Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 240 241 242 243 [244] 245 246 247 248 ... 273
Print
Author  (Read 131162 times)
angel4u
Guest
«Reply #3645 on: April 27, 2009, 02:36:06 AM »
Thanks roja
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3646 on: April 28, 2009, 04:01:40 PM »
Aur Kya Ehd-E-Wafa Hote Hai,
Log Milte Hai Juda Hote Hai,

Kab Bichhad Jaye Hum Safar Hi To Hai,
Kab Badal Jaye Ek Nazar Hi To Hai,
Jaan-O-Dil Jis Par Fida Hote Hai,
Aur Kya Ahd-E-Wafa Hote Hai,

Baat Nikli Thi Is Zamane Ki,
Jisko Aadat Hai Bhool Jaane Ki,
Aap Kyon Humse Khafa Hote Hai,
Aur Kya Ahd-E-Wafa Hote Hai,

Jab Rulate Hai Jee Bhar Ke Hamein,
Jab Sata Lete Hai Jee Bhar Ke Hamein,
Tab Kahin Khush Wo Zara Hote Hai,
Aur Kya Ahd-E-Wafa Hote Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3647 on: April 28, 2009, 04:02:18 PM »
Teri Baatein Hi Sunane Aaye,
Dost Bhi Dil Dukhane Aaye,

Phool Khilte Hai To Hum Sochte Hai,
Tere Aane Ke Zamane Aaye,

Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise,
Hum Tujhe Haal Sunane Aaye,

IshQ Tanha Hai Sir-E-Manzil-E-Gam,
Kaun Ye Bojh Uthane Aaey,

Ajnabi Dost Hamein Dekh Ke Hum,
Kuch Tujhe Yaad Dilane Aaye,

Dil Dhadakta Hai Safar Ke Hungaam,
Kaash Phir Koi Bulane Aaye,

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai,
Shayad Ab Hosh Thikane Aaye,

Kya Kahein Phir Koi Basti Ujdi,
Log Kyon Jashn Manane Aaye,

Soye Raho Maut Ke Pehloo Mein Faraz,
Neend Kis WaQt Na Jaane Aaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3648 on: April 28, 2009, 04:02:43 PM »
Kabhi Kabhi Mujhe Naa Jaane Kyon,
Lagte Ho Tum Ajnabi,

Ajab Sa Hai,
Mere Tumhare Beech,
Kabhi Kuch Hai........Kabhi Nahi,

Kabhi Itne Kareeb Ke Jal Jayein,
To Kabhi Itne Door
Ke Aankhein Taras Jaaye,

Kabhi Kabhi Mujhe Naa Jane Kyon,
Lagte Ho Tum Ajnabee,

Main Samundar Mein Hoon,
Kinara Do,
Saath Chalna Hai To,
Koi To Ishara Do,

Kabhi Kabhi Mujhe Na Jaane Kyon,
Lagte Ho Tum Ajnabee,

Ajab Sa Hai
Mere Tumhare Beech,
Kabhi Kuch Hai.......Kabhi Nahi,

Kabhi Sach Kuch Hai.........Kabhi Kuch Bhi Nahi,
Ajab Sa Hai Mere Tumhare Beech...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3649 on: April 28, 2009, 04:03:24 PM »
Ab Tum Aagosh-E-Tasavvur Mein Bhi Aaya Na Karo,
Mujhse Bikhre Hue Gesu Nahi Dekhe Jaate,
Surkh Aankhon Ki Kasam Kaanpti Palkon Ki Kasam,
Thartharate Hue Aansu Nahi Dekhe Jaate,

Ab Tum Aagosh-E-Tasavvur Mein Bhi Aaya Na Karo,
Chhut Jaane Do Jo Daamn-E-Wafa Chhut Gaya,
Kyon Ye Laga Zinda Kharami Pasheman Nazari,
Tumne Toda Nahi Rishta-E-Dil Toot Gaya,

Ab Tum Aagosh-E-Tasavvur Mein Bhi Aaya Na Karo,
Meri Aahon Se Ye Rukhsaar Na Kumala Jayein,
Dhundti Hogi Tumhe Ras Mein Nahayi Hui Raat,
Jao Kaliyan Na Kahin Sej Ki Murjha Jayein,
Ab Tum Aagosh-E-Tasavvur Mein Bhi Aaya Na Karo,
Main Is Ujde Hue Pehlu Mein Bitha Lun Na Kahin,
Lab-E-Shirin Ka Namak Airaz-E-Namkin Ki Mithas,
Apne Tarse Hue Honthon Mein Chura Lun Na Kahin...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3650 on: April 28, 2009, 04:04:18 PM »
Dilka Haal Keh Diya Isharon Mein Magar Chup Na Reh Sake,
Mautke Hazar Waar Sahe Zindagi Ka Ek Waar Na Seh Sake,

Bijli Giri Humare Aashiyane Par Roshni Ke Liye,
Hamein Bhi Manzoor Tha Ye Magar Zubaan Se Keh Na Sake,

Kinaron Ki Udaas Lehron Se Gar Koi Puchhe,
Patakti Hai Sar Apna Barson Se, Magar Chah Na Sake,

Rang-O-Boo Se Nafrat Thi Unko Ye To Maana,
Veerane Ki Kaliyon Mein Wo Apni Khushbu Chhupa Na Sake,

Junoon-E-IshaaQ Mein Kuch Is Qadar Badh Gaye Aage Wo,
Na Kehni Thi Jo Baat Keh Gaye, Jo Kehni Thi Wo Na Keh Sake,

Bojhal Hawa Ke Sard Jhonke Ye Kal Ki Baat Thi,
Gaa Rahe The Sab Milan Ke Geet Hum Hi Musukra Na Sake,

Kis Kis Ko Duwayein De, Is Daru-E-Zullaf Mein,
Tez Dhoop Mein Gesuon Ki Chhanv Tale Jaa Na Sake...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3651 on: April 28, 2009, 04:04:36 PM »
Ek Kahani Sabse Sunayi Magar Chaand Khamosh Tha,
Uski Awaz Ka Muntazir Tha Nagar Shaam Ke Baad,

Kaun Tha Jiske Aajoo Ke Gam Mein Sard Hawa Thi Sheher Ki,
Kisi Ki Veeran Aankhon Ka Leke Asar Chaand Khamosh Tha,

Wo Jo Sehta Raha Ratt Jago Ki Saza Chaand Ki Chaah Mein,
Mar Gaya Jab Tu Noha Kitne The Shajer Chaand Khamosh Tha,

Isse Milke Main Yun Khamoshi Aur Awaz Mein Qaid Tha,
Ek Sada To Meri Thi Humsafar Chaand Khamosh Tha,

Kal Kehne Phir Khuda Ki Zameen Apr Koi Sanha Ho Gaya,
Maine Kal Raat Jab Bhi Uthayi Nazar Chaand Khamosh Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3652 on: April 28, 2009, 04:04:54 PM »
Kabhi Tamanna Ke Raaston Par Nikal Pado To,
Khayal Rakhna,
Hawaein, Baadal, Fizayein, Mausam, Khayal,
Chehre Badal Badal Ke Tumhe Milenge,
To Lamha Lamha Badalte Rangon Ki Shokh Dhoke Mein Aa Na Jana,
Kabhi Jo Charon Taraf Tumhare
Kiran Kiran Apna Khwab Aasa Badein Nikhre,
Zameen Pe Utre,
To Dhundlako Mein Sama Na Jana,
Kabhi Jo Aankhon Mein Chand Hans Hans Ke Chandni Ka Khumar Bhar De,
To Apni Aankhein Kehne Khala Mein Ganwa Na Aana,
Ke Ye Na Ho Phir Jo Khwab Toote,
Dhanak Dhanak Ke Suraab Toote,
To Jism-O-Jaan Par Azab Toote,
Aru Hum Ba Mushkil Larazte Hathon Mein,
Kirchi Kirchi Badan Sambhale,
Khane Bulandi Pe Cher Ke Risti Hui Nigahon Mein,
Wapasi Ke Nishaan Dhundo,
Ujad Gaya Jo Jahan Dhundo,
Kabhi Tamnna Ke Raaston Pe Nikal Pado To Khayal Rakhna,
Khane Se Khali Palet Ke Aana Bahut Kathin Hai,
Bahut Kathin Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3653 on: April 28, 2009, 04:05:47 PM »
Yaad Mein Kisiki Girte Gaye, Sambhalte Gaye,
Ek Hi Raste Pe Tanha Door Tak Chalte Gaye,

Uski Khwahish Jaan Kar Humne Har Dukh Saha,
Dard Ke Naye Paikar Mein Roz Hi Dhalte Gaye,

Yaad Uski Aati Rahi Zakhm Phir Hasta Raha,
Dilke Lahoo Se Hi Mere Dilke Diye Jalte Gaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3654 on: April 28, 2009, 04:06:09 PM »
Un Bewafaon Par Bharosa Kabhi Na Karna,
Unki Qaatil Adaon Par Bharosa Kabhi Na Karna,

Karti Hai Pyaar Itna Ke Wohi Sab Kuch Lagti Hai,
Unke Is Pyaar Pe Bhi Bharosa Kabhi Na Karna,

Deta Hai Tumko Ye Nasihat Gam Khaya Hua Shahjee,
Iski Is Baat Ko Samajhna FazaaQ Kabhi Nazar Andaz Na Karna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3655 on: April 28, 2009, 04:06:34 PM »
Hum Ke Thehre Ajnabi Itni MulaQaton Ke Baad,
Phir Banenge Aashna Kitni MulaQaton Ke Baad,

Kab Nazar Mein Aayengi Bedaagh Sabze Ki Bahar,
Khoon Ke Dhabbe Dhulenge Kitni Barsaton Ke Baad,

The Bahut Bedard Lamhe Khatme Dard-E-IshQ Ke,
Thi Bahut Bemeher Subahein, Meherbaan Raaton Ke Baad,

Dil To Chaha Par Shikast-E-Dil Ne Hi Mohlat Na Di,
Kuch Gile Shikwe Bhi Kar Lete Manjaton Ke Baad,

Unse Jo Kehne Gaye The Faiz Jaan SadQa Kiye,
Ankahi Hi Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3656 on: April 28, 2009, 04:06:53 PM »
Dhund Chhayi Hui Hai Jheelon Par,
Ud Rahe Hai Parinde Teelo Par,
Sab Ka Rooh Hai Nasheman Ki Taraf,
Bastiyon Ki Taraf, Bano Ki Taraf,

Apne Gulon Ko Leke Charwaahe,
Sarhadi Bastiyon Mein Jaa Pahuche,
Dil-E-Nakaam, Main Kahan Jaun,
Ajnabi Shaam, Main Kahan Jaun???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3657 on: April 28, 2009, 04:07:53 PM »
Jab Seene Andar Saans Ke Dera Dolte Hai,
Sab Mausam Sard Hawa Mein,
Chup Si Gholte Hai,
Jab Aansu,
Palkien Rulate Hai,
Jab Sab Aawazein Apne Apne Bistar Par So Jati Hai,
Tab Ahista Ahista Ankhein Kholte Hai,
Dukh Bolte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3658 on: April 28, 2009, 04:08:10 PM »
Tumko Na Dekhne Ki Kasam Khayi Hai,
Tere Mere Beech Ab Ye Judayi Hai,

Kismat Ka Faisla Chalo Maan Liya Jaye,
Logone Faisle Ki Hansi Kyon Udayi Hai,

Raaton Ko Jagne Ki Sazayein De Gaya Hai Wo,
Nakarda Gunahon Ki Saza Humne Paayi Hai,

Sabhi To Chhod De Unhe Kyon Yaad Tu Karein,
Ek Umr Jinke Pichhe Tune Ganwayi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3659 on: April 28, 2009, 04:08:40 PM »
Usse Kehna,
Mere Hisse Ka,
Koi Jugnu Koi Taara,
Jo Ho Sake To Bacha Ke Rakhna,
Agarcha Raahein Bahut Kathin Hai,
Ke Chand Raatein Bhi Jaa Chuki Hai,
Magar Mujhe To Hai Chalte Rehna,
Agar Mile To Usse Kehna,
Jo Teri Chahat Ka Dam Bhara Hai,
Jab Aa Bhi Jayega Dard Sehna...
Logged
Pages: 1 ... 240 241 242 243 [244] 245 246 247 248 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 05:33:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer