Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 241 242 243 244 [245] 246 247 248 249 ... 273
Print
Author  (Read 131161 times)
angel4u
Guest
«Reply #3660 on: April 28, 2009, 04:08:57 PM »
Kaash Hum Tum Ajnabi Hote,
Jis Tarah Log Hua Karte Hai,
BetalluQ Se, Betarruf Se,
Kaash Hum Tum Ajnabi Hote,

BeQarari Na Bekali Hoti,
Na Mukammal Na Zindagi Hoti,
Yun Na Hoti Azyatein Dil Mein,
Zindagi Bhi Na Hoti Mushkil Mein,

Aansuon Se Na Dosti Karte,
Apne Dilse Na Dushmani Karte,
Doosron Ki Tarah Hum Bhi Khush Rehte,
Kaash Hum Tum Ajnabi Hote...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3661 on: April 28, 2009, 04:09:15 PM »
Kasam Di Thi Tumne Mujhko,
Juda Karogi Na Mujhse Khudko,

Jab Mana Tha Tumne Apna,
Toda Phir Mera Kyon Sapna,

Tumko Thi Mujhse Mohabbat,
Kyon Sama Gayi Phir Tum Mein Nafrat,

Yaadein Hai Dil Mein Uthti,
Mujhko Hai Bechain Rakhti,

Tumse Nahi Ab Shikwa,
Nata Ye Mujhse Bikhra,

Aaj Zindagi Ne Roop Hi Badla,
Meri Soch, Adat, Mera Mazaj Hi Badla,

Bas Aaj Ek Baat Kehne Do,
Mohabbat Ko Ab Tanha Rehne Do,

Mohabbat Ko Ab Tanha Rehne Do,
Aaj Ye Baat Kehne Do...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3662 on: April 30, 2009, 07:56:36 AM »

Wo Lamhe Jo Tumne Humne Saath Bitaye,
Ek Khwaab Sa Lagte Hai,
Wo Saare Waade Jo Un Lamhon Mein Samaye,
Ek Khayal Se Lagte Hai,
Wo Saari Baatein Jo Dil Mein Base,
Ek Intezar Se Lagte Hai,
Wo Saare Aansu Jo In Aankhon Ne Chhupaye,
Ek Toofan Se Lagte Hai,
Wo Lamhe Jo Tumne Humne Sath Bitaye,
Ek Khwaab Se Lagte Hai,
Mere Saare Sapne Gar Sach Ho Jayein,
Ek Siraab Sa Lagte Hai,
Jo Dil Mein Hai Armaan Humne Banaye,
Ek Qarar Se Lagte Hai,
Wo Phir Hamari Taraf Loot Ke Aayi,
Ek Gumaan Se Lagte Hai,
Oh Khuda Ye Saare Khwab Gar Sach Ho Jayein,
Ek Aitbaar Sa Lagta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3663 on: April 30, 2009, 07:57:02 AM »
Kabhi Kabhi Koi Yaad,
Bahut Purani Yaad,
Dilke Darwaze Par,
Aise Dastak Deti Hai,
Shaam Ko Jaise Taare Nikle,
Subah Ko Jaise Phool,
Jise Dhire Dhire Zameen Par,
Roshniyon Ka Nuzoul,
Jaise Rooh Ki Pyaas Bujhane,
Utare Koi Rasool,
Hans De Koi Malol,
Kabhi Kabhi Koi Yaad,
Koi Bahut Purani Yaad,
Dilke Darwaze Par Aise Dastak Deti Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3664 on: April 30, 2009, 07:57:24 AM »
Ye Gulaab Hai Akela Is Hare Bhare Chaman Mein,
Koi Chameli Bhi Nahi Hai Saath Nibhane Ke Liye,

Wo Bewafa Hai Lekin Mere IshQ Ki Qatil Nahi,
Main Bewafa Hoon Magar Uske Qaabil Nahi,

Peena Ka ShoQ Nahi Hai Mujhko, Ye To Ek Sahara Hai,
Jisse Sanam Bewafa Mile, Usika Ye Asan Guzara Hai,

Raat Ko Aasman Mein Chamakte Hai Chand Sitare,
Dinko Zameen Pe Phirte Hai Log Pyaare Pyaare,

Kabhi Zindagi Mein Tumse MulaQaat Hogi,
Dilki Hasraton Ko Pura Karunga Yehi Meri Baat Hogi,

Na Jaane Kyon Tum Chup Chup Si Rehti Ho,
Dil Mein Koi Shararat Hai Phir Bhi Khoyi Khoyi Si Rehti Ho,

Tu Pyaar Kar Ya Na Kar Hum Tujhe Pyaar Karenge,
Tune Agar Bewafayi Bhi Ki To Tumhi Pe Dilse Marenge,

Yeh Filmi Dialogue Nahi Ye To Mere Dilki Daastaan Hai,
Tu Koi Ajnabi Nahi Tu To Mere Dilki Mehmaan Hai,

Tu Meri Zindagi Tu Mujhe Chhod Ke Jaana Nahi,
Main Tera Hi Deewana Hoon Koi Ajnabi Begana Nahi,

Modern Age Hai Mera Dil Love Ka Stage Hai,
Tujhko Ek Din Paunga Main Mera Dil Mohabbat Ka Cage Hai,

Inkaar-E-Mohabbat Kiya Tha Jo Humne Wo To Ek Paheli Hai,
Jis Ladki Se Main Mohabbat Karta Hoon Wo To Aapki Saheli Hai,

Meri Life Badi Suhani Hai, Ek Ladki Meri Deewani Hai,
Mera Dil Use Chahta Nahi Wo Hazaron Majnuon Ki Kahani Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3665 on: April 30, 2009, 07:59:27 AM »
Chhod Kar Tujhko Gaya Wo Bhi Ke Jis Par Maan Tha,
Kyon Mukeen Kehte Ho Isko Wo To Ek Mehmaan Tha,

Wo To Shohrat Ke Hawale Se Tha Hatam Tai Se,
Lootna Us Admi Ko Kis Kadar Aasan Tha,

Kehte Hai Ke Betiyan To Sab Ki Saanjhi Hti Hai,
Jisne Masli Hai Ye Kaliyan Wo To Ek Shaitan Tha,

Kisliye Phirti Hai Sehraon Mein Bal Khayi Hui,
Dhoop Jo De Kar Gaya Tujhko Wo Saibaan Tha,

Dilse Kachhe Ghar Ko Wo AashQon Ki Baarish De Gaya,
Jo Mera Dil Tha, Meri Aankhein Tha, Meri Jaan Tha,

Le Gaya Jazbon Ki Poonji Aur Daga De Kar Gaya,
Roti Hai Uske Liye Kyon Wo To Ek Nadaan Tha,

Rooh Mein Khanam Sukoon Ka Ek Khazana Aa Gaya,
Saya Hai Jiska Tere Dil Par Wo Ek Quraan Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3666 on: April 30, 2009, 07:59:51 AM »
MERI ROOH,
Main Shigaf Aal Kar,
Wo Bahut
Pur Sukoon Hai,
Is Baat Se Bekhabar,
Ke Meri Rooh Mein Basne Wala,
Ek FaQt,
Wohi To Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3667 on: April 30, 2009, 08:01:26 AM »
Tujhse Bepanaah Mohabbat Karne Ki Wafa Mil Gayi Hai Mujhe,
Bewajah Aansuon Ki Saza Mil Gayi Hai Mujhe,
Na Kuch Kehne Diya Na Koi Baat Suni,
Kitni Aasani Se Tune Ye Keh Diya Ke Bhool Jao Mujhe,
Jo Zakham Mile Hai Wo Bhar Nahi Sakte Umar Bhar,
Tum Samajhte Ho Ke In Zakhmon Ki Dawa Mil Gayi Hai Mujhe...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3668 on: April 30, 2009, 02:02:33 PM »
Mere Dilko Tune BeQarar Kiya,
Mere Chain Ko Tune Farar Kiya,

Meri Neend Ko Tune Koson Paar Kiya,
Mere Mausam Ko Tune Bahar Kiya,

Meri Zindagi Ko Tune Lachar Kiya,
Aankhon Ke Teer Ko Tune Dilke Paar Kiya,

Meri Dhadkano Ko Tune Badha Kiya,
Mere Badan Ko Tune Naar Kiya,

Mere Phool Khwabon Ko Tune Khar Kiya,
Mere Chaman Ko Tune Sharar Kiya,

Mere Jazbaat Ko Tune Taar Taar Kiya,
Meri Khushi Ko Tune Gam Gusaar Kiya,

Aye "Naaz" Kaisa Tune Waar Kiya,
Meri Jeet Ko Tune Haar Kiya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3669 on: April 30, 2009, 02:14:31 PM »
Barso Ke Baad Dekha, Ek Shakhs Dilruba Sa,
Ab Zehen Mein Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa,

Ubroo Khiche Khiche Se Aankhein Jhuki Jhuki Si,
Baatein Ruki Ruki Si, Lehja Thaka Thaka Sa,

Alfaaz The Ke Jugnoon, Awaz Ke Safar Mein,
Ban Jaye Jungalon Mein Jaise Ke Rasta Sa,

Khwabon Mein Khwaab Uske Yaadonn Mein Yaad Uski,
Neendion Mein Ghul Gaya Ho Jaise Ke Ratt Jaga,

Pehle Bhi Zindagi Mein, Kitne Hi Log Aaye,
Wo Har Tarahse Lekin Auron Se Juda Sa,

Agli Mohabbatone, Wo Na-Muradiyan Dein,
Taza RafaQaton Se, Dil Tha Dara Dara Sa,

Kuch Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye,
Kuch Zeher Mein Bujha Tha, Ahbaab Ka Dilasa,

Ab Sach Kahein To Yaaron, Humko Khabar Nahi Thi,
Ban Jayega Qayamat, Ek WaaQeya Zara Sa,

Tewar The Berukhi Ke Andaz Dosti Ke,
Wo Ajnabi Tha Lekin, Lagta Tha Aashna Sa...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3670 on: April 30, 2009, 02:14:57 PM »
Falak Pe Chand Sitare Udaas Lagte Hai,
Tere Bagair Nazare Udaas Lagte Hai,

Ek Muddat Se Chal Rahe Hai Yun Tanha Tanha,
Dariya Ke Dono Kinare Udas Lagte Hai,

Wahi Hai Wahi Sheher Ki Fizayein Hai,
Ek Tu Nahi Hai To Saare Udaas Lagte Hai,

Jhuth Kehte Hai Ke Khush Hoon Main,
Mujhe Ye Nain Tumhare Udaas Lagte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3671 on: April 30, 2009, 02:22:37 PM »
Dil Aap Dhadakta Hai Dhadkaya Nahi Jaata,
Ye Raaz-E-Mohabbat Har Ek Ko Bataya Nahi Jaata,

Agar Ehsaas Ho To Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos,
Ye Wo Jazba Hai Jo Lafzon Mein Samjhaya Nahi Jaata,

Dosti Ke Liye Mohabbat Aur Khuloos Hai Lazim,
Har Haath Milane Wale Ko Dost Samjha Nahi Jaata,

Bahut Kam Hai Log Jo Dil Mein Utar Jaate Hai,
Har Raah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jaata,

Koshish Se Badal Jaati Hai TaQdeerein Khanam,
De Kar Ilzaam Kismat Ko, Dilko Behlaya Nahi Jaata...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3672 on: April 30, 2009, 02:23:06 PM »
Gam Nahi Bhulta Bhulane Se,
Nam Hui Aankh MuskuranE Se,

Aaj Wo Ajnabi Se Lagte Hai,
Jaanti Hoon Jinhe Zamane Se,

Doston Ki Parakh Nahi Karna,
Maan Tootega Aazmane Se,

Jab Se Apno Se Chot Khayi Hai,
Koi Shikwa Nahi Zamane Se,

Zindagi Ki HaQeeQateon Ki Kasam,
Dilki Baatein Hai Bas Fasane Se...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3673 on: April 30, 2009, 02:24:44 PM »

Aye Dil Tu Mohabbat Karta Kyon Hai,
Jo Karta Hai To Phir Tadapta Kyon Hai,

Wo Baith Gaya Hai Dil Mein Pyaar Ka Dard Banke,
Wo Aankhon Ke Raaste Nikalta Kyon Hai,

Main Tere Sath Hoon Har Raah Mein Mujhse Kehta Tha Wo,
To Phir Aaj Ye Rasta Mujhe Sunsaan Lagta Kyon Hai,

Main Dhadkan Hoon Uske Dilki Wo Kehta Tha Mujhse,
Phir Aaj Uska Dil Mere Bina Dhadakta Kyon Hai,

Wo Mera Nahi Hai Ye Jaanti Hoon Main Phir Bhi,
Kisi Aur Ke Sath Dekhke Usko Dil Machalta Kyon Hai,

Ye Dil Bhi Ajeeb Hota Hai Doston,
Kabhi Kehta Hai Jaa Thaam Le Uske Haathon Ko,
Phir Reh Reh Ke Sambhalta Kyon Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3674 on: April 30, 2009, 02:24:56 PM »

Koi Waada Nahi Hum Mein,
Na Apas Mein Bahut Baatein,

Magar Ek Ankahi Si Hai,
Jo Hum Dono Jaante Hai,

Ajab Ek Sar Khushi Si Hai,
Jo Hum Dono Jaante Hai,

Ye Saare Dilruba Manzar,
Talasmee Chandni Raatein,

Sunehri Dhoop Ke Mausam,
Ke Halke Sukh Ki Barsatein,

Sab Ek Zidd Mein Rehte Hai,
Mujhe Peyham Ye Kehte Hai,

Mohabbat Yun Nahi Achhi,
Mohabbat Yun Nahi Achhi...
Logged
Pages: 1 ... 241 242 243 244 [245] 246 247 248 249 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 05:29:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer