Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 242 243 244 245 [246] 247 248 249 250 ... 273
Print
Author  (Read 132857 times)
angel4u
Guest
«Reply #3675 on: April 30, 2009, 02:26:13 PM »

Kaash Ke Tum Ye Jaan Sako,
Tum Bin Kitne Tanha Hai,

Kaash Ke Tum Ye Jaan Sako,
Khaef Har Har Lamha Hai,

Aao Kabhi Chupke Se Dekho,
Jhaank Ke Dil Ke Jharokon Se,

Gumsum Saare Manzar Hai,
Kaash Ke Tum Ye Jaan Sako,
Tumhari Yaad Ke Saaye,
Kitne Hai Nazdeek Hamare,
Jaise Soone Jeevan Mein,
Aashaon Ke Deep Sahare,
Kaash Ke Tum Ye Jaan Sako...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3676 on: April 30, 2009, 02:26:28 PM »

Yun Hausla Dil Ne Hara Kab Tha,
Sartan Mera Sitara Kab Tha,

Lazim Tha Guzarna Zindagi Se,
Bin Zeher Piye Guzara Kab Tha,

Kuch Pal Use Aur Dekh Sakte,
AshQon Ko Magar Ganwara Kab Tha,

Hum Khud Bhi Judayi Ka Sabab Kab The,
Uska Hi Qasoor Sara Kab Tha,

Ab Aur Ke Sath Hai To Kya Dukh,
Pehle Bhi Koi Hamara Kab Tha,

Ek Naam Pe Zahem Khil Uthe The,
Qaatil Ki Taraf Se Ishara Kab Tha,

Aayi Ho To Roshni Hui Hai,
Is Naam Pe Koi Taara Kab Tha,

Dekha Hua Har Tha Par Kisine,
Dulhan Ki Tarah Sanwara Kab Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3677 on: April 30, 2009, 02:27:01 PM »

Suni Suni Zindagi Meri,
Mujhse Roothi Hai Har Khushi Meri,

Shukriya Aapki Jafaon Ka,
Jinse Zinda Hai Shayri Meri,

De Diya Dil Ko Ek Gum Taza,
Chheen Ke Mujhse Har Khushi Meri,

Wo Honge Mere Zaroor Ek Roz,
Rang Layegi AashiQui Meri...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3678 on: April 30, 2009, 02:27:16 PM »

Aankh Khuli To Phir Khwaab Chale Gaye,
Jee Behlane Ke Saare Bahane Chale Gaye,

Yaad Rehta Nahi Kuch Bhi Yaad Kiye Bina,
Yaadon Mein Khokar Jeene Ke Sahare Chale Gaye,

Gam Bhi Gaya, Khushiya Bhi Gayi,
Ek Ek Karke Sab Yaar Chale Gaye,

Har Tasavvur Mein Dekha Tere Chehre Ko,
Har Shakhs Ko Khuda Banakar Chale Gaye,

Chhupaya Na Jaaye Logonse Mere Dilki Raghbat,
Teri FurQat Ke Shole Ragon Mein Chhupakar Chale Gaye,

Sirf Dil Hi Tha Tera Sabse Bada Khazana 'Jags',
Phir Kyon Use Ek Ajnabee Pe Lutakar Chale Gaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3679 on: April 30, 2009, 02:27:28 PM »

Mohabbat Mein Har Zakham Khate Rahe Hai,
Magar Phir Bhi Hum Muskurate Rahe Hai,

Kisi Modpe Humse Mil Jayenge Wo,
Tasalli Ye Dilko Dilate Rahe Hai,

Talab Tere Bin Kuch Nahi Hai Khuda Se,
Yun Hi Haath Upar Uthate Rahe Hai,

Kitabon Mein Rakhi Wo Tasveer Teri,
Subho Shaam Khud Ko Dikhate Rahe Hai,

Zamane Ka Dar Usko Aamir Nahi Hai,
Nazar Pe Nazar Wo Milate Rahe Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3680 on: April 30, 2009, 02:27:49 PM »

Amaal-E-Zabt Ka Khud Bhi To Azmaungi,
Main Apne Haath Se Uski Dulhan Sajaungi,

Supurd Karke Usse Chandni Ke Haathon Mein,
Main Apne Ghar Ke Andheron Mein Laut Aaungi,

Badan Ke Qarb Ko Wo Bhi Samajh Na Payega,
Main Dil Mein Roungi, Aankhon Mein Muskuraungi,

Wo Kya Gaya Ke RafaaQat Ke Saare Lutf Gaye,
Main Kisse Rooth Sakungi, Kise Manaungi,

Wo Ek Rishta-E-Benaam Bhi Nahi, Lekin,
Main Ab Bhi Uske Isharon Pe Sar Jhukaungi,

Sama'aton Mein Ghane Jangalon Ki Saansein Hai,
Main Jab Kabhi Teri Awaz Sun Na Paungi,

Jawaz Dhund Raha Tha Nayi Mohabbat Ka,
Wo Keh Raha Tha Ke Main Usko Bhool Jaungi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3681 on: April 30, 2009, 02:30:50 PM »

Intezaar To Karein Ke Jab Wo Aaye Bhi,
Bhool Jayein Hum Chhodein Jo Mere Saaye Bhi,

Kal Subah Ye Zindagi Jo Na Rahi,
Tamasha Dekhenge Apne Aur Paraye Bhi,

Wo Gair Hai To Gair Banna Bhi Sikh Le,
Yaadon Mein Aa Ke Baar Baar Aazmaye Bhi,

Kehta Hai Duniya Ko Chhod Dega Hamein,
Mud Ke Dekhe Baar Baar Ghabraye Bhi,

Shikayat Bhi To Kya Karein Hum Kisise,
Khoya Ek Humsafar, Laakhon Rehnuma Paaye Bhi...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3682 on: April 30, 2009, 02:58:00 PM »
wah bahoot khoob.....angel aapka collection kabil-e-tarif hai
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3683 on: April 30, 2009, 04:00:59 PM »
Bahut shukriya Sanjeev Ji..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3684 on: April 30, 2009, 05:46:01 PM »
wah Angel... apki dedication ke samne .. shabd nahi milte ki kaya likha jaaye apke liye!!!

Wonderful collection!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3685 on: May 01, 2009, 02:09:15 PM »


Guzarti Hoon FurQat Ke Lamhat Piya Tere Intezaar Mein,
Jalti Hoon Tadapti Hoon Piya Tere Intezaar Mein,

Keh Kar Gaye Khud Pehnaenge Mujhe Kaanch Ki Chudiyan,
Guzar Gayi Meri Chand Raat Piya Tere Intezaar Mein,

Chup Chup Rehna Kuch Na Kehna Lamha Lamha Sulagte Rehna,
Ye Ban Gayi Meri Aadat Piya Tere Intezaar Mein,

Teri Shaamein Khuda Malum Kaisi Guzarti Hai Mere Bagair,
Meri Guzarti Hai Har Shaam Piya Tere Intezaar Mein,

Dilko YaQeen Ke Tu Laut Ke Nahi Aayega,
Phir Bhi Deep Jalaye Har Raat Piya Tere Intezaar Mein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3686 on: May 01, 2009, 02:10:56 PM »

Duniya Mein Koi Apna Nahi,
Sab Lagta Apna Hai Par Koi Apna Nahi,

Door Se Dekhta Hai Sab Apna Lagta Hai,
Par Nazdeek Aa Kar Dekhta Hai To Koi Apna Nahi,

Na Roko Mujhe Rone Se,
Kyon Ke Aaj Tak Jise Apna Samjha Wo Apna Nahi,

Jiske Liye Hum Ne Saare Rishte Thukra Diye,
Wo Aaj Apna Nahi,

Sab Mujhse Kehte Rahe Tu Mera Nahi Ho Sakta,
Bas Main Tere Baat Par Bharosa Karti Rahi Aaj Tu Hi Apn Anahi,

Tere Har Jhuth Ko Sach Manti Rahi,
Tujhpar Aankhein Band Karke Bharosa Karti Rahi,

Har Koi Tujhe Jhutha Kehta Raha,
Par Main Pyaar Mein Andhi Tujh Par Bharosa Karti Rahi,

Tere Kahi Hui Har Baat Sach Manti Rahi,
Bas Sirf Tujhpar Bharosa Karti Rahi,

Ye Duniya Hai Dhoke Ki,
Chalo Yaar Kise Aur Duniya Mein Chalta Hai Koi Apna Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3687 on: May 01, 2009, 02:11:25 PM »

Kabhi Yaad Aao To Is Tarah,
Ke Lahoo Ke Sari Tamazteen
Tumhe Dhoop Dhoop Mein Samet Lein,
Tumhe Haraf Haraf Mein Soch Lein,
Tumhe Dekhne Ka Jo ShauQ Ho,
To Dyaar Hijr Ke Teergi Ko,
Mizraa Ke Nok Se Noch Lein,
Kabhi Yaad Aao To Is Tarah,
Ke Dil-O-Nazar Mein Utar Sako,
Kabhi Had Se Hubso Junoon Badhe,
To Hawas Bankar Bikar Sako,
Kabhi Khil Sako Shab-E-Wasl Mein,
Kabhi Khoon-E-Dil Mein Sanwar Sakun,
Mere Zakhm Phri Se Gulab Ho,
Kabhi Muskurao Is Tarah,
Mere Dard Badhke Gazal Bane,
Kahi Gungunao To Is Tarah,
Meri Dhadkan Bhi Laraz Uthe,
Kabhi Dhadko To Is Tarah,
Jo Ye Nahi To Bade ShauQ Se,
Sabhi Rabte Sabhi Zabte,
Kabhi Dhoop Chhanv Mein Tod Do,
Na Suno Kisi Ka Azab-E-Jaan,
Na Kisise Apni Khalash Kaho,
Yun Khush Raho Yunhi Khush Raho,
Na Ujad Sakein Na Sawar Sakein,
Kabhi Dil Dukhao To Is Tarah,
Na Simat Sakun Na Bikhar Sakun,
Kabhi Bhool Jao To Is Tarah,
Kisi Toorjan Se Guzar Sakein,
Kabhi Yaad Aao To Is Tarah...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3688 on: May 01, 2009, 02:11:43 PM »

Kaho Ab Kya Kahun Tumse,
Batao Ab Kya Likhun Tumko,
Mujhe Tumheed Do Koi, Mujhe Ummid Do Koi,
Naya Ek Lafz Ho Koi,
Jahan Se Baat Chal Nikle, Meri Mushkil Na Hal Nikle,
Batao Lehja Kaisa Ho,
Ke Tumse Baat Karni Hai,
Mujhe Thoda Ujala Do, Basar Ek Raat Karni Hai,
Tum Apni Roshan Aankhon Ko,
Agar Kholo To Main Likhun,
Tumhare Lab Se Aayega Sukhan Mein Ek Kateela Pan,
Tumhari Aankh De Degi Takhatib Ko Nasheela Pan,
Kaho Ab Kya Irada Hai,
Mujhe Izhar Karna Hai,
Ke Betabi Zyada Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3689 on: May 01, 2009, 02:12:07 PM »

Kaise Bataun Main Tumhe Tum Mere Liye Kaun Ho,
Kaise Bataun Main Tumhe Tum Jeevan Ka Sangeet Ho,
Tum Zindagi Ho, Tum Bandagi Ho, Tum Pyaar Ho, Tum Preet Ho, Man Jeet Ho,
Aankhon Mein Tum, Yaadon Mein Tum, Saanson Mein Tum, Aahon Mein Tum,
Neendon Mein Tum, Khwabon Mein Tum,
Tum Ho Meri Har Baat Mein, Tu Ho Mere Din Raat Mein,
Tum Subah Mein, Tum Shaam Mein,
Mere Liye Tum Dharam Ho, Mere Liye Imaan Ho, Tum Hi Mera Armaan,
Takta Hoon Main Har Pal Jise, Tum Hi Wo Tasveer Ho,
Tum Hi Nazara Ho Mera,
Tum Hi Meri Pehchaan Ho,
Kaise Bataun Main Tumhe, Tum Mere Liye Kya Ho,
Devi Ho Tum Mere Liye, Mere Liye Tum Bahut Kuch Ho,
Duniya Mein Sabse Zyada Azeez Ho Tum...
Logged
Pages: 1 ... 242 243 244 245 [246] 247 248 249 250 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 28, 2024, 12:21:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer