Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30 ... 273
Print
Author  (Read 132841 times)
angel4u
Guest
«Reply #375 on: February 19, 2007, 07:02:42 PM »

Shab-E-FurQat
Dareeche Neem Waa Hain......
Har Ek Aahat Dabe Paanv Kayi Mafhoom La Kar
Meri Soyi Hui Ummid......
Aa Kar Jagati Hai
Main Zardeda Nigahon Se
Har Ek Aahat Per ......... Uth Kar
Janib-E-Dar Dekhti Hoon
Hawa Ke Dosh Per Faili Hui
Khushbu Ka Andaza Lagati Hoon
Zara Ruk Kar Bahut Kuch
Sochti Hoon Muskurati Hoon.........
Jo Tere Saath Guzre The
Main Un Lamhon Ke Sare
ZaiQe Mehsoos Karti Hoon
Mujhe Yun Teri Chahat Raat Bhar
Bedar Rakhti Hai.....
Main Teri Yaad Ki Khush Rang
Chadar Odh Kar............
Tere Tasawur Mein...........

Shab-E-FurQat Ki Sari Talkhiyon Ko Bhool Jati Hoon....
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #376 on: February 19, 2007, 07:04:09 PM »

Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Har Us Jagah Pe
Har Us MuQaam Pe
Jahan Main Saans Leti Hoon,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho...

Har Us Raaste Pe
Har Us Raah Pe,
Jis Pe Tum Chalte The,
Aur!
Tumhare NaQsh-E-Paa
Mere Kadmon Ki Aahat Se Jalte The,
Kabhi Rukte The
Kabhi Mudte The
Kabhi Bahut Thak Jaate The,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho...

Har Us Mausam Mein,
Jo Tumhari Yaad Ke Jalloo Mein,
Badal Jaata Hai,
Jo Tumhari Baatein Mujhe Kaanon Mein Sunata Hai,
Jo Tumhare Aane Ki Aahat Mujhe Dilata Hai,
Jo Tumhari Muskaan Lahon Se Chura Kar
Mere Daaman Mein Dalta Hai,
Jo Tumhari Sada Mujh Tak Pahuchta Hai
Aur
Mera Payam Le Jata Hai Tum Tak
Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho...

Har Us Sawan Mein,
Jo Badliyon Ki Ott Se Jhankta Hai Zameen Ko,
Aur
Uski Har Boond
Meri Chashm-E-Tarr Se Zyada Na Barsi Ho,
Jiski Aamad Pe Mere Nain
Samundar Jiase Hi Jayein
Jiski Sarsarati Hawayein
Tumhare Shararati Man Ki Tarah,
Mere Aanchal Ko Lehrayein,
Aur
Mujhe Kayi Geet Sunayein,
Aur Chhedte Hue Bhaag Jayein,
Aur!
Main Kayi Kayi Din Khoyi Hui
Tumhari Baaton Se Dil Ko Behlaye
Hole Hole Kayi Loriyan De Kar
Apne Man Ko Sulaun
Bas!
Kisi Aise Mausam Mein
Kuch Aisi Fiza Mein
Kuch Aisi Raah Mein
Mujhe Bahut Yaad Aate Ho
Bahut Zyada Yaad Aate Ho
Main Apne Man Se Kehti Hoon
Laut Aao Ke Ab Tum
Mujhe Bahut Rulate Ho
Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Meri Jaan
Ke Mujhe Tum Ab Har Lamha Yaad Aate Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #377 on: February 19, 2007, 07:06:03 PM »

Zara Si Zameen
Zara Sa Aasman
Mere Liye Kaafi Hai...

Hai Bhi Kitne Sapne Mere Paas?
Zara Si Khushiyan,
Zara Sa Armaan
Mere Liye Kaafi Hai,
Zara Se Aansu
Zara Si Yaadein,
Mere Liye Kaafi Hai,
Kahan Sambhalungi Itna Pyaar?
Zara Si Hamdardi,
Zara Sa Hausla
Mere Liye Kaafi Hai,
Zara Si Zindagi
Zara Si Saansein
Jo Kafi Ho Mere Marne Tak
Zara Si Dhadkan,
"UNKI" Ummid Zara Si,
Mere Liye Kaafi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #378 on: February 19, 2007, 07:09:12 PM »
Azyaton Ke Tamam Nashtar
Meri Ragon Mein
Utaar Kar
Wo Badi Mohabbat Se Puchhta Hai
SUNO.........!
Ye Tumhari Aankhon Ko Kya Hua Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #379 on: February 19, 2007, 07:11:17 PM »

Saahil Ki Geeli Ret Par
Maine Puchha Suno
Baad Marne Ke Kya Hoga
Socha Wo Kahega
Ashkon Ka Shab-O-Roz Chiraghan Hoga,
Lekin Hans Kar Usne Meri Janib Dekha
Aur...
Bhari Pathar Utha Ke Seena-E-Samundar Par Phainka,
Lehron Ka Talatum Utha,
Daaire Phail Gaye,
Chand Lamhon Ke Baad
GharQ-E-Aab Ho Ke Kahin Kho Gaye,
Phri Sukoon-E-Samundar Ko Dekh Kar
Wo Dheere Se Hans Diya
Phir...
Mere Dukh Ka Ehsaas Satteh Samundar Par
Door Tak Phailta Chala Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #380 on: February 19, 2007, 07:12:52 PM »

Udaas Thi Sham Ko Ek Kali,
Maine Puchha Kya Hua,
Usne Kaha Wo Bichhad Gaya,

Udaas Thi Shaam Ko Chand Raaste
Maine Pucha Kya Hua,
Usne Kaha Wo Chala Gaya,

Udaas Thi Shaam Ko Ek Ladki
Maine Puchha Kya Hua
Usne Kaha Saath Chhod Gaya,

Udaas Thi Shaam Ko Ek Shamma,
Maine Puchha Kya Hua,
Usne Kaha Wo Jal Gaya,

Udaas Ho Gayi Main Sun Kar In Sab Ki Baatein,
Unhone Puchha Kya Hua
Maine Kaha Dil Toot Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #381 on: February 19, 2007, 07:15:38 PM »

Koi To Hota!
Main Jis Ke Dil Ki Kitab Banta,
Main Jis Ki Chahat Ka Khwab Banta,
Main Hijr Ki Mausan Ki Lambi Raton Main,
Yaad Ban Kar Azab Bantaa,

Koi To Hota!

Jo Meri Khwahish Mein Uth Kar Raton Ko Khoob Roota,
Dukhon Ki Chadar Lapet Kar Hajom-E-Dunya Se Dur Hota,
Main Ruth Jaata, Manata Mujhko Chahe Mera Qasur Hota,

Koi To Hota!

Main Jis Ke Itna Qareeb Hota, Na Pass Koi RaQeeb Hota,
Main Tanha Is Ka Habeeb Hota, Ye Silsila Bi Ajeeb Hota
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #382 on: February 19, 2007, 07:17:08 PM »

Dil Ki Basti Mein
Na Ab Koi Aawaz De,
Ke Yahan
Kitni Hi Aarzuyein,
Hasraton Ka Libaas Odhey,
So Rahi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #383 on: February 19, 2007, 07:21:37 PM »

Jo Baat Nahi Karte,
Un Bolte Rangon Mein,
Maine Tumhe Socha Hai,
Jo Dilse Guzarte Hai
Un Ajnabi Raaston Mein
Maine Tumhe Dekha Hai!

Kehne Ke Liye Tumse
Baatein To Bahut Si Hai,
Alfaz Nahi Milte,
Jo Meri Nazar Mein Hai,
Is Saher Ke Baagon Mein
Wo Phool Nahi Khilte!

Maine Tumhe Jana Hai
Azhar Ke Rishton Se,
Jis Tarah Koi Banda
Dharti Bar Nazar Daale
Ek Baar Khuda Hoke!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #384 on: February 19, 2007, 07:23:23 PM »

Sochti Aur Jaagti Saanson Ka Ek Dariya Hoon Main,
Apne Gumgashta Kinaron Ke Liye Behti Hoon Main,

Jal Gaya Sara Badan In Mausamon Ki Aag Mein,
Ek Mausam Rooh Ka Hai Jis Mein Ab Zinda Hoon Main,

Mere Hothon Ka Tabassum De Gaya Dhoka Tujhe,
Tune Mujhko Baagh Jana Dekh Le Sehra Hoon Main,

Dekhiye Meri Pazeerai Ko Ab Aata Hai Kaun,
Lamha Bhar Ko WaQt Ki Dehleez Par Aaya Hoon Main...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #385 on: February 19, 2007, 07:24:53 PM »

IshQ Ke Phool Bhi Khilte Hain, Bikhar Jaate Hain
Zakhm Kaise Bhi Ho, Kuch Roz Main Bhar Jaate Hain
Us Ke Khwabon Main Ab Koi Nahi Aur Hum Bhi Nahi
Itne Roze Se Aaye Hain, Chup Chaap Guzar Jaate Hain
Narm Aawaaz, Bholi Baatein, Mohazzab Lehjaa
Pehle Baarish Main Hi, Sab Rang Utar Jaate Hain
Raasta Roke Khadi Hai, Wahi Uljhan Kab Se
Koi Puche To Kahein Kya Ke Kidhar Jaate Hain
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #386 on: February 19, 2007, 07:26:54 PM »

Meri Jaan Thik Kehte Ho,
Hamari Is Mohabbat Ka Bhala Kya Fayda Hoga,
Hamare Darmiyan Jo Dooriyan Hai
Kam Nahi Hongi
Kabhi Baarish Ke Mausam Mein
Hamesha Saath Rehne Ki
Jo Khwahish Dil Mein Jagi Thi
Jo Sapne Humne Dekhe Hte
Wo Sapne Toot Jayenge
Meri Jaan Thik Kehte Ho,
MuQadder Ke Likhe Ko Hi Agar Tasleem Karna Hai,
To Phir Aisi Mohabbat Ka
Koi Bhi Fayda Kaisa?
Magar Isko Agar Chaho
To Mere Bebasi Keh Lo
"Mujhe Tumse Mohabbat Hai"
"Mujhe Tumse Mohabbat Hai"...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #387 on: February 19, 2007, 07:28:38 PM »

APNA EHSAAS

Apna Ehsaas Mar Na Jaye Kahin,
Dard Had Se Guzar Na Jaye Kahin,

Unko Dekhe Hue Hui Sadiyan,
Unka Chehra Bikhar Na Jaye Kahin,

Ab Ke Aawaz Dun To Aa Jana,
Dil Deewana Sudhar Na Jaye Kahin,

Unka Wada To Hai Magar Dilko
Dar Hai Ke Kafir Mukar Na Jaye Kahin,

Dard, Jugnoo, Hawa, Gile, Shikwe,
Ye Mukaddar Sawar Na Jaye Kahin,

Meri Duniya Hai Dard Ki Surat,
Gul Ki Surat Nikhar Na Jaye Kahin,

Khaak Se Aab Tak To Aa Pahuche,
Ab Ye Dariya Utar Na Jaye Kahin,

Ye Mohabbat Bhi Ek Bala Thehri,
Humko Dar Hai Wo Dar Na Jaye Kahin,

Isliye Muskuraye Phirti Hoon,
Unki Aankh Bhi Na Bhar Jaye Kahin,

Dilse Guzra To Hai Magar
Apni Jaan Se Guzar Na Jaye Kahin...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #388 on: February 19, 2007, 07:30:05 PM »

Saja Lete Hai Yaadon Ke Kayi Chehre Kayi Paiker,
Magar Kuch Soch Kar Humne Ye Ghar Veeran Rakha Hai,
Hamein ShauQ-E-Aazeeat Hai Wagarna Is Zamane Mein,
Teri Yaadein Bhulane Ko Bahut Saman Rakha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #389 on: February 19, 2007, 07:31:01 PM »

Jisne Mere Sapne Loot Liye,
Meri Aankhein Jisne Chhini Hai,

Us Shakhs Ki Zehreeli Baatein,
Amrat Hi Samajh Kar Peeni Hai,

Zakhmon Ki To Koi Baat Nahi,
Jazbon Ki Qubaayein Seeni Hai,

Ehsaas Ye Rakhna Hai Hardam,
Koi Dukh Na Kare Nashaad Usse,
Allah Rakhe Aabaad Use,

Ek Doosre Ke Dukh Sukh Ke Ameen,
Hum Jab Tak Achhe Meet Rahe,

Dharti Ke Mehekte Honthon Par,
Chahat Ke Suhane Geet Rahe,

Jise Yaad Karein Sab Dil Wale,
Hum Aisi Anokhi Reet Rahe,

Ab Apne Haal Pe Kya Roye,
Jaise Bhi Hai Ye Din Beet Rahe,

Par Uske Liye Apni Hai Dua,
Har Gam Pe Uski Jeet Rahe,

Hasil Ho Qad-E-Shamshaad Usse,
Allah Rakhe Aabaad Use,

Usne To Mujhe Radd Kar Hi Diya,
Tha HaQQ-E-Istardaad Use,

Par Mere Jigar Se Nikil Hui,
Pahucha De Koi Fariyaad Use,

Koi Aur Use Chahe,
Koi Aur Mile Use,

Phir Aayegi Meri Yaad Use,
Allah Rakhe Aabaad Use...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 27, 2024, 04:36:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer