Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 247 248 249 250 [251] 252 253 254 255 ... 273
Print
Author  (Read 131147 times)
angel4u
Guest
«Reply #3750 on: May 12, 2009, 05:03:06 PM »


WaQt Kitna Guzar Gaya Jaana,
Teri Zulfon Ki Chhanv Ko Chhue,
Haan Magar Phir Bhi Bekhayali Mein,
Jab Kabhi Tera Naam Likhta Hoon,
Unligyaan Kaanp Kaanp Jaati Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3751 on: May 12, 2009, 05:03:25 PM »

Tum Jo Kehte Ho Hamein Deewana Hum Hai Ye Khushi Se Maana,
Shakista Dil Ka Haal Ye Arooj-O-Zawal Koi Mere Dilse Puchhe,

Baraste Saawan Mein Ye Pyaas Banke Toote Hai Har Ek Aas,
Pyaasi Mauj Dariya Mein Ye Deewangi Ka Aalam Koi Mere Dilse Puchhe,

Saath Na Dete Qadam Upar Se Dil Ka Ye Sitam,
Kisi Andekhe Ka Intezar Taar Taar Hote Dilka Haal Koi Mere Dilse Puchhe,

Bahar Mein Bhi Khizaan Ka Mausam, Baraste Sawan Mein Ye Pyaasi Zameen,
Dhadakte Dilki Dagmagati Dhadkanein Aansu Hai Kitne Betaab Koi Mere Dilse Puchhe,

Wo Naseeb Ke Jatann Wo Kismat Ke Khel Ab Bhi Bebasi,
Toote Dilko Thame Kaise Guzre Hai Zindagi Koi Mere Dilse Puchhe,

Wo Jo Kehte Hai Ke Rahe Machhli Dariya Ke Bagair
To Suno Dil Kehta Hai Jazbaat Se Kaise Maat Koi Mere Dilse Puchhe...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3752 on: May 12, 2009, 05:03:51 PM »

Aaj Phir Badi Shiddat Se Yaad Aaya Koi,
Ek Ajab Si Udaasi Phir De Gaya Koi,

Saari Raat Phir Jaga Gaya Koi,
Saare Aansu Baha Gaya Koi,

Ek Chingari Ko Hawa De Gaya Koi,
Yaadon Ko Tar-O-Taaza Kar Gaya Koi,

Kho Jane Ka Ehsaas Dila Gaya Hai Koi,
Bewafa Se Wafa Ka Sila Chahta Hai Koi,

Jaane Kyon Milne Par Anjana Banta Hai Koi,
Jaane Kyon Chup Chup Kar Takta Hai Koi,

Kabhi Kaanton Se Bhi Puchho Ke Wafa Kya Hai,
Wafaon Ka Sila Phoolonse Kyon Puchhta Hai Koi,

Mohabbat Na Hoti Duniya Mein To Kya Hota,
Mohabbat Ka Sila Is Jahan Mein Kya Dega Koi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3753 on: May 12, 2009, 05:04:08 PM »

Mujhko Ab Khamosh Rehna Achha Lagta Hai,
Baithe Baithe Gum Ho Jana Achha Lagta Hai,

Sochti Hoon To Dard Sa Dil Mein Uthta Hai,
Guzre Lamhe Yaad Karna Achha Lagta Hai,

Jab Se Bichhdi Hoon Kuch Doston Se Apne,
Khayalon Mein Unse Baatein Karna Achha Lagta Hai,

Bachpan Ki Chhoti Chhoti Shararatonko Yaad Kar Ke,
Sirf Hanste Hi Rehna Achha Lagta Hai,

Yaadein To Bahut Si Aati Hai Par Un Mein,
Sirf Ek Yaad Ko Yaad Karna Achha Lagta Hai,

Aate Jaate Log Aankhon Mein Kya Dhundte Hai?
Mujhko To Ab Yunhi Udaas Rehna Achha Lagta Hai,

Wo Mere QahQahe Najaane Kahan Kho Gaye,
Ab Dhire Se Muskurana Achha Lagta Hai,

Jab Dil Udaas Ho Aur Kisiki Yaad Aaye,
Koi Gazal Likhna Achha Lagta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3754 on: May 12, 2009, 05:04:32 PM »

Ab Kya Likhe Kaagaz Par,
Ab Likhne Ko Kya BaaQi Hai,
Ek Dil Tha So Ab Toot Gaya,
Lutne Ko Ab Kya BaaQi Hai,
Ek Shakhs Ko Humne Chaha Tha,
Kuch Raatein Par NaQsh Banaya Tha,
In Ratein Kya Razuon Ko
Humne Dil Mein Sajaya Tha,
Wo Raatein To Kab Ki Bikhar Gayi,
Wo NaQsh Ab Kahan BaaQi Hai,
Ab Kya Likhe Hum Kaagaz Par,
Wo Jinko Hum Apni Nazmon Ka
Anwan Banaya Karte The,
Wo Lafzon Ka Bana Ke Tajmahal,
Kagaz Pe Sajaya Karte The,
Wo Humko Akela Chhod Gaya,
Sab Rishton Se Mooh Mod Gaya,
Ab Rishte Saare Soone Hai,
Wo Pyara Ab Kahan BaaQi Hai,
Ab Kya Likhe Kagaz Par,
Ab Likhneko Kya BaaQi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3755 on: May 12, 2009, 05:04:52 PM »

Aaj Phir Der Talak
Aaj Phir Badbaharan Ne Mere Kaano Mein,
Chupke Chupke Se Tere Aane Ka Puchha Mujhse,
Puchha, Sandesa Koi, Chitthi Koi Aayi Hai?
Gungunate Hue Jharno Ne Zara Tham Tham Ke,
Puchha Sajan Ki Khabar Bolo Kahin Paaye Hai,
Aaj Phir Ratjaga Aangan Mein Mere Utrega,
Aaj Phir Neend Ki Devi Mera Ghar Bhulegi,
Aaj Phir Barkha Ki Mari Hui Badli Koi,
Meri Aankhon Mein Jo Jhankegi Thithak Jayegi,
Aaj Phir Der Talak, Der Talak, Der Talak,
Tu Na Aayega,
Teri Yaad Chali Aayegi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3756 on: May 12, 2009, 05:05:27 PM »

Aaj Udaas Hoon To Zamana Mujhe Puchhne Aaya,
Magar Jispe Tha Sadiyon Ka Bharam Wo Nahi Aaya,

Wo To Ek Khwaab Tha Toot Gaya Bikhar Gaya Hai,
Aaj Udaas Lamhon Mein Phir Kyon Mujhe Wo Yaad Aaya,

Zindagi Ki Musafit Ke Wo Chand Din Jo Guzar Chuke Hai,
Na Hi Unpe Urooj Aaya, Aur Na Hi Unpe Zawaal Aaya,

Bhoolna Chahta Hoon Har Lamha, Har WaQt Jo Guzar Gaya Hai,
Jitna Bhi Roka Wo WaQt Utha Mere Sath Chala Aaya,

Guzra Hua Kal Na Tha Mera, Na Hai Mera Aur Na Hoga Kabhi,
Ye Main Janta Hoon Magar Phir Bhi Na Dil Ko Qaraar Aaya,

Wo Waade Tere Wo Kasmein Wo Sab Yaad Hai Mujhe,
Magar Phir Bhi Kabhi Tumko Mera Dil Na Bhula Paaya,

Aa Na Paaye The Tum To Khuddaar Tha Main Bhi,
Ye Rishta Hi Hamare Darmiyaan Na Raas Aaya,

Uski Muskurahat Tere Liye Ek Fareb Thi,
Tu Tha Nadan, Dil Tera Usse Na Samajh Paya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3757 on: May 12, 2009, 05:06:17 PM »

Tune Jo Zakham Diya Hai Use Bhool Paana Aasan Nahi,
Zakhm Ki Buniyaad Pe Ye Zindagi Guzarna Ab Aasan Nahi,

Teri Baaton Ka Maine Bharosa Kiya Ye Meri Bhool Thi,
Ab Ye Sach Ko Jhutlana Aasan Nahi,

Teri Wo Chehre Pe Jo Parda Gira Hua Tha,
Wo Aayina Logonko Dikhana Ab Aasan Nahi,

Aaj Tu Magroor Hai Teri Duniya Basane Mein,
Mujhe Apni Hi Duniya Mein Ab Laut Kar Aana Aasan Nahi,

Tu Aaj Jo Bach Ke Nikal Raha Hai Mere Saaye Se,
Ab Yehi Baat Dilko Samjhana Aasan Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3758 on: May 12, 2009, 05:06:38 PM »

Ye Dooriyan Ab Hum Seh Nahi Sakte,
Dil Mein Ye Dhadkan Rehti Hai,
Us Dhadkan Ki Kasam Tujhe,
Aa Jaa Sanam Rooth Na Humse,
Ke Hum Bhi Tere Bina Reh Nahi Sakte,
Ke Hum Bhi Tere Bina Reh Nahi Sakte...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #3759 on: May 12, 2009, 05:06:52 PM »

Tumhari Zulf Ke Saaye Mein Sar Chhupane Ki,
Tamanna Jaag Uthi Phir Se Muskurane Ki,

Kitni Qaatil Ada Wo Lagti Thi,
Nazar Mila Ke Phri Se Nazar Churane Ki,

Abhi Bhi Yaad Hai Mujhko Wo Ruthna Tera,
Alag Hi Baat Thi Uspe Tujhe Manane Ki,

Wo Zulf Khich Kar Teri, Rulana Tujhko,
Banake Chehre Kayi, Phir Tujhe Hasane Ki,

Lagake Baazi Hamesha Wo Khelna Tujhse,
Churake Goti Teri Aur Tujhe Harane Ki...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3760 on: May 12, 2009, 05:15:37 PM »
Thank you so much Kaash
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3761 on: May 13, 2009, 05:10:41 PM »


Ummid-O-Naummidi Ki Kashmakash Mein Ghirta Jaa Raha Hoon Main,
Zindagi Ke Raaston Par Girta Aur Sambhalta Jaa Raha Hoon Main,

Main Kabhi Nafrat Hoon To Kabhi Chahat Ka Izhaar,
Na Jane Kab Kahan Aise Rang Badalta Jaa Raha Hoon Main,

Dosti Nibhane Ki Koshish Mein,
Dostonse Fareb Khata Jaa Raha Hoon Main,

Doston Se Dosti Mein Kha Ke Yun Fareb,
Dosti Ke Liye Ek Misaal Banta Jaa Raha Hoon Main,

Kadi Dhoop Mein Jeewan Ki Paidal Hoon Aur,
Ek Be-Aab Sehra Ki Maanind Sulagta Jaa Raha Hoon Main,

Safar-E-Zeest Mein Mile Hai Mujhe Gam Bhi Khushi Bhi,
Apne Har Aml Ka Goya Sila Pata Jaa Raha Hoon Main,

Na Jane Kaunsa Pal Maut Ki Amanat Ho,
Zindagi Ka Saath Nibhata Jaa Raha Hoon Main...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3762 on: May 13, 2009, 05:10:58 PM »

Main Jab Bhi Tere Gamon Ko Bhulane Lagta Hoon,
To Aur Bhi Tere Nazdeek Aane Lagta Hoon,

Ajeeb Roshni Ulfat Mujhe Sikhati Hai,
Kisi Andhere Mein Doob Jaane Lagta Hoon,

Dukhon Se Jab Bhi Meri Aah Uthne Lagti Hai,
Sada Main Tere Geet Gungunane Lagta Hoon,

Watan Se Door Sahi Dil To Wahin Atka Hai,
Diyar-E-Gair Ko Jab Laut Jaane Lagta Hoon,

Main Teri Yad Mein Dil Gamzada Nahi Karta,
Main Tere Naam Ki Shammayein Jalane Lagta Hoon,

Meri Gazal Ko Mili Hai Bahut Pazeerai,
Mere Habeeb Main Tere Tarane Lagta Hoon,

Nikal Ke Main Dil Apna Rakhun Hatheli Par,
Teri Gali Se Main Jab Bhi Guzarne Lagta Hoon,

Thake Hue Hai Bahut Jism-O-Jaan To Aye Faisal,
Tere FiraaQ Mein Aansu Bahane Lagta Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3763 on: May 13, 2009, 05:11:14 PM »

Har Ek Pal Ek Khayal Hai Humdam Tera Khayal,
Dil Mein Mere Rehta Har Dam Tera Khayal,

Chahoon To Bhi Jise Main Bhula Nahi Sakta,
Nahi Aur Koi Wo Hai Saman Mera Khayal,

Raaton Ki Neend Chhhini Hai Dinka Qaraar Loota,
Jeena Kare Hai Mushkil Har Dam Tera Khayal,

Kehte Ho Tum Ke Mujhko Ab Yaad Nahi Karte,
Mitta Nahi Hai Dilse Ek Dam Tera Khayal,

Jo Jeevan Ki Raahon Mein Tu Sand Nahi Aaj,
Rehta Hai Par Mere Qadam-Ba-Qadam Tera Khayal...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3764 on: May 13, 2009, 05:11:34 PM »

Karta Use BeQaraar Kuch Der,
Hota Agar Ikhtiyaar Kuch Der,

Kya Royein Fareb-E-Aasman Ko,
Apna Nahi Aitbaar Kuch Der,

Aankhon Mein Kati Pahaad Si Raat,
So Jaa Dil=E=BeQaraar Kuch Der,

Aye Sheher-E-Tarab Ko Jaane Walon,
Karna Mera Intezaar Kuch Der,

Bekaifi-E-Roz-O-Shab Musalsal,
Sarmasti-E-Intezaar Kuch Der,

Takleef-E-Gam-E-FiraaQ Mein,
TaQreeb-E-Wisaal-E-Yaar Kuch Der,

Ye Guncha-O-Gul Hai Sab Musafir,
Hai Kaafila-E-Bahaar Kuch Der,

Duniya To Sada Rahegi Nasir,
Hum Log Hai Yaadgaar Kuch Der...
Logged
Pages: 1 ... 247 248 249 250 [251] 252 253 254 255 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:43:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer