Ki Tapti Dhoop Mein Basa,
Kiska Aanchal Dhaal Hua Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3605 on: April 14, 2009, 05:08:50 PM »
Ek Baar Tum Aao,
Ke Khwab Bahut Se Hai,
Betaab Nigahon Mein,
Neendon Ki Khamoshi Mein,
Honthon Ki Pakhroo Par,
Kuch Ankahi Baatein,
Kuch Khwab Hai Andekeh,
Guzre Hue Mausam Ki,
Ek Yaad Ka Saya Hai,
Kya Humne Tumhe Khoya Hai,
Kya Humne Tumhe Paaya Hai,
Ek Baat Jo Dil Mein Hai,
Wo Baat Batani Hai,
Ek Baar To Aao Tum...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3606 on: April 15, 2009, 05:05:03 PM »
Tumhari Yaad Aa Rahi Hai, Pal Pal Rula Rahi Hai,
Meri Tanhayi Bhi Aaj Bahut Sata Rahi Hai,

Raaste Bhi Hai Ab Sune, Dar Bhi Hai Veeran,
Khamoshi Bhi Aaj Tumko Khud Hi Pukar Rahi Hai,

Tumhari Har Baat Se Mehsoos Kuch Yun Hota Hai,
Jaise Kisi Phool Ki Khushbu Sara Alam Mehka Rahi Hai,

Tumhari Yaadon Ke Sahare Din Raat Guzarte Hai,
Jasie Andhere Mein Kahin Roshni Jagmaga Rahi Hai,

Qadam Qadam Par Mujhko Ehsaas Yeh Hota Hai,
Jaise Koi Manzil Khud Mujhe Bula Rahi Hai,

"RUKH" Ab To Aksar Mujhe Ghuman Kuch Yun Hota Hai,
Hawa Bhi Jaise Usse Mil Kar Paigam Wafa Ke Laa Rahi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3607 on: April 15, 2009, 05:05:21 PM »
Kitne Qarb Ka Lamha Tha Meri Zindagi Ka,
Raah-E-Wafa Mein Jab Dost Bhi Ajnabi Hogaya,

Basaya Tha Uske Yaadon Ka Pur Hool Samundar Dil Mein,
Ek Hi Pal Mein Wo Usko Sehra Kar Gaya,

Sadiyon Se Chaha Tha Jise Maine,
Jaane Kyon Ab Wo Begana Ho Gaya,

Mere Liye To Ek HaQeeQat Hai Wo Lekin,
Main Uske Liye Ek Afsana Ho Gaya,

Basi Hai Uski Chahatein Mere Dil Mein Abhi Tak,
Wahi Meri Nafraton Mein Deewana Ho Gaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3608 on: April 15, 2009, 05:05:52 PM »
Ek Umr Ke Baad Usko Dekha,
Aankhon Mein Sawal The Hazaron,
Honthon Pe Magar Wohi Tabassum,
Chehre Pe Likhi Hui Udaasi,
Awaz Mein Gunjti Judayi,
Baanhein Thi Magar Wasal-E-Samaa,
Simti Hui Uske Baazuon Mein,
Ta Der Sochti Rahi Thi,
Kisi Abr-E-Guraiz Paa Ki Khatir,
Main Kaise Shajar Se Kati Rahi Thi,
Kis Chhanv Ko TarQ Kar Diya Tha,
Main Uske Gale Lagi Hui Thi,
Wo Ponchh Raha Tha Aansu Mere,
Lekin Bahut Der Ho Chuki Thi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3609 on: April 15, 2009, 05:06:28 PM »
Apne Haathon Se Yun Chehre Ko Chhupate Kyon Ho,
Mujhse Sharmate Ho To Samne Aate Kyon Ho,

Tum Kabhi Meri Tarah Kar Bhi Lo IQraar-E-Wafa,
Pyaar Karte Hoto Phir Pyaar Chhupate Kyon Ho,

AshQ Aankhon Mein Mere Dekh Ke Rote Kyon Ho,
Dil Bhar Aata Hai To Phir Dilko Dukhate Kyon Ho,

Inse Wabasta Hai Jab Mera MuQaddar Phir Tum,
Mere Shaano Se Ye Zulf Hatate Kyon Ho,

Roz Mar Mar Ke Mujhe Jeene Ko Kehte Kyon Ho,
Milne Aate Ho To Phir Laut Ke Jaate Kyon Ho,

Apne Haathon Se Yun Chehre Ko Chhupate Kyon Ho,
Mujhse Sharmate Ho To Saamne Aate Kyon Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3610 on: April 15, 2009, 05:07:06 PM »
Yeh Dua Hai Ke Aatish-E-IshQ Mein Tu Bhi Meri Tarah Jala Kare,
Na Naseeb Ho Tujhe Baithna, Tere Dil Mein Bhi Dard Utha Kare,

Tera Ghar Jale Na Tera Bas Chale Na Tu Usko Bujha Sake,
Phir Tu Sachhe Dil Se Dua Kare Ke Ghar Na Kisika Jala Kare,

Jo Kisika Dil Dukhega Wo Zaroor Zarrar Uthayega,
Is Duniya Se Tadapta Jayega Jo Mil Kar Kisise Daga Kare,

Khuda Kare Ke Wo Din Aaye Tu Jee Na Sake Ek Pal Mere Bin,
Tu Gale Lage Main Pichhe Hatun Aur Tu Minnatein Kiya Kare...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3611 on: April 15, 2009, 05:08:09 PM »
Ek Shayar Jo Maine Dekha,
Tha Uska Haal Aisa,
Baal Bikhre Pade The,
Chehra Gard Se Aata Tha,
Panv Mein Juta Bhi Phata Tha,
Zehen Khayalat Mein Baitha Tha,
Pehna Tha Kurta Purana,
Naak Pe Ainek Ko Tha Bithana,
Ek Shayar Jo Maine Dekha,
Tha Uska Haal Aisa,
Tha Kala Kot Aisa,
Hitler Ke Zamane Mein Tha Jaise,
Ek Piece Hi Bach Gaya Tha,
Jo Galti Se Shayad Mila Tha,
Kitabon Ki Thi Bori,
Ek Qalam Kiya Tha Chori,
Usse Shayri Kar Raha Tha,
Khat Mein Apna Gam Bhar Raha Tha,
Khat Mein Pata Likha "Awara"
Na Majhdhar Ka Hai Dhara,
Na Dariya Ka Kinara,
Ek Pyaar Ka Hai Mara,
Jo Pani Pita Hai Khara,
Shayri Hai Jiska Sahara,
Use Zindagi Ne Dukh Deke Maara,
Ek Asman Se Tuta Hua Tara,
Wo Hai Shani Gum Nam Shayar Bechara...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3612 on: April 15, 2009, 05:10:27 PM »
Jab Din Guzar Rahe The,
Hum Tumse Keh Rahe The,
Mushkil Hai Ab Bichhadna,
Ab Door Tumse Rehna,
Tum Sunkar Hans Diye The,
Aur Humse Ye Kaha Tha,
Ke Hum Tumko Bhool Jayein,
Tumko Na Yaad Aayein,

Sunkar Tumhari Baatein,
Hum Chup Se Ho Gaye The,
Par Tum Bichhad Gaye The,

Tumse Bichhad Kar Hum Bhi,
Har Lamha Gin Rahe The,
Mausam Badal Rahe The,
Hum The Ke Jal Rahe The,
Baarish Ka Pehla Qatra
Jab Bhi Gira Zameen Par,
Humko Yun Lag Raha Tha,
Ke Jungle Pighal Raha Tha,
Har Saans Thi Ke Sakit,
Khushbu Bhi Aur Hi Thi,
Aur Aasman Bhi Veeran,
Aur Rang Bujh Rahe The,

Phir Din Guzar Gaye The,
Phir Dil Behel Rahe The,
Hum Ho Gaye The Aadi,
Duniya Ki Mehfilon Ke,

Ab Phir Se Mil Gaye Ho,
Ab Humse Keh Rahe Ho,
Mushkil Hai Ab Bichhadna,
Ab Door Tumse Rehna,

Ab Din Guzar Gaye Hai,
Ab Khushbu Nahi Rhai Hai,
Hai Aasman Bhi Roshan,
Aur Rang Jal Rahe Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3613 on: April 15, 2009, 05:11:16 PM »
Tum Bin Guzar To Jayegi Zindagi,
Par Main Jee Na Paunga Tum Bin,

Hazaron Sitaron Ki Bhid Mein Bhi Dekho,
Ye Chaand Kitna Tanha Hai Tum Bin,

Rahun Kahin Bhi, Kisike Sath Bhi,
Par Main Hamesha Udaas Hoon Tum Bin,

Agar Charagon Ki Roshni Mein Hoon Main,
Par Meri Zindagi Mein Andhera Hai Tum Bin,

Baharon Ka Mausam To Hai Gulshano Mein,
Par Phoolon Mein Khushbu Nahi Hai Tum Bin,

Is Hansi Ke Kehkahon Mein Dekho,
Mera Dil Ro Raha Hai Tum Bin,

Mera Sab Kuch To Tum Ho,
Main To Kuch Bhi Nahi Hoon Tum Bin...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3614 on: April 15, 2009, 05:11:50 PM »
Hijrat Ka Koi Daag Bhi Mann Mein Nahi Rakha,
Humne To Kisi Ram Ko Bann Mein Nahi Rakha,

Wo Phool Jo Khushbu Ki Tijarat Mein Magan The,
Humne Unhe Phir Apne Chaman Mein Nahi Rakha,

Bistar Pe Tadapte Rahe Hum Maahi-E-Beaab,
Phir Wasl Ka Kaanta Bhi Badan Mein Nahi Raha,

Jis Lafz Se Padt Ho Sama-At Mein Kharash,
Us Lafz Ko Phir Humne Sukhan Mein Nahi Rakha...
Logged
Pages: 1 ... 237 238 239 240 [241] 242 243 244 245 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 29, 2024, 02:51:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer