Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 238 239 240 241 [242] 243 244 245 246 ... 273
Print
Author  (Read 131163 times)
angel4u
Guest
«Reply #3615 on: April 15, 2009, 05:13:22 PM »
Pyaar Bahut Hai Tumse Jaana, Par Izhar Nahi Karte,
Meri Chup Se Ye Nahi Samajhan, Tumse Pyaar Nahi Karte,

Apni Aankhein To Har Lamha, Teri Raah Hi Takti Hai,
Aur Tum Pagal Ye Kehte Ho Hum Intezar Nahi Karte,

Tum Kaho To Sab Kcuh Apna Sonp Dun Tumko Lamho Mein,
Jitna Tum Pe Hai Bharosa Hamein, Khud Pe Bhi Yaar Nahi Karte,

Dard Dil Ko Aise Mile Hai, Roti Rehti Hai Ankhein,
Warna Hum Sab Seh Lete, Aankhein AshQ Baar Nahi Karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3616 on: April 15, 2009, 05:13:48 PM »
Jab Se Shuru Hua Ye Safar-E-Judayi Har Koi Begana Sa Lagne Laga Hai,
Tumne Chhoda Sath Mera Har Chaman Veeran Sa Lagne Laga Hai,

Teri Yaadon Mein Aankehin Nam Aur Bhi Purnam Purnam,
Teri Hijr Jala Apna Aashiyana Sa Laga Hai,

Hayat Rawan Rawan Hai FaQt Teri Chahat Ke Sahare,
Gar Aaj Ghar Apna Kuch Veeran Sa Lagne Laga Hai,

Teri Doori Se Zakhm Dil Tar Taar Hai,
Kahin Bhi Marham Na Mila Dushman Zamana Sa Lagne Laga Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3617 on: April 17, 2009, 03:04:50 AM »
Ab Khushi Hai Na Koi Gam Rulane Wala,
Humne Apna Liya Har Rang Zamane Wala,

Usko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Malum Na Tha,
Saara Ghar Le Gaya Ghar Chhodke Jaane Wala,

Ek Musafir Ke Safar Jiasi Hai Sab Ki Duniya,
Koi Jaldi Mein Koi Der Se Jaane Wala,

Ek Be-Chehra Si Ummid Hai Chehra Chehra,
Jis Taraf Dekhne Aane Ko Hai Aane Wala...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3618 on: April 19, 2009, 04:42:38 PM »
Teri Baatein Hi Sunane Aaye,
Dost Bhi Dil Dukhane Aaye,

Phool Khilte Hai To Hum Sochte Hai,
Tere Aane Ke Zamane Aaye,

Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise,
Hum Tujhe Haal Sunane Aaye,

IshQ Tanha Hai Sir-E-Manzil-E-Gam,
Kaun Ye Bojh Uthane Aaey,

Ajnabi Dost Hamein Dekh Ke Hum,
Kuch Tujhe Yaad Dilane Aaye,

Dil Dhadakta Hai Safar Ke Hungaam,
Kaash Phir Koi Bulane Aaye,

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai,
Shayad Ab Hosh Thikane Aaye,

Kya Kahein Phir Koi Basti Ujdi,
Log Kyon Jashn Manane Aaye,

Soye Raho Maut Ke Pehloo Mein Faraz,
Neend Kis WaQt Na Jaane Aaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3619 on: April 19, 2009, 04:43:23 PM »
Dilka Haal Keh Diya Isharon Mein Magar Chup Na Reh Sake,
Mautke Hazar Waar Sahe Zindagi Ka Ek Waar Na Seh Sake,

Bijli Giri Humare Aashiyane Par Roshni Ke Liye,
Hamein Bhi Manzoor Tha Ye Magar Zubaan Se Keh Na Sake,

Kinaron Ki Udaas Lehron Se Gar Koi Puchhe,
Patakti Hai Sar Apna Barson Se, Magar Chah Na Sake,

Rang-O-Boo Se Nafrat Thi Unko Ye To Maana,
Veerane Ki Kaliyon Mein Wo Apni Khushbu Chhupa Na Sake,

Junoon-E-IshaaQ Mein Kuch Is Qadar Badh Gaye Aage Wo,
Na Kehni Thi Jo Baat Keh Gaye, Jo Kehni Thi Wo Na Keh Sake,

Bojhal Hawa Ke Sard Jhonke Ye Kal Ki Baat Thi,
Gaa Rahe The Sab Milan Ke Geet Hum Hi Musukra Na Sake,

Kis Kis Ko Duwayein De, Is Daru-E-Zullaf Mein,
Tez Dhoop Mein Gesuon Ki Chhanv Tale Jaa Na Sake...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3620 on: April 19, 2009, 05:01:59 PM »
Yaad Mein Kisiki Girte Gaye, Sambhalte Gaye,
Ek Hi Raste Pe Tanha Door Tak Chalte Gaye,

Uski Khwahish Jaan Kar Humne Har Dukh Saha,
Dard Ke Naye Paikar Mein Roz Hi Dhalte Gaye,

Yaad Uski Aati Rahi Zakhm Phir Hasta Raha,
Dilke Lahoo Se Hi Mere Dilke Diye Jalte Gaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3621 on: April 19, 2009, 05:02:29 PM »
Un Bewafaon Par Bharosa Kabhi Na Karna,
Unki Qaatil Adaon Par Bharosa Kabhi Na Karna,

Karti Hai Pyaar Itna Ke Wohi Sab Kuch Lagti Hai,
Unke Is Pyaar Pe Bhi Bharosa Kabhi Na Karna,

Deta Hai Tumko Ye Nasihat Gam Khaya Hua Shahjee,
Iski Is Baat Ko Samajhna FazaaQ Kabhi Nazar Andaz Na Karna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3622 on: April 19, 2009, 05:05:15 PM »
Hum Ke Thehre Ajnabi Itni MulaQaton Ke Baad,
Phir Banenge Aashna Kitni MulaQaton Ke Baad,

Kab Nazar Mein Aayengi Bedaagh Sabze Ki Bahar,
Khoon Ke Dhabbe Dhulenge Kitni Barsaton Ke Baad,

The Bahut Bedard Lamhe Khatme Dard-E-IshQ Ke,
Thi Bahut Bemeher Subahein, Meherbaan Raaton Ke Baad,

Dil To Chaha Par Shikast-E-Dil Ne Hi Mohlat Na Di,
Kuch Gile Shikwe Bhi Kar Lete Manjaton Ke Baad,

Unse Jo Kehne Gaye The Faiz Jaan SadQa Kiye,
Ankahi Hi Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3623 on: April 19, 2009, 05:05:49 PM »
Dhund Chhayi Hui Hai Jheelon Par,
Ud Rahe Hai Parinde Teelo Par,
Sab Ka Rooh Hai Nasheman Ki Taraf,
Bastiyon Ki Taraf, Bano Ki Taraf,

Apne Gulon Ko Leke Charwaahe,
Sarhadi Bastiyon Mein Jaa Pahuche,
Dil-E-Nakaam, Main Kahan Jaun,
Ajnabi Shaam, Main Kahan Jaun???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3624 on: April 19, 2009, 05:08:04 PM »
Jab Seene Andar Saans Ke Dera Dolte Hai,
Sab Mausam Sard Hawa Mein,
Chup Si Gholte Hai,
Jab Aansu,
Palkien Rulate Hai,
Jab Sab Aawazein Apne Apne Bistar Par So Jati Hai,
Tab Ahista Ahista Ankhein Kholte Hai,
Dukh Bolte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3625 on: April 19, 2009, 05:09:30 PM »
Tumko Na Dekhne Ki Kasam Khayi Hai,
Tere Mere Beech Ab Ye Judayi Hai,

Kismat Ka Faisla Chalo Maan Liya Jaye,
Logone Faisle Ki Hansi Kyon Udayi Hai,

Raaton Ko Jagne Ki Sazayein De Gaya Hai Wo,
Nakarda Gunahon Ki Saza Humne Paayi Hai,

Sabhi To Chhod De Unhe Kyon Yaad Tu Karein,
Ek Umr Jinke Pichhe Tune Ganwayi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3626 on: April 19, 2009, 05:11:59 PM »
Usse Kehna,
Mere Hisse Ka,
Koi Jugnu Koi Taara,
Jo Ho Sake To Bacha Ke Rakhna,
Agarcha Raahein Bahut Kathin Hai,
Ke Chand Raatein Bhi Jaa Chuki Hai,
Magar Mujhe To Hai Chalte Rehna,
Agar Mile To Usse Kehna,
Jo Teri Chahat Ka Dam Bhara Hai,
Jab Aa Bhi Jayega Dard Sehna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3627 on: April 19, 2009, 05:22:52 PM »
Kaash Hum Tum Ajnabi Hote,
Jis Tarah Log Hua Karte Hai,
BetalluQ Se, Betarruf Se,
Kaash Hum Tum Ajnabi Hote,

BeQarari Na Bekali Hoti,
Na Mukammal Na Zindagi Hoti,
Yun Na Hoti Azyatein Dil Mein,
Zindagi Bhi Na Hoti Mushkil Mein,

Aansuon Se Na Dosti Karte,
Apne Dilse Na Dushmani Karte,
Doosron Ki Tarah Hum Bhi Khush Rehte,
Kaash Hum Tum Ajnabi Hote...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3628 on: April 19, 2009, 05:23:48 PM »
Kasam Di Thi Tumne Mujhko,
Juda Karogi Na Mujhse Khudko,

Jab Mana Tha Tumne Apna,
Toda Phir Mera Kyon Sapna,

Tumko Thi Mujhse Mohabbat,
Kyon Sama Gayi Phir Tum Mein Nafrat,

Yaadein Hai Dil Mein Uthti,
Mujhko Hai Bechain Rakhti,

Tumse Nahi Ab Shikwa,
Nata Ye Mujhse Bikhra,

Aaj Zindagi Ne Roop Hi Badla,
Meri Soch, Adat, Mera Mazaj Hi Badla,

Bas Aaj Ek Baat Kehne Do,
Mohabbat Ko Ab Tanha Rehne Do,

Mohabbat Ko Ab Tanha Rehne Do,
Aaj Ye Baat Kehne Do...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3629 on: April 19, 2009, 05:24:11 PM »
Wo Lamhe Jo Tumne Humne Saath Bitaye,
Ek Khwaab Sa Lagte Hai,
Wo Saare Waade Jo Un Lamhon Mein Samaye,
Ek Khayal Se Lagte Hai,
Wo Saari Baatein Jo Dil Mein Base,
Ek Intezar Se Lagte Hai,
Wo Saare Aansu Jo In Aankhon Ne Chhupaye,
Ek Toofan Se Lagte Hai,
Wo Lamhe Jo Tumne Humne Sath Bitaye,
Ek Khwaab Se Lagte Hai,
Mere Saare Sapne Gar Sach Ho Jayein,
Ek Siraab Sa Lagte Hai,
Jo Dil Mein Hai Armaan Humne Banaye,
Ek Qarar Se Lagte Hai,
Wo Phir Hamari Taraf Loot Ke Aayi,
Ek Gumaan Se Lagte Hai,
Oh Khuda Ye Saare Khwab Gar Sach Ho Jayein,
Ek Aitbaar Sa Lagta Hai...
Logged
Pages: 1 ... 238 239 240 241 [242] 243 244 245 246 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 05:34:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer