Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 243 244 245 246 [247] 248 249 250 251 ... 273
Print
Author  (Read 131156 times)
angel4u
Guest
«Reply #3690 on: May 01, 2009, 02:12:19 PM »

Tujhe Hi Kyon Ye Zamana Kharab Kehta Hai,
Kyon Apne Sar Ko Jhukaye Azaab Sehta Hai,

Uthale Warna Qalam Kar Dega Koi Sar Ko,
Yahan Har Doosre Ghar Mein Qasaab Rehta Hai,

NaQaab Laga Ke Pusht Par Bade Aaram Ke Sath,
Koi TaQleef To Nahi Janaab Kehta Hai,

Utha Le Tu Bhi Haath Mein Yahan Koi Khanjar,
Ke Nihatton Se Har Koi Hisaab Leta Hai,

Tu Hai Bigda Hua Ehsaan Jo Shakhs Kehta Hai,
Doraan-E-Khoon Mein Uske Sharab Behta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3691 on: May 01, 2009, 02:12:40 PM »

Khumar-E-Gam Hai Mehekti Fiza Mein Jeete Hai,
Tere Khayal Khwabon Kamal Mein Jeete Hai,

Bade Tafaat Se Milte Hai Milne Wale Mujhe,
Wo Mere Dost Hai Teri Wafa Mein Jeete Hai,
Tere Khayal Khwabon Kamal Mein Jeete Hai,

Firakht-E-Yaar Mein Saanson Ko Roke Rakte Hai,
Har Ek Gam Guzarte Aza Mein Rehte Hai,
Tere Khayal Khwabon Kamal Mein Jeete Hai,

Na Baat Puri Hui Thi Ke Raat Toot Gyai,
Adhure Khwaab Ke Aadi Saza Mein Jeete Hai,
Tere Khayal Khwabon Kamal Mein Jeete Hai,

Tumhari Baaton Mein Koi Mashiha Basta Hai,
Haseen Labon Se Barasti Sahfa Mein Jeete Hai,
Tere Khayal Khwabon Kamal Mein Jeete Hai,

Khumar-E-Gam Hai Mehekti Fiza Mein Jeete Hai,
Tere Khayal Khwabon Kamal Mein Jeete Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3692 on: May 01, 2009, 02:13:16 PM »

Samundar Ne Kaha.....
Mohabbat Samundar Ke Gehraiyon Mein Chhipi Hui Ek Seepi Hai,
Jis Mein Chahat Jaisa Anmol Moti Maujood Hai,

Badal Ne Kaha.....
Mohabbat Ek Dhanak Hai,
Jismein Har Rang Nomaya Hota Hai,

Shayar Ne Kaha......
Mohabbat Ek Aisi Gazal Hai,
Jo Har Ek Sunne Wale Ke Dil Mein Utarti Chali Jati Hai,

Saaz Ne Kaha.....
Mohabbat Ek Aisa Geet Hai,
Jo Dil Mein Utar Jaata Hai,

Maalee Ne Kaha....
Mohabbat Gulshan Ke Phool Ki Wo Dilkash Khushboo Hai,
Jis Mein Sara Gulshan Mehek Uthta Hai,

Aankhon Ne Kaha.....
Mohabbat Aansuon Ka Samundar Hai,
Jo Kisike Intezar Mein Khamoshi Se Behta Hai,

Dil Ne Kaha.....
Mohabbat Kisiko Khamoshi Se Chahne Ka Naam Hai,
Ke Aakhri WaQt Bhi Izhaar Na Kiya Jaaye,

Naseeb Ne Kaha.....
Mohabbat Wala Duniya Ka Khushkismat Tareen Insaan Hai,
Aur Jiske Dil Mein Mohabbat Nahi,
Wo Duniya Ka Badtareen Insaan Hai,

Nafrat Ne Kaha.....
Aakhri Jeet Mohabbat Ki Hoti Hai,

Humne Kaha.....
Butt Tumne Na Suna,
Mohabbat Haseen Dhoka Hai Aur
Agar Aapko Raat Mein Koi Karwat Badalne Par Majboor Kare,
Aur Raat Ki Tanhayi Mein Tang Kare,
Sargoshi Se Kaan Mein Gungunaye,
To YaQeenan Wo..........
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3693 on: May 01, 2009, 02:13:36 PM »

Rukh Se Aanchal Hatao Kisi Shaam Akele Mein,
Mere Bakht To Jagao Kisi Shaam Akele Mein,

Meri Zindagi Ki Muddat Ab Ghatti Jaa Rahi Hai,
Ise Aake Tum Badhao Kisi Shaam Akele Mein,

Jiski Chamak Ke Aage Suraj Bhi Haar Maane,
Aisi Kehkashaan Banao Kisi Shaam Akele Mein,

Tera Lams Shayri Hai Ang Ek Misrah,
Koi Taaza Gazal Banao Kisi Shaam Akele Mein,

Duniya Se Jeet Hi Raha Aaj Tak Main,
Aake Jeet Jaao Kisi Shaam Akele Mein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3694 on: May 01, 2009, 02:14:09 PM »

Kaun Hai Kaisa, Kal Sochenge,
Jhootha Sachha, Kal Sochenge,

Aaj Ki Raahon Se To Guzar Lein,
Kal Kya Hoga, Kal Sochenge,

Abhi To Mehfil Min Ahi Yaaron,
Tanha Tanha, Kal Sochenge,

Ab Tka Jo Socha Ahha Tha,
Aur Bhi Achha Kal Sochenge,

Apne Naam Ho Do Bas Lamhe,
WaQt Hai Kiska, Kal Sochenge,

Toot Gaya Dil Yaaron Ek Din,
Ab Yun Toota Kal Sochenge,

Tumko Paa Kar Humne Khud Ko,
Kitna Khoya, Kal Sochenge,

Zehen Rahe Kuch Kal Ki Socho,
Dil Hai Kehta, Kal Sochenge...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3695 on: May 01, 2009, 02:14:36 PM »


Agar Do Dil Hote Seene Mein,
To Ek Mein Sirf Tum Hi Tum Hote,
Aur Dusre Mein Tumhare Liye Mohabbat,

Agar Do Dimag Hote Mere,
To Ek Mein Sirf Tumhari Tasveer Hoti,
Aur Dusre Mein Tumhara Tasavvur,

Agar Do Zubaan Hoti Mere Munh Mein,
To Ek Pal Pe Sirf Tumhara Zikr Hota,
Aur Dusre Tumhare Naam Japti,

Kaash! Kabhi Aisa Bhi Hota Ke,
Tum Bhi Do Hote,
Jo Ek Agar Inkaar Kar Deta,
To Doosre Ko To Paa Hi Lete...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3696 on: May 01, 2009, 02:15:08 PM »

Agar Tu Na Mile Mujhe,
Meri Zindagi Tere Naam Hai,
Tere Naam Par Subah-O-Shaam Hai,
Tamanna Hai Meri Tera Husool, Magar,
Kabhi Kabhi
Khayalon Mein Gum,
Udaasiyon Ke Daaman Mein,
Aansuon Ki Nami Mein,
Mayusiyon Ki Aad Mein,
Sochti Hoon,
Agar Tu Na Mila Mujhe,
Meri Zindagi Mar Jayegi,
Ke Kali Murjha Jayegi,
Mera Charag-E-Ummid,
Gul Ho Jayega,
Phir Kabhi Na Jal Ye Payega,
Agar Tu Na Mila Mujhe...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3697 on: May 01, 2009, 02:15:29 PM »

Achha Lagta Hai,
Mujhe Wo Sawan Ka Mausam,
Ho Jis Mein,
Tera Guzar Jaana,
Kaali Ghaton Ki Tarah,
Aur,
Jab Barsein,
Ye Ghatayein To
Ye Soch Kar Main
Khoob Bhigun,
Ke Tera Guzar Hua Hai,
Janaan...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3698 on: May 01, 2009, 02:15:58 PM »

Chehra Mera Tha Nigahein Uski,
Khamoshi Mein Bhi Wo Baatein Uski,

Mere Chehre Pe Gazal Likhti Gayi,
Sher Kehti Hui Aankhein Uski,

Shokh Lamhon Ka Pata Dene Lagi,
Tez Hoti Hui Saansein Uski,

Aise Mausam Bhi Guzaare Humne,
Subahein Jab Apni Thi Shaamein Uski,

Dhyaan Mein Uske Ye Alam Tha Kabhi,
Aankh Mehtaab Ki Yaadein Uski,

Faisla Mauj-E-Hawa Ne Likha,
Aandhiyan Meri Baharein Uski,

Neend Is Soch Se Tooti Aksar,
Kis Tarah Katti Hai Raatein Uski,

Door Reh Kar Bhi Sada Rehti Hai,
Mujhko Thame Hue Baahein Uski...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3699 on: May 01, 2009, 02:17:12 PM »


Chehra
Bezaari Ke Is Mausam Mein,
Sookhe Patton Ke Saaye Mein,
Chhota Sa Hai Ek Dareecha,
Jab Main Aankhein Band Karun,
To Band Dareechon Ke
Darwazon Se,
Wo Aankhein Takti Rehti Hai,
Ek Chehra Paas Bulata Hai,
Anjaane Se Khwab Dikhata Hai,
Phir Jab Main Aankhein Kholun To,
Wo Chehra Gum Ho Jaata Hai,
Jitna Paas Bulata Hoon Main,
Utna Hi Tadpata Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3700 on: May 01, 2009, 02:17:41 PM »

Chhoti Si Galatfehmi Kar Degi Juda Humko,
Halaat Na Badlenge Malum Na Tha Humko,

Rishton Ki Hamein Itni Pehcaan Na Thi Pehle,
Kehne Ko Marasim To Apne The Bahut Gehre,

AshQon Ke Siwa Lekin Kuch Na Mila Humko,
Halaat Na Badlenge Malum Tha Humko,

Uthte Hue Kadmon Mein Zanjeer Si Pad Jaati,
Ehsaas-E-Nadamat Se Dehliz Pighal Jaati,

Ek Baar Mohabbat Se Dete Jo Sada Humko,
Chhoti Si Galatfehmi Kar Degi Juda Humko,
Halaat Na Badlenge Malum Na Tha Humko...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3701 on: May 01, 2009, 02:21:24 PM »

Zindagi Ek Bandhan,
Pyaarka, Nafrat Ka,
Dosti Ka, Dushmani Ka,
Zindagi Ek Bandha,
Shayad Arzi, Shayad HaQeeQat,
Shayad Khoobsurat, Shayad Badsoorat,
Zindagi Ek Bandhan,
Shayad Dhoop, Shayad Chhanv,
Shayad Mushkilat, Shayad Asaishein,
Zindagi Ek Bandhan,
Kabhi Rukna, Kabhi Chalna,
Kabhi Hansna, Kabhi Rona,
Zindagi Ke Bandhan,
Wafa Ka, Bewfayi Ka,
Aitbar Ka, Dhoke Ka,
Zindagi Ek Bandhan,
Shayad Hasas, Shayad Berehem,
Shayad Nazuk Shayad Mazboot,
Zindagi Ek Bandhan,
Khuda Ki Tarafse Pyaar Ka,
Magar Insaan Ise,
Jo Chahe Bana Le...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3702 on: May 01, 2009, 02:22:31 PM »

December Ke Haseen Din The,
Murree Ki Yakh Fizaon Mein,
Hamare Chaar Hathon Mein,
Mujasma Ek Banaya Tha,
Kaha Tah Ek Dooje Ko,
Nishani Pyaar Ki Apni,
Badi Hi Khoobsurat Hai,
Mujhe Ab Yaad Aata Hai,
Mujasma Barf Ka Tha Wo,
Usse Aakhir Pighalna Tha,
Usse To Mit Jaana Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3703 on: May 01, 2009, 02:22:58 PM »

Daman Chura Bhi Rahe Ho Aye Jaane Wale Jaa Bhi Rahe Ho,
Yun Paas Aa Kar Kyon Tum Dooriyan Badha Bhi Rahe Ho,
Kya IshQ Kya Mohabbat Kya Pyaar Ka Sawal Sab Sawalon Ke Jawab Khud Hi Mita Bhi Rahe Ho,
Dil Hai Bechain Aankhein Hai BeQarar,
Tum Aaye Bhi Aur Aa Kar Jaa Bhi Rahe Ho,
Kaise Rokein Kahan Se Rokein Kis Sawal Se Rokein Tumhe,
Tum To Aise Dooriyan Badha Bhi Rahe Ho,
Aisa Dil Aisa Hosla Kahan Se Le Aayenge Jo Tumhe Chhod Dein To,
Jine Ka Dhang Kya Sikha Bhi Rahe Ho,
Is Tarah Do Raahe Par Zindagi Khadi Hai,
Na Idhar Rasta Na Udhar Rasta,
Jayein To Jaana Hum Jaayein Kahan,
Is Tarah Do Raahe Par Zindagi Khadi Hai,
Na Idhar Rasta Na Udhar Raasta,
Jaayein To Jana Hum Jaayein Kahan...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3704 on: May 01, 2009, 02:23:16 PM »


Sard Hawaon Se Laga Wo Sardiyon Ka Mausam Tha,
Begangi Mein Bhi Bekhudi Ka Alam Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha,

Matlab Parast Ek Waadi Mein,
Ek Masoom Sa Humsafar Mila Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha,

Wo Pehli Baar Mujhe Ek Aisi Jagah Mila,
Jahan Ek Ped Door Laga Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha,

Aankhon Se Beikhtiyaar Kuch Paani Sa Nikla Tha,
Jab Wo Mujhse Rooth Gaya Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha,

SaQiyon Ko Dost Bana Liya Maine,
Jab Maikhane Mein Ek Paymana Bhara Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha,

Wo Wahi ShaQ Jo Apna Sa Lagta Tha Tujhe,
Bahut Door Chala Gaya Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha...
Logged
Pages: 1 ... 243 244 245 246 [247] 248 249 250 251 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:39:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer